• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Pyare Rishte - Bhai Bahan Ki Pavitra Prem Ka Ek Safar (part 1 and 2 completed) part 3 in running (restart)

Kya mujhe story restart kerni chahiye

  • Ha bilkul

    Votes: 39 88.6%
  • Ni , rahane do

    Votes: 5 11.4%

  • Total voters
    44

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
40,562
103,050
304

Ron10

Member
229
879
108
update no :- 197
Preety ki aawaz sun sab chonk k preety ki or dekhte h, or naina ki ti halat bahut kharab thi, jis sachai ko aaj tak usne preety se chupaya tha, wo to apne aap hi preety ko pata chal gayi thi, ab naina ki halat ye thi ki use samjh ni aaraha tha ki wo kese samna kare preety ka.

Preety aage bhadte hue :- ha karan bhai m hi hu vo badnasib jisne peda hote hi pahale pita k prem ko khoya or baad m maa ko bhi, or aaj jab varsho baad apne pita ka pata bhi chala to kya ki wo to ek shetan h Or us shetan ko sirf ek hi shaks hi mar sakti h, or wo h uski khud ki beti, yani ki khud m hi hu.

(Naina ko gusse se ghurte hue) kyu sahi kaha na mane sister.

Naina :- wo wo m di.

Preeety gusse se chilate hue :- ye wo wo kya laga rakha h, jwab do mujhe ye sach h naaaa.

Preeety aaj pahali baar naina per chilayi thi vo bhi itne gusse m , jise dekh ker naina or veer tak kamp gaye, karan ne bich m preety se kuch kahana chaha , lekin jyoti ne use rok diya, kyunki ye un logo k bich ka mamla tha.

Veer preety ko shant kerne ki koshish kerte hue :- shant jan shant ye kya anap shanap bol rahi ho tum.

Preety :- m jo bol rahi hu sach bol rahi hu veer, ager mujh per yakin ni h na to pucho apni dost se kya ye jhut h.

Jwab do naina.

Naina roni halat me :- haa veer jo bol rahi h sach bol rahi h.

Naina ki sachai sun ker veer ko dhakka laga, kuch min to vo kuch ni bola, lekin fir usne situation ko samjh shanti se.

Veer :- itni badi baat tumne humse chupayi aakhir kyu naina, kyuuuu.

Naina k shabd ni nikal rahe the dukh or sadme m si thi, bolne ki koshis krrte hue.

Naina siskte hue :- kyunki hh, veer


Preety bich me :- m batati hu veer isne esa kyu kiya (naina ko ghurte hue) kyunki jis naina ko aaj tak humne apni bahan se bhi bad ker mana, use mujh per bharosa ni.

Naina rote hue :- ni esa ni h di.

Preety gusse se chilste hur :- jhut ni, yahi sach h mrs naina, tumne janbhijker mujhse ye sach sirf isliye chupaya taki tum sirf mera use ker sako mere pita k khilaaf, kyumki tumhare pas koi rasta bhi ni tha.

(Gusse se lal aankho k sath naina ka gala pakdte hue ) ) kamini tujhe dost ni apni bahan mana tha mane apni or tune ye sila diya mujhse.


Preety k is bhayank krodh ko dekh ket sab kamp gaye badi muskil se jyoti or veer ne milker preety se naina ko chudwaya.

Veer preety ko pakadte hue :- chodo use preeety ye kya ker rahi ho tum, humari dost, tumhari bahan h vo.

Preety :- bahan ni dushman h ye meri veer, dhoka kiya h isne mere sath, pith p chura ghopa h isne mere.



Naina se ab or bardasht ni hua vo chikhte hue ro padi :- ni ye sach ni h di, sach ni h.

Or wo jamin p ghutne k bal gir rote hue apni sari majburi batati h, ki use ye sachai kese or kab pata chali , naina ko rote dekh preety kuch pighli or shant swabhav m boli.

Preety :- ager jo tum bol rahi ho vo sach h naina to fir bhi tumne sachai janne k baad bhi kyu mujhe sachai se dur rakha or ye sav janne k baad bhi tum chahti ho ki m apne pita ka ant keru, jiske pyaar ko m kab se taras rahi hu.

Aap soch rahe honge ki jis preety ko aaj tak apne pita k naam se itni nafrat thi, achank se uske prati itna prem kyu, to m aapko bata du ye sab preeety ni, balki uske uper pada uske pita yani dusht samraat ka prabhav tha jis karan ese react ker rahi thi.

Naina rote hue :- kyumki m ni chahti thi di ki sachai janke aapko yani meri di , ni dfkh sakti thi m apmi di ko us dard m, jab unko pata chalta ki jis dar se wo aajtak bhag rahi thi, wo unki jivan ka ek kadwa sach ek hissa h unki life ka, kese batati di,kese batati di aapko m, kese batati.

Ise aage kuch naina se bolna ni hua or wo roti hui jor jor se khasne lagi, naina ko rote dekh ab preety se bhi ruka na gaya or wo jake naina ko gale lagate hue boli.

Preeety :- shant ho ja choti shant ho ja, mujhe maaf ker de meri bahan mane tujhpe hath uthaya.

Lekin tumhe jo sach h wo batana to chahiye tha na, aakhir jo bhi ho wo h to mere pita hi, or rahi bhua ki to m unse baat karungi na wo meri baat jarur manenge dekhna, or wo bhua ko aajad ker tumse tumse mafi bhi mang lenge.

Naina khud ko control kerte hue :- wo shetan esa bilkul ni kerne wala di.


Preety halke gusse m :- naina.

Naina :- ha di yahi sach h , janna chahti h sabse bada kaaran kya tha jo m samjh ni pa rahi thi ki kese aapko sachai batau or esa kyu ki aapke hi hatho us dust ka ant sambhav h.

Preety ha m gardan hilati h .

Naina :- to suno.

Fir naina preety ko uske jivan ka asli maksad or uska kaaaran batati h jise sunte hue preety k chahare p kayi bhav aaye.

Jaha ek taraf apni ma k sath hue chal ko sun preety ko rona aaraha tha, wahi dusri or apne baap k ksminepan ki gatha sun uske ander krodh k mare shole bhadak uthe or kahi n kahi sachai k prabhav k kaaran uske uper se samraat ka prabhaav bhi nasht ho chuka tha.

Preeety pahale to gusse or dard k mare jor se ek dahad k sath chilayi :- niiiiiiiiii..


Preety ki gusse m aankhe puri kali ho chuki :- ni chodungi kisi ko ni chodungi m, us haramjade k tukde tukde ker dungi m.

Ye bol preety kahi kahi jane lagi tezi se, lekim veer or naina ne use roka , naina preety se.

Naina :- di kaha ja rahi ho aap.

Preety :- apni galti ko sudharne, jo mane kal raat ko ki, us kamine ko samne hoke bhi naa marne ki galti ko sudharne.

Preety ki ye baat sun naina samet sab chonk gaya.

Naina :- kya samraat khud mila tha tumse

Preety :- haa.

Ye bol kal raat uske sath jo hua use sari baat bata deti h or sath m vo vidhi bhi jiske istemaal k baad samraat ko aana hi hoga.

Naina serious hote hue :- hmm, yadi esa h di to aapki icha jarur puri hogi lekin aapke sath m bhi aaungi.

Preety :- kyu sister, kya sachai janne k baad apun p bharosa ni raha.

Naina ek baar to gusse se :- diiiii....

Lekin fir usne khud ko control kerte hue.

Naina :- esa aapne socha bhi kese di ki apki choti aap pe vishwas ni karegi, aapkr , veer or samar bhai k alawa mera apna h hi kon, or aap to meri di h , aap pe to mujhe khud se jyada bharosa h.


Or fir bhi apko esa lagta h ki mujhe apni di p yakin ni to (trishastra preety k hatho me dete hue) lijiye di ab se ye trishastra aapke hi paas rahega or to or ab aap hi us dusht ka vadh karogi vo bhi akeli.

Ye bol naina apni yojna preety ko batati h, jo use sahi lagti h.

Preety :- hmm, not bad, mujhe manjur h ye idea.

Karan bich me :- per mujhe manjur ni,(veer se) veer bhai jara samjhao apni dost ko ki bhavnao m bahaker kabhi vijay prapt ni ki ja sakti, uski yojna na keval preety bhabhi k liye khatarnak h, balki isme hui ei bhi chuk se hum humari jit k is eklote ashtra ko bhi kho denge.

Jyoti :- bhai sahi kah rahe h naina, ye plan....

Jyoti apni baat bhi puri bhi ni ker payj thi ki usi behavior k sath naina bich m bol padi.

Naina :- mujhe kya kerna h or kya ni ye mujhe kisi se sikhne ki jarurat ni or specially unse to bilkul bhi ni jo khud kal mile h or aaj meri hi di pe ungli utha rahe h.

Ab karan ks sabar ka bandh tut gaya or usne tez aawaz me naina p chillaya.

Karan :- apni had m raho naina, ye to m veer ka lihaj ker raha hu ni to meri jyoti se is tarah baat kerne k liye tumhe....

Karan isse aage bolte bolte ruk gaya kyunki usne paya ki uske chilane se na jane kyu naina ki ankho me dard bhare aansu aagaye.

Jise dekh karan ka dil usi tarah kamp utha jese uska tab kamp uthata h jab vo apni kisi bahan khaskar jyoti ki ankho m andu dekhta h, use samjh ni aata esa kyu hua, is baat se anjan ki naina bhi uski hi bahan h or vo bhi uski sagi choti bahan.

Karan ki dant sun naina jyada der ni ruk pati or waha se preety ko le apne aansu chupate hue nikal padi.

Veer karan se :- bhai naina ki or se m mafi chahta hu, kya h na ye dono bahan ek dusre k liye bahut possesiv h, tum chinta mat kero, m unhe samjhaunga, vo jarur tumhari baat ko jarur samjhegi.

Karan :- ummid h tum jese kah rahe ho dost vesa hi ho.

Fir karan or jyoti veer k sath Kuch baat ker waha se niche aajate h.

Wahi dusri or

Location :- kailash

Bhagwan mahadev abhi apni samadhi m lin the, humesha ki tarah is sansaar se bahut hi dur shunya m lin mahadev ki samadhi kab tutegi iske baare m to swayam. Vidhata brahma ji bhi ni bata sakte the.

Tabhi mahadev k samksh shani dev prakat hue or apne guru dev ko dandvat pranam kerte hue bole

Shani :- gurudev hum jante h ki aap bhale m hi is samsar se dur mahasamadhi m lin h lekin Hum ye bhi jante h ki aap samadhi m lin ho ker bhi aap apne is ansh ki aawaz ko avashya sun sakte ho.

Yadi humara kahana h satya h to apne is shishya ki prathna swikaar kare bhagwan, vo vakt shighra hi aane wala h prabhu jab pristhiti humare vash m ni rahegi guru dev or ese samay pe aapke is shishya ko aapki avadhyakta hogi bhagwan, kripya apne is bhakt ki prathna ko swikaar kare bhagwan or shighra hi apni mahasamadhi ka tyag kijiye.

Shani dev abhi prathna ker hi rahe the ki unke kano m mata parvati ki aawaz gunji.

Mata parvati :- tum konsi parisstithi ki bast ker rahe ho putra.

Shani dev mata parvati ko pranam ker :- guru maa aap to sakshat jagdamba adishkti ho , aap se bhala kya chup sakta h maa.

Aap to janti hi ho karan k jivan m aane wala ye yudh koi sadharan yudh ni hoga, kyunki is yudh m ek samay esa bhi aatega jab adharm k paksh ko jitane k liye yudh m uska aagman hoga, or ese m dharm paksh p khatra or bhi bad jayega, us samay utpann hui paristhiti ko rokna keval. Guru dev k liye hi sambhav h, bas isi kaaran m unse prathna ker raha tha mata.

Mata paravati :- tumhara kahana uchit h putr, lekin ye to koi bhi ni kah sakta ki tumhare guru dev kab apni mahasamadhi se kab bahar aayenge, hum to bas sirf ab prathana hi ker sakte h.

Back to the hero

Karan raat ko apne kamre ki or ja raha tha, tabhi ek kamre se use khasne ki aawaz aayi.

Gate khula tha to karan ne usme jhanka to usne paya ki ye kamra naval kishor yani uske nana ka tha.

Usne dekha ki uske nana ki tabiyat thodi kharab h or unhe khasi aarahi h, lekin wo uth ker pani lene m taklif ho rahi h.

Jise dekh karan turant unke pas jata h or side m rakhe jug se pani leker apne hath se pani pilate hue.

Karan :- aap taklif mat kijiye nanaji m hu na.

Naval :- chonk ker nana ji.

Karan ko tab apni galti ka ahasas hua or vo bola.

Karsn :- vo darasl mane kabhi apne nanaji ko ni dekha, lekin aapko mil ker mujhe ese hi laga jese m apne nana ji se hi mila hu uncle, kya m aapko nanaji kah sakta hu.

Nanaji tmye sun emotional hote hue :- ha ha kyu ni bete, aaj ager mera nati yaha hota to wo bhi shayad tumhaari hi umer ka hota.

Karan :- yaha hota matlab? Kya wo log aapse milne ni aate nanaji, kese bure log h na vo

Nanaji :- are ni ni bete esa ni h, bure to hum h beta jinhone unki maa yani apni beti k sath hi bahut galat kiya.

Karan k apne pan bhari baato se emotional ho naval ne apni sari kahani suna di jo karan pahale se hi janta tha, lekin usko to kuch or janna tha, jo use sachai tak lejata .

Karan :- nanaji please aap mat roiye, sach m ye to bahut hua jo bhi hua, lekin nanaji ap logo m esa kya hua jo aap me esi dushmani hui.

Tab naval bhi use vahi story batata h jo unhe dadaji ne sunayi thi, lekin isme bhi kuch chije alag thi.

Jaha dadaji ne dosh karan k nana k bhai p lagaya tha, vahi dusri or nanaji to bilkul manne ko teyar ni the ki unke bhai esa ker sakta h ulta vo to bol rahe the ki unke bhai ko to fasaya gaya h or unke bhai ka accident bhi koi accident ni balki murder tha jiska shak unhe karan k dada k parivaar p tha.

Nana :- ab in baato ko kerke bhi kya faydda beta, itne salo ki dushmani ne humse humara sab kuch chin liya beta, ab to is dard ka ilaj keval mot se hi ho sakta h

Karan :- ni ni nanaji esa na kahiye, dekhna ek din sab thik ho jayega or aapke nati natin bhi aapse jald hi milne asyenge.

karan ne sari kahani ko jab suna tha to uska shak yakin m badal gaya, lekin filhal wo shant hi raha.

Nanaji :- ab to isi ummid k kaaran hi is tan m pran h beta.

Karan kafi der tak apne nana se baat kerta h fir wo waha se jajer jyoti k sath wapas chat p veer se milta h.

Jyoti :- veer bhai, aapne bast ki naina se.

Veer :- m ye batate hue bahut sharminda hu bahan, mane naina ko samjhane ki bahut koshis ki, lekin vo samjhne ko teyar hi ni.

Na jane kyu kal raat se naina or preety dono ko hi kya ho gaya h.

Karan :- tumhe sharmninda hone ki jarurat ni h dost, kyunki isme tumhari Koi galti ni unhe jo kerna h wo kare, or jo hume kerna h wo hum karenge.

Vese ek baat batao veer, tumhare sath vo ladka samar kya tum jante bhi ho ki vo koi mamuli insan ni h, balki.

Veer :- ek asur h, ha janta hu bhai.

Fir veer samar k bare m karan or jyoti ko sari kahani batata h, jise sun jyoti boli.

Jyoti :- veer bhai aapko dal m kuch kala ni lagta , samar jo ki apni yadasht bhul chuka h, lekin fir bhi use apni sari vidhya gyan or yaha tak ki har ek danvo k ade ka rasta tak malum h.

Veet :- ha bahan ye to point m dam h, esa to humne socha hi ni

kuch to gadbad h bhai, hume samsr p najar rakhni hogi.

Tabhi naina waha aagayi or gusse se chilayi.

Naina :- akhir tumhari problm kya h mis jyoti, pahale tumne meri di p shak kiya or ab mere hi dosto ko mere hi bhai k khilaf bhadka rahi ho.

Karam :- isme bhadkane wali baat kaha se aayi naina, jyoti k point m bilkul dM h, or mat bhulo ki hum abhi jis mod p waha bina soche samjhe kisi p bharosa kerna bevkufi hi kahalayegi.

Naina :- ager esa h to m aap logo p bhi kese bharosa ker lu mr karan, aap bhi mere liye anjan hi ho, or ager samrat ko. Marna itna hi jaruri tha aap logo k liye to ab tak kaha the aap log, is samay hi kyu humse mile or to or trishastra k bare m itni info aap logo ko kese, kese man lu ki tumhari kahani jhuti ni, kese ker lu aap logo p m vishwas, jwab do mujhe.

Kese n manu ki khatra mujhe samar bhai se ni balki ap logo se h.

Karan gusse ko pite hue :- m apne dharm or satkarm k marg ko apko sabhit kerne jaruri ni samjhta naina ji.

Lekin aap itna bol hi rahi h to sun lo, ager meri niyat m jara sa bhi khot hota na to , m trishastra k sabse mahatvapurn or antim bhag ko aap ke havale Bilkul na kerta


Ye bol karan jyoti k sath waha se jane laga, tabhi piche mud ker jyoti boli.

Karan :- o naina ji m aapki bhavnao. Ki bahut kadar kerti hu, lekin ek baar swayam apni yojna p vichar avashya ker liniyega, kyunki koi bhi nirnay lene ya yojna banane se purv har tathya ko parakh ker hi kadam uthana ek budhimaan vyakti ki pahachaan hoti h, isliye meri baat p. Avashya vichar kijiyega, kyumki

Kahi esa na ho ki baad m aapko apne is nirnay p pachtana pade.

Jyoti ki baat sun to naina samjhne k bajaye or bhadak uthi or usne apna muh hi fer liya, or waha se vo bhi chali gayi or veer bhi apne kamre m chala gaya




Aaj k liye bas itna

Stay tuned
Bhai yaha to aapas me hi jhagde ho rahe hai.. :buttkick:
 

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
40,562
103,050
304
Top