Pyar ka bhukha. Update 6.
Flat aa kr Ritu kitchen mai gai or jaldi se lunch bana kr le aai.
" Aa jao bachcho, khana taiyar hai." Ritu khana table pr lagati boli.
Thodi der bad jab dono nahi aaye to Ritu dekhne chali gai ki dono kya kr rahe hai.
Naina or Dhruv dono apne bed pr lete ro rahe the.
Dekh kr Ritu k aankho mai bhi aanshu aa gya lekin ab kya ho sakta tha.
" Babu aise rone se kya hoga. Rote nahi beta. Aap k mamma or papa dono aap dono se bahut pyar karte hai. Aap yaha rahoge to bhi papa yaha aa kr aap se milte rahenge. Daily aayege aap se milne k liye or fir jab bhi aap ka man kare aap call kr liya karna unko. Ab chalo mera achha beta uth jao. Khana kha lo."
" Pls mujhe akela chod dijiye. Mujhe bhukh nahi hai." Dhruv rota hua takiye mai muh chupaye bola.
" Agar aap nahi khaoge to mamma bhi nahi khayegi." Ritu Dhruv k balo ko sahlati boli.
" Aap ne kaun sa mera baat man liya jo mai maan lu. Aap didi ko khila dijiye mujhe bhukh nahi hai." Dhruv hichkiya le kr rota bola.
" Ohhh mera bachha. Rote nahi beta. Pahle rona band karo." Ritu Dhruv ko apne god mai leti boli.
" Naina beta aap badi ho. Aap to chup ho jao. Dekho betu khana nahi khane chal raha mamma ki madad karo beta." Ritu Naina ko rota dekh boli.
Ritu manane ki bahut kosis ki lekin dono nahi mane. Ant mai teeno hi rote hue wahi bina khaye hi so gye.
Subah uth kr Ritu dono ko uthati hai.
Naina uth kr bathroom chali jati hai.
Dhruv ko uthati hai Ritu.
Dhruv kuch nahi bolta or uth kr drawing room k bathroom mai chala jata hai fresh hone.
Tab tak Ritu dono ka nasta bana deti hai.
Dono taiyar ho kr nasta karte hai or apna beg le kr school chale jate hai.
Ritu bhi apne office chali jati hai.
Naina k pas ek key hota hai flat ka to school k bad Naina or Dhruv dono aa kr fresh hote hai fir Naina dono k liye khana nikalti hai jo maid ne bana rakha tha.
Dono khana kha kr fir apne bed room mai aaram karne chale jate hai.
Yu hi teen mahine gujar jate hai. Kal se Dhruv ko apne pita k pas ja kr rahna tha.
" Mamma kal babu papa k pas jaiga. Ab wahi rahega." Naina mayush ho kr bola.
" Ha beta. Hamara golu molu kl apne papa k pas jaiga. Hum logo ka man hi nahi lagega."
" Mamma, to kya hum dono akela yaha rahenge." Naina mayush ho kr boli.
" Beta hum akele kaha hai. Hum dono rahenge na." Ritu boli.
" Beta aa jao aap ka saman pack kr de."
Dhruv ek or baith gya or Ritu or Naina Dhruv ka sara saman books kapre sab do bag mai pack kr k rakh diya.
Subah teeno so kr uthe. Raat ye log ek hi kamre mai Ritu k pas sab ek sath soye the.
Ritu to sari raat roti rahi thi. Chup chup kr.
Naste k baad Ritu dono ko taiyar kr diye.
" Betu, aap k papa aaj school pahuch jaige. Aap wahi se unke sath chale jana. Or nainu aap yaha aaoge ya Papa k sath jaoge. Papa bol rahe the ki do din Naina ko bhi wahi rahne de."
" Mamma fir yaha aap akele ho jaoge." Naina boli.
" Koi baat nahi. Aap do din bad to aa hi jaoge." Ritu boli.
" Nahi mai yahi aa jaungi."
Fir Naina or Dhruv school chale gye or Ritu bhi apni taiyari mai lag gai office ki.
Dopahar mai Shyam aa kr Dhruv or Naina ko pick kr liya school se.
" Kaisa hai mera beta." Shyam Dhruv or naina ko apne aagosh mai leta bola.
" Achhe hai papa. Aap kaise hai." Naina boli.
" Mai bhi thik hu. To aaj hum pahle kahi lunch pr chalte hai. Kya kahte ho." Shyam Dhruv ko dekh kr bola.
" Lagta hai mera bacha mujh se naraj hai. Koi baat nahi. Fir hum lunch k baad shoping bhi chalte hai. Kya kahte ho Naina beta." Shyam Dhruv ko dekhta bola.
" Papa, kya hum sab sath nahi rah sakte." Dhruv sar niche kiye hue bola.
" Aaj hum ghar chal rahe hai. Waha Dadu hai Dadi hai chacha ji hai Chachi hai do didi hai or ek bhaiya bhi hai. Ye sab milenge aap ko. Aap ko bahut maja aane wala hai."
" Kya waha mamma or didu bhi honge." Dhruv masoomiyat se bola.
Shyam kuch bol hi nahi paya. Kya kahe is bache ko. Jo ab nahi ho sakta uski fikr kr raha hai.
" Boliye na papa. Kya mamma or didu bhi hogi waha."
" Nahi beta. Mamma or didu yha flat mai honge. Maine nainu ko bola tha chalne ko lekin ye Ritu k sath hi rahna chahti hai."
Bate karte hue ye log bahar hi lunch kiye or fir flat pr aa kr Shyam Dhruv ka saman le kr Dhruv k sath chala gya apne ghar.
" Aa gya mera beta. Chal under aa." Ambika Chaudhary Dhruv ko gale lagati boli.
Shyam gari se Dhruv ka saman le kr aa gya.
" Aarti, Aman dekho kaun aaya hai." Dadi niche se awaj de kr sab ko bulai.
" Kaise ho Dhruv. Mera babu, hum sab tumhara hi intjar kr rahe the." Arti Dhruv k gaal ko khichti boli.
" Beta Dhruv ko uska kamra dikha do." Arti se dadi boli.
" Dhruv aa jao. Pahle fresh ho jao fir kuch khana kha lena." Arti Dhruv ko le kr uske kamre mai aa gyi.
Kamre mai do bed lage hue the jin mai se ek pr Aman soya hua tha.
" Aman dekh kaun aaya hai." Aman ko uthati Arti boli.
Tab tak Dhruv bathroom se fresh ho kr aaya.
Aman Dhruv ko dekh kr khush ho gya.
Dono ek hi umra k the.
Aman kud kr Dhruv k pas aaya or use gale laga liya.
" Kaisa hai babu. Mai tumhare liye kafi sare video game rakha hai. Aa baith dikhata hu." Aman Dhruv ko hath pakad kr apne bed pr baitha kr bola.
" Pahle dono niche chalo kuch khana kha lo. Dhruv k aate hi tu suru ho gya apna game le kr." Arti Aman ko gussa karti boli.
Fir Arti dono ko le kr dinning table pr aai or kitchen se khana le kr di.
" Aaj mai apne babu ko apne hath se khilaungi." Dadi Dhruv k bal sahlati uske pas baith kr boli.
Fir dadi Dhruv ko apne hath se khana khilai.
Khana khane k bad Aman Dhruv ko le kr apne room mai khelne chala gya.
Sham mai dada ji Dhruv k chacha or chachi or Dhruv k papa sabhi aa gye apne office se.
Dhruv ko dekh kr sab bahut khush hue.
Sab sath mai baith kr khana khaye.
" Dhruv aaj raat tum mere sath so jana." Khana kha kr papa Dhruv se bole.
Shyam Dhruv ko le kr apne sath chale gye sone.
Yu hi Dhruv kabhi yaha papa k sath to kabhi maa k pas raha. Use sab bahut pyar karte the lekin wo jo pyar dhundh raha tha wo use nashib nahi hua.
Jis karan wo chirchira ho gya.
Kisi baat ka jabab nahi deta tha. Agar deta bhi to ulta hi jabab deta.
After few years…..
Aaj Dhruv ka 10th result aane wala tha.
Dhruv apne papa k pas aaya tha abhi. Yahi rah raha tha.
Subah uth kr Dhruv apne dadi k sath park aaya tha.
" Beta aaj tumhara result aane wala hai. Aage kya socha hai." Dadi park mai tahalti hui boli.
" Aage padhne k liye mai nanu k pas jaunga. Waha mera chote mama se baat ho gai hai. Wo wahi mera admission karwa denge."
" Q yaha bhi to achhe collage hai to fir yaha q nahi. Hum sab ko chod kr waha jaiga."
" Ab yaha rahne ka man nahi karta dadi. Udhar maa idhar papa dono ko dekhta hu na to mujhe bahut gussa aata hai. Pta nahi q dono alag ho gye. Aaj tak dono akele rah rahe hai agar aise hi sath hi rah lete to unka kya chala jata. Kam se kam mai yu do hisso mai batata to nahi. Mera bachpan. Kabhi koi school mai padeshani hoti to aa kr kise kahta kisi ko bhi hamare liye samay nahi tha. Sab apne mai mast hai. To kya karu yaha rah kr." Dhruv k aankho mai aanshu aa gye bolte bolte.
" Yaha hum sab bhi to hai. Tumhare dada, chacha, chachi, tumhari teen pyari bahan jo apne jaan se jyada tumhe chahti hai. Ek bhai hai Aman. Fir q hum sab ko chod kr jana chahta hai. Kya hum sab pyar nahi karte tumhe." Dadi roti hui boli. Dadi park mai ek bench pr baithti boli.
" Bahut pyar karti ho aap sab mujhe. Sayad mai jinda bhi aap sab k pyar k karan hi hu. Aap sab nahi hote to pta nahi mera kya hota. Lekin dadi mai yaha ab nahi rahna chahta. Mai ubb gya hu yaha. Or indono ko dekh kr mujhe gussa aane lagta hai. Isi liye maine faisla kiya hai ki mai Nanu k pas chala jau." Dhruv dadi k pair k pas niche baithata bola.
" Hum sab ko chod kr mat ja kahi. Tumhare sahare hi to hum jinda hai nahi to tumhare baap ka to pta hai ki use kisi se koi matlab nahi hai. Apne business k siwa." Dadi Dhruv k sar ko apne god mai le kr sahlati boli.
" dadi mai call karta rahunga na daily or aap jab bhi kahenge mai usi din aap k pas aa jaunga."
" Mujhe to tu mana lega lekin Arti Anuradha or Naina ko kaise manayega." Dadi khadi hoti boli.
" Unhe bhi mana hi lunga." Dhruv dadi k sath park se bahar aata bola.
Yu hi bate karte dono ghar aa gye.
Ghar aa kr dono sofe pr baith gye.
" Anuradha, Dhruv ko juice de beta."
Tab tak chachi Dhruv k liye juice le kr aa gyi.
" Le beta juice pi."
" Bhai aaj tera result aa raha hai. To bta aage kaha admission lega." Arti Dhruv k pas baithati boli.
" Mai to kahti hu tu bhi hamare sath medical mai hi le lo. Naina ka bhi yahi kahna hai." Anuradha aa kr dusre sofe pr baithati boli.
" Bilkul nahi. Mai or Dhruv dono engineering karenge. Are sab doctor ban jaiga to koi marij bhi to hona chahiye." Aman sidhi se utarta bola.
" Are koi use bhi bolne do bhai." Dada ji paper le kr aate hue bole.
" Didi log, pahle result aane do. Pas out hone do fir sochenge. Abhi kya kahu. Kahi fail ho gya to." Dhruv apne kamre ki or jata bola.
" Bada aaya fail hone wala." Bacho aa jao nasta kr lo." Chachi nasta lagati boli.
Sab aa kr baith gye naste k table pr.
" Dhruv kaha hai. Abhi aaya nahi." Shyam bola.
" Aa raha hai. Fresh hone gya hai." Arti boli.
" Aap log kijiye. Fir office bhi jana hai." Karuna chachi boli.
Kaushal or Shyam apna nasta suru kr diye. Tab tak Dhruv bhi aa gya to fir sare bache bhi khana suru kr diye.
" Dhruv or Aman aaj aap dono ka result aane wala hai to aage kya socha hai." Kaushal bole.
" Papa hum engineering karenge." Aman bola.
" Huum, bahut badhiya. To kaha admission lene wale ho." Shyam bole.
" Pahle result aa jai fir sochta hu kaha admission lena hai. Waise mai Delhi jane ka soch raha hu." Dhruv breakfast karta bola.
Khate khate sab k hath ruk gye.
Shyam Choudhary k to khasi hi aa gai.
" Ye kya baat hui. Yaha kya achhe collage nahi hai jo tum delhi jaoge." Dada ji bole.
" Bilkul hai. Lekin yaha mai bor ho gya hai. Waha nanu kai bar bol chuke hai aane k liye to mai soch raha tha collage wahi se kr lu."
" Bilkul nahi. Tum kahi nahi jaoge. Chupchap yaha admission le lo. Kahi Delhi jane ki jarurat nahi hai." Shyam gusse mai bole.
" Q, Mai Delhi q nahi ja sakta."
" Qki mai kah raha hu. Ab koi bahash nahi."
" Mai kuch din baad jata delhi lekin ab aaj hi jaunga." Dhruv uthata hua bola.
Shyam Ritu ko call karte hai.
" Hallo, Dhruv se tumhari koi baat hui hai kya. Wo delhi ja kr padhai karna chahta hai." Idhar se Shyam bole.
" ……"
" To fir wo q jidd kiye baitha hai. Use samjhao yahi rah kr padhai kare."
"........."
" Naina ko bolo ek bar baat kare is se. Dhruv Naina ki baat nahi talega." Shyam mobile rakhta bola.
Idhar Dhruv apne kamre mai chala gya gusse mai.
" Ye kya bachpana hai Dhruv. Tum hum sab ko chod kr delhi jaoge." Anuradha kamre mai aati boli.
" Didi, mera yaha man nahi lagta hai. In dono ko dekhta hu to mujhe gussa aata hai. Kabhi mere muh se kuch galat na nikal jai humesha is baat ka dar Laga rahta hai. Mai ab yaha nahi rah paunga."
" Is mai hum sab ka kya kashur hai babu." Arti di Dhruv k pas baithati boli.
" Didi mai aap sab se daily baat karunga. Aap log jab bhi bulaoge mai aa jaunga."
" Nahi. Mat ja na hum sab ko chod kr. Tumhare bina kaise rahenge hum sab." Arti Dhruv ko apne agosha mai le kr boli.
Tabhi Dhruv ka mobile pr call aaya.
" Hello…."
" Ye kya sun rahi hu mai. Tum delhi jana chahte ho." Udhar se Ritu boli.
" Ji aap ne sahi suna hai. Ab aage ki padhai wahi karunga."
" Nahi tum yahi rahoge. Yaha bhi bahut achhe collage hai. Delhi jane ki koi jarurat nahi."
" Maine aap se pucha nahi hai balki bataya hai. Mujhe kisi k ijajat ki jarurat nahi hai."
" Dhruv… kaise baat kr rahe ho tum. Kya yahi sikhaya hai maine tumhe ya bhul gye ho kaise baat ki jati hai apne se bado se." Ritu gusse mai boli.
" Aap ne to bahut kuch sikhaya hai hume. Ye bhi aap ne hi sikhaya hai ki kisi ki parwah mat karo. Jo khud ka man kre wahi karo chahe kitni hi jindgiya barbad ho jai. Kitne ki log rote bilakhte rahe."
" Maine sikhaya hai. Pagal ho gye ho kya tum……"
Baat puri hone se pahle Dhruv call cut kr diya.
" Kya kaha mamma Dhruv ne. " Naina Ritu se boli.
" Pagal ho gya hai wo. Chalo chal kr hi baat karte hai."
Fir dono jaldi se Dhruv k pas uske dada k ghar ko nikal liye.
" Dhruv kaha hai." Ritu Chachi se boli.
" Wo apne kamre mai hai. Samjhao use delhi jane ka rat lagaye hue hai wo." Chachi maa se boli.
" Ha abhi mobile pr baat hui thi. Dekhti hu baat kr k."
Fir Ritu or Naina Dhruv k kamre mai aa gye. Jaha pahle se hi Arti Anuradha or Aman baithe Dhruv ko yahi rahne ko kah rahe the.
" Call q kat diya tum ne." Ritu kamre mai ghuste hi Dhruv se boli.
" Faltu bate sun kr kya karna tha. Isi liye call cut kr di."
" Mai faltu baat kr rahi hu. Q jana chahta hai delhi."
" Man kiya mera delhi jane ka."
" Babu hum sab ko chod kr tu chala jaiga." Naina aage aa kr boli.
" Nahi didu. Aap sab bahne mere dil mai ho. Mai daily aap sab se baat karta rahunga."
" Kya ye tumhara aakhri faisla hai." Naina dabdabai aankho se Dhruv ko dekhte boli.
" Ha didu. Mai ab yaha nahi rahna chahta. Ye 3 mahine yaha 3 mahine waha….."
" Tumhe dikkat hai to jaha dil.kare waha rah lo lekin delhi nahi jaoge Tum." Ritu Dhruv ki baat kat kr bola.
" Sorry, mai delhi hi jaunga."
"Waha rahoge kaha." Naina boli.
" Q waha nanu hai. Chote mama hai mami hai. Sab to hai. Wahi rahunga."
" Nahi waha koi dekhne wala hoga nahi. Tu waha awaragardi karta rahega. Yaha bhi school se kitne sikayate aane lagi hai tumhari." Ritu boli.
" Wo to yaha rahunga to ab jyada aayegi. Delhi jaunga to nahi aayegi."
" Dekh bahas mat kr tu delhi nahi jaiga ye hamara aakhri faisla hai."
" Ye aap dono k talak ka faisla nahi hai jo mai maan lu. Ye mere life ka……" Dhruv abhi pura bol bhi nahi paya tha ki ek thappar laga uske gal pr piche se. Fir dusra thappar.
Tab tak awaj sun kr chachi bhi aa gai to unhone bacha liya use.
" Ye kya kr rahe ho tum dono. Mar doge kya bache ko." Chachi piche se aati boli.
Jab Dhruv bol raha tha tabhi uske papa bhi darwaje pr aa gye the.
Dhruv k aisa bolte hi aa kr ek thappar wo laga diye or ek thappar Ritu bhi laga di tab tak.
Ritu rote hue waha se nikal kr chali gai niche.
Shyam bhi uske bad gusse mai waha se nikal kr niche aa gye.
Ab us kamre mai chachi or sare bhai bahan the.
" Thik hai beta. Tu delhi jana chahta hai na. To mai baat karti hu sab se. Tu bas ab chup rahna koi ulti sidhi baat mat bolna dono ko. Chalo bacho tum log bhi niche aa jao. Dhruv ko abhi akela chod do." Chachi bol kr sab k sath niche aa gai.
" Q kr raha hai tu aisa babu." Naina jo nahi gai thi wo sab k jane k bad boli.
" Mujhe in dono se nafrat hai. Mai inke sath nahi rahna chahta bas."
" Thik hai." Fir Naina bhi niche chali gai.
" Kya karna hai ab. Wo jid kiye baitha hai to jane de waha. Waise bhi waha Ritu k papa or bhai bhabi to hai hi dekh bhal k liye." Dadi boli.
" Lekin ise achanak ye ho kya gya hai." Ritu boli. " Kaise bolne laga hai. Kuch bhi bol deta hai."
" Arti beta dekh result aaya ya nahi." Dadu bole.
Arti or Naina laptop le kr Aman or Dhruv ka result dekhne lage.
" Ritu beta tum apne bhai se baat karo. Bolo usko ki Dhruv delhi aa raha hai padhai karne. Uska sara intjam kr de." Dadu fir bole.