- 17,679
- 60,574
- 244
Update 73
Jaise jaise time najdeek aaraha tha sabki tension badh rahi thi.
Ekdin Radha Aryan ko call karti hai.
Radha: Sir. Woh kuch aur bhi plan kar raha hai kya yeh nhi pata. Woh apne aadmi se bol raha tha agar Red Fort wala nhi hua toh dusra jarur hogaa.
Aryan: Ab yeh kya karne wala hai. Radha dhyaan rakhna yeh sehar yaa desh se bahar naa jaa paaye. Aur 2-3 bomb squad humare ghar aur companies mein bhi rehne ko bolo. Main koi risk nhi lena chahta.
Radha: Yes Sir.
Aryan: Radha iska phone hack ya tap kar sakti ho.
Radha: Sir koshish ki thi par isne apne phone mein bahot hi high security de rakha hai jisse main break nhi kar paarahi hu.
Aryan: Okk. Iske yaha pe jyaada aadmi ab nhi rahe. And I am damn sure yeh dusre desh se terrorists ko bulayega.
Radha: Haa sir humhe bhi yahi lagta hai.
Aryan: Main kuch sochta hu kya karna hai. Aur commandos ko bolo 2 din pahle se hi Red Fort aur baaki jagah pe jaal bicha de. Koi bhi garbar ho turant action le.
Radha: Yes Sir.
Aryan: Radha kya tum unke main base ke CCTV ko hack kar sakti ho.
Radha: Sir koshish karti hu. Mujhe jaha tak lagta hai usne waha ke CCTV ko bhi bahot security mein rakha hogaa.
Aryan: Agar woh hack hota hai toh bahot help hogaa. Tum koshish karo.
Phir call cut hojaata hai.
Aryan abb raat ko bahot kam sota tha woh jyaada se jyaada Suraj Malhotra ke upar nazar rakhta.
14th August ko Radha ne Aryan ko bataya usne base ka CCTV hack karliya hai. Ab pura base uske control mein hai.
Aryan yeh sunke bahot khush hojaata hai aur bolta hai.
Aryan: Great Job Radha. Isse humhe bahot help mil sakti hai.
Radha: Thank You.
Aryan: Main aaj raat hi uss base pe jaunga aur usko destroy karunga. Aur tum mujhe guide karnaa. Aur kal aazadi ke din desh ko iss jaise paapi se bhi aazadi milegi.
Radha: Sir kya itna bada risk lena sahi hogaa. Agar waha pe kuch problem hogyi toh.
Aryan: Risk toh lena hi hoga Radha. Aur main waha humesha ki tarah akela hi jaunga so don't worry. Tum bas mujhe achhe se guide karna.
Radha: Okk Sir.
Phir Raat ko Aryan ne Meera aur Ritika ko bataya woh aaj uss base ko tabah karne ki koshish karega.
Woh dono thoda tension mein aajati hai. Unko pata hai Aryan ko kuch nhi hogaa par unko tension hojaata hai.
Aryan: Tum dono tension kyo le rahi ho.
Meera: Humhe pata hai tumhe kuch nhi hogaa. Par humhe tension horaha hai pata nhi kyo.
Aryan: Aree meri sherniyan ho tum. Aur sherniyon ko tension ho yeh achhi baat nhi. Aur ab toh meri ek sherni ke andar bhi sher ya sherni hai. Tumlog tension matlo. Bas kal ka din uske baad sabkuch thik hojayegaa. Phir humari life mein sirf aur sirf khushiyan hi aayengi.
Dono: Promise.
Aryan: Promise. Chalo ab tension choro aur chalke dinner karte hai.
Phir yeh teeno jaake dinner karte hai apne kamre mein aajate hai.
Aryan: Room ko achhe se lock karlena.
Ritika: Agar mummyji ya didi aayi toh.
Aryan: Woh nhi aayengi. Maine unko samjha diya hai. Aur waise bhi aaj Suraj Malhotra ghar mein hai woh risk nhi lengi. Aur aaj woh ghar mein hi rahegaa kyoki uska kaam bahar ke desh se aaye aadmi karne wale hai.
Meera: Thik hai jaldi jaana aur jaldi aana.
Aryan phir unko gale laga leta hai. Thodi der baad woh dono so jaati hai tab Aryan Black Beast banke chupke bahar nikalta hai aur terrorist ke main base pe aajata hai.
Aryan jab waha jaata hai toh dekhta hai waha pe base ke bahar kuch aadmi the. Woh kuch baate kar rahe thee. Aryan chup ke unki baate sunne lagta hai.
A1: Bas aur kuch ghanto ke baad Delhi mein khoon ki holi kheli jaayegi. Boss ne kya plan banaya hai.
A2: Haa sahi kaha. Aur issbaar toh uss Black Beast ko kuch pata bhi nhi chalega.
A3: Usne humare bahot se aadmiyon ko maara hai jiske chalte aaj boss ne bahar desho se kuch aadmiyon ko bulaya hai madad ke liye.
A1: Pata nhi yeh Black Beast kaun hai kya hai kaisa dikhta hai kuch nhi pata. Bas aata hai humare aadmiyon ko maarke dhandhe barbaad kardeta hai. Kitne saalo se yeh group India pe raaj kar raha hai. Par iske wajah se sab khatam hone pe aagaya. Aur boss bhi iska kuch nhi kar paarahe hai.
A3: Chinta mat kar. Issbaar kuch ghanto ke baad jo hogaa woh pure India ko hila ke rakh degaa. Aazadi ka din wapas ghulami ke din mein badal jayega. Phir woh sab hasne lagte hai.
Aryan chupke se jaake unn mein se ek aadmi ki gardan todd deta hai. Phir baaki bachhe dono ke saamne jaake khada hojaata hai. Pahle toh woh dono Aryan ko dekh kar darr gaye. Phir himmat karke usko maarne aate hai. Aryan unn dono ko wahi khatam kardeta hai. Phir Radha ki madad se woh andar jaata hai.
Woh andar jaate waqt pure ghar ko apne chashme se scan karta hai toh dekhta hai andar kuch aadmi the. Jo Indian toh nhi lag rahe the. Aur waha pe bahot si jagah pe hidden cameras bhi lage hue the.
Aryan apni speed se unn sabhi cameras ko barbaad kardeta hai. Phir ek ek karke unn sab terrorist ko maarne lagta hai. Jo bahar se aaye the unko toh tadpa tadpa ke maarta hai. Unme se ek ko pakad ke Suraj ke plan ke baare mein puchta hai.
Aryan: Chal bata tujhe yaha pe kisne aur kyo bulaya hai.
Aadmi: Mujhe yaha pe India ke sabse bade terrorist organization ke head yaani ke boss ne bulaya hai kal ko yaha le blast karne ke liye.
Aryan: Kaha kaha blast karne wala hai woh chal sab bata.
Aadmi: Red Fort aur uske aas paas ke jagah mein, Kutubminar, jaha pe Parade hoga waha pe aur yaha ki 4 sabse jyaada bhidd wali jagah pee.
Aryan: Uska dusra plan kya hai woh bata.
Aadmi: Uske baare mein mujhe nhi pata.
Aryan usko maarne lagta hai. Phir apni gun nikalke uske dono pairon mein aur haatho mein goli maarta hai.
Aryan: Sach Sach bata uska dusra plan kya hai. Warna issbaar goli sidhe tere sir mein lagegi.
Aadmi dard aur darr se woh sab bolne lagta hai.
Aadmi: Nhi mujhe mat maaro main sab sach sach batata hu. Woh kal apne ghar ke har member ko kidnap karke unko maarne wala hai aur woh log terrorist hai yeh news failane wala hai aur yeh desh chorke bahar bhag jaane wala hai.
Aryan: Kal kab kaha aur kaise kidnap karne wala hai aur tumlogo ko kyo bulaya thaa.
Aadmi: Humhi unhe maarte aur yeh humare saathi hai humare saath dhokha kiya isiliye maardiya aisa ek video viral karte.
Aryan: Usko maarte hue. Kal kaha pe yeh sab karne wale the aur bomb kaha rakha hai yeh bata aur blast ka time bata.
Aadmi: Bomb kaha rakha hai yeh mujhe nhi pata. Haaa blast parade jab start hoga tab hoga. Phir usko ek address dete hue hum sab kal yahi pe apna kaam karte kyoki yeh border ke kareeb hai hum aasani se nikal jaate. Aur hum unko raaste se hi kidnap karke iss address pe lejaate.
Aryan: Blast kaun karegaa.
Aadmi: Blast karne ke liye waha aadmi hai.
Aryan: Tumlog unn sabke saamne kaise jaane wale the.
Aadmi: Humlog apne chehra dhakk ke jaate. Boss ko chorke sabko tadpa tadpake maarte aur waha jitni bhi ladki aur aurat hoti unke saath rape karke unko maarte. Phir boss ke saath yaha se chale jaate.
Aryan jab Rape ki baat sunta hai toh uska dimaag apna control khoo deta hai. Woh uss aadmi ko utha utha ke patak patak ke maarta hai aur aakhir mein apne gun ki saari goliya uske body mein utaar deta hai.