• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Pyaar Ya Nafrat ( Completed)

Story achhi hai aur aage likhna chahiye

  • Haa

    Votes: 93 96.9%
  • Naa

    Votes: 3 3.1%

  • Total voters
    96
  • Poll closed .

mashish

BHARAT
8,032
25,909
218
Update 77
Tabhi waha Suraj Malhotra haste hue aata hai jisse dekh sabhi shock hote hai. Hosakta hai unhe pahle se pata tha par phir bhi dil mein ek aas thi ke Suraj aisa nhi kar sakta par unki aas toot gayi.

Vikram: Suraj tum yaha aise.

Suraj: Haa bhaiyaaa main. Aur yeh mere hi aadmi hai. Mere hi kehne pe inhone aaplogo ko aise bandha hai. Yeh bol woh zor zor se hasne lagta hai.

Vikram: Par kyo. Hum toh tere apne hai. Phir tumne aisa kyo kiya.

Suraj: Nafrat karta hu main tumse tumhare parivaar se.

Vikram: Par kyo kisliyeee.

Suraj: Batata hu batata hu. Pahle ek jaroori kaam toh pura karlu. Yeh bol woh waha khade kuch aadmiyon ko ishara karta hai toh woh guns nikalke apne kuch saathiyon ko maar dete hai.
Jisse dekh ekbaar wapas sabhi shock hojaate hai.

Suraj: Jyaada shock hone ki jarurat nhi hai. Yeh log uss Black Beast se mile hue thee. Jisne mujhe barbaad kardiya. Mere saare dhandhe aadmi sab khatam kardiyee.

Soniya Meera aur Ritika Aryan ki taraf dekhte hai toh woh shant baitha sab sunta rehta hai.

Suraj: Tumne pucha main kyo nafrat karta hu. Toh suno. Bachpan se lekar aajtak tune mujhse sabkuch chinna hai. Pahle maa baap ka pyaar chinna phir unki attension chinn li.

Phir jab College gaye toh waha pe main jiss ladki se pyaar karta tha tune woh bhi chinn liyaa.

Vikram: Maine kab tera pyaar chinna. Main toh jaanta bhi nahi tha tu kisse pyaar karta tha. Main toh khud Rashmi se pyaar karta tha aur woh bhi mere se.

Suraj: Rashmi. Jisse main pahli nazar mein hi pyaar kar baitha thaa woh tere se pyaar karti thi. Jisko main apni biwi banana chahta tha tune usko meri bhabhi bana diya. Uss din se main tere se nafrat karne laga. Phir papa ne property mein jyaada hissa tere ko diya. Kyo kyuki tu unka layak beta thaa. Par phir unhone meri marzi ke khilaf meri shaadi iss Meenakshi se karwa di jisse maine kabhi pyaar kiya hi nhi. Main toh bas isiliye iske saath tha taaki tujhe aur tere parivaar ko tere sang rehke khatam kar saku. Uss din maine yeh kasam khayi tujhe aur tere parivaar ko barbaad kardunga.

Rashmi: Maine kabhi tumhe uss nazar se nhi dekha. Maine humesha tumhe apna bhai manna tha. Aur mujhe Vikram se pahle din hi pyaar hogya thaa.

Suraj: Isiliye toh mujhe isse nafrat hai. Isne mujhse meri har khushi chinn li. Aur jab mujhe mera pyaar nhi mila aur papa ne bhi mere saath bura kiya toh maine kasam khaayi. Uske kuch din baad maine ek aadmi ko police se bachaya tha tab mujhe pata chala woh India mein terrorists group chalata hai.

Tab mujhe tujhe khatam karne ka aur besumaar daulat paane ka raasta nazar aaya. Maine uss group ko join karliya. Aur maine jisko bachaya tha woh uss group ka head yaani ke boss thaa. Maine uske saath milke bahot se bomb blast terrorists attacks karwaye. Aur dekhte hi dekhte uske marne ke baad main ban gaya uss group ka boss.
Aur ab mere paas paisa tha power tha ab main tujhe khatam kar sakta tha. Par maine socha pahle tujhe barbaad karunga. Phir tadpa tadpa ke maarunga.

Aur tab mera pahla shikaar bana tera bada beta usko tere aur Aryan jo tum sab ki aankho ka taara tha uske khilaaf bhadkaya. Aur kismat se yeh bhadka bhi. Phir mera sabse bada shikaar bana tum sab ki aankho ka taara yaani ke Aryan Malhotra.

Mujhe pata chala mera pyaara bhatija ek ladki se pyaar kar baithaa. Maine uski puri kundli nikalwayi toh pata chala woh ek bahot hi chalu kisam ki ladki hai paiso ke liye aur apne faiydo ke liye Aryan ka use kar rahi hai. Tab maine mere sabse khash aadmi aur yaha ka present local MLA ke bete Rajesh ko uss ladki ke pichhe lagaya aur usko bola uss ladki ko apne pyaar mein phasaye.

Aur iske Birthday wale din maine tum sabko ek aisa drug dilwaya jisse tum sabka dimaag blank hojaaye aur jo tum sab dekho sunno usko hi sach maano. Aur tum sab ke saamne uss ladki ke saath jabardasti ka scene create hua jisse tum sabne dekha aur drug ke asar ke kaaran sach maana aur apne aankh ke taare se nafrat karne lage. Aage uske saath kya hua yeh toh tum sabko pata hi hoga. Tumhara pyaara beta tumhe chor ke chala gaya aur tumsab se ab tak sirf aur sirf nafrat karta aaya hai.

Jab sab ne sachai sunni toh unke aankho se aansu nikalne lagee. Aryan ki aankho mein bhi aansu thee.

Suraj: Aryan mere bhatije tere parivaar wale bekasoor hai unhone toh mere drug ke wajah se tere saath waisa kiya aur plan tha tujhe unse alag karna tujhe innlogo se nafrat karana. Aur dekh mujhe success bhi mila.

Aryan: Tune yeh achha nhi kiya. Meri kya galti thi jo tune mujhe mere parivaar se alag kiya aur main unse nafrat karta raha.

Suraj: Tere sabse badi galti yahi thi tu inka beta hai aur pure parivaar ke aankho ka taara hai.

Aryan: Bas ekbaar mere haath khol de tujhe toh main chorungaaa nhi.

Suraj bas jor jor se hasne lagta hai.

Aryan: Mummy Papa Didi Chachi Bua mujhe maaf kardee. Main bewajah aaplogo se nafrat karte aaya aur naajane kitni badtameezi ki. Please mujhe maaf karde.

Rashmi: Aryann mera bachhe. Tu bhi humhe maaf karde. Humhe bhi tere upar bharosa karna chahiye tha. Aakhir main ek maa hokar bhi tere upar bharosa nhi rakh paayi.

Aryan: Nhi Mummy. Isme aaplogo ki koi galti nhi. Yeh toh isska kiya dhara hai.

Suraj: Haaa sahi kaha bhatije. Tere ghar se nikalne ke baad toh sab kuch achha hone laga. Mera group jo ab pure India ka sabse bada terrorist organization ban gaya tha. Aur isse world ka number one banane ke liye aur iss duniya pe hukumat karne ke liye mujhe chahiye tha kuch special. Aur mujhe uska pata bhi chala Mumbai ke famous scientist Mr and Mrs Sanjay ek aisa formula bana rahe the jo agar kisi normal human ko lag jaata toh woh super human banjaata. Maine bahot koshish ki usko paane ki iske liye unke bete ko bhi maara par woh formula mere haath nhi laga aur ab toh unhone woh formula banana hi chorr diya. Par mera dhandha bahot jorose chalne laga.

Mere pyaare Vikram bhaiya tumhe pata hai main apna saara illegal dhandha Malhotra Group of Companies ke pichhe hi chalata.

Mera sabkuch bahot achha chal raha tha. Par mere jeevan mein Black Beast naam ka grahan laga. Usne mere saare dhandhe khatam kardiye. Naajaane mere kitne aadmiyon ko maara. Mere kitne plan fail kiye. Mujhe aur mere group ko puri tarah barbaad kardiya usne. Kuch time pahle mujhe pata chala yeh Black Beast toh saala Raw Agent nikla aur yeh Mumbai se Delhi sirf mujhe aur mere group ko khatam karne aaya hai. Tab maine mere kuch aadmiyon ko iske saath lagwa diye. Aur yeh wahi aadmi hai.

Soniya jab sunti hai ke Aryan ek Raw Agent hai toh woh hairat se uski taraf dekhti hai. Uski aankhe badi hogyi. Aryan usko ishare se mana karta hai.

Suraj: Maine badi koshish ki par yeh Black Beast kaun hai yeh pata nhi chal paaya. Maine tujhe barbaad karne ke liye ek aur chaal chali apni pyaari beti Soniya ka kidnap karwaya aur badle mein tujhse company ke 90% shares maange par waha bhi iss Black Beast ne sab khatam kardiya.

Soniya: Meraa kidnap aapne karwaya thaa.

Suraj: Haaa meri pyaari bachhi. Kyoki naa toh main tujhse tere iss bewakoof kamzor bhai aur iss maa se pyaar karta hu aur naahi mujhe koi parwah hai. Main toh bas isiliye saath thaa taaki company ke pichhe apna dhandha chala saku.

Meenakshi: Mujhe toh aapko apna pati kehte hue bhi sharm aati hai. Aapki wajah se mere bachhe aur main innsab ki nazro mein gidd gaye. Didi Bhaiyaa mujhe maaf karde. Mera yakeen kare mera innsab mein koi haath nhi thaa aur Aryan sabse jyaada bada paap toh tumhare saath hua hai hosake toh mujhe aur mere bachho ko maaf kardena.

Rashmi: Nhi Meenakshi isme teri koi galti nhi. Aur humare dil mein tere liye koi bairr nhi.

Aryan: Haa chachi. Mummy sahi keh rahi hai.

Suraj: Yeh family drama dekh kar toh meri aankho mein aansu aagaye. Yeh bol jor jor se hasne lagtaa hai.

Woh Black Beast apne aap ko bada hoshiyaar samajta hai. Usne mere main base pe jaake bahar se aaye terrorists ko maardiya aur uske jagah apne aadmi bheje tumlogo ko bachane ke liye. Par usse ek galti hogyi. Usne aadmiyon ke baare mein thik se pata nhi karwaya usne mere aadmiyon ko hi mere plan mein bhej diya. Aur yeh jo maare gaye yeh sab uske aadmi the. Jinke baare mein humhe pata thaa.

Par aaj sabkuch khatam hoga. Yeh parivaar khatam hoga India mein phir se tabahi aayegi aur toh aur main tumsab ko terrorist bana ke yeh desh chorke humesha ke liye chala jaungaa.

Bas kuch der mein jaise hi Parade start hogi jagah jagah bombs blast hongee. Aur unn bomb blast ka pura credit tumsab ke upar aayega. Yeh bol woh jor jor se hasne lagta hai.

AWesome update
 
11 ster fan

Lazy villain
2,961
7,007
158
Waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting
 
Jaguaar

Well-Known Member
17,679
60,808
244

Raaaattttt kooooo
 
Top