Update no :- 148
Kaya ankho me ansu or dil me apaar dard liye hue pani me hi ek or jane lagi , wo talab kahane ko hi talab tha , lekin usne jungle ka kafi area cover kiya hua tha.
Kaya k ansu thamne ka naam hi nj ke rahe the , bhale hi use apne karan se apni apna ek premika ki tarah wala prem ka abhas na ho parantu fir bhi kaya ka hriday karan se vichoh ki pida m jal raha tha.
Jate jate ek baar usne mudke apne sakha ki or dekha is ummid m ki shayad uska sakha uske ansu dekh pighal jaye or use apne hriday se laga bol de ki sakhi tere sakha ne tujhe maaf kiya.
Parantu vidambana to dekho sidhe or komal dil k karan ko bhi krodh jese avgun ne nishthur bana dala tha.
Isliye hi to nark k tin dwar kaam krodh or lobh me se sabse bhayanak or sabse ashmay bhav krodh ko hi mana jata h.
Kyunki krodh vo shakti h jise yadi sahi se upyog me liya jaye to wo humari shakti banta h ni to vinash ka kaaran.
Aaj usi krodh k kaaran karan itna nishthur ho chuka tha ki usne kaya ko ek baar mudker bhi na dekha.
Kaya ne jab ye dekha to uska dil tut gaya or wo ansuo ko or tezi se chalkate waha se kafi dur chali gayi.
Or is baat ka karan ko ahasas hua to usne piche mud ker dekha to kaya uski ankho se ojhal ho chuki thi.
Esa ni tha karan ko taklif ni ho rahi thi , ansu karan k ankho me bhi the , per krodh or jyoti se dhoka hone ka bhay k kaaran karan use mahasus ni ker pa raha tha.
Karan ka man bahut ashant ho chuka tha , or use apne man ko shant kerne ka keval ek hi rasta dikha wo tha mahadev ki puja.
Snan to ho hi chuka tha karan ka or hua bhi esa jise wo jindgi bhar na bhule , karan abhi sab hui ghatnao ka chintan kerte hue , talab se bahar nikalta h or apne bag se towel nikalkar khud ko ache se poch kapde badalta h .
Fir wahi talab k kinare ek saf jagh pe ek kapda bicha ker ek chota sa shivling jo karan apne sath laya tha , use waha rakhta h or fir talab k jal se hi shivling p jal arpan ker mahadev ki stuti ki or dhyan me beth gaya.
Parantu aaj to karan ka ashant man dhyan lagane se bhi sthir na ho raha tha , ese me karan k pas ek hi rasta shesh rah gaya tha , jiski madad se uska ashant man chutkiyo m shant ho jata.
Ek hi vyakti thi jo is samay karan ko shant ker sakti or wo thi karan ki bahan , ya yu kaho uski parchai , uski atma yani ki uski pyari bahan jyoti ,jiske bina wo adhura tha.
Karan ko jyoti ki is samay bahut yaad aarahi thi, aaj use apni gudiya ki bahut kami mahasus ho rahi thi.
Lekin kahate h na jaha prem ho waha apno ka dard mahasoos kerne k liye uska pas hona jaruri ni hota.
Or yaha to baat hi uski ho rahi thi, jiska pran , uski hriday sabkuch karan hi tha , yani ki jyoti ki, jisne itni doori hote hue bhi bina kisi shakti k mahasoos ker liya ki uske bhai ko uski abhi jarurat h.
Abhi karan dhyan avastha me ashant betha jyoti ko yaad ker raha tha ki tabhi uske man me uski gudiya ki pyaarmayi mithi aawaz gunji.
Bhaiiiiiii
Karan ne jese hi apni gudiya ki aawaz suni to usi shan karan apni sari kasht or pida bhul gaya.
Karan k muh se bhi bas itna hi nikla :- gudiya or uske ankho se bhi ansu nikle , jisme khushi or dukh dono k mishrit bhav the.
Kuch samay tak dono kuch ni bole , fir karan ne bolna start kiya .
Karan :- kesi h meri gudiya , tu thik to h na,
Jyoti :- m to thik hu bhaiya , per aapse naraj bhi.
Karan :- wo kyu bhala.
Jyoti bacho jese shikayat kerte hue :- aapne nikale samay wada kiya tha na ki aap mujhse roj baat karoge , lekin aapne kal baat hi ni ki , kya aapko apni gudiya ki yaad ni aayi.
Karan halke se haste hue :- pagli yaad to use kiya jata h na , jise hum bhul jate h , per tu to meri jaan h gudiya , mere tan se nikli har swash tak se keval tera hi naam nikalta h meri gudiya .
(Dard bhari or dhimi aawaz me ) or tu hi to ekloti h meri jan , jispe ye karan ankh band ker bharosa ker sakta h , verna baki sab rishto se aj bharosa uth hi chuka h.
Karan ne bhale hi ye baat dhire boli lekin uski judwa uski jyoti ne uski ye baat sun li or turant samjh gayi kki uska bhai kash or duvidha me h or uska man ashant h.
Jyoti :- mere pyare bhaiya , kya hua aap itne udaas kyu ho.
Karan apne dukh ko chupate hue :- udaas or m kaha meri jaan m to bilkul thik hu or apni gudiya se baat hone k baad bahut khush bhi.
Jyoti karan pe thoda jor dete hue :- bhaiiiiiiii, aap baar bar kyu bhul jate ho ki aap chahe kitni bhi koshis ker lo aap jhut ni bol sakte or apni is gudiya se to bilkul ni.
Chaliye bataiye kya baat h , ya m abhi aapko apni kasam du.
Karan :- are are ni ni kasam dene ki jarurat ni h , m batata hu tumhe.
Fir karan kal raat or aaj hui sari ghatna k baare m bina kuch chupaye jyoti ko bata deta h or uske chahre pe wapas krodh dikhayi dene laga.
Karan ki puri baat badi hi dhyan se suni kaya ki kahani suni jyoti ki ankho se bhi nir bahane lage.
Or fir ek bar dono or shanti rahi , fir jyoti Ne bolna start kiya.
Jyoti :- bhai ek baat bolu ager aap bura na mano too.
Karan :- meri jaan , bhala tere bhai ne kabhi esa kiya h jo aaj manega , jo man me ho khul ker bol.
Jyoti :- bhai m samjh sakti hu aapki feelings ko ya yu kaho aapko aapse jyada samjhti hu m .
Isliye bol rahi hu bhai aaj jo aapne kiya wo bahut galat kiya .
Karan jyoti ki is baat se chonk ker bola :- ye tu kya bol rahi h mane jo kiya wo galat kese , usne dhoka kiya h mere sath , ye jante hue ki bhi mere dil me sirf tum ho fir bhi usne....
Jyoti bich me tokte hue :- bhaiya ek baar apne man ko shant kijiye or dhyan se meri baat suniye or ager uske baad jo aapko sahi lage wo kijiyega , aapki gudiya humesha ki tarah aapke sath hi rahegi.
Karan :- hmm.
Jyoti :- bhai m ye ni kahati ki aap pure tarike se galat ho ya kaya pure tarike se sahi , lekin m ye jarur kahungi ki aaj jo bhi hua usme n galti aapki h na kaya ki.
Aap hi sochiye bhai , wo bechari ne itni si umer me kya ni jhela , pahale to uske janm dene wale maa baap ne usko marne ko chod diya , fir jin maa baap ne use pala wo bhi us draculla k hatho mare gaye , bechari ne apni jindagi me kasht dukh or akelapan k siwa kuch mila hi kaha.
Or bhai akelapan or apno se dur ho e ka dukh humse jyada or kon samjh sakta h.
(Nam ankho or thodi ruansi aawaz)Hum dono to fir bhi humesha ek dusre k sukh dukh k sathi ki tarah ek dusre k liye mojud the bhai , per us bechari k pass to kon tha , jo usko sahara deta , use apnapan mahasus karwata.
Or ese me jab aap uski jindagi me aaye or use apni saheli banaya to wo bechari aapko dil se apna sab kuch man bethi or usi apnepan or prem k vashibhoot ho wo esa ker bethi.
Bhai m ek ladki hone k naate kaya ki manodasha ko ache se samjh sakti hu . Wo bas aapse kuch nj chahati sivay prem k , jiske liye wo barso tarsi h , use bas aapka yani apne sakha ka keval thoda sa sneh or prem hi to chahiye tha na bhai
or bhala kiss kerne me kya burayi , hum dono to me to ye sab common raha h na shuruat se bhai or to or kabhi humari dusri bahane bhi esa ker deti h to kya hua , ager aapki sAheli ne esa kiya to
mane jitna use samjha or jana h ,m ye dave k sath kah sakti hu bhai kaya ka past bhale hi kesa ho lekin wo tan or man or man dono roop se ek pavitra or saaf dil ki ladki h uske mankoi chal kapat h or nhi h.
Or m janti hu bhai ki aap bhi is satya se anbhigya ni.
Jyoti k prem bhare swaro se samjhane ka prabhav karan pe turant roop se padne laga or vo shant hone laga or sath hi use apni galti ka ahasas hone laga.
Jyoti :- jante ho bhai ki kaya k sath aapko dekh mujhe kabhi krodh kyu na aaya .
Iske 2 kaaran the.
1 . Jo mere jivan ka saar h , yani ki mera aapni jaan apne bhaiya pe akshund vishwas .
M janti hu ki bhale ek baar suraj shitalta de sakta ya chand aag bara sakta ho , parantu mere pran mere bhai , apni jyoti ko kabhi dhoka ni de sakte.
Jiska parinam samne h ,aapne jo hua sab bata diya , kkuch ni chupaya apni jyoti se.
Ye sunker karan k chahre pe muskan aagayi or pucha.
Karan :- or dusra.
Jyoti nakhre dikhate hue :- acha ji ab janab ko dusra kaaran bhi janna h , pahale wala kafi ni h.
Chalo aap itna puch hi rahe ho m bata hi deti hu.
Dusra kaaran ye h bhai ki jesa ki aap humesha kahate h ki hum dono bhale hi do jism ho per jaan ek hi h na or uper se hum twins bhi h
To bhala esa kese ho sakta h ki aap kuch mahasoos kero or vesa mujhe mahasus na ho .
Bhai aapki hi bhanti mujhe bhi esa mahasoos hota h ki koi na koi connection jarur h humara kaya se , na jane kyu humesha se wo mujhe bhi apni si hi lagti h .
Jab aapne mujhe usse milwaya to mujhe bilkul na laga ki hum dono anjan h ,
(Bholepan se ) isliye hi to mane apko bola tha ki aap mujhse bhi dosti kerwayiye , per aapne to meri saheli ko hi dant ker bhaga dala.
Jyoti ka ye bolne ka tarika bhale hi bacho jesa ho , per keval jyoti hi janti thi ki kese apne bhai ko samjhaya jaye or bina usko hurt kiye usko galti ka ahasas dilaye.
Or esa hua bhi sach hi kaha tha shani dev ne jyoti sirf karan ki bahan ya premika hi ni , balki uski shakti , uski prerna , yaha tak ki samay padne per ek guru ki tarah sachi margdarshak bhi thi.
Jyoti k prem bhare shabdo ne apna asar dikhana shuru ker diya tha ,jiske kaaran karan ka krodh shant hone laga tha.
Or jise wo shant hone laga or jyoti ki baato ko dhyan me rakhte hue apne hriday me jhankta h.
Kisi ne sahi kaha h humara hriday jal se bhare ek patra ki tarah hota h.
Jab hum shant or shital jal se bhare patra me jhankte h to hume apna pratibimb saf saf dikhayi deta h .
Parantu yadi hum kholte hue pani me esa kerne ka prayas karege to hume apna pratibimb dikhega ?.
Ni na
Esa hi humara man hota h , yadi hum apne aapko nirmal yani shant rakh kisi baat k baare me chintan kerne k liye apne hriday me jhakenge to humesha sahi decision roopi pratibimb hume humesha milega.
Parantu yadi kholte hue pani ki tarah krodh k aVesh me aKer yadi hriday se bhi decision lenge to baad m hume pachtana hi padta h.
Esa hi kuch karan k sath hua tha,krodh se vashibhoot hoker usne bhi vahi galti ker dali .
Ye baat karan ko ab samjh aachuki thi or uski ankho m glani bhav k sath ansu aane lage.
Karan rote hue :- tu sahi kah rahi h gudiya , is baR tere bhai galat h , usse galti ni paap hua h , jis sakhi ne apni mera itna sath diya , m jab krodh se out of control hua or mere se nikal rahi urja jo sab kuch bhasm kerne jitni shaktishali thi ,bina uski parwah kiye bhi wo mere ko shant kerne me lagi rahi,bina apni jaan ki parwah kiye.
Wo meri sakhi hi to h , jisne bina kisi swarth me meri is yatra me sammilit hui , ye jante hue bhi ki jis safar pe m nikla hu wo bahut hi khatarnak h or pran jane ka bhi bhay h , fir bhi wo mere sath aayi , kyu , kyunki wo ni chahti thi ki uske sakha ko marg me koi taklif ho.
Or mane uske sath kya kiya , use kapti or dhokebaaz bol use dutkara or bhi na jane kya kuch na jaha , bas isliye kyunki us bechari ne bas apne sakha se thoda prem or sneh ki asha ki bas isliye , dhikaar h mujh per.
Jyoti karan ko pyaar se samjhate hue :- bhai jo hua use hum badal to ni sakte per apni bhul to sudhar sakte h na.
Jaiye bhaiya or mana ker wapas ke aaiye meri saheli ko.
Karan :- acha ji aapki saheli kabse ho gayi gf ji.
Jyoti :- ab aap or m alag thodi na mere golu bf ji.
Karan :- dekh chipkali tujhe kitni baar bola h ki mujhe us naam se mat bulaya ker.
Jyoti :- kya m chipkali , to fir ap bandar , ab jaiye or jaldi se kaya ko manaiye verna aapki wo wali pic to yaad h na meri pyari didi (jyoti wahi pic ki baat ker rahi thi , jisme karan ne skirt pahana tha) wo abhi bhi mere pas h , ager aapne jaldi se kaya ko na manaya to wo pic aman bhai samet sabko dikha dungi , fir mat bolna.
Karan jhut mut ka darte hue :- are na baba na , jata hu meri maa jata hu , per tere hath jodta hu wo pic kisi ko ni mat dikhana .
Jyoti :- hmm sochungi, ab jaiye bhi.
Jyoti ki yahi to khasiyat thi ,usne na keval apne bhai ko sahi rah dikhayi apitu uska man bhi hulka kiya masti majak se.
Karan :- per gudiya wo kya ab manegi mane use bahut bura bhala kaha , wo to mujhe dekhna tak na pasand karegi.
Jyoti :- esa kuch ni hoga bhai , aap abhi bhi apni sakhi ko ni samjh pa rahe ho , wo aapko jarur maaf ker degi .
Esa bol karan ko jyoti kuch bate samjhati h.
Karan :- sach kahata hu jyoti yadi.
Jyoti bich me tokte hue jate hue :- yahi bolne wale ho na , ki m na hoti to aapka kya hota , isliye hi to aapki judwa k roop me bhagwan ne mujhe bheja wo jante the ki mere bina aapka kuch ni hone wala
Ye bol wo hasti hui karan se vida leti h or usi ke sath karan ka dhyan tut jata h.
Karan khud se :- sakhi tumhare sakha ko apni galti ka ahasas ho v
Chuka h or ab vo aaraha h apni sakhi yani tumko vapas le jane.
Ye bol karan ne apne kapde utare or wapas talab ke kud pada or tere hue us or jane laga jaha kaya gayi thi.
Wahi dusri or
Location :- rohan house
Aaj radha k ghar me hue kand k baad sabke sath anita bhi sachai jaan chuki thi , jiske kaaran wo bahut jyada gusse me thi riya se.
Is kaaran wo rohan or riya jabse apne ghar wapas lote the , tabse usne ek shabd ni bola tha , riya ache se janti thi ki uski ma jab bhi bAhut gusse m ho ya unme se kisise naraj ho to wo kuch ni bolti bas chup raha ker hi apna gussa dikhati h.
Aaj ek or to riya khush thi ki uski jan uske betu ne use maaf ker diya or use wapas apna liya .
Lekin ab wo or jyada dukhi ho chuki thi , kyunki rohan k baad vo apne maa k hi sabse karib thi , dono ma beti kam or saheli jese jyada rahati h.
Aaj ki hui ghatna k baad sabki bhuk vese bhi mar gayi thi , lekin riya fir bhi sabke liye khana banati h or fir wo anita or rohan k pas ja ker khana khane ka bolti h.
Anita rohan se :- rohan mujhe bhuk ni h , tumhe khana h to kha lo or bol do isse ki mujhse koi baat na kare.
Riya rote hue anita k pero me gir gayi or bolne lagi :- maa please aap to esa n bola , badi mushkilon se bhai ko manaya h or ab aap to mat yu kijiye.
Manti hu mujhse galti hui h or m sharminda bhi hu ma.
Anita gusse se :- galti ni paap hua h tujhse riya , itna waqt tune gujara karan k sath , fir bhi tu apne us bhai ko samjh na payi or tune uspe bina uski safai sune itne ghatiya iljaam lagaye .
Or rohan tumse mujhe esi ummid na thi, itna sab kuch ho gaya or aaj tak tumne bhi mujhse jhut bola, mana ki tune apne dost pe vishwas ni khoya lekin tumne mujhse baat chupa ker bhi kam galti na ki.
Rohan kah de apni bahan se ki jab tak ise mera bacha mera karan maaf ni ker deta , mujhse bhi ye maafi ki ummid bhi na kare.
Rohan :- per ma.
Anita :- mane jo kah diya so kah diya.
Ye bolke Anita apne room me chali gayi or riya rote hue apne room me.
Or hall me rah gaya bichara pareshan rohan , usne kuch soch ker ek plate m khana liya or apni ma k room me gaya .
Rohan ne kese na kese apni maa ko khana khila diya or fir wo ek plate or leker rohan riya k room me jata h.
Jaha riya bed per takiye me muh chupaye ro rahi thi.
Rohan ne kese na kese riya ko shant karwaya or use khana khane ko bola.
Riya :- betu maa bhuki h to me kese khau.
Rohan :- didu aap chinta mat kero mane maa ko khana khila diya h , ab aap bhi khao or mujhe khilao na badi bhuk lag rahi h.
Riya ye sun thodi shant hui ki uski maa khana kha chuki h :- ha kyu ni aaj m apne betu ko apne hatho se khana khilaungi.
Fir rohan ko riya jese hi ek tukda tod krr khilati h to uski ankho me aansu aajate h.
Riya :- ky hua betu tu ro kyu raha h.
Rohan :- di aaj itne dino baad aapke hatho se khana kha raha hu na to khushi control na hui.
Riya :- khush to m bhi hu betu ki itne time baad mera betu mere pas h or vo mujhse naraj ni h.
(Nam ankho se ) bas ek baar karan bhai bhi mujhe maaf ker de to fir chahe mujhe mot bhi aajye to koi gam ni.
Rohan :- di please esa mat bolo , aager aapko kuch ho gaya to kya aapka betu ji payega.
Riya :- to m kya karu bhai , ab mujhse karan ki or narajgi ni sahi jati , m to uske pero m gir ker maafi mange ko teyar hu , vo jo saja dega vo bhi haste haste manjur ker lungi, per wo to mujhe dekhna tak bhi pasand ni kerta.
Rohan :- di please aap mat roiye dekhna ab hum dono sath h na , ab hum dono mil ker manayenge , fir dekhte h kese maaf ni kerte vo aapko.
Riya :- sachi bhai.
Rohan :- muchi betu.
Riya rohan k gale lagte hue :- love u bhai.
Rohan :- love u to didu.
Rohan man me :- chalo didu ko sambhalna to ho gaya , ab dusra kam k liye jaldi se teyar hona hoga , jyada waqt ni h mere pas.
Ye sochte hue rohan man hi man kuch planning kerne laga or fir dono bhai bahan ek dusre se chipak k so gaye.
Wahi dusri or.
Location :- jaipur
Aaj puja ka 3sra din tha or humesha ki tarah 3no dost mandir pahunch gaye the or puja ki teyari m lag gaye tabhi preety ne pucha.
Preety :- sister , bole to aaj konsi maata ka din h or unki puja ka kya mahatv h , jara batao to.
Naina :-
पिण्डजप्रवरारुढा चण्डकोपास्त्रकैर्युता।
प्रसादं तनुते मह्यां चन्द्रघण्टेति विश्रुता॥
Navratra ka 3sra din ma chandraghanta ko samarpit h preety , kaha jata h shumb nishunbh , chand mund jese rakshaso ka sanghar inhone hi kiya tha.
Inki puja se hume abhisht var ki prapti hoti h or khaskar ki avivahit ladkiyo ko man chaha var milta h.
Preeti veer ki baho me chipakte hue :- oh fir mujhe to mata ko koi taklif ni deni , mujhe to mere wala mil gaya h .
Ye bol 3no hasne lage tabhi veer ko ek call aata h or wo waha se uth ker chala jata h.
Preety naina ko chedte hue :- vese kya baat h sister aaj to bahut josh k sath puja m lagi hui ho , kahi maa se apnee liye unhi sapne wale jiju ko to ni mangne wali .
Naina muskurate hue :- pahali baat to wo sapna ni tha , vo mera ek suhana sa ahasas tha , jisne mujhe unke astitv ka bhan karwaya or dusri ki unhe ni to or kisko mangugi .
(Preety ko chedte hue) wese mujhe to veer jiju bhi bahut pasand h , tu kahe to unhe hi mang lu.
Preety jhut mut ka darte hue :- na baba na wo mera maal h use door hi rah .
Ye bol dono saheliyan hasne lagi, tabhi preety boli.
Preety :-. Sister ager bura na mano to ek baat kahu .
Naina sir ha m hilati h.
Preety :- man lo sister jinhe tune us drishy me dekha wo yadi watvik m ho hi na, keval tumhara bhram hua to.
Naina :- ni preety mera dil kahata h ki vo.mera vaham ni tha , jo ahasas jo anubhuti mujhe unhe dekhne bhar se hui , wesi mujhe aaj tak na hui or yahi praman h ki wo vastvikta me h or unhe m ek din jarur dhundke apna banungi.
Preety :-. Chalo man liya ki wo vastvikta me h , per man lo unki life m pahale se hi koi hui to tum kya karogi.
Naina ne jese ye suna to achanak se uski ankhe lal ho gayi or uske chahre pr bhayankar krodh aane laga or uski nili ankhe achanak se surkh laal ho gayi.
Naina gusse se bhayanak aawaz me :- ager esa hua to nash kardungi uska jo mere pyaar k aas pas bhi dikha to, wo keval mere h , unper yadi kisi ka hak hoga to wo hoga mera yani ki naina ka or kisi ka ni.
Or jo mere or unke bich aayegi chahe wo koi bhi ho , uska samool nash kar dalungi m.
(Naina to mano gusse se pagal ho chuki thi, usne achanak se ek hath se preety ka gala pakad liya or apni bhayanak aawaz me boli)
Sun liya na tune kya karungi m , samool vinash , jo bhi mere or mere karan k bich m aayega , suna na tune ye h tere sawal ka jawab .
Preety ka dam ghut raha tha :- aah sister mujhe chod do ye kya ker rahi ho tum , mujhe dard ho raha h.
Naina :- dard ho raha h , to le kamini (ye bol usne apni pakad or majbut ker li or boli)
Tadaf kamini tasaf tu isi layak h , tujh jesi ek mamuli tritya ki himat kese hui ki tune mere pyaar ko mujse door hone ki baat sochi bhi kese .
Galti meri hi jo mane tujh jesi ek tritya ko apni saheli banaya, jo kisike sage ni hote , per aaj m apni galti sudharungi , tujhe khatm ker dungi m.
Ye bol naina ne preety ko utha liya , jisse preety chatpante lagi , usne apni puri takat laga li , per wo naina ki pakad se ni chut pa rahi thi.
Vo to acha hua veer jiski call puri ho chuki thi or wo waha aap huncha , or usne jab waha ka najara dekha to uski ankhe bhi fati ki fati rah gayi , use samjh ni aaraha tha ki ye sab kya or kese ho raha h.
Wo turant bhaga or preety ko naina ki pakad se chudane ki kosis kerne laga.
Veer :- naina chodo use ye kya ker rahi ho tum vo mar jayegi , pagal ho gayi ho kya tum.
Lekin naina pe to pata ni konsa bhut swar ho gaya or usne ek dhakka mar diya veer ko , jisse wo kayi door jake gira.
Naina kisi ki sun ni rahi thi , tabhi veer ko apni mala ki yaad aayi or usne jaldi se apni mala nikal naina ko pahana di .
Veer k esa kerte hi ek roshni mala se nikal naina me sama gayi or wo dhire dhire shant hone lagi or uski pakad dhili ho gayi , jiske sath hi wo jamin per gir k sans lene lagi.
Naina bhi achanak se chakkar kha ker farsh pe gir gayi or kuch der gahari sanse lete hue behosh ho gayi
Veer ko to samjh ni aaraha tha ki kya kare usne pahale preety ko sambhala or fir kuch der baad pani dal naina ko hosh me laya.
Naina hosh me aayi to uska sir dird hone laga or use behosh hone se pahale ki apni sari harkat jese hi yaad aayi to wo turant preety k pas gayi or boli.
Naina rote hue :- mujhe maaf ker de meri bahan m ni janti achanak mujhe kya ho gaya tha , per mane wo sab jan bhujker ni kiya , mata rani ki kasam , yadi tu fir bhi gusa h to please chahe mujhe saja de le , per please mujhse door mat jana.
Preeti jo kafi dar chuki thi naina k pahale bartav se , lekin wo fir bhi apni saheli ki ankho me ansu na dekh payi or wo turant naina k gale lag gayi or use maaf ker diya.
Lekin naina ne aaj use jo ek trittya kahakar pukara tha , wo baat preety ko bahut buri lagi thi , uske dil me naina ki wo baat beth chuki thi.
Aaj k liye bas itna hi
Stay tuned