• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Pyare Rishte - Bhai Bahan Ki Pavitra Prem Ka Ek Safar (part 1 and 2 completed) part 3 in running (restart)

Kya mujhe story restart kerni chahiye

  • Ha bilkul

    Votes: 39 88.6%
  • Ni , rahane do

    Votes: 5 11.4%

  • Total voters
    44

Raj

Well-Known Member
4,444
15,225
158
BAHUT HI SHAANDAAR FANTASTIC LOVELY DHAANSHU AUR INTERESTING UPDATES BHAI.


NAINA NE AKHIR TANTRIK KO HARA HI DIYA.PAR AISA KYA DEKHA KI NAINA NE JO WOH NARAJ HO KAR JAANE LAGI.
SONAM BHI GOVIND JI KE SATH GHOOMATE HUYE APNE POORV JANMA KE SAMBANDHON KO JAAN GAYI HAI AUR TOH AUR SHREE KRISHNA KE DARSHAN BHI KAR LIYE .AUR SHAYAD KRISHNA JI HI BATAYE KI KARAN KOUN HAI.TAB SHAYAD UAKO APNI BHOOL KA AHSAAS HO JAYE.
TOH KOMAL KO LE JAANE WALA KARAN NAHI CHHALAVA THA AUR KARAN NE ACHCHHA SABAK SIKHAYA CHHALAVE KO SATH HI KAYA DIYA AUR AMAN AUR JHUMKI BHI AA GAYE KARAN AUR JYOTI SE MILNE.
GHAR PE AA KAR JYOTI BHI SAB SE MIL KAR BAHUT KHUSH HUYI.ROHAN KE BATANE KE HISAAB SE TOH LAGTA HAI IS JANGAL SE BAHUT KUCHH JUDA HUA HAI KARAN KE FAMILY SE.
LAGTA HAI YE WAHI JANGAL HAI JAHA SAMRAT RAHTA HAI .PAR DEKHATE HAIN AAGE KYA HOTA HAI
 

Prince Charlee

Active Member
1,425
2,265
159
Superb update. Sonam ko apne pichle janam ka pata chal hi gaya jis se use Karan ko apnane me asani ho gi.
Chalawe ka taluq usi jungle se hai lekin woh karan ki family ke piche kiun pada hai dekhte hai.
Bhai Rohan ke sath kuch zayada hi ho gaya dekhte hai ab dono kaya plan banate hai aur woh 4 ankhen kon thi.
Naina aur K&J ke milne ka waqat bhi ane wala hai. In 3no ki mulaqat ka intzar hai.
 
  • Like
Reactions: Abbasi and Aakash.

sorbobhuk

Well-Known Member
2,273
5,589
158
update no :- 180
Location :- vrindavan

Jese jese govind ka tanga kokilavan ki or bhad raha tha vese vese sonam ki bechani or dhadkan dono hi bhadti ja rahi thi

Sonam man me :- ye kya ho raha h mujhe, ye ahasas ye anubhuti jo mujhe vrindavan ki in galiyo m ho rahi h, wo kyu mujhe esi lag rahi h, jese m in sab se anjan ni hu, jabki yaha m aayi hi pahali baar, esa ahasas ho raha h mano m wahi pahuch chuki ho jaha meri manjil h, per wo manjil h kya.

Location :- shani lok

Shani jo ye sab muskurate hue dekh rahe the, tab narad ji ne bhi wahi prashn doharaya.

Shani :- sonam ko apni jis gantvya per pahunche ka abhas ho raha h Devrishi, wah gantavya or koi ni balki uske jivan ka vo satya h, jis kaaran wo karan se judi hui h or uske jivan ka ek mahatvapurn bhag bhi h.

Sonam keval kokilavan dham ki or hi ni apitu apne jivan k satya ki or bhad rahi, h or uska marg prashast ker rahe h gawale govind

Naradji :- parantu prabhu ye govind bhala h kon or kese wo itne guhd rahasya ko janta h, na jane kyu mujhe esa pratit ho raha h kahi to dekha h mane is gwale ko.

Shani haste hue :- are wah prabhu ki lila , Devrishi sonam ki bhanti apne bhi govind ko abhi tak na pahachaan, koi baat ni kuch der or dhairya rakhiye shighra hi aapko bhi apne prashn ka utter mil jayega or sonam ko bhi.


Abhi to aap is aane wali shubh ghadi ka se pahale k intezaar ka aanand lijiye.

Ye bol shani wapas dhyan m chale gaye


Wahi dusri or

Komal sahit karan wapas apne ghar ki or bhad raha tha, komal abhi bhi sahami hui karan se bilkul chipki hui thi.

Tab karan ne apni shakti ka use kiya jisse jeep apne aap chalne lagi, jise dekh komal ki herani or bhad gayi or wo dar k mare karan se dur ho boli.


Komal :- bbbhai ye sab kya h, ye sab aap kese ker rahe ho, aap sach m mere bhaiya hi ho naaa

Komal ki masumiyat dekh jaha karan ko bahut pyaar aaya wahi dusri or us bechari ki ye halat dekh use bahut dukh bhi ho raha tha.

Usne jhat se komal ko gale lagaya or bola,

Karan :- ni ni mere babu, daro mat m aapka bhaiya hu, ye dekho.

Ye bol karan ne apne hatho me ek band dikhaya jo use komal ne kal hi gift diya tha or usne ye baat notice ki thi ki chalawa jab karan k roop m uske sath tha, tab na hi uske hath me wo band tha or na hi uske gale ka wo locket.

Or sabse main baat jo dar ka ahasas use chalwa k sath ho raha tha, ab wo gayab ho chuka tha or uski jagah ab fir wahi prem or khud ko surakshit mahasus ker rahi thi komal.

Is baat ka ahasas hote hi bhai kahate hue fir se chipak ker siskne lagi.

Karan :- shant ho ja. Meri nanhi shant ho ja ab tera bhai aagaya h na, ab tuje koi kuch ni ker payega.

Komal ':- per bhai jo ye sab hua wo sab aapne kese kiya or aapke paas wo powerful weapon jese shri ram ji k pas the wo aapke pas kese aaye.

Karan bhulate hue :- are wah gudiya aapko kese pata ki ye hathiyaar ram ji k pas the.

Komal hi masumiyat :- bhai mane ramayan padhi thi or tv p bhi dekha tha unme ese hi hathiyaar ram ji k pas the or kuch rawan k pas bhi.

Lekin bhaiya ye sab aapke pas kese aaye, bhaiya mujhe bahut dar lag raha h , ab wo chalawa aapke bhi piche pad jayega , kahi aapko usne apko kuch ker diya to.

Karan :- acha tumne ramayan padhi h to ye baat to janti hi hogi ki rawan kitna shaktishali tha brahama ji se or shivji se kitne vardaan bhi mile the, fir bhi janti ho wo kyu hara ram se.

Komal :- kyunki raam ji khud bhgwan the isliye na.

Karan :- ha bhagwaan the lekin unhone liya to insan k roop m hi janm na, or kaha rawan tha mahashaktishali asur, wo sirf isliye hi ni jite kyuki wo bhagwan the ya unke avtaar the, balki wo isliye jite kyuki wo dharm or sachai k sath the

Meri ek baat humesha yaad rakhna gudiya, burayi chahe jitni shaktishali ho, per achai se wo kabhi ni jit sakti.

Komal :- ji bhai.

Karan :- ha ek baat or gudiya , aaj jo bhi yaha hua uske bare m ghar p chachi ya kisi ko bhi mat batana, werna wo bekar m hi dar jayenge.

Komal :- ji bhai per.

Karan :- m janta hu komal tum kya puchna chahti ho per abhi is bare m batane k liye na hi time sahi h or na hi jagah.

Fir karan ne komal ko samjha ker ghar ki or bhad gaya.

Raste m usne man hi man jyoti se contact kiya.

Jyoti :- bhai ap yu achanak bina bataye kaha chLe gaye the, chachi ne bataya ki aap komal ko leker kahi bahar gaye ho, sab thik to h n bhai, mujhe n jane kyu rahi rah ker kisi anhoni ka andesha ho raha h.

Karan :- tumhara andesha sahi h gudiya, anhoni abhi hote hote hi bachi h.

Jyoti tension se :- kyaaa, kya hua bhai aap esa kyu bol rahe ho, kahi apko ya komal ko kuch.

Karan :- shant gudiya shant filhal k liye aayi hui musibat tal chuki h or m or komal dono sahi h, m ghar aaker is vishy p baat karunga itna tum rohan ko bhi bol dena ki mujhe usse ekant m milna h.

Jyoti :- bhai ap sach m thik ho na.

Karan :- are ha meri jan tumhaari kasam mujhe kuch ni hua, or ha tumhare liye ek surprise h, tumse milne koi aaya h bas tum unke swaagat ki teyari kero.

Jyoti :- surprise! Bhai kon aaraha h batao na

Karan :- wo to mere pahuche k baad hi pata chalega tumhe meri jaan.

Ye bol jaldi se karan ne apna connection hata liya.

Kuch der baad karan ki gadi haveli pe pahunch gayi, karan ne paya ki jyoti or rohan samet sari bahane bahar aangan m hi bethe uska intezaar ker rahe h.

Karan ko aaya dekh shivani radha dod k uske pas gayi or shikayti andaaz me boli.

Shivani :- bhaiyu ye bahut galat baat h aap akele akele kaha chale gaye the ghumne

Radha :- ha or usse bhi galat baat aap sirf komal ko hi leke gaye bhai, that's not fare.

Karan :- are meri nanhi rajkmariyo m kahi ghumne ni gaya tha, m to humare yaha kuch guests ko pick kerne gaya tha.

Radha :- konse guest bhai, kaha h wo

Jyoti :- ha bhai ab batao bhi na kon aaya h.

Karan awaz dete hue :- aajao friends.

Karan ki aawaz sunte hi aman samet sab main gate se garden m enter kerte h, karan k jese jyoti bhi pahale to heran hui aman samet sabko dekh lekin fir wo bhi khushi se uchal padi, or jake sabse milne lagi, sabse pahale jhumki aaker gale lagi jyoti k kyunki itne din jyoti jab waha thi to dono m kafi bonding ho gayi thi.

Fir aman or diya se or last me kaya se gale lag boli.

Jyoti :- kesi ho my lovely bae.

Kaya :- bae ye ap kya bol rahi ho sakhi.

Jyoti kan me :- sshh mat bhulo tum. Abhi prathvi p ho or yaha per saheliya ese hi baat kerti h, to abse tum bhi mujhe nam se ya ese hi kuch bol ker bulana Or bhai ko bhi.

Kaya ko ye sun thoda atpata laga, lekin baad m usne man liya.

Fir karan apni baki sabhi bahano ko bhi sabse milwata h or unhe apne delhi wale friends bolke introduce kerwata h.

Sab unse mil ker bahut khush hue, aman rohan k pas jaker man hi man

Aman :- to aap hi h rohan yani dandnayak k rakshak kal, pranam h aapko.

Rohan man hi man :- aapko bhi mera pranam rasatal naresh, per please ab ye opcharikta chodiye , kyunki aap humare mahaman bhi h or humare mitra k mitra bhi to hum aapke mitra hi hue.

Yu hi man hi man dono ek dusre gale mile.

Jhumki jo almost shivani ki age ki hi thi wo bhi jald hi usse or radha or komal se ghul mil gayi.


Sabki aawaze sun garima rajiv or nidhi or kavyabhi bahar aate h or aman or baki k bare m puchte h to karan unhe apne friends bata ker introduced kerwata h.

Karan :- chachi m inhe hi milne jaipur gaya tha,ye sab jaipur kisi kaam se aaye the ye log to aaj hi jane ki baat ker rahe the, per mane saf saf bol diya inhe humare yaha rukna hi padega.

Kavya : bilkul sahi kiya lala tumne, are bacho yaha bilkul bhi sharmana mat ise apna ghar hi samjhna.

Garima :- are bhabhi pahale bacho ko ghar m to laiye.

Fir sab ghar m jate h, tab karan rohan ko ishare se chat pr bulata h.


Rohan karan k pas pahunch :- ha bhai bol ab.

Karan :- rohan kya tumhe bilkul ni pata aaj kya hua kitni badi anhoni hote hue rah gayi.

Tab karan chalawa ki sari baat bata ker bola.

Karan :- mujhe to ye samjh ni aaraha ki wo baharupiya ghar m ghusa kese tumhare hote hue, kya tumhe uski urja ka Bilkul ahasas na hua.

Rohan sharminda hote hue :- bhai jo hua uske liye m sharminda hu, m bhi tumse is baare m baat kerna chahta tha, mujhe khabar mili guptcharon se ki is rampur or shivpur k bich m sthit ye jungle jo tum dekh rahe ho.

(Rohan ne chat pe se samne ki or jungle ki taraf ishara kiya. )

Ye sadiyon se bhut pishach or bhi na jane kesi kesi shaktiyon ka adda ban chuka h or ye chalawaa bhi isi jungle m rahata h or uska sardaar bhi h.

Karan :- to is chalawe ka kya sambandh komal se.

Rohan :- bhai ye to m ni janta per jitna m in darindo k bare m suna h, uske according inka jesa nam h wesa hi inka swabhaav yani chal ka or yahi inki khasiyat h ki inke chal ko samjh pana itna saral ni jo tumne uske sath yudh kerte hue mahasus kiya hoga or esa hi mere or jyoti k sath hua.

Mujhe pret guptcharon ne khabar di ki is chalawe k dar se hi koi bhi jungle ki or tak ni jata dar se or sunne m aaya h koi to connection jarur h tumhari family ka iske sath, jab hi ye n jane kab se tumhare family k khilaaf sajish rach raha h.

Karan gusse se :- or tum ye baat mujhe ab bata rahe ho rohan, itni badi laparvahi, mane tumse esi ummid ni thi rohan.

Rohan :- bhai vo vo.

Karan :- bas rohan bahane banane se tumhari galti ni chup jayegi, aaj ager komal ko kuch ho jata to kya jwab deta m is sansar ko ki puri duniya ka jo rakshak bana firta h wo apni bahan tak ko na bacha saka.


(Karan kuch jyada hi gusse me tha, shayad komal k sath hue us hadse k sath)

Karan :- rohan aaj tumne apne dost ka vishwas toda h

Rohan rote hue :- bhai please esa mat bol, chahe mujhe mar le saja de, per...

Karan :- tumhe saja dene se sach badal to ni jayega na rohan, sun lo ager aaj ager komal ko kuch ho jata na to m tumhe kabhi maaf na kerta kyunki uske jimedar tum hote rohan tum.

Ye bol karan gusse se waha se chala gaya or piche chod gaya rote hue rohan ko, lekin karan or rohan dono is baat se anjan the ki char ankhe na keval sirf unko dekh rahi thi balki unki sari baate bhi sun rahi thi..


Wahi dusri or

Shani dev dhyan me bethe shukracharya ka avahan kerte h, tabhi ek safed roshni k sath shukracharya prakat hote h.
images



Shukracharya shani se :- pranam karmfal data.

Shani singhasan se uth :- pranam daitya guru, shani lok me aapka swagat h.

Shukracharya :- kahiye shani dev aJ humara smarn kese kiya aapne.

Shani :- aapka aahavan keval meri hi ni niyati ki bhi aavashyakta thi dev, ab samay aagaya h daityguru jab prathvi ki teen mahashatio ka milan hoga.

Shukracharya :- kahi aapka sanket karan jyoti or naina se to, kya vo shubh ghadi aachuki h dev

Shani :- ji daityaguru or us milan ka madhyam guru dev mahadev ne aapko sompa h.

Daityaguru :- ye to mera sobhagya h karmfal data, aadesh kijiye.

Tab shani shukracharya ko sari yojna batate h jise sun wo muskurate hhe bole.

Shukracharya :- aapne jesa kaha h vesa hi hoga shani dev..

Ye bol shukracharya antardhyan ho gaye.

Back to sonam.

Karib 20 min k safar k baad sonam Rima govind samet kokilavan aahi pahunchi.

Sonam ne jese hi waha panv rakha, achanak se uski ankhein band ho gayi or uske samne kuch dhundli si tasvire banne lagi.

Jisme ek ladki jo usiki age ki thi usne bhagwa saree pahani thi, wo yahi shani dev ki aradhana ker rahi thi or sath m hi pas m bane krishn mandir m hi.

Lekin lag esa raha tha jese wo seen wo bahut purane samay ka ho.

Sonam ki ankho se k vo seen ojhal hue tab wo achank se ankh khol hafne lagi, ab to uski anubhuti or bhi dridh ho chuki thi.

Reema :- sonu tum thik to ho na tum. Hamp kyu rahi ho.

Tab sonam use sari baat batati h, jise reema use bas vaham bolti h.

Govind :- kabhi kabhi ankho k samne aaye ese drishy keval bram ni hote devi, wo koi sanket bhi ho sakte h.

Reema :- aap humesha ghuma fira k hi baat kyu kerte ho, lagta h sidhe sidhe aapko baat kerna aata hi ni.

Govind :- satya humesha tedha hi hota h reema ji , ab yahi khade rahege ya chalenge bhi.

Fir sonam or reema bhagwaan shani or krishna k adhbhut darshan kerti h.

Kaha jata h ki jab bhagwaan shri krishna ka janm hua tha to sabhi dev unke darshan kerne aate the, or vese hi apne prabhu k darshan ko shani bhi waha aaye parantu shani ki drishti k bhay se yashoda mat ne unhe kanha k darshan na kerne diye.

Tab shani ne bhi jid than li ki wo krishna k darshan kerke hi lotenge or is sthan pe aake unhone tap aarambh ker diya.

Unke ghor tap se tino loko k sath indra ka singhasan tak dol utna, tab devo ki prathana or shani ki apne prati bhakti dekh gopal koyal k roop me pragat hue or unhe darshan de ker yahi nivas kerne ka nivedan kiya isliye yaha aaj bhi shani mojud h or yaha pooja kerne se sab manokaamna purn hoti h or krishna samet shani ka bhi ashirwaad milta h.

Govind ye kahani reema or sonam ko suna hi rahe the ki achanak rema bol uthi.

Rema :- are ye sonam kaha gayi.


Aaiye dekhte h kaha gayi sonam

Darasl katha sunte hi sonam ko kuch hone laga or wo mandir k picheojud jungle m bad chali yu ki jese use kisi or ki sudhbudh hi na ho.

Kuch dur chalne per sonam ko ek kutiya dikhayi di jo bilkul sunsan thi, sonam ne jese hi use dekha uski ankho se sawatah hi nir bahane lage, kyu wo abhi aage pata chalega.

Wo kutiya me jati h to uski najar kutiya me bane ek chote se krishna mandir p padi, jo kafi ganda ho chuka tha mano kafi time se waha safai na hui ho.

Sonam jesi krishan bhakt ye kese bardaasht ker sakti thi usne turant waha ki. Saf safai ki kele k pato se. Usne jhadu lagayi.

Or jese hi usne Bhagwan ko pranam ker unke charno m shish rakha to use Sare drishya saf najar aane lage jo ab tak dhundle the or sath hi use sab kuch yaad aane laga apne pichle janm ka.

Ji ha doston pichle janm ka aaiye jante h kya hua tha sonam k pichle janm m.

Short flashback

Ye baat aaj se kayi sadiyo purani h

Darasal pichle janm me sonam ek sadhvi thi, jiska naam swarna tha, swarna shri krishna ki param bhakt thi.

uski bas ek hi lakshya tha jivan ka jo tha shri krishna k sakshat darshan.

Ek baar sakshat rishi agast vrindavan padhare jinki swarna ne khub seva ki, uski seva se prasann ho rishi agast ne unse kuch mangne ko kaha to swarna ne apni icha jatayi.

Tab rishi agast ne swarna ko kokilavan ki mahima bata, wahi krishan aaradhna ka sujhav diya or vishwas dilaya ki usko bhagwaan k darshan avshy honge.

Swarna bahut khush hui kr rishiver k kahe anusar unhone waha jaker krishan aaradhna shruru ki or sath sath wo shani dev ki bhi aradhna kerti kyunki wo waha k dev the.

Dhire dhire swarna ki ardhna tap m badal gayi or usne ghor tap aarambh ker diya.

Or akhirakara bhagwaan murari swarna k tap se prasan ho hi gaye, wo shani lok pahunche or shani dev ko bhi apne sath chalne ko kaha.

Shani :- Prabhu swarna aapki bhakt h or usne tap vhi aapke darshan k liye hi kiya h fir mujhe le jane ka aapka kya gantvya h

Krisshna :- shani dev mat bhuliye ki swarna mere sath aapki bhi bhaktibhav se ardhna ki h or kokilavan k niyamo k anusar vo aapki kripa ki bhi patra h isliye hum chahte h ki aap bhi humare sath chale, kya aap humari ye icha puri ni karenge karmfal data.

Shani :- prabhu aapki icha yani mere liye aagya or m apki aagya kese tal sakta hu, chaliye prabhu.

Swarna abhi apne tap me lin thi ki tabhi waha shri krishna or shani dev prakat hue or krishna ji bole.

Krishna :- netra kholo swarna putri humare tap se prasan h..

Swarna Prabhu ki aawaz sun apni ankhe kholti h to uski khushi ki koi sima n rahi, kyunki uske netro k samksh uske dono aradjya the.

Sonam :- Prabhu, karmfal data aap dono, m dhanya hui prabhu m dhanya hui

Ye bol swarna nana prakar se stuti kerti h, lekin krishan ji ne ek baat notice ki ki jab se usme shani ko dekha h tabse uski najar unse hat hi ni rahi, swarna k man m shani k liye prem bhav janm le chuka tha.

Tab shri krishna ne swarna se vardan mangne ko kaha.

Swarna :- prabhu mujhe jesi ek sadharna manushya ko aapne darshan de diye or ek bhakt ko kya chahiye hoga bhagwaan mane ye tap kisi vardaan k abhilasha se ni apitu keval aapke darshan hetu hi ki thi.

Shani :- to putri humse hi kuch var manglo, hum bhi tumhari apne prati bhakti se prasan h, mango putri jo icha ho vo mango.

Pahale to swarna sharmayi parantu fir krishma ne apni lila dikha swarna ki sari jijhak khatm ker di.

Swarna :- hey karmfal data, yadi aap apni is bhakt se prasan h to kripya mujhe apni ardhangini hone ka vardaan pradan kare.

Tab shani dharm sankat m pad gaye, kyunki unhone ek patnivrat liya tha jo shri ram ne liya tha.

Unhone swarna ko bahut samjhaya per krishna maya k kaaran swarna apni mang p adig rahi, tab shani dev ko ek hi marg dikhayi diya.

Shani krishna ki or yu dekhte h jese aagya mang rahe ho krishna bhi unhe swikriti dete h.

Shani :- putri jo tumne var manga h wo abhi to sambhav ni kyunki humne ek patnivrat liya h,. Parantu tumhara tap vyarth bhi ni jayega

Isliye he putri ye vardaan h mera, jab kaliyug m asuro or dusht aatmao ka aatank bhadega or prabhu ki aagya se mere ansh ka janm hoga tab tumhara bhi punarjanm hoga, or us janm me tum mere us ansh jo m hi hounga uski ardhangini banogi, parantu smaran rahe ki tum unki ekloti ardhangini ni hogi, or to or tumhe kayi kasht bhi sahane honge kyunki us samay wahi niyati ka khel hoga



Swarna use saharsh swikar kerti h Kyunki wo prem ka mahtv jan chuki thi krishn darshan k kaaran, or wo apne prem ko pane k liye kuch bhi sahane ko teyar thi.

Tab shri krishna ne kaha.

Krishna :- putri hum bhi tumhe ek vardaan dete h, jab tak tumhara prem tumhare suhag ki prati atal rahega tab tak is brahamand ki koi shakti uska kuch ni bigad payegi or yadi aavashyakta padi to mera sudarshan swayam unka rakshak banega.

Swarna shani dev or krishna ji k vardano ko saharsh swikar kerti h or fir shani or krishna ji anterdhyan ho gaye or fir swarna ne sara jivan shri krishna bhakti m smarpan meri samay aane per pran tyagi diye.

Or usi sadhvi swarna ne vartmaan me sonam k roop m janm liya

Short flashback end

Sonam ko sab yaad aachuka tha, jise yaad aate hi uski ankho m khushi k ansu jhalak uthe apne ghar apne krishna k dham aaj fir lot ker.

Tabhi uske kaano m ek aawaz padi.

Govind :- kya hua sonam ji aapke ye netro m ye ashru bata rahe h ki aapne wo paliya h jiske liye ap kabse adhir thi.

Sonam :- ha govind sab kuch yaad aabhi gaya or sab pahachan bhi liya.

Ye bol wo govind k charno m gir gayi or rote hue boli.

Sonam :- mujhe shama ker dijiye hey dinanath me aapko pahachan payi prabhu aapko pahachan na payi.

Govind muskurate hue :- hume is baat ki prasamta h putri tumhe sab yaad aahi gaya.

Yadi aap sach me mujhse prasan h to ye bhagwaan Kripya aapne us divya swaroop ka mujhe darshan kerwaye jiske liye aapki ye dasi yugo se taras rahi h.

Govind :- tathastu.

Govind k itna bolte hi achank samay than gaya or fir ek bahut hi tez praksh charo or fel gaya mano surya uter aaye ho or jab wo prakaash thama to samne ka najara dekh koi bhi mantra mughd ho jaye.

Kyunki sonam k samne wahi sanwli murat swaroop mor mukut dhari, banke bihari bhagwaan shri krishna khade the.

images

Aaj k liye bas itna hi

Stay tuned
jabardast update..... karan ne sab ko ghar leke aaye or or jyoty ko surprise diya......sab kuch ho geya hai sirf rohan ko chod ke...kyu ki rohan ko karan ne bishwash nhi kiya or gusse se kahi baat bolke chale geye rohan ke baat sune bagar.....or char aankhe kiske hai dekhte hai
or sonam ko sab yaad aageya hai or shri krishna fir se darshan di.....or sonam ke sath sath naina ka bhi samay aachuki hai karan se milne ka.....
waiting for next update
 

Vinod1368

Member
418
657
108
शब्द नहीं हैं इस भाग की प्रतिक्रिया देने के लिए। जहां श्री श्री और कर्म फल दाता का ऐसा सुंदर और अनुपम वर्णन हो वहां क्या प्रतिक्रिया दें।

आपकी लेखनी को शत शत नमन।

ऐसे ही सुंदर विचारों से परिपूर्ण कथा को आगे बढ़ाने का कष्ट करें।
 
Top