thand ka mausam aur rajai se romance... aise samay mein agar premika bhi bulaye toh bahar na nikle.. aisa hi pyara hota hain suabh kee wo das minute kee neend... sabse bare dushman wahee lagte hain jo subah kee neend kharab karte hain..... khair yash niyam ka pakka insan hain,, dec kee thand mein bhi suabh jog kar raha hain...
***
khair exam najdeek hain toh padhai bhi kisi yudh star pe jaari rahti hain,,, beech mein aise chhote pal tension se door bhi jaroori hain,,,, lekin yeh log jab bhi kisi asi jagah ghumne jaate hain toh ankho se dekhne ke bajaye camera se dekhna shuru kar dete hain najare ko... akhir unke dil mein qaid karna chahiye na kee camero mein,,, wo moment ko enjoy karna chhor ke kisi aur wakt ke liye tashveero mein quaid karna shuru kar dete hain..
khair yeh bhawna aur jatin ko ghumna hi tha akele lekin pariwar ko saath mein tag kar liya,,, wakt bhi jaroori hain akhir shaadi se pehle jitna jyada ek doosre ko jaan le behtar hain,,, jeevan saath shuru kar ne se pehle yeh jaroori hain,,, man ka mel ho jaye,, arranged mariiage mein surprises bahut hote hain,, akhir apne partner ko khul ke jan-ne ka samay jo nahin mil pata hain,,, kuchh surprises achhe hote hain toh kuchh se samjhaute karna parta hain jo baad mein unke rishte ke liye theek na ho...
***
harleen swabhaaw se kaafi unmukt lagi,, dil ko jo pasand aaya turant hi swikar kar liya... lekin aise achanak se koi khoobshoorat ladki aa ke pyar ka izhaar kar de toh achambha jaroor hota hain,,, kya yeh sach hain aur hain toh khud pe hi rask hone lagta hain... kahir yash ne inkar kiya harleen ne swikar kiya...
lekin dono behno kee pratikriya ajeeb jaroor thee,,, akhir bhai kee gf hona se itna achambha kyun,,, shayad na jaan-ne kee wajah se aisa tha ya phir suman wakai mein prem aashakt ho chuki hain,, lekin uss ek chhan (jab wo psychiatrist ke yehan thee) ko chhor ke kabhi uske vyavhaar mein tabdili mehsoos na hui... khair unki narajgee dekhte hain akhir kis baat kee hain...
***