• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Pyaar Ya Nafrat ( Completed)

Story achhi hai aur aage likhna chahiye

  • Haa

    Votes: 93 96.9%
  • Naa

    Votes: 3 3.1%

  • Total voters
    96
  • Poll closed .

Ristrcted

Now I am become Death, the destroyer of worlds
Staff member
Moderator
41,971
37,190
304
Update 13
Yash usko address send kar deta hai. Aryan thodi der mein hi Yash ke ghar aajata hai.

Darwaza Yash ki mom ne khola thaa.

Aunty: Tum Aryan hona.

Aryan: Ji Aunty.

Aunty: Aao andar aao.

Aryan andar aata hai jaha hall mein hi woh uske dad ke saath baitha thaa.

Yash: Welcome bhai. Aa baith.

Yeh hai mere dad Harish Verma. Yeh ek CBI officer hai.

Harish Uncle : Kaise ho young man.

Aryan: Achha hu uncle. Aap kaise hai.

Harish Uncle: Bas chal rahi hai. Yeh CBI ki naukri jaan khaa rahi hai.

Tabhi pichhe se awaaz aati hai toh chorr kyo nhi dete agar itne hi pareshan ho toh.

Yeh awaaz kisi aur ki nhi Yash ke mom ki thi.

Woh apne saath kuch nashta leke aarahi thii.

Yash: Yeh hai mere mom Nandini Verma.

Nandini Aunty: Kaise ho beta. Yash ne tumhare baare mein bola thaa ke kaise tumne college mein ek ladki ki izaat bachayi.

Aryan: Mein thik hu Aunty. Aur woh toh bas mera farz thaa. Aur ab woh ladki bhi humari dost hai.

Nandini Aunty: Haa Yash ne bataya thaa. Kya naam tha uska Maya naa Mina...

Tabhi Aryan jhatt se bolta hai

Aryan: Meera. Uska naam Meera hai.

Aryan ke aise jhatt se bolne se yash ko dekhta hai but kuch bolta nhi bas muskura raha hota hai.

Nandini Aunty: Haa Meera. Toh usko bhi le aate. Usse bhi mil lete humlog.

Aryan: Next time pakka aunty.

Nandini Aunty: Achha thik hai. Chalo ab nashta karlo.

Aryan: Nhi aunty maine abhi abhi lunch kiya hai. Abhi kuch nhi khaa paunga.

Nandini Aunty: Aree aise kaise tum Yash ke dost ho aur pahli baar humare ghar aaye ho. Aisi hi thodi naa chorungi. Tumhe toh khana hi padegaa. Aur main kuch nhi sunne wali.

Aryan bhi aage zid nhi karta. Kyoki usse pata thaa woh nhi manne wali.

Nashte ke baad Yash aur Aryan wahi baith ke baate karne lagte hai.

Aur Harish Uncle kuch kaam kar rahe thee aur woh tension mein bhi dikh rahe thee.
Toh Aryan puchta hai

Aryan: Kya baat hai uncle aap kuch tension mein lag rahe hai. Sab thik hai naa.

Harish Uncle: Haa sab thik hai bas ek case ko leke uljha hua hu.

Aryan: Kaisa case hai uncle.

Harish Uncle: Aree 2 din pahle Humare CM ki maut hogyi.Toh ab yeh case CBI ke under hai. Opposition walo ka muh band karne ke liye iss case ko CBI ko de diya gaya hai. Maut ke 2 din pahle inhe heart attack aaya thaa. Toh yeh hospital mein admit the. Doctors ka kehna tha inki situation stable thi aur dusre din inko discharge bhi kardiya jaata. Raat ko inki halat bhi thik thi. Par Subah jab nurse inhe dekhne aayi toh inki maut hochuki thii. Maut ka reason heart attack bataya gaya. Doctors ka kehna tha 1st heart attack ke baad unka heart kamzor hogya thaa. Isiliye 2nd attack woh seh nhi paaye.

Nurse ka kehna hai jab woh unhe dekhne aayi tab TV pe news channel chal raha tha aur unki maut hogyi thi.

Humhare paas kuch photos hai jo unke maut ke baad li gayi thi.

Aryan un photos ko dhayan se dekhta hai. Woh dekhta hai CM ki aankhe khauf se badi hogyi thi. Jaise unhone kuch bahot hi bhayank dekh liya hai. Unhone darr se bedsheet ko mutthi mein bhinch liya hai.

Aryan Harish Uncle se bolta hai Uncle kya main woh cabin ki CCTV footage dekh sakta hu. Shayad main koi madad kar saku.

Phir woh uss din ki CCTV footage dikhate hai tab jab unki maut hui thik usse thodi der pahle CCTV footage mein thoda problem hua matlab footage kuch der ke liye kapne laga but usme koi cher char nhi ki gayi thi.

Aryan unn photos ko wapas dhyaan se dekhta hai phir Uncle se bolta hai Uncle main sirf guess kar raha hu. Aap yeh dekhiye CM ki maut ke waqat woh TV dekh rahe thee.Yani uss samay TV mein kuch aisa chal raha tha jisse woh darr gaye aur unka BP high hogya hoga aur unko heart attack aagya hogaa. Aap yeh dekhiye yaha pe channel ka nam bhi dikha raha hai. Aap ek kaam kijiye aap iss news channel mein call kijiye aur puchiye ke jab CM ki maut hui tab unke channel mein kya telecast horaha thaa.

Toh Uncle jab news channel mein call kar rahe the tab main wapas CCTV footage dekhne laga aur har ek footage ko bade dhayaan se dekhne laga. Tab mujhe dikha Hospital ke backyard mein ek van aake rukhti hai. CM ke maut ke kuch waqat pahle. Lekin uss van se naa koi utarta hai aur naa hi woh koi time thaa waha pe rukhne kaa. CCTV mein uss van ke driver ka face dekh sakte the. Aryan ko uss Van pe shak hota hai.

Tab tak uncle bhi news channel mein baat karchuke thee woh bolte hai tab uss channel pe us time Yogsadhna ka program de raha thaa.

Aryan: Uncle CM Yogsadhna dekh ke itna kaise darr gaye. Aapko kuch ajeeb nhi lag raha.

Harish Uncle: Haa baat toh tumhari sahi hai. Koi bhi insaan yogsadhna dekh kar kyo daregaa.

Aryan: Aur ek baat uncle aap yeh dekhiye hospital ke backyard mein yeh van CM ke maut ke kuch waqat pahle hi aayi hai.

Harish Uncle: Haa humlogo ne bhi dekha tha but isme aisa kuch suspicious nhi dikh raha hai.

Aryan: Aapki baat sahi hai but iss samay yeh van bina kisi reason ke yaha pe kyo aayi. Jab isme se kisi ko utarna nhi thaa toh yeh van CM ke maut ke waqat hospital ke backyard mein kya kar rahi hai. Aur iss van ke driver ko dekhiye. Iski shakal se hi yeh koi criminal minded lagta hai. Mera six sense kehta hai aap iss driver ko uthaiye aapko bahot kuch mil sakta hai.

Harish Aryan ke bole hue saare points aur uske dekhne ke najariye ko mila ke dekhta hai toh woh paate hai ke Aryan ke saare doubts sahi hai.

Koi bhi yogsadhna dekhte hue kyo daregaa. CM ke maut ke waqat achanak CCTV video ka kapna. Bina wajah usi waqat hospital ke backyard mein ek van ka aana jiska driver ke criminal minded hone ka chance hona. Yeh sab koi ittefaq toh nhi.

Harish fauran apne team ko call karke batate hai aur uss driver ko uthane ke liye bolte hai. Phir Aryan ko bolte hai aur bolte hai.

Harish Uncle: Aryan tumhara dimaag sach mein bahot tez hai aur tumhara presence of mind bhi bahot kamaal ka hai. Jo chiz humlog nhi dekh aur samaj paaye woh tumne ek hi baar mein samaj liya. Bahot achhe keep it up.

Aryan: Uncle mujhe jo ajeeb laga thaa maine woh points bas aapke saamne laya thaa. Aur maine kuch bhi nhi kiya. Btw uncle CM ke death ke baad unki position ke liye next umeedvaar kaun hua hai.

Harish Uncle: Unke bhai. Kyoki wohi CM ke sabse kareeb thaa.

Aryan: Uncle pichle baar bhi yehi CM the naa aur uss waqat bhi unke bhai hi unke sabse kareeb thaa kyaa.

Harish Uncle: Haa. Tum sahi keh rahe ho.
Ek min kahi main jo soch raha hu tum wahi toh nhi kehna chah rahe ho.

Aryan: Uncle soch toh aap rahe hai main kaha kuch keh raha hu. Main toh doubts clear kar raha hu. Usse jyaada kuch nhi.

Harish Uncle: Very Intelligent. Apne doubts clear karne ke bahane case ko ek naya rukh hi de diya hai tumne. Aur ab toh mujhe bhi wahi lag raha hai jo tumhara doubt hai.

Yash jo itni der se inki baate sunn raha tha woh hairaani se ke saath Aryan ko dekh raha hota hai. Ke kaise isne uss case ko ek naya rukh de diya jiske pichhe uske dad kitne pareshan the.

Yash: Waah bhai tune toh kamaal kardiya. Kya dimaag paya hai. Jis case ke pichhe mere dad kitne pareshan the tune toh uss case ka taqtha hi palat diyaa. Hats off to you bhai.

Harish Uncle: Yash bilkul thik keh raha. Tum bahot hi intelligent aur kindly hearted insaan ho. Keep it up my boy.

Aryan: Thank You Uncle.

Achha uncle ab mujhe chalna chahiye bahot late hogya hai.

Achha Aunty chalta hu. Byee Yash.

Nandini Aunty: Aate rehna Aryan.

Aryan: Jarur Aunty.

Harish Uncle: Once again well done my boy.

Aryan: Thank you uncle.

Phir Aryan waha se apne ghar aajata hai. Usko wapas aate aate raat hogyi thii. Harish Uncle ke saath case ke baare mein discuss karte karte time ka pata hi chala.

Aryan ghar aake fresh hoke dinner karne lagta hai. Phir thodi der baad woh wapas Black Beast wala rup mein ready hoke Bookie ke diye hue address pe pahunch jaata hai.

Bookie usko dekh kar uske paas jaata hai. Aur bolta hai.

Bookie: Bhai aap abhi ladoge yaa last fight karoge.

Aryan: Last fight mein kitna time hai.

Bookie: Bhai iske baad ek aur match hoga uske baad last wala.

Aryan: Toh thik hai last wala hi ladungaa.

Bookie: Thik hai bhai. Phir woh Aryan ke naam ki entry karwata hai.

30 mins ke baad hi Aryan ka turn aajata hai.

Aryan Ring mein jaata hai toh pichle match ke baad bahot jann usse jaan gaye thee.

Unme se ek Undertaker ke bhai ka khabri bhi thaa. Toh usne Undertaker ke bhai ko phone karke Aryan ke baare mein bata diya.

Undertaker ka bhai waha aane ke liye nikal gaya.

Match start hota hai. Toh samne wala bolta hai tu wahi hai naa jisne Undertaker ko maara thaa.

Aryan: Koi shakk hai.

Saamne wala: Shakk toh hai. Phir bhi main Undertaker nhi hu. Usse toh maine bhi haraya tha. Chal aaj tujhe maar ke main Undertaker ke paas hi bhej deta hu. Phir dono waha pe ladhte rehna.

Aryan: Agar teri bakbak hogyi ho toh fight start kare.

Saamne wala: Lagta hai tujhe kuch jyaada hi jaldi hai marne ki.

Yeh bol woh Aryan ke muh pe maarta hai. Aryan thoda pichhe hogya. Phir uske seene pe laat jadd diya jisse woh durr jaake gira.

Aryan uthta hai toh woh usko wapas maarne aata hai. Toh iss baar Aryan uske waar ko block kar uske muh pe mukka mar deta hai. Jisse woh durr jaake giraa. Woh gusse muh uthta hai aur sidha Aryan ke ribs mein marta hai jisse uski ek pasli toot jaati hai. Usko dard toh hota hai but chillata nhi ulta gusse mein aake saamne wale ke gale mein ek punch karta hai phir uske pith mein puri taqat se maar ke uske spinal cord ko hi todd deta hai. Aur final punch sidha ke heart ke upar woh sidhaa upar.

Waha pe khade sab Black Beast ke naam ki hooting karne lagte hai.

Aryan waha se sidha bookie ke paas jaake usko bolta hai meri pasli tooti hai main hospital jaa raha hu kisi ko kuch mat bolna aur paise uss din ki tarah account mein de dena.

Bookie: Kya pasli toot gayi. Main bhi chalta hu aapke saath.

Aryan: Nhi yaha pe Undertaker ke bhai ke khabri hosakte hai woh agar tujhe mere saath dekh lenge toh tu musibat mein aajayega. Main sambhal lunga. Bas yeh baat kisi ko pata naa chale.

Aryan waha se sidha apni car ke paas jaake Sanjay ko call lagata hai but woh switch off aata hai.

Isiliye woh Sanjana ko lagata hai.

Aryan: Hello Maa.

Sanjana: Haa bol hogyi teri fight.

Aryan: Haa fight toh hogyi par ek problem hogyi.

Sanjana: Kya hua.

Aryan: Woh aaj opponent taqatwar tha usne mere ribs pe maare toh shayad ek pasli toot gayi hai.

Aap baba ko leke ghar ke najdeek ko hospital hai waha aajayiye. Main raaste meim hi hu. Kuch der mein aajunga.

Sanjana: Yeh kaise hosakta hai. Tumko kaise chott lag sakti hai.

Aryan: Bhale hi Super human hu. Par hun toh human hi naa

Aur usne apni puri taqat se maara thaa aur maine bhi apni body ko loose chor diya thaa isiliye pasli toot gayi.

Aap jaldi se baba ko leke pahonchiye.

Sanjana: Haa hum abhi aate hai.

Sanjana jaldi se Sanjay ko utha kar saari baat batati hai wohlog jaldi se hospital pahonch jaate hai.

Hospital ghar ke najdeek hi tha aur raat ke waqat rasta bhi clear tha isiliye woh log jaldi pahonch jaate hai. Woh log jab pahonch te hai toh dekhte hai Aryan apni car leke wahi pe hai.

CBI wale babu ka bhi kaam kar aaye ye jannab....
sala ye pasli kaise toot gaya re....
wo bhi superhuman hi hoga....tabhi aisa kuch possible hua hai...
 

Jaguaar

Well-Known Member
17,679
60,976
244
CBI wale babu ka bhi kaam kar aaye ye jannab....
sala ye pasli kaise toot gaya re....
wo bhi superhuman hi hoga....tabhi aisa kuch possible hua hai...
Aryan ne josh josh mein apni body ko kuch jyaada hi dheela chorr diya thaa jiske wajah se pasli thodi toot gayi.
 

Ristrcted

Now I am become Death, the destroyer of worlds
Staff member
Moderator
41,971
37,190
304
Update 14
Woh log jaldi se usse admit karwate hai Accident bolke. Sanjay ko doctor jaante the isiliye jyaada koi sawaal kiye bina uska treatment start hota hai.

Sanjana ne jab Aryan ko dekha toh uske aansu nikal gaye. Sanjay ne usse sambhala. Sanjana janti thi ke woh koi normal insaan nhi hai jaldi thik hojayegaa. Phir bhi usse bahot takleef horahi thii.

Thodi der baad Doctor OT ke bahar aate hai aur bolte hai.

Doctor: uske right side ke nichhe ki pasali toot gayi hai. Accident jyaada bhayanak nhi tha warna aur bhi pasliyan toot sakti thi. Humhe uska operation karna hogaa.

Sanjay: Toh aap operation kariye.

Doctor: Thik hai aap saari formality puri kar dijiye main operation ki taiyaari karta hu.

Sanjay waha se jaake saari formality puri karta hai.

Yaha Sanjana ke pass Nurse aake Aryan ka mobile,watch de deti hai.

Sanjana woh sab le leti hai. Tabhi Aryan ka mobile bajta hai usme Meera ka call aaraha thaa.

Sanjana yeh dekh kar darr jaati hai. Kyoki usse pata thaa bhale hi confusion hai but pyaar toh karti hai Aryan ko.

Phir bhi woh darte darte call receive karti hai.

Meera: Aree yaar kaha ho kabse call kar rahi hu.

Sanjana: Meera beta main Sanjana bol rahi hu.

Meera: Ooo sorry aunty mujhe laga Aryan hai. Waise hai kaha woh. Aur aapki awaaz itni ghabrayi hui kyo hai.

Sanjana: Pahle mujhe promise karo. Main tumko bataungi woh sunke tum panic nhi hogi aur meri baat manogi.

Meera: Aunty mujhe aisa kyo lag raha hai kuch hua hai. Aryan ka phone bhi aapke paas hai

Kahi Aryan ko toh kuch hua nhi hai naa.

Aunty please bataiye naa mujhe bahot ghabrahat horahi hai.

Sanjana: Pahle shant hojao aur meri baat dhyaan se suno.

Aryan abhi hospital mein hai.

Meera jaise hi sunti hai Aryan hospital mein uski aankho ke aage andhera chaa jaata hai aur aankho se aansu nikalne lagte hai. Usse naa kuch dikhayi de raha tha aur naa kuch sunayi de raha hai. Dikhayi de raha tha toh Aryan ki shakal aur sunayi de raha tha ke woh hospital mein hai.

Sanjana: Meera Meeraaaa sambhalo khud ko.

Meera hosh mein aate hue.

Meera: Rote hue kya hua hai Mere Aryan ko aaplog kaun se hospital mein ho mujhe bataiye main abhi waha aarahi hu.

Sanjana: Dekho ro mat. Uska accident hogya tha aur uske right side ek pasli bhi toot gayi hai filhal uska operation horaha hai.

Meera: Rote hue. Kaise hua accident. Aaplog kaha bataiye main abhi aaungii. Mujhse raha nhi jayegaa.

Sanjana: Dekho filhal uska operation horaha hai aur raat bhi bahot hogyi hai itni raat ko tumhara akele aana thik nhi hogaa. Tum kal subah Yash ke saath aajana. Aur accident kaise hua pata nhi. Woh bahar gaya thaa phir mujhe call karke bataya.

Meera: Woh waha hospital mein hai main yaha kaise reh sakti hu. Mujhse nhi raha jayegaa. Jab tak main usko apni aankho nhi dekhungi mujhe chainn nhi milega.

Sanjana: Main jaanti hu tum usse kitna pyaar karti ho. Aur tumko abhi kaisa lag raha hai. Par meri baat bhi samjho. Abhi yaha aake bhi kuch nhi hogaa. Doctors kal subah ke pahle usse milne nhi denge. Isiliye meri baat maano kal subah Yash ke saath aajana.

Meera: Thik hai main aapki baat maanti hu. Par aap mujhe har pal ki khabar dete rahiyega. Warna mujhe chainn nhi milegaa aur main subah hote hi aajungi.

Sanjana: Good Girl. Aur tension bilkul mat lena yaha doctors hai naa usko kuch nhi hogaa. Aur rona toh bilkul bhi nhi.
Warna kal agar Aryan ne mujhse pucha ke maine uski Meera ko rone kaise diya. Toh main kya jawaab dungi.

Meera: Ji thik hai samaj gayi. Aur aap aur uncle bhi apna dhyaan rakhiyega.

Yeh bol call cut hojata hai. Phir Meera Yash ko call lagati hai.

Yash ke mobile baj ta toh toh woh dekhta hai Meera ka call hai. Woh time dekhta hai toh 1 baje rahe hote hai. Itni raat ko Meera ka call dekh woh ghabra jaata hai.

Yash: Kya baat hai Meera itni raat ko call kiya sab thik hai naa.

Meera: Rote hue. Yash woh Aryan...Woh Aryan... Iske aage woh kuch bol nhi paati bas rone lagti hai.

Yash: Ghabra kar. Kya hua Aryan ko aur tum ro kyo rahi ho. Pahle chup hojao phir batao kya huaa.


Meera: Chup hote hue. Yash woh Aryan ka accident hogya hai aur woh hospital mein hai aue uski ek pasli bhi toot chuki hai.

Yeh usne ek saans mein bol diya aur phir rona start kardiya.

Yash: Kya Aryan ka accident hogyaa kaise kab kaha. Aur tum kaha ho.

Meera: Kab kaha kaise kuch nhi pata. Maine usse baat karne ke liye call kiya tha toh Aunty ne call receive kiya tha aur unhone bola. Aur main abhi ghar mein hu.

Yash: Tum chinta mat karo. Main abhi tumhare paas aata hu phir hum chalte hai Hospital.

Meera: Nhi aunty ne abhi aane se mana kiya hai. Unhone kaha ke abhi uska operation horaha hai aur doctors kal subah ke pahle milne bhi nhi denge. Isiliye unhone kal subah aane ko kaha hai.

Yash: Thik hai tum rona mat. Usko kuch nhi hogaa. Humlog kal subah hi chalenge uske paas.

Meera: Thik hai.

Yeh bol phone cut hojaata hai.

Idhar durr ek ghar mein ek ladki achanak bhaiiiiii bol chillake uth jaati hai.

Uss ladki awaaz sunn pure ghar wale uske kamre aajate hai.

Aurat: Kya hua beta tum aise chillai kyo.

Aadmi: Haa beta kya hua bolo.

Ladki: Maa aaj phir se mujhe waisa hi sapna aaya jaisa kuch mahine pahle aaya hai. Mera bhai kisi khatre mein hai. Maine dekha woh ek hospital mein tadap raha hai. Mujhe abhi mere bhai ke paas jaana hai. Woh takleef mein hai. Usse meri jarurat hogi.

Yeh sunn woh aurat ka dil bhi dehel jaata hai woh bhi rona chahti thi but apne aap ki mazboot kar

Aurat: Nhi beta aisa kuch nhi hai tumne bas ek bura sapna dekha hai. Aisa kuch nhi hua hogaa. Tumhara bhai bilkul thik hai.

Aurat2: Haa beta didi thik keh rahi hai tumne koi bura sapna hi dekha hai. Tum tension matlo tumhara bhai bilkul thik hogaa.

Ladki: Nhi mujhe kuch nhi malum. Mujhe mera bhai chahiye. Ab main uske bina ab aur nhi reh sakti. Pata nhi woh kaha hai kaisa hai. Mujhe uskaa saath dena chahiye thaa. Kyo maine uske upar vishwaas nhi kiya. Kyo uske upar woh ganda ilzaam lagaya. Woh mere saamne rota raha par mujhe uspe jara bhi taras nhi aaya. Yeh sab meri hi galti hai. Yeh bol woh zor zor se rone lagti hai. Uske saath waha khade sabhi ke aankho mein aansu thee. Sabhi usko chup karane ki koshish karte hai. But woh toh roye hi jaarahi thi.

Ladki: Papa aap toh itne bade aadmi hai aapke itne saare contacts hai aap kahi se bhi mujhe mera bhai laa dijiye. Warna main bhi uski tarah kahi chali jaungi. Aur phir se rone lagti hai.

Aadmi: Beta main puri koshish kar raha hu. Maine apne saare contacts laga diye par tumhare bhai ka kuch pata nhi chal raha hai.

Aadmi2: Kahi aisa toh nhi ke woh ab iss duniya.....

Aurat: Apne jawaan ko wahi rok do warna main yeh bhul jaungi ke tum mere pati ke bhai ho. Tumhari himmat kaise hui mere bete ke baare mein aisa bolne ki. Abhi ke abhi mere nazro se durr chalo isse pahle main kuch bhi galat kar baithu.

Aadmi2: Mera woh matlab nhi tha.

Ladki: Aapka jo bhi matlab thaa woh apne paas rakhiye. Agar aaj ke baad aap mere saamne bhi aaye toh mujhe kuch galat karne mein 1 min ka bhi samay nhi lagegaa. Dafaa hojayiye yaha se.

Aadmi2 gusse mein waha se nikal jaata hai.
Bahot uchalte hai naa yeh inki aisi halat karungaa ke yeh kabhi bhi kisi ko apni shakal dikhanne ke layak nhi rahengee.

Idher Meera ka rona toh rukh hi nhi raha thaa. Woh baar baar ghadi ki taraf dekh rahi thi waqt jaise tham sa gaya thaa. Uska ek ek pal kaatna mushkil horaha thaa. Woh toh aashram ke bane mandir mein hi baithi thi. Aur wahi bhagwan se prathna kiye jaa rahi thii.

Ab uske man mein apne pyaar ko leke koi bhi confusion nhi thaa.

Woh yeh jaan chuki thi ke woh Aryan se kitna pyaar karti hai.

Idhar Yash bhi tension mein idhar se udhar horaha tha. Uski aankho se bhi neend udd chuki thii.

Indono ko toh bas subah hone ka intezaar tha. Jisme abhi bhi 3 ghante baaki thee.


Idhar Hospital mein Aryan ka operation hochuka thaa.

Filhal woh behosh thaa. Bhale hi superhuman ho par behoshi ki dawa ka high dose kisi ko bhi thodi der ke liye toh behosh karegaa hi.

Doctor ne Sanjay aur Sanjana ko bata diya thaa ke woh ab thik hai. Uski recovery rate bhi bahot achhi hai. Pasli tooti jarur thi par jyaada nhi.

Ab aisa doctor ko kyo lag raha tha yeh toh Sanjay aur Sanjana jaante hi thee. Isiliye unhone kuch nhi bola. Bas Thank you Doctor hi bola.

Sanjana: Kya hum mil sakte hai.

Doctor: Abhi woh behosh hai. Hosh aane ke baad mil sakte hai.

Sanjay: Okk doctor.

Doctor waha se chale jaate hai. Sanjay aur Sanjana wahi baithe rehte hai uske hosh mein ka intezaar karte hue.

Kuch 1 ghante baad mujhe hosh toh aagya thaa mujhe khud ko hospital main dekh kar saari ghatnaaye yaad aati hai ke kya hua tha.

Main khud se hi. Kya jarurat thi hero banke body ko dheela chorne ki. Pahonch gaya naa hospital. Yeh toh achha hai formula ki wajah se jyaada kuch nhi hua. Warna pata nhi kya hotaa.

Aryan ke ghar mein Vibhishan hai :shocking:
sala wahi hoga jiske wajah se ye yaha pe aa pahucha hai....aage uska bhi pata chalega....
Meera ka to confirm ho gaya ab Aryan ka hona baaki hai...
nice one
 

Ristrcted

Now I am become Death, the destroyer of worlds
Staff member
Moderator
41,971
37,190
304
Update 15
Abhi shayad raat hai isiliye kisi ko aane nhi diya. Chalo thik hai main bhi thoda so leta hu. Phir Aryan so jaata hai.

Sanjay aur Sanjana ko toh pata chal chuka thaa usko abhi tak hosh achuka hoga. Par phir bhi woh uske paas nhi jaate usko aaram karne dete hai.

Woh dono bhi wahi thodi der so jaate hai.

Abhi unko soye hue kuch der hua thaa ke Aryan ka phone baj utha. Sanjana dekhti hai Meera ka call thaa.

Sanjana: Aree baba re main toh isko bolna hi bhul gayi. Pata nhi iss pagal ne apna kya haal karliya hoga ab tak.
Woh jaise hi phone receive karti hai waise hi

Meera: Aunty ab kaisa hai Aryan. Doctor ne kya bola. Woh thik toh hai naa. Aap kuch bol kyo nhi rahi hai.

Sanjana: Aree ruko ruko mujhe kuch bolne toh do. Dekho treatment achhe se hogyaa. Chott jyaada nhi lagi thi. Pasli tooti thi par jyaada nhi. Abhi woh bilkul thik hai. So raha hai. Aur sorry main tumhe call karna hi bhul gayi.

Meera: Thank God ab woh thik hai. Aur aapko sorry bolne ki jarurat nhi hai main samaj sakti hu. Aap bhi tension mein thi naa.

Sanjana: Tum puri raat soyi nhi naa. Aur puri raat roti rahi hona tum.

Meera: Mujhe neend kaise aasakti hai aunty. Waha Aryan hospital mein hai aur yaha main so jau. Yeh toh kabhi possible hi nhi hai. Aur mere aankho se aansu rukh hi nhi rahe thee. Maine bahot koshish ki ke rona na aaye. But Aryan ke liye tension mein baar baar rona aa hi jaaraha thaa.

Sanjana: Itna pyaar kaise kar baithi tum Aryan se.

Meera: Yeh toh mujhe bhi nhi pata kaise mujhe Aryan se itna pyaar hogya. But ab mere jivan mein sirf aur sirf Aryan hi hai. Uske bina ab main jee nhi paungi.

Sanjana: Chup pagal ladki. Aisa nhi bolte. Chalo ab thodi der so jao. Warna agar tumhari tabyat kharab hogyi toh dono ko ek hi room mein admit karwana padega.

Meera: Nhi aunty jab tak Aryan ko ek baar dekh naa lu naa mujhe neend aayegi aur naa mujhe chainn aayegaa.

Aur waise bhi ab subah hone wali hai. Thodi der mein hi Yash aajayegaa. Phir main Aryan ke paas.

Sanjana: Pagal ladki. Ek tu pagal ek yeh pagal. Dono pagal ek jaise hai. Chalo thik hai sona mat thoda rest toh karlo.

Meera: Thik hai aunty.

Phir call cut hojaata hai.

Phir Meera Yash ko phone karke Aryan ki saari details deti hai.

Woh bhi thoda tension se free hota hai.

Meera thoda rest karne ke liye apni aankhe band karti hai toh usse neend aajati hai. Aur woh baithe baithe hi so jaati hai. 6:30 baje uske mobile ka alarm bajta hai tab uski neend toot jaati hai.

Meera: Aree 06:30 baj gaye aur main so kaise gayi. Mujhe toh hospital jaana hai.

Phir Meera jaldi jaldi fresh hoke ready hoti hai. Tab tak 7 baje chuke thee.

Udher Yash bhi jaldi jaldi ready hoke hospital jaane ke liye nikalta hai toh uske mom dad puchte hai itni subah subah kaha jaa raha hai. Tab woh unko sab batata hai. Toh woh bhi hospital jaane ke liye ready hote hai. Woh apne car se jaate hai Yash apni bike leke Meera ke ghar ki taraf jaata hai.

Meera ko 7:15 baje Yash call karke bolta hai woh uske ghar ke bahar khada hai.

Meera jaldi se waha aajati hai phir woh dono bhi Hospital pahonch jaate hai jaha pahle se hi Yash ke mom dad baithe thee.

Aryan bhi neend se jag chuka thaa aur sabse baate kar raha thaa.

Idher Sanjana hospital ke canteen se sabke liye chai lene jaati hai tab dekhti hai Meera aur Yash hospital mein enter kar rahe hote hai.

Meera Sanjana ko dekh daud ke uske paas jaati hai aur puchti hai. Kaise hai ab Aryan. Usko hosh aagaya. Kaha hai woh.

Sanjana: Aree shant shant Aryan deewani shant. Usko hosh aagyaa hai. Abhi thik hai. Aur room mein iske( Yash ) mom dad aur apne baba se baate kar raha hai.

Chalo le chalti hu tumhare Aryan ke paas. Pata nhi kaise saari raat kaati hogi tumne.

Meera yeh sab sunn tension mein bhi thoda sharmaa jaati hai jise Sanjana dekh leti hai.

Sanjana: Dekho pahle toh kaise ro rahi thi aur ab kaise sharmaa rahi hai. Maine thik hi socha tha yeh ek number ki pagal hai.

Phir Sanjana unhe Aryan ke paas le chalte hai.

Meera jab Aryan ko dekhti hai toh ek pal ke liye uske aankho mein aansu aajaate hai. Jinhe Aryan bhi dekh leta hai.

Meera uske paas jaati hai Yash bhi uske saath hi thaa. Jab woh dono room mein hote hai toh Yash ke mom dad aur Sanjana bahar aajate hai kyoki room mein itne logo ka rehna thik nhi thaa.

Meera bas usko dekhe jaa rahi thi. Uski aankhe ab bhi nam thi. But kuch bol bhi nhi rahi thi.

Yash: Ab kaisa hai bhai.

Aryan: Thik hu.

Yash: Yeh sab kaise hogya bhai.

Aryan: Kuch nhi bhai bas bike se ghar jaa raha tha. Achanak raste mein mera balance bigad gaya aur accident hogya aur mere ribs wale part mein laga jisse mere pasliyon mein chott aayi thoda thoda toot bhi gaya.

Yash: Bhagwan ka shukra hai koi bada hadsa nhi hua. Warna pata nhi kya hojaata.

Chal ab tu rest kar main chalta hu. Meera tum yehi rukh jao Sanjana aunty ko bhi ghar jaane do. Woh bhi puri raat jagi hai thoda ghar jaake fresh hoke aane do. Main bahar hi hu kisi bhi chiz ki jarurat ho toh mujhe bata dena.

Meera: Thik hai.

Phir Yash room se bahar chala jaata hai. Ab room mein sirf Aryan aur Meera hi thee.

Meera ab tak chup thi woh ab bolna start karti hai.

Meera: Kaise ho.

Aryan: Bas ekdum fit. Kal shayad discharge de denge phir wapas parso se college.

Meera: Khabardaar agar tumne 1 hafte tak apne room se kadam bhi bahar rakha toh.

Aryan: Toh....

Meera: Toh.. toh main tumhare taange todd dungi.

Meera ki aankhe jo ab tak nam thi ab uske chehre pe ek muskurahat aagyi thi.

Aryan: Chalo achha hai. Agar mere taange tod dene se tumhare chehre pe hasi aati hai toh mujhe yeh bhi manzoor hai.

Aur waise tum ro kyo rahi thi.

Meera: Main kaha ro rahi thi.

Aryan: Achha toh tumhari yeh aankhe nam kyo thii.

Meera: Shayad aankho mein kuch kachra chala gaya thaa. Isiliye paani aagaya thaa. Tum mere kaun ho jo main ro dungi.

Aryan: Achha.

Meera: Ji.

Aryan: Waise tumhe pata hai kal mere accident ki real wajah kya thaa.

Meera: Tumne hi toh abhi bataya.

Aryan: Aree woh toh aadha bataya. Mere balance bigadne ki asli wajah toh kuch aur hi thaa.

Meera: Kya. Kya thi asli wajah.

Aryan: Actually kal jab main bike chala rha tha tab mein kisi ke khayalo mein ghum thaa. Aur mujhe koi hosh hi nhi thaa. Aur bike speed breaker mein lagne se balance bigad gaya aur main yaha pe aagaya.

Meera jab yeh sunti hai toh gusse se.

Meera: Kyaaa. Kaun thi woh jara mujhe naam toh batao jiske wajah se tumhari yeh halat hogyi. Main use chodungi nhii

Aryan: Khabardaar agar usse kuch kaha toh.
Woh toh mere dil mein bas chuki hai. Usse kuch karna yaa kehna matlab mere se dushmani karna.

Meera: Nam aankho se kaun hai woh.

Aryan: Woh itni khubsoorat hai. Ke jab usko pahli baar dekha tha tabhi mera dil uska hogya thaa but mujhe yeh pata hi nhi chala.

Dusri baar jab usse mila tab woh pareshani mein ro rahi thi jisse dekh kar mujhe bahot gussa aaya jinke wajah se woh royi thi. Maine unko bahot maara thaa. But tab bhi main confuse thaa.

Phir aise hi hum milne lage aur mera confusion durr hota gaya. Aur jab kal usse meri halat ka pata laga woh toh jaise pagal hi hogyi thi aur mera pura confusion durr hogya.

Meera ka chehra aisa hogya thaa ke woh ab bas ro hi degi. Phir bhi usne khud ko control kiya aur pucha

Meera: Kya naam hai uska aur woh tumse milne nhi aayi.

Aryan: Naam jaanke kya karogi. Main tumko milwa hi deta hu.

Woh uss wash room mein hai. Jao aur usse bahar le aao. Sab aagye the toh woh waha chup gayi thi.

Meera ne jab yeh sunna woh ladki usse pahle hi Aryan se milne aagayi hai aur abhi bhi hai. Toh uska dil toh jaise dhadakna hi band hogaya thaa. Woh waha pathar ke jaise khadi thi. Jaise usme koi jaan hi naa bachi ho.

Aryan usko hila ke bolta hai jao bula lao.

Meera beman se bhari kadmo ke saath washroom ke taraf jaati hai. Uske aankho se aansu beh rahe thee. Woh unhe jitna poch rahi thi. Woh utna beh rahe thee.

Meera jab washroom mein enter karti hai toh pure washroom ke deewaro mein kaanch lage hue thee. Toh woh waha kisi ko nhi paati. Sirf waha pe apna hi reflextion dikh raha thaa. Meera yeh dekh khushi se jhoom uthti hai. Matlab Aryan itni der se jis ladki ke baare mein bol raha thaa woh main hu. Matlab woh bhi mujhse pyaar karta hai.

Woh washroom se bahar aati hai bhag kar jaake lete hue Aryan ke gale lag jaati hai.

Aryan bhi usko apni baahon mein le leta hai. Toh mil liya usse ladki se jisne pahli hi mulakat mein mera dil apne paas rakh liya.

Meera: Haa but woh bilkul bhi khubsoorat nhi hai.

Aryan: khabardaar agar meri jaan ke baare mein kuch bhi kaha toh.

Meera: Main toh kahungi.

Aryan: Chalo sirf tumhe hi permission deta hu.

Meera phir achanak usse marne lagti hai.

Aryan: Aree aree maar kyo rahi ho. Ab tumhe meri jaan pasand nhi aayi toh isme meri kya galti.

Meera: Bahot maza aata hai naa tumhe mujhe rulane mein mujhe pareshan karne mein. Yeh keh ke woh rone lagti hai.

Aryan usko wapas apne seene se laga leta hai. Aur uske baalon ko sehlane lagta hai.

Meera: Tumhe pata hai jab maine tumhare accident ki news suni toh uss waqat meri kya halat thii. Mere andar toh jaise jaan hi nhi bachi thi. Main toh tabhi yaha aana chahti thi par aunty ne mana kardiya. Puri raat pata nhi kaise kaise khayal aarahe the. 1 sec ke liye bhi chain nhi aaya mujhe.
Jab yaha aayi tumhe sahi salamat dekha tab jaake dil ko sukoon mila.

Par tum tumhe toh meri koi parwah hi nhi hai. Yaha par bhi mujhe pareshan kiya mujhe rulane lage. Yeh sab usne Aryan ke seene mein sar rakh kar kaha thaa.

Aryan: Mujhe pata hai meri jaan ke tum kitna pareshan hui ho. Kitna royi ho. Aur main bhi pagal tumhe wapas rula diya. Mujhe maaf kardo I Am Sorry.

Meera: Bas uske seene mein sar rakh baithi rahi. Tumhe maafi nhi iski saja milegi. Aur saja tumhari yeh hai ke tum pure 1 hafte sirf rest karoge. No college,no work,only rest.

Agar tumne yeh saza achhe se complete ki tabhi tumhari maafi ko grant kiya jayegaa.

Aryan: Yaar yeh 1 hafta kuch jyaada nhi hai

Meera: Kuch bola tumne.

Aryan: Nhi nhi main kya bolunga. Main toh bol raha tha mujhe saza manzur hai.

Meera: Hmm Good Boy. Chalo bahot baate hogyi ab rest karo main bahar hi hu.

Aryan: Yahi baith jao naa mere paas.

Meera bhi usko chor kar jaana nhi chahti thii.
Isiliye woh wahi par baith gayi.

Aryan bas usko hi dekhe jaa raha thaa

Meera: Aise kya dekh rahe ho.

Aryan: Dekh raha hu koi kitna khubsoorat hai.

Meera yeh sunke sharma jaati hai. Aur uske seene mein muh chupaa leti hai.

Aryan bhi usko baahon mein bhar leta rehta hai.

Aryan: Meera.

Meera: Hmm.

Aryan: Mujhse kitna pyaar karti ho.

Meera: Apni jaan se bhi jyaada.

Aryan: Kabhi mujhe chorogi toh nhi.

Meera: Aakhri saans tak nhi.

Aryan: Agar koi mujhpe kisi tarah ka koi ilzaam lagaye aur main usse us waqat galat sabit naa kar pau toh kya tum uss waqat bhi mera saath dogii.

Meera: Aisa kyo bol rahe ho. Koi aisa kyo karegaa.

Aryan: Karne ko toh insaan kuch bhi kar sakta hai.

Meera: Agar kabhi bhi aisi koi situation aati hai toh main har waqat tumhare saath rahongi. Kabhi bhi tumhe avishwas nhi karungi.

Aryan aage kuch nhi bolta bas uske baalon ko sehlane lagta hai aur Meera bhi uske seene mein aankhe band kar seene mein sir rakh kar baithi thi.

Kuch der yeh log aisi hi baithe the tabhi waha Sanjana aati hai.

Sanjana: Aree yeh hospital hai. Bedroom nhi.

Sanjana ki awaaz sunte hi woh ghabra jaate hai Meera tezi se uth ke khadi hojaati hai. Aryan bhi kare use kuch samaj nhi aata.

Sanjana unki halat dekh hasti hai aur bolti hai relax relax ghabrane ki koi jarurat nhi hai maine kuch nhi dekha.

Aryan aur Meera dono sharmaane lagte hai.

Pyaar ki train confusion wale junction se aage nikal hi gayi...
nice one
 

Jaguaar

Well-Known Member
17,679
60,976
244
Aryan ke ghar mein Vibhishan hai :shocking:
sala wahi hoga jiske wajah se ye yaha pe aa pahucha hai....aage uska bhi pata chalega....
Meera ka to confirm ho gaya ab Aryan ka hona baaki hai...
nice one
Thank you
 
Top