• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Pyaar Ya Nafrat ( Completed)

Story achhi hai aur aage likhna chahiye

  • Haa

    Votes: 93 96.9%
  • Naa

    Votes: 3 3.1%

  • Total voters
    96
  • Poll closed .

Black water

Vasudhaiv Kutumbakam
5,857
21,061
188
Update 81(Last Update)
Aryan apne room mein Meera aur Ritika ke saath leta hua tha.

Meera: Aryan hum yaha jiss liye aaye the woh hogya aur sabkuch thik bhi hogyaa toh ab kya socha hai.

Aryan: Wahi soch raha hu. Agar Mumbai wapas jaata hu toh yaha sabko takleef hogi. Aur agar nhi jaata toh Maa Baba phir se akele hojayenge.

Ritika: Kyo naa hum unko yehi pe rehne ke liye bole.

Aryan: Woh shayad nhi rahenge. Kyoki uss ghar se unki yaade juri hui hai.

Meera: Maante hai par waha bhi ghar rahega aur yaha pe Sameera ji ne jo ghar khareeda tha woh waha pe rahenge aur yaha Delhi ke hi research centre mein kaam bhi kar sakenge.

Aryan: Unse baat karenge kal. Phir yehlog sojaate hai. Agli Subah sablog naashta kar rahe the tabhi

Meera: Maa Baba agar hum aapko kuch bole toh aaplog maanenge.

Dono: Tumlog bolo aur hum naa maane aisa hosakta hai.

Ritika: Hum chahte hai aapdono yehi pe Delhi mein rahe humare saath humesha humesha ke liyee.

Sanjay: Yeh kaise hosakta hai beta. Hum woh ghar chorke yaha Delhi mein.

Aryan: Baba aapko woh ghar chorne ko nhi keh rahe hai woh ghar ko rehne dijiye aur aaplogo ne Sameera ji se keh ke jo ghar yaha pe liya hai usme reh lijiye. Please maa please baba.

Rashmi: Haa Sanjana ji. Aryan sahi keh raha hai.

Sanjana: Parr.

Meera Ritika: Koi par war nhi ab aaplog yehi Delhi mein rahenge aur yaha ke research centre mein kaam bhi kar payenge.

Dono: Thik hai. Ab hum aage kya bole.

Phir Sanjay aur Sanjana usi ghar mein shift hogye jaha Sameera rehti thi. Aur ab Sameera ko bhi akela nhi rehna padhta. Baakilog Mumbai wapas chale gaye.

Ab Aryan ki life mein koi problem nhi thi koi dukh dard nhi thaa. Ab uske life mein sirf aur sirf khushiyan hi thi.

Aise hi din guzarne lage aur dekhte dekhte 2 saal bitt gaya. Inn 2 saalo mein bahot kuch hua.

Meera ne 2 judwa bachho ko janam diya ek ladka Arush aur 1 ladki Arushi.

Ritika ne bhi ek ladki ko janam diya Megha.

Ragini ko bhi 1 ladka hua Aarav.

Neha ki bhi shaadi hogyi Vishal naam ke ladke se. Dono college mein hi mile the aur ek dusre se pyaar kar baithe.

Sameera ne abhi tak shaadi nhi ki. Aur abhi bhi woh AMR ko hi sambhalti hai. Infact ab woh board of directors ki member hai.

Soniya aur Dipali ab college mein thi aur dono ek saath hi jaati. Raj bhi ab college mein thaa. Ab woh thoda apni akal ka istemaal karta hai. Shivam ko uske parents ne maaf nhi kiya isiliye woh apne paap ka prayaschit karne ke liye dusre sehar chala gaya. Aur wahi rehta hai.

Rishi Kajal, Yash Preeti, Karan Sonal inki bhi shaadi hogyi hai. Aur teeno AMR company mein hi kaam karte hai. Krish aur Kiran ne bhi shaadi karli hai.

Radha Avinash Krish Kiran aur Aryan ab humesha ke liye ek team ban gaye hai.

Aryan and team ab apne naye mission underworld ko khatam karne mein lag gaye hai.

Aryan Meera aur Ritika ka pyaar waqt ke saath aur badhne lagta hai aur woh apne bachho ke saath hasi khushi apni zindagi guzarne lage.




THE END
Awesome fabulous end bhai
 

Jaguaar

Well-Known Member
17,679
60,929
244
Awesome fabulous end bhai
Thank you
 

Raj 88

Active Member
1,585
5,140
158
Update 80
Raat ko khaane ke baad sablog apne apne room mein jaane lagte hai toh Rashmi bolti hai.

Rashmi: Meera Ritika tumdono ruko kuch baat hai. Aryan tum jao.

Aryan bina kuch bole apne kamre mein chala jaata hai.

Ritika: Haa mummyji boliye kyaa baat hai.

Rashmi: Bolti hu pahle sabko bulate hai. Baat Aryan ko leke hai usse nhi bata sakte naa.

Meera: Aryan ko leke. Kya hua mummyji kya baat hai.

Rashmi: Aree batati hu. Pahle sabko bulake laate hai.

Thodi der mein sab hall mein jama the sivaay Aryan ke.

Rashmi: Aap sabko pata hai kal kya hai.

Ankit: Kya hai Mummy.

Rashmi: Tumlog bhul gaye. Meera Ritika tumhe pata hai.

Dono kuch soch ke naa bolti hai.

Rashmi: Off ho. Soniya tumhe bhi nhi pata.

Soniya: Nhi badi mummy kya hai kal.

Rashmi: Aree kal 16th August hai. Yaani Aryan ka Birthday hai. Tum sab kaise bhul gaye.

Neha: Areee haa kal toh mere bhai ka birthday hai aur kal ke din hi sabkuch badal gaya tha.

Rashmi: Aur kal ke din hi hum sab pahle jaisa kardenge. Meera Ritika tumlog mumbai se uske maa baba apne parents dost sabko bulao. Kal mere bete ko surprise denge.

Meera: Par mummyji woh apna birthday kabhi nhi manata.

Rashmi: Par ab sab kuch thik hogya hai toh woh manayegaa.

Ritika: Thik hai hum abhi call kardenge aur kal unko bula lenge.

Vikram: Main abhi sab taiyaari karta hu.

Ankit: Haa papa chaliye main aapki madad karta hu.

Deepak: Main bhi.

Phir yeh teeno apne kaam mein lag jaate hai.

Neha: Uski team ko bhi bula lena aur jisne tumlogo ki company sambhali hai kya naam tha unka haaa Sameera ji unko bhi bula lenaa.

Ritika: Thik hai.

Phir sab apne apne kamre mein jaate hai.

Ritika aur Meera ne Mumbai call kardiya tha aur unko kal pahli flight se Delhi aane ko boldiya tha. Phir unhone Sameera ko call karke aane ko bol diya thaa. Phir woh Aryan se chipak ke sogayi.

Agle din subah sablog jaldi uth gaye the kyoki aaj bahot kaam thaa. Magar kisi ne bhi Aryan ko wish nhi kiya tha infact Aryan ko khud yaad nhi thaa.

Subah jab Aryan utha toh dekhta hai ghar mein kuch jyaada hi chahal pehal hai. Woh jaldi se fresh hoke nichhe aata hai toh sablog usko pakad dinning table pe baitha dete hai.

Rashmi: Aaj tu humare haath se khayega. Aur aaj sab teri pasand ka naashta bana hai.

Aryan kuch bolne ke liye muh kholta hai ke Soniya ne khaane se uska muh band kardiya.

Soniya: Sirf khaane ke liye hi muh kholenge aap aur koi sawaal nhi.

Sablog usko khilane lagte hai. Aryan bhi chup chaap khaane lagta hai. Phir sablog Meera ko pakad lete hai.

Meera: Maine socha tha aaj meri chutti hogi.

Rashmi: Abhi kitna mahina chal raha hai.

Meera: 2.5 mahina.

Meenakshi: Toh 7 mahine baad chutti ki sochnaa. Chalo chup chaap khana start karo.

Ritika aur Ragini yeh sab dekh ke hasne lagti hai.

Meera: Khaate hue. Ekbaar aaplogo ka time aane do phir batati hu.

Thodi der mein sablogo ka nashta hojaata hai. Tabhi waha mumbai se sablog aajate hai. Sanjay, Sanjana, Sangeeta, Raghav, Yash and family, Preeti, Karan, Sonal sablog.

Aryan unsab ko ek saath dekh ke hairan hojaata hai.

Aryan: Aapsab log achanak yaha kaise.

Sanjay: Ab jab khatra khatam hogya hai toh hum aagaye. Aur humhe Meera aur Ritika kal hi call kardiya thaa.

Yash: Bhai tune humse aur kya kya chupaya hai. Tu Super human hai Raw agent hai AMR ka maalik hai Black Beast hai. Aur kya kya chupaya hai.

Aryan: Bas bas itna hi hai. Aur kya karu yaar mujburi thi.

Karan: Samajte hai yaar. Aur tune jo jo kiya hai sab pata hai humhe.

Sanjana: Tumne humari di hui shaktiyon ka sahi istemaal kiya humhe garv hai tumpar.

Aryan: Aaplog aaiye naa baithiye. Aur main apni family se milata hu. Mummy papa yeh hai Maa aur Baba mumbai mein main inhi ke saath thaa aur yeh hai Ritika aur Meera ke parents aur yeh mere dost Yash Preeti Karan Sonal aur yeh Yash ke parents.

Rashmi aur Vikram sabka swagat karte hai. Woh dono Sanjay aur Sanjana ke paas jaake.

Rashmi: Aap dono ne humare upar bahot bada upkaar kiya hai. Humari galti ki wajah se hum toh humare bete ko kho chuke the. Par aaplogo ne use sambhala aur use kya se kya bana diya. Aaplogo ka jitna dhanyawad karu uthna kam.

Sanjana: Isme aaplogo ki koi galti nhi hai. Yeh sab toh uss insaan ne kiya tha. Ab aaplog woh sab bhul jaaiye aur Aryan humara bhi beta hai humne ek bete ko bas uska haq diya hai.

Phir wohlog sab se milte hai. Meera aur Ritika bhi unse milkar bahot khush thi. Tabhi waha Rishi aur Kajal bhi aajate hai.

Dopahar ko lunch ke baad Vikram Ankit aur Deepak nikal jaate hai party ki taiyaari mein.

Ab Aryab ko ghar se bahar bhejnaa tha. Toh Meera aur Ritika ne bola.

Meera: Yash, Karan, Rishi tumlog isko le jaao aur kya karna hai pata hai.

Teeno: Haaa humhe pata hai.

Ritika: Toh isko le jao. Aur time se aajana hai.

Aryan: Aree kaha jaana hai. Aur kya horaha hai.

Ritika: Tum chup chap jao inke saath aur yeh jo jo bole sab karna warnaaaa.

Aryan: Achha achha thik hai dhamkaa kyo rahi ho. Maine kaha kuch bola. Par agar kuch boldeti toh.

Dono usko ghurr ke dekhti hai.

Aryan: Abee tumlog khade kyo ho chalo naa kyo meri band bajwa rahe ho.

Yash: Aaj pata chal gaya bade se bada super hero bhi biwi ke saamne kuch nhi.

Preeti: Kyaa bole tum.

Yash: Aree chalo naa yaar late horaha hai.

Charo waha se nikal jaate hai aur pichhe sab hasne lagte hai.

Rishi aur Karan Aryan ko leke pahle ek salon gaye waha usko completely taiyaar kiya gaya. Tab tak Yash jaake unke liye aur apne liye dress le aaya. Phir wohlog ready hote hai. Rishi ne Aryan ki aankho mein patti baandh di.

Aryan: Aree yaar yeh ho kyaa raha hai. Pahle yeh ready karwaya phir aankho mein patti bandh di.

Rishi: Humhe kuch mat bol sab bhabhiyon ne bola hai. Agar kuch bolna hai toh unse baat kar.

Aryan: Rehne de. Main aise hi thik hu.

Teeno hasne lagte hai.

Idher ghar mein Aryan ke jaane baad waha beauticians aati hai aur sabko taiyaar karne lagti hai. Kuch 3 ghante baad sab taiyaar hojaate hai. Phir sablog ek 7 star hotel mein jaate hai jaha aaj Aryan ki birthday party honi thi.

Ghar se sablog waha pahle pahonch jaate hai. Thodi der mein waha Aryan aajata hai.

Teeno ne Aryan ko ek center mein khada kardiya aur waha se side hogye.

Aryan: Abee kaha le aaye ho mujhe. Aur yeh ho kya raha hai. Itna toh pata chal gaya koi surprise hai par hai kyaa.

Meera: Aryan.

Aryan: Meera yeh kya horaha hai kaha ho yaar. Ritika kuch toh batao.

Ritika: Apne aankho se patti hatao.

Aryan jaldi se patti hatata hai. Jaise hi patti hatti hai sablog Chillake usko wish karte hai.

HAPPY BIRTHDAY ARYAN.

Aryan pahle toh shock hojaata hai phir usko aajka din yaad aata hai.

Meera aur Ritika uske paas aake uske gale lag jaati hai aur usko bolti hai.

Dono: Kaisa laga surprise my dear husband.

Aryan: Bahot achha hai. Thank You my dear wifes.

Phir Soniya aur Neha aati hai.

Soniya: Happy Birthday bhaiyaa.

Neha: Happy Birthday Bhaiii.

Aryan: Thank You Gudiya thank you Didi.

Sameera: Happy Birthday Sir.

Aryan: Thank You Sameera ji.

Phir ek ek karke sab usko wish karte hai.

Aryan: Yeh sab kya hai aur kyo hai.

Rashmi: Betaa aajke din hi sab kuch badal gaya tha aur aaj ke din hi sabkuch pahle jaisa kardiya.

Aryan: Woh toh thik hai Mummy par innsab ki kya jarurat thi.

Vikram: Bilkul jarurat thi. Chalo ab jaldi se cake kaato.

Phir Aryan Meera Ritika aur Soniya ke saath cake cut karta hai. Sabse pahle Soniya ko khilata hai phir Meera Ritika Neha. Phir ek ek karke sabko khilata hai.

Phir sab party Enjoy karke ghar wapas aate hai.

Super update bro nice
 

Ashish120

RIP
Staff member
Sectional Moderator
22,277
19,735
229
Superb update bhai...
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,005
173
Update 79
Krish: Sir phone.

Aryan: HAPPY INDEPENDENCE DAY sir.

PM: HAPPY INDEPENDENCE DAY Mr. Aryan. I am proud of you and your team. Aapne aur aapki team ne aaj bahot bada kaam kiya hai. Aaj aaplogo ne pure Delhi ko safe kiya hai. Aur dekha jaaye toh pure desh ko.

Aryan: Thank You Sir. Aur yeh humari duty thi. Sir Suraj Malhotra humari giraft mein hai. Kya karna hai.

PM: Mr. Aryan iss jaise desh drohi ki ek hi saza hai aur woh hai maut. Usko dardnaak maut de.

Aryan: Okk Sir. Waise bhi isse mera personally bhi bahot hisaab baaki hai.

PM: He is all yours Mr. Aryan.

Aryan: Thank You Sir.

Phir call cut hojaata hai.

Aryan: PM ne tujhe mere hawale kiya hai. Aur kaha tujhe tadpa tadpa ke maut du.

Suraj: Aryan mujhe maaf karde Aryan. Mujhse bahot badi galti hogyi. Main apne aap ko police ka hawale kardunga. Please mujhe chorr de. Meenakshi, Bhaiya bhabhi, Soniya meri beti tumlog bolo naa isse mujhe chorr de.

Meenakshi: Aryan agar tune mujhe kabhi sachhe dil se apna kuch maana hai toh isse zinda mat chornaa. Tujhe teri gudiya aur hone wale bachhe ki kasam.

Suraj yeh sunte hi sadme mein chala gaya. Kyoki usse ab pata chal gaya tha ab chahe kuch bhi hojaaye ab Aryan usse nhi choregaa.

Aryan: Krish mera toolbox lao. Aur innsab ko sahi salamat ghar chorne ki taiyaari karo.

Rashmi: Nhi hum tere saath hi jayenge.

Aryan: Mummy main bhi aaplogo ke saath hi jaunga. Par iski jo halat hogi woh aaplog nhi dekh payenge. Isiliye aaplog car mein jaake baithiye.

Krish Aryan ka toolbox laata hai aur sabko car mein baitha deta hai.

Aryan sabse pahle Suraj ke haathon ki aur pairon ki ungliyan kaat ta hai. Phir uske dono haath aur pairon ko todd deta hai. Phir uska main point kaat ta hai. Phir ek beer bottle todd ke uske pichhe gussa deta hai. Ab tak Suraj dard se chillata hua naa jaane kitni baar behosh hua. Jitni baar woh behosh hota Avinash usko hosh mein laata.

Phir Aryan uske shareer se uski chamdi chilne lagta hai woh dard se jalan se chillata rehta hai tadpa rehta hai.

Aryan: Avinash abhi ke abhi kholta hua tel aur angare le ke aao.

Jab tak Avinash tel aur angare leke aata hai tab tak Aryan ne uske kaan naak sab kaat diye the. Uske shareer se uske organs nikal liye the. Utne hi jitno se woh zinda reh sake.

Aryan ne woh kholte hua tel Suraj ke upar daal diya jisse woh dard se jalan se chillane laga tadapne laga uska pura shareer jal gaya tha tel uske body ke andar bhi chala gaya tha jisse uske internal parts bhi jal gaye theee.

Phir Aryan ne unn angaro ko uske muh ke andar dhaala uske haath ki hateli ko waha rakh diya. Angaro ko chair pe rakh ke uske upar baitha diya.

Suraj har attack ke baad behosh hota par marta nhi. Woh jitni baar behosh hota Avinash usko utni baar hosh mein laata. Aryan ki yeh darindagi dekh kar toh ekbaar Avinash bhi darr gaya.

Phir Aryan uske haath aur Pairon ko ukhad detaa hai.

Suraj usko nazro se bol raha tha usko maut de de. Par Aryan ne aisa kuch naa kiya ulta ab uski aankhe bhi nikal li aur uski jubaan ko kaat diya.

Aryan: Avinash iss godown ke charo taraf RDX lagao.

Avinash waise hi karta hai.

Aryan: Krish ko call karke. Krish jitne bhi aadmi maare the unko iss godown mein leke aao sabko jalayenge.

Kuch der baad Krish aur uske aadmi laasho ko laake wahi godown mein rakh dete hai.


Aryan: Chalo yaha se. Aur humare iss RDX ke range se durr jaate hi iss godown ko blast kardo.

Avinash: Yess Sir.

Phir Aryan waha se apni family ke paas aata hai. Rashmi aur Neha usko dekhte hi uske gale lag jaati hai aur rone lagti hai.

Aryan: Bas ab humare rone ke din khatam hue. Ab humare saare dukh dard khatam hue.

Meenakshi: Aryan mujhe maaf kardo. Kahi na kahi isme main bhi utni hi zimedaar hu jitna ki woh.

Aryan: Chachi. Isme aapki koi galti nhi. Aap uski biwi nhi bas meri gudiya ki maa ho.

Meenakshi rote hue uske gale lag jaati hai.

Aryan: Bas chachi chup hojaiye. Ab sab thik hai. Ab aapko hi Gudiya aur Raj ko sambhalna hai.

Meenakshi: Aryan beta meri ek baat manoge.

Aryan: Boliye naa.

Meenakshi: Mujhe yeh chachi mat bulao. Tumhare muh se infact Ankit Neha Meera Ritika Dipali ke muh se yeh chachi sabd sunke mujhe ghinn aati hai.

Aryan: Thik hai toh aapko choti mummy toh bula sakte hai naaa. Isme toh uss insaan ka naam nhi aayegaa.

Meenakshi bhi isse sehmat thi.

Supriya: Aryan mujhe bhi maaf kardo. Maine bhi humesha tumhe neecha dikhaya. Humesha tumse Shivam ko behtar dikhane ke chakar mein tumko insult kiya aur dekho woh kya nikla. Yeh keh ke woh rone lagti hai.

Aryan: Bua. Chup hojaiye. Ab aapke liye bhi mere mann mein koi bairr nhi hai. Aur fufaji aap bhi bua ko maaf karde.

Supriya bhi uske gale lag ke rone lagti hai.

Avinash: Sir sab intezaam hogyaa ab humhe nikalna chahiye.

Phir sab car mein baith ke nikal jaate hai. Sablog RDX ke range se durr jaate hi woh godown blast hojaata hai. Uske saath hi Suraj Malhotra uske aadmi aur unke saare kiye gunaah bhi bhashm hojaate hai.

Ghar pahonchte hi sablog Aryan Meera aur Ritika se formula Raw Agent inn sab pe sawaal karne lagte hai.

Aryan Meera aur Ritika unhe sabkuch batate hai. Jisse sunke ek pal toh sab shock hojaate hai.

Soniya Neha aur Dipali toh Aryan ke jhatt se chipak jaati hai aur bolti hai. Waaah humara bhai toh super human hai aur Raw Agent bhi.

Aryan: Par yeh baat kabhi kisi ko pata nhi chalni chahiye.

Phir sablog apne apne kamre mein jaake aaram karte hai. Aryan ne mumbai call karke bhi sabko bata diya Suraj Malhotra ko maardiya hai.

Sham ko sablog eksaath baith ke baate kar rahe the. Tabhi Rashmi ko kuch yaad aata hai. Par woh kuch bolti nhi aur kuch soch ke muskurane lagti hai.

Jakash update mitr
 
Top