• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Pyaar Ya Nafrat ( Completed)

Story achhi hai aur aage likhna chahiye

  • Haa

    Votes: 93 96.9%
  • Naa

    Votes: 3 3.1%

  • Total voters
    96
  • Poll closed .

Smart killer

Romeoo Rajkumar 💘
171
646
108
Update 76
Aryan puri raat nhi soya tha isiliye bed pe let te hi usko neend aajati hai. Woh thodi der hi soya tha ke waha Soniya aajati hai.

Soniya: Bhaiyaa uthiye subah hogyi hai. Aur bua ki family bhi aayi hai. Uthiyeee.

Aryan jaldi se apni aankhe kholta hai aur uth ke baith jaata hai.

Aryan: Gudiya kitne baje hai.

Soniya: Abhi toh 7 baje hai. Chaliye utha jaaiye bhabhiyon ne nashta bana diya hai.

Aryan: Haaa. Thik hai. Jara apni Ritika bhabhi ko bhejna toh.

Soniya waha se nichhe chali jaati hai. Kuch der baad waha Ritika aati hai.

Aryan: Ritika kya report hai.

Ritika: Saari bhid bhaad wali jagah se Red Fort ke aas paas mein se kuch mile hai. Abhi bhi baaki hai.

Aryan: Thikkk haii. Nichhe kya haal hai.

Ritika: Nichhe Suraj Malhotra kuch jyaada hi khush nazar aaraha hai. Aur usne mummyji aur papaji se abhi abhi bahar ghumne chalne ki baat ki hai. Woh log toh tension mein aagaye par usne jabardasti ready karwa liya hai. Aur usne humlogo ko bhi chalne ko kaha hai. Humne waha pe mana kardiya hai.

Aryan: Good. Sab plan se hisaab se hai. Ab woh gudiya ke through bulwayega. Kyoki usse pata hai main uski baat nhi talunga.
Chalo tumlog woh jacket pehen ke ready hojao. Main bhi ekbaar team se contact karlu.

Phir Aryan jaldi se Kiran ko call lagata hai.

Kiran: Sir main abhi aapko hi call karne wali thi. Maine pahle bhi call kiya tha but Ritika Ma'am ne bola aap so gaye hai maine unhe bata diya tha.

Aryan: Haa usne mujhe bata diya hai. Aage ki kya report hai.

Kiran: Sir Kutubminar se mil chuka hai. Aur koi bhi bomb dispose nhi kiya jaa sakta. Saare bomb uss mumbai wale ki tarah hi hai. Unn sabhi bombs ko yaha se durr lejaya jaaya gaya hai.

Aryan: Okkk. Unko boldena kisi ko kuch nhi hona chahiye. Aur Red Fort ka kya hua aur jaha pe parade hone wali hai.

Kiran: Waha pe bhi khoj jaari hai. Aaplogo ka kya hua.

Aryan: Bas plan ke hisaab se nikalenge thodi der mein. Ab agar kuch bhi pata chalta hai toh mujhe sang sang msg karna. Kyoki jab tak saare bombs nhi mil jaate main kuch nhi kar paunga. Suraj Malhotra ke ek ishare se uske aadmi bombs blast karwa denge.

Kiran: Yes Sir.

Phir Aryan Krish ko call karta hai.

Aryan: Krish humlog kuch der baad yaha se niklenge. Tum apne aadmiyon ko thik se waha pe pahoncha dena aur uss address pe jaake jaal bicha do. Uske aadmiyon ki jagah apne aadmi rakhwa do.

Krish: Yes Sir. Sab ready hai. Main aur Avinash pahle se hi waha jaane ke liye nikal chuke hai. Aapka msg milte hi mere aadmi aaplogo ko kidnap karne ke liye waha pe alert hojayenge. Aur hum yaha unnlogo pe attack kardenge.

Aryan: Thik hai. Sambhal ke koi garbar nhi honi chahiye.

Krish: Yes Sir.

Phir Aryan fresh hoke nichhe aata hai toh Supriya ki family wahi pe thi.

Dipali: Good Morning bhai.

Aryan: Good Morning.

Suraj: Aryan humsab aaj ghumne ke liye jaa rahe hai. Tumlog bhi chalo. Ek achha family time spend hojayega.

Aryan: Mr. Suraj Malhotra aapko family time spend karna hai toh kare aur mujhe apni family mein include naa kare. Meri family mein bas Meera Ritika aur Gudiya hi hai.

Suraj: Soniya tum apne bhaiya ko bolo na. Hum sab jayenge aur yeh log ghar mein achha nhi lagta.

Soniya: Bhaiyaa chaliye naa. Bahot din hogye kahi ghumne nhi gaye.

Aryan: Gudiya tumhe jaana hai tum jao. Par mujhe inn shareef logo ke saath nhi jaana.

Soniya: Agar aap nhi jayenge toh main bhi nhi jaungi.

Aryan: Gudiya aisa nhi bolte. Tum jao naa.

Soniya: Nhiii. Jaha mere bhaiya bhabhi nhi jayenge waha main bhi nhi jaungi.

Ankit: Aryan chal naa. Soniya ki khatir hi chal. Dekh uska chehra kaise utar gaya hai.

Aryan: Thik hai chalta hu ab udas mat ho.

Soniya: Khushi se naachte hue uske gale lag jaati hai.

Aryan: Dheere se uske kaan mein. Kya baat hai meri Gudiya toh bahot achhi acting karti hai.

Soniya bas has deti hai.

Aryan ki haa sunke Suraj ki chehre mein ek kamini mushkan aajati hai. Woh sabki nazre bachake apne unhi aadmiyon ko msg karta hai jinhe kal Aryan ne maara tha.

Aryan yeh dekh kar man hi man hasne lagta hai. Tabhi usko Kiran ka msg aata hai ke Red Fort ka bhi mil gaya hai ab bas jaha pe Parade hona hai waha pe aur Red Fort ke aas paas ke jagah ka baaki hai.

Thodi der mein nashta kar sablog nikalne lagte hai. Sabke chehre mein ek tension thi. Sabki nazre Aryan pe hi thi. Aryan unko ishare se tension lene ko mana karta hai.

Sab log car mein baithne lagte hai. Suraj ke saath Deepak Vikram Meenakshi, Supriya aur Dipali baith gaye.

Aur Ankit ki car mein Ragini Rashmi Neha Meera. Dipali ki jidd thi ke woh Aryan ke saath baithegi isiliye Meera waha unke saath baith jaati hai Aryan ki car mein Ritika Dipali aur Soniya.

Idher Ankit ki car mein sablog tension mein thee.

Meera: Mummyji tension mat lijiye kuch nhi hoga. Aryan sab sambhal lega aur waha Aryan ke hi aadmi bhi honge.

Rashmi: Pata hai beta par ek maa hu tension toh hogi hi.

Meera: Aap sabne woh jacket pehni hai naa.

Sab haa boldeta hai.

Meera: Aaplog kidnap hone ke waqt aisa karna jaise sach mein aapka kidnap hua hai. Aur gun dekh ke dariye ga mat sab nakli hongi.

Neha: Meera bhai yeh aab kaise kar raha hai kaun hai woh.

Meera: Didi Aryan India ka bada businessman hai aur Mumbai mein humare aise bahot logo se jaan pehchan hai. Ek time Aryan ne inki madad ki thi toh bas aaj woh log hi help karne aagaye.

Neha: Achhhaa.

Idher yehlog car se jaarahe the tabhi jungle ka rasta aata hai. Jisse dekh ke Suraj ki aankho mein khushi aajati hai. Aryan ne Krish aur unn aadmiyon ko msg kardiya ke woh log location pe pahonch gaye hai.

Kuch der baad wohlog jungle ke bich mein se jaa rahe the. Tabhi Suraj car rokhta hai kyoki saamne koi aadmi behosh padha tha.

Jaise hi sab woh dekhte hai toh samaj jaate hai ab time aachuka hai.

Sablog car se utar ke uss behosh aadmi ke paas aata hai. Wohlog jaise hi unko check karne wale hote hai tabhi waha Aryan ke aadmi aajate hai aur sabko gher lete hai. Sab plan ke hisaab se darne lagte hai.

Unhone ne Aryan ko pakad ke uske sir mein gun point kardi.

Aadmi: Agar kisi ne bhi koi hosiyaari ki toh isko maar dunga. Chup chap chalo humare saath.

Sab waha se chalne lagte hai. Suraj Malhotra toh khushi se chal raha tha. Par baaki sab ke chehre mein tension thi.

Kuch der baad sablog jungle ke andar bicho bich ek band padhe Godown mein jaate hai. Jaha pahle se hi kuch aadmi guns leke khade thee. Unn sabke chehre dhake hue the. Par Aryan unme se Krish aur Avinash ko pehchan leta hai.

Woh aadmi sabko waha le jaake bandh dete hai.

Vikram: Kaun ho tumlog humhe kyo pakda hai. Kya chahiye tumlogo ko. Aur mera bhai kaha hai.

Aadmi: Humlog kaun hai humhe kya chahiye aur tera bhai kaha hai yeh pata chal jayegaa. Thoda rukh jaaa.

Bekoof sumjh raha hai palan us k hisab hai ho raha hai ghada kahin ka ab ay ga maza
 
Top