Ek aur adhyay ka ant hua aakhir kar aur pichlay adhyay ke tarah iska ant dukh per na ho kar mila jhula hua jaha ek taraf bichse huay ke milne aur preety veer ki sagai aur ek hone ki khushi thee to jeewan chakra ke tahat dukh ka pehlu Naina ka naraz hona jaha woh samar ke dokhay ko sach mani hui hain wahi woh karan ko jyoti ke sath madhur sambandh se bhi ersha bhav me Hai. Aur eirsha khud har paap ki janni hain ab dekhna hai ershaa me kaun kaun se paap karege ki Naina aur uske paap per kia dandnayak koi saza dega ya nahi dega. Intezaar rahega Agley adhyay ka jaha ek taraf pura pariwar ek hoga AUR
Naina kul drohi banegi abhi to woh jyoti aur karan ki nazdeekiya bardasht nahi ho rahi hain to jab karan ko itni saari behno ke beech dekhegi to woh aur tapegi.
Ek suggestion hai bhai ab teesra adhyay naye thread me start kariye aur thoda rest le ley waisay to har update me 8 to 10 days Hotey but aap apni problems ko sort out kijiye fresh mind ke sath naya adhyay shuru karey atleast 2 ya 3 update tayyar rakhay phir un ko upload kartey rahay ek gap ke sath magar aisa gap rakhay ki aage usay follow kar Tey rahay