• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Pyaar Ya Nafrat ( Completed)

Story achhi hai aur aage likhna chahiye

  • Haa

    Votes: 93 96.9%
  • Naa

    Votes: 3 3.1%

  • Total voters
    96
  • Poll closed .

tpk

Well-Known Member
12,757
17,186
228
Update 48
Aryan Ritika Meera aur team PM ko Good Evening wish karte hai
PM: Good Evening. Kaise hai aaplog.
Aryan: All good sir.
PM: Aaiye baithiye.
Phir woh sab waha baith jaate hai.
PM: Aapne Mumbai mein jo kaam kiya thaa. Usse hum bahot khush hai. Aapne badhi hi samjdaari se ek durgatna ko rokha. India ko aap jaise officer pe garv hai.
Aryan: Woh meri duty thi sir. Aur agar main Raw mein nhi bhi hota tab bhi agar aisa kuch mere saamne aata toh main bina kisi jhijhak ke iska saamna karta. Aur isme meri team ka bhi bahot bada yogdaan hai unke bina yeh kaam possible nhi hota.
PM: Humhe aap pe aur aapki team pe garv hai Mr. Aryan.
Aryan: Sir with your kind permission. Kya humlog akele mein baat kar sakte hai. Its confidential.
PM: Okk. Phir PM Aryan Ritika Meera aur team ke saath ek room mein akele aajate hai.
PM: Haa toh boliye kyaa baat karni hai aapko.
Aryan: Sir aap jaante hai humne iss terrorist group ke ek member ko pakad kar usse uss group ke members ki saari jaankari mil chuki hai sivaay unke head ke.
Toh humlog yaha ek secret mission pe aaye hai.
PM: Haa mujhe aapke cheif ne bataya tha. Toh bataiye main aapki kya madad kar sakta hu.
Aryan: Sir uss group ke kuch members aapke ministers aur collectors bhi hai. Aur unhe agar pakadna hai toh mujhe aur meri team ko har tarah se power use karna hoga. Aur iss bich aapke ministers aur collectors apni power use karke humhe rokhne ki koshish karenge. Isiliye humhe aapse free hand ki permission chahiye.
Koi bhi police officer humhe naa rok paaye. Naa humhe koi arrest karega. Aur naahi humare kaam mein dhakhal dega.
Aur jab main chahu thik tabhi unn ministers aur collectors ko unke post se suspend kardiya jaaye.
PM kuch soch kar. Okk. Permission granted. Par aapne agar iss power ka galat use kiya toh aapko usi waqat Raw se suspend karke aapko aur aapki team ko arrest kiya jaayegaa.
Aryan: Okk sir.
PM: Thik hai phir kal tak har officer ke paas chahe woh IPS ho ya IAS sabke paas aapke free hand ki notice chali jayegi.
Aur aap ko apne Secretary ka number bhi deta hu. Kabhi koi problem ho toh aap uske through mujhse contact kar sakte hai. Bas jald se jald iss group ko khatam kardijiye.
Aryan: I will do my best sir.
Phir PM apne secretary ko bula ke usse Aryan ka contact karwa dete hai.
PM: Agar yeh ya Raw Cheif kabhi bhi mujhse baat karne ke liye call kare toh sang sang mujhe woh call diya jaaye.
Secretary: Ji sir.
Phir Aryan Ritika Meera aur team waha se ghar aajate hai.
Agle din se unka college bhi start horaha hota hai.
Raat ko Harish inko phone karke puchte hai. PM se kya baate hui.
Aryan unko sab bata deta hai. Meera TV on karti hai toh usme news aarahi thi ke Delhi ke businessman Vikram Malhotra ki bhatiji Soniya Malhotra ko kisi ne utha liya hai aur usko ek under construction building mein rakha hai. Aur jo bhi uss building ke kareeb jaata hai wohlog unpe goli chalate hai.
Aryan jaise hi yeh khabar sunta hai. Woh jaldi se Radha ko phone karta hai. Aur usse iss pure news ki exact jankari leta hai. Jab usse pata chalta hai kisi ne Vikram se badla lene ke liye yeh sab kiya hai toh uska gussa badh jaata hai. Woh jaldi se Black Beast ka getup kar waha pahonch jaata hai. Waha jaake dekhta hai Media aur Police pahle se hi khade hai. Aryan uss building mein jaane ka raasta khojta hai. Toh usko ek raasta dikhta hai jisse woh chup ke andar jaa sakta thaa. Aryan jaldi se building ke andar jaata hai. Soniya ko building ke third floor mein rakha hua thaa. Aur har floor mein gunde the. Sabke paas gun the. Aryan ko apni chinta nhi thi. Par uske ek galat kadam se Soniya ko khatra hosakta thaa.
Idher Vikram ke ghar pe jab Soniya ke kidnapping ka pata chalta hai toh Meenakshi ka ro ro ke bura haal hojaata hai. Aur jab usne TV mein goliyo ki awaaz suni toh woh behosh hi hojaati hai.
Vikram ko ek call aata hai.
Saamne se: Vikram tumne bahot badi galti ki humari baat naa maanke. Abb iski saza uss ladki ko milegi.
Vikram: Kaun ho tum.
Saamne se: Main kaun hu yeh choro. Aur tumne jo galti ki hai usse sudharo. Warna uss ladki ko humesha humesha ke liye bhool jao.
Yeh bol usne phone cut kardiya.
Rashmi: Kaun tha. Aur unlogo ne Soniya ko kyo kidnap kiya. Aur kya chahte hai.
Vikram: Kaun hai yeh nhi pata. Kuch din pahle mere paas ek call aaya thaa. Jisme mujhe company mein jo shares hai uske 90% bechne ko kaha. Maine uski yeh baat nhi maani toh usne Soniya ko utha kiya. Aur ab woh uske badle mein 90% shares chahta hai.
Rashmi: Humare liye Soniya se badh kar kuch nhi hai. Company hum wapas taiyaar karlenge. Pahle Aryan aur ab Soniya. Nhi nhi aap unlogo ko shares bech de. Aur Soniya ko lee aaye.
Vikram: Main abhi call karke sab karta hu.
Neha: Rukh jaaiye dad kuch mat kijiye. Ab aapko shares bechne ki jarurat nhi hai. Woh dekhiye Soniya safe hai.
Vikram Rashmi aur Meenakshi TV mein dekhte hai ke kisine Soniya ko bacha liya hai. Aur uska naam Black Beast bataya jaa raha hai.
Toh hua aise tha ki.
Aryan chupte chupte har ek gunde ko marta rehta hai. First floor ko khatam kar woh second floor ki tarah badhta hai. Tabhi usko kisine dekh liya aur uske upar goliya chalane laga. Goliyon ki awaaz sunn sab chaukane hojaate hai. Jisne Aryan pe goliyan chalayi woh aage badh ke dekhne lagta hai. Tabhi Aryan uski gardan ko pakad ke ghuma deta hai. Yeh dekh saare gunde ek pal ke liye chauk gaye. Par jaldi hi sab normal hoke Aryan pe fire karne lagte hai. Aryan apne paas padhe gun ko leke unsab ko maar deta hai. Third floor pe jab goliyo ki awaaz jaati hai toh sab koi Soniya ko gherr lete hai.
Thodi der baad jab goliyo ki awaaz band hojaati hai toh unko lagta hai jo aaya thaa woh mar gaya.
Goliyo ki awaaz police aur media ne bhi sunni thi. Jisse woh bhi sakte mein aagye.
Woh yeh sab news mein dikha dete hai jo ghar mein sabne dekhliya.
Phir Aryan apne gun mein Silencer lagake third floor mein jaata hai. Aur dekhta hai Soniya ko chair se baandh ke rakha hua hai. Aur uske ird gird aadmi ghum rahe hai haatho mein gun liye.
Aryan chup ke ek ek ke maathe mein shot karta hai. Jisse saare aadmi girne lagte hai. Jab leader apne saare aadmiyon ko aise girte dekhta hai toh woh jaldi se Soniya ke paas jaake uske maathe se gun bhidta deta hai.
Leader: Kaun hai saamne aao warna iss ladki ko maar dunga.
Tabhi uske haath mein goli lagti hai jisse uske haath se gun gir jaati hai. Soniya yeh sab dekh aur darr jaati hai jo pahle se hi kidnapping ki wajah se darii hui thi.
Aryan saamne aata hai aur aake uss leader ko maarne lagta hai.
Aryan: Chal bol kiske kehne pe isko uthaya aur kis liye uthaya.
Leader: Mujhe kuch nahi pata. Main toh bas ek mamuli sa gunda hu. Jo kidnapping aur chori chakari karta hu. Ekdin mujhe ek phone aata hai aur mujhe bola jaata hai ke Mujhe Vikram Malhotra ke kisi bhi family member ko uthana hai. Aur jab tak woh naa bole tab tak usko chorna nhi hai. Aur aaj sham ko mujhe yeh akele dikhi. Toh maine isko utha ke yaha le aaya. Mujhe isse jyaada kuch nhi pata please mujhe chorr do.
Aryan: Phone number bata.
Leader: Woh private number tha.
Aryan: Tujhe pata hai tune jisko uthaya hai woh mere liye kitni important hai. Tune uske aankho mein aansu laaye hai. Aur tu kehta hai tujhe chorr du.
Leader yeh sunn ke andar tak kapp jaata hai.
Aryan sabse pahle leader ke haath ka nash kaat ta hai. Phir uski ungliyon kaat ta hai. Phir uske haath ko ukhad deta hai. Uski cheekhen nichhe tak sunayi de rahi thi aur media yeh sab TV mein bhi dikha rahi thi.
Phir uski aankhe phod deta. Phir uske gale ko kaat deta hai. Aur aakhir mein apne gun ki saari goliyan uske senee mein utaar deta hai.
Phir woh Soniya ke paas jaata hai. Uske kholta hai.
Soniya: Please mujhe chorr do. Mujhe mat maaro. Tumhe chahiye woh aapko denge. But please mujhe chorr do.
Aryan itne dino baad uski awaaz sunn aur usko itne kareeb dekh kar uske aankho se aansu nikalne lagte hai. Phir woh control karke bolta hai.
Aryan: Main tumhe bachane aaya hu. Tum puri tarah se safe ho.
Soniya jab yeh awaaz sunti hai toh usse bahot jaani pehchani lagti hai. Phir jab Soniya uski aankho mein dekhti hai to toh uske aankho se aansu nikalne lagte hai. Kyoki uski aankhe bilkul Aryan ki aankho se match hoti hai.
Soniya bhaiyaa bolte hue Aryan se lipat jaati hai.
Soniya: Aap aagye bhaiya. Maine aapko kitna miss kiyaa. Aap kaha chale gaye the apni gudiya ko chorkar. Kya aapko meri yaad bhi nhi aati thi. Kya sabki tarah aap mujhse bhi nafrat karte hai.
Aryan jaise hi yeh sunta hai. Toh usse control nhi hotaa.
Aryan: Tujhse kaise nafrat kar sakta hu gudiya. Tu toh meri jaan hai. Aur mujhe har din har pal teri yaad aati thi. Par main kya karta. Yaha mera dum ghut ta tha. Mujhe dadaji ko aakhri baar chune bhi nhi diya thaa unlogo ne. Aur phir agar main tujhse baat karta toh phir woh log tujhe bhi daant dete isiliye main waha se chala gaya.
Par tune mujhe pehchana kaise.
Soniya: Aapki aankho aur aapki awaaz se.
Aryan: Samjha nhi.
Soniya: Pahle aap yeh mask utare. Mujhe aapki shakal dekhni hai.
Aryan apna mask utarta hai.
Soniya: Pahle bataye aapka chehra kaise badal gaya.
Aryan: Woh mera ek accident hogya tha. Jiske wajah se doctors ko mera chehra thoda badalna padha. Lekin ab tum batao.
Soniya: Aapka chehra bhale hi badal jaaye par aapki awaaz aur aankhe woh bilkul pahle jaisi hi hai. Ussi ki madad se maine aapko pehchan liya. Aur aap ka chehra toh maine kal hi dekhliya tha. Jab bade papa aur didi ne aapki photo mujhe dikhayi jab didi ne aapko mall mein bhabhiyon ke saath dekha thaa.
Aryan ko yeh sunn bahot gussa aata hai. Phir bhi woh control kar.
Aryan: Achha thik hai. Chalo tumhe ghar chorr du. Aur ghar mein kisi ko yeh mat batana ke main tumse mila thaa yaa tum mujhse mili thi.
Soniya: Par ghar mein ab sab kuch thik hai. Uss ladki ne ghar aake sabko sabkuch sach sach bata diya thaa.
Aryan: Mujhe koi fark nhi padhta. Mujhe tumse milne ki ichha thi woh bhi puri hogyi. Ab tum ghar jao aur meri baat ka dhayan rakhna.
Soniya: Nhi aap mere saath chalo. Ab main aapke bina kahi bhi nhi jaungi. Agar ab aapne khudko mujhse durr kiya toh main bhi kahi chali jaungi. Bahot rehliya aapke binaa. Ab aur nhi.
Aryan: Gudiya baat ko samjho. Main kahi nhi jaa raha. Aur waise bhi ab waha mera koi nhi rehta. Ek tum ho. Tumse mil liya hogya. Waise bhi main yaha kuch kaam se aaya thaa woh hojayega main wapas chala jaunga.
Soniya: Chale jaoge. Apni gudiya ko phir chorke chale jaoge. Yeh aap mujhse pyaar karte ho. Aap bhi toh unnlogo ki tarah hi ho.
Aryan: Nhi gudiya. Main tumhe chorke kahi nhi jaunga. Par tum bhi meri baat ko samjho. Ab mujhe unnlogo se sirf nafrat hai. Aur kuch nhi.
Soniya: Iska matlab toh aap mujhse bhi nafrat karte ho. Tabhi toh mujhe bhi chorke jaarahe ho. Maanti hu aapke saath galat hua. Unlogo ne galat kiya. But maine toh kuch nhi kiya. Aur aapko pata hai aapke jaane ke baad maine unse baat karna bhi chorr diya. Main waha kisi se koi baat nhi karti.
Aryan: Nhi gudiya. Main tumse bahot pyaar karta hu. Tum aisa bilkul bhi mat socho.
Soniya: Toh phir aap mere saath ghar chale.
Aryan: Nhi gudiya main ab uss ghar mein nhi jaunga. Aur naahi uss ghar ke kisi bhi member se kisi bhi tarah ka rishta rakhunga. Agar tumhe mujhse milna hai mujhse baate karni hai toh main tumhe apne ghar ghumane le chalunga. Aur tum koi sawaal nhi karogi.
Soniya: Thik hai. Toh phir mujhe abhi le chalo. Aapne shaadi tak karli. Mujhe apni bhabhiyon se bhi milna hai. Iske liye toh aapko saza milegi.
Aryan: Achaa aur kya saza milegi.
Soniya: Woh maine abhi tak socha nhi hai. Pahle bhabhiyon se mil lu. Phir decide karungi.
Aryan: Thik hai mila dungaa. But abhi tum ghar jao. Main tumhe kal mila dungaa. Tumhare school ke baad. Aur tumhe apne ghar bhi le chalunga.
Soniya: Thik hai.
nice update
 
Top