Update 65
Vikram Rashmi Neha Meenakshi Supriya sab zinda laash ban gaye the. Pahle toh inko umeed thi Aryan kabhi na kabhi maaf kardega. Par aaj jo hua uske baad toh unki woh umeed bhi toot gayi.
Rashmi Supriya ko andar leke jaati hai.
Supriya: Bhabhi mera sab khatam hogya. Naa main achhi biwi ban paayi aur naahi achhi maa. Mujhe apni beti ka dukh dard kabhi dikha hi nhi. Maine humesha Shivam ko hi aage maana. Mujhse bahot badi galti hogyi hai bhabhi.
Rashmi: Galti toh hui hai Supriya. Par abhi bhi kuch nhi bigada hai tum unse maafi maang lo. Woh maaf kardenge. Humari tarah mat karo. Kahi derr naa hojaaye. Pahle toh humhe umeed thi Aryan humhe maaf kardega par aaj jo hua uske baad toh woh umeed bhi toot gayi.
Supriya waha se sidha Dipali ke paas bhagti hai aur uske pairon mein girr jaati hai.
Supriya: Mujhe maaf karde meri bachhi. Mujhse bahot badi galti hui hai. Maine kabhi tujhe pyaar naa diya. Mujh abhagan maa ko maaf karde meri bachhi. Deepak ne sahi kaha agar maine tujhe pyaar kiya hota toh tere saath yeh sab naa hota please mujhe maaf karde.
Dipali: Yeh aap kya kar rahi ho. Aap meri maa ho. Mujhe aapse koi shikayat nhi hai maa. Aap uth jaaiye maa.
Supriya: Uthke uske gale lagte hue. Main aajke baad kabhi bhi tujhe maa ki kami mehsoos hone nhi dungi beta. Mujhe meri galti ka aihsaas hogya hai.
Dipali: Maa mujhe aapse koi shikayat nhi hai. Mujhe bas maa ka pyaar chahiye aur kuch nhi.
Deepak: Tum yeh kya kar rahi ho beti. Yeh jarur apne bete ke liye yaha aayi hai. .
Supriya: Nhi Deepak main yaha Shivam ke liye nhi aayi hu. Aapko uske saath jo karna haj kijiye main kuch nhi bolungi. Please aap bhi mujhe maaf kardijiye. Mujhe meri galti ka aihsaas hogya hai.
Dipali: Haa papa maa ko maaf kardijiye. Aapko meri kasam.
Deepak: Jab tak Aryan isse maaf nhi karta mere paas iske liye koi maafi nhi hai.
Supriya: Main Aryan Meera Ritika sabse maafi maangugi. Yeh bol Supriya waha se chali jaati hai.
Idher Aryan Meera aur Ritika apne kamre mein aaye.
Aryan: Meera aaj bahot kuch kiya hai tumne chalo fresh hojao aur sone jaao.
Meera: Aryan main thik hu. Mujhe koi problem nhi horahi hai.
Ritika: Aapko jitna bola hi utna kare. Aapko nhi horahi hogi par mere bachhe ne aaj bahot kuch saha hai usko horahi hogi isiliye jo bola hai woh karo.
Meera: Sada sa muh banate hue. Haa haa jaati hu Bachhe ki mummy.
Phir yehlog fresh hote hai.
Aryan: Aaj humara mood kitna achha tha socha tha yeh good news innlogo ke saath bhi share karke maaf karne ki starting karunga. Par yeh innsab ke layak hi nhi hai.
Ritika: Choro innsab baato ko. Chalo Mumbai call karke sabko batate hai.
Meera: Haa chalo call lagao.
Phir Aryan Sanjana ko call lagata hai.
Sanjana: Kyaa baat hai aagayi tum teeno ko humlogo ki yaad.
Aryan: Sorry maa. Par kya kare roj ek na ek hungama hota hi rehta hai isiliye baat nhi hopaati.
Sanjana: Samjhati hu. Batao kaise ho tum aur woh dono kaha hai.
Ritika aur Meera: Hum yahi hai maa. Aur bilkul thik hai aap aur baba kaise hai.
Sanjana: Main aur tumhare baba bhi bilkul thik hai.
Aryan: Maa aaplogo ek good news deni thi.
Sanjana: Haa bolo kya good news hai
Ritika: Woh aap dadi banne wali hai.
Sanjana: Khushi se. Kyaaa sachhi. Congrats beta. Bahot bahot badhai ho. Kiske taraf se.
Ritika: Maa didi ki taraf se.
Sanjana: Congratulations Meera. Bahot bahot badhai ho. Aur woh nalayak kaha gaya.
Aryan: Yehi hu maa.
Sanjana: Nalayak itni badi khabar tu ab de raha hai.
Aryan: Maa humhe bhi abhi pata chala hai.
Sanjana: Achha thik hai. Bahot bahot badhai ho. Hum kal hi Delhi aarahe hai.
Aryan: Nahi maa. Yaha abhi khatra tala nhi hai. Humlog kal parso mein mumbai aate hai naa. Wahi sabse milke yeh khabr bhi de denge.
Sanjana: Thik hai jaldi aana hum intezaar karenge. Aur Ritika tum kab de rahi ho good news.
Ritika: Sharmaaa kee. Abhi aisa kuch socha nhi hai maa.
Sanjana: Socha nhi hai toh jaldi socho. Main apni dono bahuon ki godd bhari hui dekhna chahti hu.
Ritika sharmaa jaati hai.
Sanjana: Chalo ab main rakhti hu. Tumlog baakiyon ko bhi yeh good news de dena.
Meera: Thik hai Maa.Aaplog apna khayal rakhiyegaa.
Sanjana: Hum toh rakhenge hi. But tum apna jyaada se jyaada dhyaan rakhna. Aur tu ab apne mission pe kam aur ispe jyaada dhyaan dena. Ritika tum bhi apni didi ka pura khayal rakhna.
Teeno: Ji maaa.
Phir call cut hojata hai.
Aryan: Abhi isne aane ki khabar di hai toh mujhe daant khilwa di. Jab aayega tab toh mujhe maar hi khilwa dega.
Meera aur Ritika hasne lagti hai.
Aryan: Waise maa ne jo kaha woh karde. Unko unki dono bahuon ki godd bhari chahiye. Ek toh hogyi dusre ki bhi kar dete hai.
Ritika: Apna dimaag kam chalao. Aur maa dad ko call karo. Harwaqt badmaashi.
Aryan: Aree isme kaisi badmaashi.
Ritika: Aryannnnn.
Aryan: Achha achha lagata hu. Pyaar ka toh zamana hi nhi hai.
Phir Aryan Sangeeta ko call lagata hai.
Sangeeta: Tumlogo ko bola tha naa roj call karna.
Ritika: Sorry maaa. Par yaha roj problem hoti hai iski wajah se nhi kar paate.
Sangeeta: Mujhe pata hai meri bachhi. Yeh batao kaise ho tumlog.
Teeno: Humlog achhe hai aaplog kaise hai.
Sangeeta: Humlog bhi achhe hai.
Ritika: Maa aap dadi banne wali ho.
Sangeeta: Khushi se. Kyaaa sachhi. Congrats beta. Bahot bahot badhai ho. Kiske taraf se.
Ritika: Maa didi ki taraf se.
Sanjana: Congratulations Meera. Bahot bahot badhai ho.
Meera: Thank You Mausi.
Sangeeta: Kitne waqt hua hai Meera.
Meera: Mausi abhi bas 2 hafta hua hai.
Sangeeta: Sachh mein Meera aaj tumlogo ne bahot badi khushi di hai humhe. Bahot bahot badhai ho. Sanjana ji ko bataya yaa nhi.
Ritika: Haa maa unhe bata diya hai. Dad kaha hai maa.
Sangeeta: Woh toh so gaye hai beta kal subah uthte hi yeh khush khabri unhe dungi.
Achha ab rakhti hu. Meera apna achhe se khayal rakhna Aryan Ritika achhe se khayal rakhna iska.
Teeno: Jii.
Phir call cut hojaata hai.
Phir yeh log Yash Preeti Karan Sonal Harish Nandini inko bhi bolte hai.
Idher Ragini apne kamre mein aake sochti hai.
Ankit: Kya hua Ragini kya soch rahi ho.
Ragini: Abhi Meera ne jo kaha woh soch rahi hu.
Ankit: Kya kaha Meera ne.
Ragini: Aree Meera ne kaha naa main bhi ek maa hu.
Ankit: Haa toh.
Ragini: Aree mere bewakoof patidev. Jara dimaag lagao. Meera ka koi bachha nhi hai phir usne kyo aisa kaha main bhi ek maa hu.
Ankit: Haa baat toh sahi hai. Tum usse puchlo naa.
Ragini: Mujhe lagta hai Aryan jo aaj bol raha tha "Mujhe mere jivan ki sabse badi khushi mili hai aaj. Maine socha tha aaj innlogo ke saath woh khushi share karke inko maaf karne ki koshish karunga" woh aise hi nhi bola tha.
Ankit: Shock se. Kahi main jo soch raha hu wahi toh nhi.
Ragini: Khushi se. Haaa Ankit aap jo soch rahe ho wahi.
Ankit: Yeh toh bahot khushi ki baat hai. Isiliye Aryan itna khush tha. Chalo chalke unhe badhai dete hai.
Ragini: Haa chalo. Par pahle Soniya ke paas chalte hai.
Phir yeh log Soniya ke paas jaake usse sab batate hai woh khushi se nachhte hue Aryan ke kamre ke taraf bhagti hai.