• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Pyare Rishte - Bhai Bahan Ki Pavitra Prem Ka Ek Safar (part 1 and 2 completed) part 3 in running (restart)

Kya mujhe story restart kerni chahiye

  • Ha bilkul

    Votes: 53 89.8%
  • Ni , rahane do

    Votes: 6 10.2%

  • Total voters
    59
15,608
32,143
259
Update no :- 42.
Loction :- kailash.

Yaha per joro shoro se teyari chal rahi thi utsav ki. Or apne kfd to nandi maharaj k piche naha dhoke pad gaye the.

Kfd:- are ye kya nandi ji , jara tivrata se karya kijiye, vo phulo se kalash k dwar ko saja diya gaya kya , or ye kya nandi ji abhi tak bhojan samagri ka bhi purna roop se prabandh ni hua , kya kerte ho aap nandi ji , ye koi sadharan utsav ni h , ye mere gurudev or guru maa k vivah ki saal girah ka utsav h or aap itni laparwahi ker rahe h.

Nandi ji to bechare thak gaye the buri tarah, esa ni tha ki utsah unme kam tha , wo to khud bahut utsahit the samaroh k liye , lekin kfd to unhe kuch shan vishram ka avsar hi ni de rahe the.

Tabhi waha ek awaj gunjati h ,

Kya baat h hamara putra to bahut utsahit h samaroh k liye.

Kfd jab piche mud ker dekhte h to pate h k samne mata saraswati khadi thi.

Kfd turant jaa ker mata saraswati k per chuker bole.

Kfd:- pranam maa .

Mata saraswati :- aayush man bhavah putra , kese ho putra.

Kfd :- sab kushal mangal h ma aapke aashirwad se ,
Or thode bhole pan se apne kaan pakad ke bole.

Kfd :- isse pahale aap bhi mujhe aapse n milne aane k liye date or kan pakde , hum khud hi shama mang lete h mata , aap to janti hi h maa ki gurudev ne hume jo karya pradan kiya h usme hum kitne vyast rahate h.

Mata saraswati ko unki is masum andaaj per bahut prem aata h or vo kfd ko sine se laga ker mamta purvak unka math chum k bolti h.

Mata saraswati :- hum tumse rusht ni h putra , hum bhali bhanti jante h ki tum apni 4ro matao se kitna prem kerte ho , or swayam bhi humse jyada samay tak dur ni rah pate ho ,

Or putra hume garv bhi h ki tumne apne niji jivan se jyada mahatvta apne karm ko di.

Kfd(khush hoke mata sarswati k gale lagte hue ) :- dhanyawad maa , ek aap hi ho jo apne putra ko samjhte ho , anyatha mata lakshmi or guru maa ne to mere kaan suja diye khich khich ker or datti bhi h.

Or apne kano pe bacho ki tarah hath rakh shikayat k lahaze se bola ,jise dekh mata saraswati khil khila ke hasne lagi.

Tabhi piche se ek awaj kfd k kano m padi.

Acha to humara putra apni mata k bare m esa sochta h.

Kfd chonk k piche dekhte h to samne mata lakshmi , bhagwan vishnu or mata parvati or brahma ji samne khade the .

Mata parvati :- dekh rahi ho bhabhi (mata lakshmi) kese hamari burayi ho rahi h.

Mata lakshmi :- ha didi (parvati mata) .

Kfd :- are ni ni guru ma esi koi baat ni h , m to bas .

Kfd bechare kya bole kya na bole na bole samjh ni aaraha tha

Mata lakshmi :- m to bas kya putra bolo .
Or unhone apna hath aage kiya or turant unke hatho m ek chadi aagayi .

Or esa hi mata parvati ne bhi kiya.

Kfd :- narayan , braham dev kuch boliye na mata ko.

Brahma :- are ni putra , ye tum mata putra ka niji sandarbh h , hame kyu fasa rahe ho .

Ab to kfd k pas ek hi rasta bacha tha , wo tha bhagne ka , or wo ek taraf bhagne lage ,lekin wo jis or jate , usi disha m mata parwati ya mata lakshmi ko pate.

Tabhi unhe ek disha se ganesh ji aate hue dikhe , ganesh ji ko dekh kfd ko ek asha ki kiran najar aati h.

Or wo bhag k unke pass pahunchte h .

Ganesh ji :- are bhrata shri kya hua , aap yu dod kyu rahe ho.

Kfd:- acha hua ganesh ji aap aagaye , apne guru bhrata ki raksha kijiye.

Ganesh ji apna hath age kerte h or unke hatho m unka parshu (axe) aajata h .

Ganesh ji (ghmabhirta k sath ) :- kiska itna dussahas hua bhrata shri ki unhone ganesh k bharata ko tang kiya, naam bataiye uska.

Mata parvati( piche se ) :- tumhare bhrata shri humse bach ker bhag rahe h ganesh.

Ganesh ji (apne parshu ko wapis lootate hue) :- are maa or mami shri aap,

Fir kfd ko dhire se unke kan me bole.

Ganesh ji :- ye kya bhrata shri khud to fase hi fase , apne anuj ko bhi fasa liya.

Mata lakshmi :- apne anuj k piche kya chup rahe ho bachu , chalo idher aao.

Akhir m kfd ko haar manni hi padi , fir dono matao ne ache se unki khabar li , lekin pyaar se.

Mata saraswati , lakshmi or parwati 3no hi kfd ko apna putra manti h kyunki kfd tridevo k hi srijan h.

3no hi kfd se bahut prem kerti h , 3no ek hone k bavjood bhi kitne bhin h dekho .

mata saraswati shant or sidhe swabhav ki h , unme krodh ka lesh matra ansh bhi ni h.

Mata lakshmi bhi bahut hi shant swabhav ki h parantu sath m thodi chanchal or natkhat bhi h,

Or wahi
mata parvati jo shakshat jagat janni maha maya h , mamta ki sakshat moorat h , ye sabse jyada kfd se hi prem kerti h apne putro m lekin sath sath anushasan priya bhi h .

Phir thodi der ese hi kfd k kaan khichayi k bad mata parvati pyar se unke chahre ko sahalate hue boli.

Mata parwati :- tanik vishram bhi ker lo putra , prabhat se hi tum bina an jal grahan kiye , samarth ki teyariyo m lage ho.

Nandi ji bhi vaha bhag k aate or shikayat kerte hue bolte h.

Nandi ji :- ha mata ,na subah se khud vishram ker rahe h na hame kerne de rahe h, hamari to chodiye khud bhi bhojan ni kiya , mane kitni baar kaha aap to tanik vishram ker bhojan ker lijiye per ni.

Nandi ji ki is andaj me shikayat sun sab hasne lagte h or khush bhi hote h ki nandi ji k dil m kfd k liye kitna samman h.

Tabhi kfd bolte h

Kfd :- are ye kya guru maa aap gurudev ko vaha akela chod aagaye , mane kaha tha na ye samaroh aap dono k liye bahut vishesh hoga , or shivratri tak aap dono kailash ni aasakte .

Mata parvati :- putra m to bas ye dekhne aayi thi ki yaha ki vyavastha kesi chal rahi h.or acha hua m yaha aagayi tum yaha samaroh k intezamo k chakar m apna dhyan to rakh hi ni rahe ho, chalo mere sath or bhojan kero.

Mata lakshmi :- humara putra bilkul sahi kah raha h didi , aapko bhaiya mahadev ko yu akela ni chod k ana chahiye tha, kahi vo samadhi m beth gaye to , or ap to janti ho ki unki samadhi kitne varsho tak chalti h , is tarah to hamare putra ka sara parishram hi vyarth ho jayega.

Or aap iski chinta mat kijiye ab hum yaha aagaye h na , hum apke putr ka ache se dhyan rakhenge. Aap turant mansarovar ki or wapas prasthan kijiye.putra ganesh jao apni mata ko waha chod aao.

Ganesh ji :- jo aagya mami shri.

Tabhi kfd ek shararti muskan haste h or fir bhola chahara banate hue lakshmi ji se bole.

Kfd :- mata kuch kijiye na , bahut hi tivra shudha (bhuk) lagi h.

Mata lakshmi puchkarte hue boli

Lakshmi ji:- ha chalo putra m tumhe apne hatho se bhojan karati hu.

Kfd apna dav khelte hue :- parantu mata is karya ka kya , abhi to bahut se prabandh baki h.

Lakshmi ji bhi kfd ka khel samjh jati h or unki shararat m sath dete hue bolti h.

Lakshmi ji :- uski chinta mat kero putra , ye karya sambhalne k liye or bhi log h yaha.



Narayan jo ye sab dekh ker anand le rahe the. Lakshmi ji unhe yu hasta dekh bolti h.

Lakshmi ji :- aap yu khade khade kya anand le rahe h ,chaliye jab tak hum apne putra ko bhojan kerwa rahe h tab tak aap nandi ki sahaayata kijie.

Saraswati ji(brahma ji se) :- ha swami aap bhi bhaiya narayan ki sahayta kare.

Narayan :- jesi dharm patni ki aagya. Chaliye braham dev kfd ne to aaj acha fasaya h .

Kfd (haste hue) :- kyu prabhu , ab bhugatiye apne bhakt ki sahayata na kerne ka anjam.

Or fir sabhi apne apne karyo m lag jate h.

Location (earth) .

Karan sabhi k sath jese hi sabke sath priya k ghar pahunchte h to karan ki ankhe gusse se lal ho jati h.

Kyunki 3 4 aadmi gita(priya ki maa) ko dhamka rahe the or badtamiji ker rahe the.

Gita (rote hue hath jod ker ) :- malik kripya hume is ghar se mat nikalo , bas ek hafte ki mohalat dedo .m aapka sara kiraya de dungi.werna m apni choti bachi k sath kaha jayngi malik.

4 ro me se ek admi us kache makan ka malik tha, jaha priya or gita rahati thi. Ye ek ghatiya kism ka admi tha jiski buri niyat gita p thi.

Mm:- dekh gita m pahale hi 4 mahine ruk chuka hu or ji ya to tumhara mera sara kiraya de ya abhi k abhi ye ghar khali ker de .

Gita :- malik kripya esa mat kijiye , bhala m vidhwa apni beti k sath kaha jaungi.

Mm apni okat pe aajata h or gita ki chatiyo ko ghurte hue bola .

Mm :- wese ek rasta h gita , ager tu mujhe ek raat k liye khush ker de to

Abhi usne itna hi bola tha ki gita ek jhanate dar thapad uske gal p chipka deti h.

Gita :- kamine teri himmat kese hui ek pativrata nari k bare m esa sochne ki.

Mm (gusse se) :- kamini mujh pe hath utathi h ruk sali ab dekh m tera kya hashra kerta hu , teri ijjat aaj yahi sab k samne lutunga itna bol vo apne admiyo ko ishara kerta h .

Or wo aadmi jese hi gita ki.or bad uski taraf hath le jane hi wake hote h. Ek jabardast spin kick dono k jabdo pe padhti h or wo kafi dur ja ker dir k behosh ho jate h.

Ye kick karan ne mari thi . Karan ko yaha dekh gita khush or heran dono hoti h.

Fir karan jaker mm ka gala pakad ke dahadta hue chothe admi se bolta h .

Karan:- ager jan pyari h to apne in dono kuto ko leker yaha se bhag ja kamine.

Itna sun ke hi us bande ki gand fat jati h or wo kese na kese un dono ko hosh m lata h, undono k aage k sare daat sahid ho gaye the , or unhe leker bhag jata h .

Karan mm ko gale se pakad ker hava me utha deta or bolta h.

Karan :- haram jade teri ye majal ki tune meri masi ma pe buri najar dali , kute aaj tu jinda ni bachega.

Ye bol karan uska gala jor se dabane lagta h , jisse mm chatpatane lagta h. Ye dekh gita dar jati h kahi karan sach m na use maar de or wo dod k karan k pas aati h or bolti h.

Gita :- beta chod de use , vo mar jayega.

Karan :- ni masi ma , is kamine ki himmat kese hui aap per buri najar dalne ki . Ye aaj ni bachega.

Gita :- ni beta ese ni bolte , apni masi ki bat man beta , tujhe meri kasam .

Karan itna sun use chod deta h , or mm jamin pe gir ker jor jor se khasne lagta h or sans lene lagta h .

Priya ye sab dekh ke bahut dar gayi thi or jyoti se chipak gayi thi or usne jese hi thoda mahol shant hote dekha wo dod k apni maa k gale lag k rone lagi. Or gita use chup karane lagi.

Radha bhi gusse m mm k pass jati h or gusse m use ek thappad marke puchti h.

Radha :- bol kute kitna kiraya baki h hamari masi ma ka.

Mm dar se kamptee hue :- 7000.

Radha apne purse se rs nikal ker uske muh pe marke bolti h .

Radha :- le haramjade tere rs or kal tak tera ghar bhi khali ho jayega.

Ye sun mm waha se dum daba k bhag jata h.

Fir karan or jyoti radha 3no gita k per chuke aashirwad lete h , or karan gita ko radha se milwata h .

Gita (tension se) :- ye tune kya kiya beti , tune ghar khali kerne ka kyu bola , ab hum ma beti kaha jayengi.

Radha:- masi ma aap or meri ye pyari gudiya abse mere sath rahenge ap chinta mat kijiye .

Gita :- per beti hum tumhare kese , hum to chote log h.

Radha:- ye chota bada m bi janti , m to bas itna janti hu ki aap meri masi maa h , aaj se aap hamare sath hi rahogi , aap bas meri mummy ki ghar m help kerna masi , wo bechari akele hi ghar k sabhi kamo ko kerti h , or jyadater akeli hi rahati h. Or aap ager mujhe sach me beti mante ho to na ni karogi.

Gita :- thik h jesa tumhe sahi lage meri bachi.

Radha gita ko gale lagate hue .

Gita :- thank u masi ma.

Radha k is nek kaam ko dekh karan or jyoti ko bahut garv hota h apni bahan per. Bhale hi radha unki sagi bahan ni thi na hi usse khun ka rishta tha unka, lekin karan or jyoti k dil m usne sagi bahan se bhi badh ker ek khas jagah bana li thi.

Fir sabhi gita ki madad kerte h unka saman bandhne m or fir sabhi car m beth nikal jate h karan ke ghar ki .

Karan radha ko gadi k sath hi uske ghar tak chodne chalta h or jyoti uski activa p piche piche aati h or fir wo dono radha ko uske ghar chod ker wapas apne ghar aajate h .

Radha to kafi unhe ander ane ko bolti h per karan or jyoti ko shivani ko school se lene jana tha . Isliye wo baad m ane ka bol waha se nikal jate h.

Aaj k liye bas itna hi .

Stay tuned.
Ab dekhte h ki kya special intezam kiya h kfd ne , mahadev or mata parwati k liye, kya baate hogi hm se lunch per , or kese karega karan shivratri k utsav ka intezaam , janne k liye sath bane rahe
nice update ..kfd ne vishnu aur bramha ko kailash ke kaamo me fansa diya 🤣.
aur radha ne gita aur priya ko apne saath rehne ko bolkar achchai dikhayi hai aur usme paise ka jara bhi ghamand nahi hai 😍..
 
15,608
32,143
259
Update no :- 43
Radha :- chaliye masi maa .

Gita bichari itne bade ghar ko dekh hichkicha rahi thi.

Radha:- masi ma chaliye naa ab se ye aapka bhi ghar h .

Or fir radha priya ko god m leker gita ka hath pakad k ghar m enter kerti h.

Priya to itna bada ghar dekh k bahut khush thi.

Tabhi garima kamre se bahar aati h or radha k sath kisi anjaan ko dekh puchti h.

Garima:- are beta ye tumhare sath kon h

Radha :- mummy ye gita masi h or abse ye hamare sath hi rahenge.

Or fir radha apni maa ko saari baate bata deti h jo bhi aaj hua.

Garima ko apni beti p bahut garv hota h

Garima:- bilkul sahi kiya tumne meri bachi , bahan aaj se tum hamare sath hi rahogi ,

Gita emotional hote hue garima k per pakdne wali hoti h ki garima use rok leti h.

Garima:- are are ye kya ker rahi h aap.

Gita :- mujhe chu lene dijiye apne per mem sahab , aapka hriday kitna vishal h ki hum garib maa beti ko itna sahara de rahi ho.

Garima:- esa mat bolo bahan , meri beti ne tumhe masi bola h , is naate tum meri choti bahan hi hui , or aaj se tum mujhe mem sahab ni didi bologi, meri bachpan se hi khawaish thi ki kash meri bhi ek bahan hoti , akhir bhagwan ne aaj meri sun li,

Or itna bol ker garima ne gita ko gale laga liya, or usko pyaar se chup karane lagi.

Fir thodi der baad garima ki najar priya p padhti h ,

Garima(pyar se ) :- ale m to humari pyari dol ko bhul hi gayi. Ider aao beta .

Priya gita ki or dekhti h jese permission le rahi ho , gita gardan hila k ha bol deti h.priya dhire dhire garima k paas jati h or garima turant use god m leleti h.

Garima:- aap to bahut cute ho , naam kya h aapka beta.

Priya:- priya.

Garima :- are wah bahut hi pyara naam h bilkul aapki tarah.

Konsi class m ho aap.

Ye sunke priya udaas ho jati h or garima gita ki or sawaliya najaro se dekhti h.

Gita :- kya batau didi jab hum ganw me the , tab iske papa bhi jinda the,or ye ek school m jati thi 2nd class tak padhai bhi ki , lekin iske papa k jane k baad hum shahar aagaye kaam ki talash me, lekin m abhagin maa apni bachi ko padhana to dur , is bichari ko pet bhar khana bhi ni khila pati ,

Ulta meri bachi hi apni maa ki madad kerti h road p phool wagerah bech ker .

Garima ko bahut dukh hota h ye sab sun k .

Garima:- ro mat bahan , ab teri didi tere sath h, or beta aap firse school jana chahogi.

Priya ha m sir hilati h.

Garima:- to thik h abse meri dusri beti bhi padhegi or doctor banegi, radha beti kal tum apni choti bahan ka admission kerwa dena school m

Priya ye sun ke bahut khush ho jati h or garima k gaal chum k bolti h.

Priya :- thank you aunty.

Garima:- beta aunty ni , aaj se tum mujhe mosi bologi , thik h na.

Priya :- ji mosi.

Or fir garima bhi priya k galo ko chum leti h.

Gita(hath jodte hue) :- m aapka ahasan kese chuka paungi didi .

Garima :- hat pagal , didi bhi bolti h or esi bat bhi kerti h, bhala koi badi bahan apni choti bahan p koi ahasan kerti h kya.

Garima:- radha beta , apni mosi ko unka room dikha do.

Radha :- ok mummy , or haa masi ye meri pyari doll mere sath mere room m rahegi.

Gita :- beta tumhari hi gudiya h , tum chahe jese rakho apni gudiya ko.

Fir sab mil ker gita ka jo bhi thoda bahut saman tha , wo uske room me sift ker diya tha.or garima ne kuch naye kapde bhi diye gita ko.

Radha ye sari baate phone kerke karan ko batati h or priya k admission ki baat kerti h.

Karan :- are wah gudiya ye to bahut acha kiya aunty ne , esa kerte h priya ka admission shivani k school m hi kerwa dete h.

Radha:- ok bhai kal milte h fir, good night bhaiya.

Karan :- good night chutki.

Agle din hi karan or jyoti principal se baat kerke priya ka admission kerwa dete h .

Isi tarah sunday bhi aajata h .

Karan or jyoti teyar ho hi rahe the ki radha ka phone aata h.

Radha :- good morning bhaiya aap ready ho na.

Karan :- ha gudiya hum dono ready h .

Radha :- ok bhai m 10 min m pahunch rahi hu.

Karan :- ok

10 min baad radha karan or jyoti ko lene aajati h .

Or fir wo 3no nikal jate h hm k ghar raste m karan gadi rukwata h.

Radha :- kya hua bhaiya.

Karan:- wo samne ki shop se mithai lene ja raha hu gudiya pahali baar uncle ghar jaa rahu na to khali hath jana acha ni lagta.

Or fir karan shop se 2 killo ladoo kharid leta h or nikal jate h hm k ghar ki or .

Guards radha ki gadi ko pahachanate the isliye unhone ni roka or gadi main gate enter ker di.

Hm apne garden m hi betha tha or radha hm ko dekhti h us ke pas dod k jati h or hm bhi usko aata dekh bahe fela deta h apni or radha uske gale lag jati h.

Hm :- kesi h meri bachi .

Radha:- ek dam mast or aap .

Hm :- bas beta sab badiya.

Radha k piche karan or jyoti bhi vaha pahunchte h or uska aashirwad lete h.

Hm :- khush raho bacho, aao beta betho.

Wo sab waha rakhi chairs p beth the h.or thodi bahut normal baato k baad hm bola.

Hm :- wese manna padega beta tumhare dimag or bahaduri ko ek mahine m tumne itne bade bade kam ker dikhaye wo bhi ek ni 3-3.

Radha;:- 3 konse bhai ek to m samjh gayi .

Karan bichara ab kya bolta, usne jo bhi baate chupayi thi radha se akhir m use sab batana pada .

Radha(rote hue) :- bhai aap dono k sath itna kuch ho gaya or aapne mujhe batana bhi jaruri ni samjha akhir kyu, isliye hi na ki m aap dono ki sagi bahan ni hu .

Radha ne ye baat bol to di lekin ye baat karan or jyoti k dil p tir ki tarah lagi.

Karan ghutno p beth bolta h ruasi awaj me .

Karan :- bhagwan k liye esa to mat bol gudiya, mane bas isliye ye baate chupai ki tujhe koi tension na ho or tu insab ka jimedar khud ko hi samjhti or dukhi hoti jo m bilkul ni chahata tha.

Or mere mahadev gawah h is baat k ki mane kabhi tere m or jyoti m koi farak kiya ho to.

Fir bhi tujhe bura laga to m hath jod k mafi mangta hu gudiya per please esa to mat bol.

Or itna bol k wo hath jod leta h.

Radha ko khud pe bahut gussa aata h ki jo bhai usse itna pyaar kerta h uske dil ko mane itni ghatiya baat bol k thes pahunchayi.

Wo rote hue karan k gale lag jati h or bolti h.

Radha :- bhaiya please mujhe maaf ker do , mujhse bahut badi galti ho gayi , chahe to mujhe do 3 thappad mar lo , koi bhi saza dedo per please ese hath mat jodo,

Or ese hi na jane kya kya wo bolti ja rahi thi, uski awaj or chahare se hi pata chal raha tha ki wo pashchatap ki aag me jal rahi h.

Karan :- chup ho ja mera bacha , chup hoja , tujhe mafi mangne ki jarurat ni h meri gudiya , m janta hu tu mujhse kitna pyaar kerti h or tension m wo sab bol gayi , m tujhse naraj ni hu mera bacha, chup ho jao bas ab.

Radha:- bhai aap sach much mahan ho , mere itni ghatiya iljam lagane pe bhi itni aasani se maaf ker diya aapne .


Karan (pyaar se uske galo ko sahalate hue uske ansu puch ker ) :- betu m tumse gussa hi kab hua , tu to meri or jyoti ki jaan h , or bhala apni jaan se koi ruth sakta h kya, ha pahale dukh to bahut hua per fir socha tune bas gusse me wo baat boli h tere dil m esa kuch bhi ni h.

Fir karan or jyoti kese na kese radha ko normal kerte h .

Hm ki bhi ankho m pani aagaya tha insab ka pyaar dekh ke .

hm :-bolta aao beta chalo lunch ka time ho gaya h.

Fir wo charo ghar k ander jate h

Hm :- are sunti ho bhagwan, jin mahaman k baare m tumhe bataya tha , wo aagaye h.

Hm ki wife ka nam hina h .

Jese hi hina kitchen se bahar aati h to karan ko dekh chok ke bolti h.

Hina:- are beta aap yaha.

Karan bhi jese hi hina ko dekhta h use pahachan jata h.

Karan :- aunty aap.

Hm :- beta aap ek dusre ko jante ho.

Hina:- han ji , aapko bataya tha na us din ka incident.

Flashback .

Hua yu tha ki ek din hina bina kisi security k mandir gayi hui thi , or puja kerke jese hi car m bethne jaa rahi thi , to ek chor uska purse leke bhag gaya or hina jese hi uske piche dodi to ek gadi se takra gayi.

Or wahi gir gayi uske mathe se khun bahane laga ,. Wo puri tarah behosh ni hui thior madad ki guhar ker rahe the, wo mandir thoda shahar k bahari ilake me tha to waha kam hi log aaya jaya kerte the , hina bhi kisi mannat k pure hone p aayi thi.

Tabhi karan jo kisi kaam se usi taraf
Aaya hua tha uski nazar hina p padti h.

Karan dod ke uske pass jata h or dekhta h , ye sab to sabse pahale hina k sir p pati kerta h, lekin hina ki ankhe dhire dhire band ho rahi thi, karan ko tension ho raha tha ki vo bike p unhe kese jaye ,tabhi hina use car ki taraf ishara kerti h or behosh ho jati h.

Karan uska ishara samjh jata h or kese na kese unhe car ki back seat pe leta ker hospital ki or gadi doda deta h , karib 20 min k baad wo hospital pahuch jata h .

Or jaldi se compunder k sath stracher p leke jata h hina ko ander.

Doctor hina ko check kerke bolta h

Doctor :- ghabrane ki jarurat ni h bas kamzori or khun bahane se behosh hui h.

Nurse :- doctor ek problem h , inke blood group ki bottle hospital m ni h.

Karan :- aap chahe to mera khun le sakti ho.

Or coincidencly blood group match bhi ho jata h. Or karan ka blood use chada diya jata h. Karan ko bhi thodi der ek room m rest k liye doctor bhej deta h , karib 1.30 baad hina ko hosh aajata h, nurse ye baat aaker karan ko batati h to wo chal padta h hina k paas.

Karan :- ab kesi h aapki tabiyat aunty .

Hina:- ab thik h beta , tumhara bahut bahut shukriya , aaj k jamane m jaha koi apno ki madad ni kerta , lekin tumne anjaan hote hue bhi meri itni madad ki or apna blood donate kiya, m tumhara aahasan kese chukaungi beta.

Karan :- aunty beta bhi bolte ho shukriya kerti ho, aapko kuch dena hi h to apna aashirwad dedijiye yahi bahut h mere liye

Ye bol k wo hina k per chuta h .

Hina :- ayush man bhava beta.

Tabhi karan ko jyoti ka call aata h.

Jyoti(khaste hue) :- hello bhai kaha ho aap itni der ho gayi aaye ni .

Karan ko tab jake time yaad aata h, hua yu tha ki jyoti ki tabiyat kharab thi lekin ek jaruri kam se karan ko dusre shahar jana pada tha .

Karan fir hina ko apne jane ka bolta h , hina rukne ka to bahut bolti h apne husband k aane tak, per karan ni mana or kese na kese ghar nikal gaya.

Flashback end.
Hina karan ko gale lagake ek baar fir shukriya bolti h.Hm ye sun ke ek baar fir ahasan manta h karan ka .Fir sabhi mil k lunch kerte h or thodi bahut bate bhi.

Fir karan bolta h.

Karan :- acha uncle ab hume chalna chahiye.

Hm :- ruko beta ek min.

Fir hm apne room se ek packet laker dete h.

Karan :- ye kya h uncle.

Hm :- ye beta tumhara inaam h , govt ki or se drugs ko pakadwane k liye.1000000 rs , pakdwaye gaye drugs ka 2%

Karan :- ni uncle m ye ni le sakta , mane ye sab inaam k liye ni kiya.

Hm :- beta rakh lo ise ye tumhari imandari or desh k prati imandari ka inam h.

Radha:- ha bhai rakh lijiye , aap bhul gaye aapne kya kaha tha ki mahadev khud help karenge shivratri k program k liye.

Karan ko bhi ye baat sahi lagti h or wo pese rakh leta h.

Hina :- kesa program radha beti.

Karan fir use sari baate or program m kya hone wala h details m batata h.

Hina :- shabas beta tum bahut nek kam kerne ja rahe ho , isliye m bhi contribute kerna chahungi,meri taraf se ek lakh rs ka chanda swikar kero beta.

Or wo 100000 rs laker deti h, karan or jyoti bahut khush the kyunki mahashivratri k liye unke paas ummid se jyada donation aagaya tha.

Aaj k liye bas itna hi

Stay tuned
nice update ..priya ka admission bhi ho gaya ab wo bhi padhai karegi .
karan ne to minister ki biwi ki bhi madad ki thi ..ab 10 lakh mil gaye karan ko to lagta hai mahashivratri jor shor se manayi jayegi .
aur hina ne bhi 1 lakh diye .bahgwan apne bhakt ki madad karne aa hi jaate hai aur unki samasya bhi suljha dete hai bas dil me khot nahi honi chahiye ..
 

Veraj

Member
284
676
108
Bhai ab kya ho Gaya Jo update nahi a Raha hai bhot din ho Gaye Bhai ya bata de ke ab update Nahi aye ge to sab intezar na Kare update Ka
 
15,608
32,143
259
Update no :- 44.
Karan jyoti or radha 3no khushi khushi hm or hina se vida lete h.

Fir karan or jyoti ko radha unke ghar pe chod deti h or apne ghar p nikal jati h.

Jese hi ghar m wo enter kerte h to , shivani unhe hall me hi mil jati h.wo waha per tv pe horror picture dekh rahi thi.or thoda thoda dar bhi rahi thi ,usko abhi ahasas ni hua tha ki karan or jyoti aachuke,tabhi karan ko ek shararat sujhti h.

Sham ka time ho chuka tha to kafi had tak andhera bhi ho gaya tha , to jyoti ko chupke se ishara ker ke chup rahane k liye kahata h , or chupke se uke sofe k piche jata h or dhire se chutki bajata h, jisse ghar ki sari lights band chalu hone lag jati h.

Shivani k to tote ud jate h ye sab dekh ker , or isse pahale shivani uthkar kuch kerne ki soche. Tabhi karan jhat se uske piche se aaker kaan k pass bolta h.

Karan :- booo

Shivani mummy bolte hue sare ghar m idher udher donde lagti h.

Shivani :- bhoot bhoot , koi to bachao.

Karan or jyoti shivani ka ye reaction dekh k jor jor se hasne lagte h, or jab shivani ki najar unpe padti h to pahale to chok jati h, fir sara mamla samjh ke gusse se unke piche dodti h.

Shivani :- bhaiya , didi ruko aaaj m aap dono ko ni chodungi , esa bhi koi majak koi kerta h kya.

Jyoti :- are mane kuch ni kiya , ye to bhai ne kiya

Shivani :- lekin aapne bhaiya ka sath to diya na aap dono aaj ni bachoge.

Jyoti bhi aaj full masti k mood m thi wo jaldi se apne kamre m jaker door band ker leti h.

Karan bichara bahar hi rah jata h or majak me darwaza pitte hue bolta h.

Karan :- gate kholo gudiya , mujhe bacha.

Jyoti :- (maje lete hue) ni bhai mane gate khola to shivani bhi ander aajayegi or mujhe pitna ni h.

Karan abhi aage kuch bolta itne m shivani vaha pahuch gayi or apni kalayi ko marodte hue boli.

Shivani :- wo to bach gayi , lekin ab tera kya hoga kaliya .

Karan (jhut mut ka darte hue) :- maaf ker do sardaar , humne aapko har roj chocolate khilaya h.

Shivani :- to ab mukke khao.

Or ye bol k tut padi karan pe or ker di mukko ki barsat , karan majak majak m bachao bachao chilane laga.Or thodi der ki dhulayi k baad shivani ne use choda .Itne m shivani bhi bahar aake ye sab dekh k maze le leke has rahi thi.

Karan jhut mut ka muh fula ke bolta h.

Karan(jyoti se) :-
acha sila dia tune mere pyaar ka , bahan ne hi bhurta banwa diya apne bhai ka.

Jyoti jor jor se hasne lagi or boli .

Jyoti :- bas bahut ho gayi notanki , aap betho m dinner banati hu.

Shivani :- ni di uski jarurat ni h.

Karan :- kyu.

Shivani :- wo mummy banake ja chuki h pahale hi bahut sara khana unhonne bola to kuch ni , per mujhe lagta h ye unhone aapki liye bhi banaya h.

Karan ispe kuch ni bolta usko dar tha kahi jyoti ka krodh firse jagrit na ho jaye.

Fir sab sath beth ker dinner kerne lagte h , itne saalo baad apni choti ma k hatho ka bana khana khaker unki ankho m pani aajata h.

Fir dinner ker sab dinner kerke jaldi sone chale jate h , kyunki kal se sab shivratri ki teyariyo k liye mandir jo jana tha.

Agle din 3no bhai bahan jaldi uthkar teyar ho jate h or mandir ki or nikal jate h or puja shuru kerte h itne m radha , riya , rohan or priya bhi waha pahunch jate h.

Fir karan jaker pandit ji se milta h.

Pandit ji :- beta koi intezam hua kya.

Karan :- ha pandit ji , mane kaha tha na bholenath hamari sahayta jarur karenge .

Or karan unhe sari baate batata h or pese unhe dene lagta h pandit ji kuch soch k bolte h.

Pandit ji :- beta ye tum filhal apne pass hi rakho , kyunki har sal ki tarah sari teyariya to tumhe or jyoti ko hi kerni h na.

Karan ko bhi ye baat sahi lagti h or wo lag jate h teyariyo m . Parso hi mahashivratri thi. To sab lag gaye apne apne kaam m. Sab lag gaye apne apne kam me, jese mandir ki saaf safayi sajawat or us special kam ki teyari m bhi .

Karib 3 ghante ki mahanat k baad sab thoda rest k liye mandir k angan m bethathe h.

Tabhi priya bolti h .

Priya :- bhaiya , ye sab teyariya kyu ker rahe.

Karan :- beta , kyunki parso mahashivratri h na , shivji ka sabse bada festival to uske celebration k liye.

Priya :- bhai , hum ye festival kis liye manate h.

Jyoti :- iske do kaaran h

1:- kyunki isi din mahadev sakar rup m prakat hue the.

2 :- isi din bhagwan shiv or mata parvati ki shadi hui thi.

Shivani :- bhai mane suna tha ki shiv ji to veragi the , to unki shadi kese hui.

Karan :- iske piche ek lambhi kahani h.

Priya (pyaar se ) :- to sunaiye na bhaiya please.

Karan priya k gal chum k bolta h

Karan :- ok betu.

Note :- shiv vivah ki ye story av start hone ja rahi h, use suna to karan raha h , lekin m third person k tor p likhunga.


Ye baat tabki h jab bhagwan sa
shiv ne srishti rachna k baad sabko sabke kaam baat diye . Tab mata aadishakti unke pas jaker bolti h.

Adishakti :- swami aapne sabhi ko unke karya pradan ker diye h or swayam bhi nirakar se sakar ho gaye h parantu ab hamara milan kab or kese hoga , kyunki m to prakrti hu, aapke dwara sope gaye kartavya ko purn kerne k liye aapse vimukh hona hoga.

Mahadev :- aap tanik bhi udaas na ho priye , humara milan bhavishya m shighra hi hoga lekin uske liye aapko bhi sakar rup lena hoga, m bhi kaha sukhi hu aapse dur ho ker priye , aakhir shakti k bina shiv bhi to shav hi h. Isliye he devi aap shighra hi prasthan kijiye, taki hamara milan shighra ho sake , m. Vachan deta hu , ki aapki aane ki pratiksha mujhe sadaiv rahegi.

Mata aadishakti mahadev se aashirwad le vaha se anter dhyan ho jati . Or mahadev apni samadhi m chale jate h.

Or mata aadishakti braham dev ki sahayata kerne m lag jati h. Fir janm hota h devo or danvo ka .

Ek samay ki baat h tarkasur namka rakshas ek per p khada ho ker mahadev ki tapasya m laga hua tha. Uski tapasya ko kayi hajar varsh ho gaye the lekin vo tapasya se tas se mas na hua , chintiyo (ants) ne uspe apna ghar bana liya tha.

Uski itni kathin or ghor tapasya dekh bhagwan bholenath prasan ho gaye .Or uske samne prakat ho ker pahale to uske halat ko sahi kiya or bole.


Mahadev:- ankhe kholo tarkasur , hum tumhari tapasya se prasan h putra.

Tarkasur jese hi ankhe kholke apne samne mahadev ko dekh ke khushi k mare unke pero m gir k unke pero ko chute hue bola.


Tarkasur:- akhir kar aap prasan ho hi gaye prabhu , m to dhanya ho gaya aapke darshan pake .

Mahadev :- utho tarkasur, mango kis abhisht var ki kamna h tumhari .

Tarakasur(har asur ki tarah natak kerte hue):- prabhu apke darshan ki hi meri to kamna thi , jo aaj puri ho gayi , parantu ager aap mujhe kuch dena hi chahate h to prabhu mujhe amaratv pradan kijiye prabhu, yamraj ka kaal phas mujhe chu bhi na paye esa vardan dijie prabhu.

Mahadev (muskurate hue) :- putra ye asambhav h , jisne janm liya uski mrityu bhi nishchit h, isliye amaratv k alawa kuch bhi mang lo putra.

Tarkasur kuch sochte hue bola .

Tarkasur :- thik h prabhu ager aap mujhe kuch dena hi chahate h to mujhe ye var dijiye , ki ager mera ant ho to keval aapke sage putra k hatho.

Mahadev:- ek baar punar vichar ker lo tarkasur , kya tumhe yahi var chahiye.

Tarkasur :- ha prabhu meri yahi icha h , denge na prabhu ye vardan prabhu aap.

Mahadev :- tathastu putra ! Parantu apne is vardan ka kabhi durupyog mat kerna.

Ye bol mahadev vaha se antardhyan ho jate h.unke jate hi tarkasur jor jor se haste hue bolta h.

Tarkasur:- satya hi kahate h sabhi , mahadev sach m hi bahut bholeh , bholenath h vo . Apne putra k hatho k vardan deker , unhonne mujhe vese hi amar bana diya.

kyunki mahadev to thahre veragi, or veragi kabhi vivah ni kerte . Or jab unka vivah hi ni hoga to putra kaha se aayega.

Ye sab bol wo waha se nikal jata h patal lok or apni vishal sena le 3no loko m hahakar macha deta h.

Mahadev k vardan ki vajah se koi bhi dev ,manushya , uske aage ni tik pate.

Sabhi dev ek sath braham dev k pass pahunchte h

Devraj :- raksha kijiye pitamah, raksha kijiye , dusht tarkasur mahadev se vardan paker ajay ho chuka h bhagwan, koi bhi uske samna ni ker paraha prabhu, 3no loko m hahakar macha hua h prabhu , kuch kijiye.

Brahama ji kuch soch ker bole.

Brahma ji :- he devo ! Aap sab nishchit ho ke apne apne lok ko prasthan kijiye , hum shighra hi kuch karenge.

Ye sun sab dev khush or santusht ho apne apne lok ko nikal jate h.

Or brahama ji apne karya m lag jate h.


Aaj k liye bas itna hi.

Stay tuned
nice update ..mahashivratri ki kahani lagta hai mast hogi ..
tarkasur ko vardan de diya ki uski mrityu apne putra ke haatho hogi par shiv vairagi hai ,,ab dekhte hai bramhadev kya upay karte hai tarkasur ki mrityu ka 🤔.
 
15,608
32,143
259
Update no :- 45.
Devo ko wapis lotane k baad braham dev soch m pad jaate h ki wo kya kare .

Tabhi unhe bhagwan vishnu ka dhyan aata h or vo braham lok se antardhyan ho pahunch jate h.

Braham dev :- pranam narayan .

Narayan :- aaiye braham dev , baikunth m apka hardik swagat h.kajiye kese aana hua

Braham dev:- he narayan ! Aap to antaryami h , aapse bhala kya chupa h, aap to jante hi h ki m tadkasur ki samasya k nivaran k liye aaya hu, mera marg prashast kijiye kamal nayan

Narayan (muskurate hue) :-he braham dev , is sansar ka pratyek vyakti apna patan ya udhar swayam apne karmo se hi nirdharit kerta h.

Esa hi tadkasur ne bhi kiya .Uska ant avashya hoga.

Braham dev :- parantu kese narayan ! Mahadev vivah k liye kabhi sajj na honge.

Narayan :- aap bhul gaye braham dev , srishti rachna k samya , unhone devi aadishakti ko jo vachan diya tha.

Ab us vachan k purn hone ka samay aagaya h us vachan k purn hone ka.

Brahm dev :- vo kese narayan .

Narayan :- uska upaay m aapko batata hu .

Fir narayan unhe wo upaay batate h, brahma ji upaay sun ati prasann hote h or apne lok ki or nikal jate h.

Or apne lok m pahunch apne manas putra prajapati daksh ka samaran kerte h.

Prajapati daksh brahama ji k manas putra h , jinhone is sansar ko niyam or sanskriti pradan ki,or praja k paalan kerne k kaaran inhe prajapati ki upadhi praapt hui .

Daksh :- pranam pita shri.

Brahama :- kalyan ho vats.

Daksh :- apne is putra k liye kya aagya h pita shri.

Braham ji :- putra tumhe jan kalyan or k liye ek mahan udeshya ko purn kerne k liye , mera ek karya kerna h.

Daksh :- aagya dijiye pitaji

Braham ji :- putra tumhe kathor tap ker maa adishakti ko prasan kerna hoga . Or ek var mangna h.

Daksh:- kesa var pitaji

Braham dev sari baat samjha dete h .

Daksh (ati prasan hote hue) :- jo aagya pita shri , ye to mera sobhagya h ki aapne is mahan karya k liye mujhe chuna.

Or itna bol vo brahama ji se aagya le ker nikal padta h , tap k liye.

Or ek shant jagah p jaker dhyan me beth ker daksh tap me beth gaye.or man hi man maa k is manta ka uchcharan kerne lage.

या देवी सर्वभूतेषु मातृ-रूपेण संस्थिता। नमस्तस्यै नमस्तस्यै नमस्तस्यै नमो नमः॥

Unhonne kayi hajaro varsho tak bina ann jal grahan kiye maa adishakti ki aradhna ki.

Or ek din maa aadishakti prasan ho daksh k samne prakat hui.


images


Adishakti:- ankhe kholiye prajapati.hum aapki tapasya or bhakti se prasan h.

Daksh ankhe khol jese hi samne mata ko dekhta h, unke pero m gir ker apni nak ragadne lagta h.unki ankhon m khushi k ansu the , jo ye saf saf darsha rahe the ki unhonne tap purn shradha or niswarth bhav se kiya h.

Daksh:- m dhanya ho gaya mate , m dhya ho gaya , jo sakshat aapne , maa jagat janni ne mujhe darshan diye.

Aadishakti :- utho putra , hum aapke bhakti se ati prasan h, mangiye kya var chahiye aapko.

Daksh :- he maa , mujhe apne liye kuch ni chahiye , meri to bas itni kamna h maa ki aap manushy roop m ,meri pootri k roop m janm le , taki aapka or mahadev ka vivah ho sake or is sansar ka kalyan ho.

Adishakti :- aap dhanya h prajapati , itni kathor tap ke badle aapne swayam k liye kuch na mang , sansar ka kalyan chuna.

Esa hi hoga putra , m shighr hi aapke ghar putri k roop m janm lungi , parantu smaran rahe bhavishya m kabhi bhi apne mera apman kiya tumhe diya hua mera ye vardan nasht ho jayega. Or tumhara ant bhi nishchit ho jayega.

Or itna bol maa adishakti waha se anterdhyan ho jati h . Or daksh bhi prasan man se apne bhavan ki or nikal gaye.

Or maa adishakti apne vardaan k anusar hi daksh k ghar ek putra k ghar janm liya unki sabse choti putri k roop m.

Narad ji unke naam karan k liye waha aaye or jese hi unhone bachi ko dekha , wo ati prasan hue or bole

Narad ji :- bhratha daksh ! Aapka tap ka fal aaj falibhut hua , swayam mata aadishakti ne aapke yaha putri roop m janm liya h. Or inka hi vivah bhavishya mahadev se hoga.

Daksh ye sun bahut khush hota h or apne rajya m ghoshna karwata h ki pure ek varsh tak apne rajya k har pariwar k 3no samay k bhojan ka prabandh uski or se hi hoga.

Daksh :- narad ji , yadi aap hi meri putri ka namakaran aap karenge to m apne aap ko dhanya samjhunga devrishi

Narad ji us balika ka naam "sati" rakhte h .

Narad ji daksh ko kuch nirdesh de ker waha se prasthan ker lete h.

Samay apni gati se chalta raha tha, praja daksh se bahut khush thi , or din pratidin unki khayati bhadti ja rahi thi, jisse unke man ahankar nam k durgun ka janm ho gaya.

Wahi tadkasur ko ye baat pata chala to usne ek chal chali, or usne daksh prajapati tak ye baat pahuncha di ki mahadev ne hi unke pita braham dev ko shrap diya tha ki unki kahi bhi puja na hogi. Jisse sun daksh ko mahadev se nafrat ho jati h.or us nafrat ki aag me ye bhi bhul jata h ki sati ka janm kisliye hua h ya yu kaho vo ab chahata hi ni tha ki sati ki shadi mahadev se na ho. Isliye usne mahadev se sambhandhit sabhi vastuo or riti riwajo ko apne rajya m nishedh kerwa diya.taki wo sati ko shiv se dur rakh sake . Lekin niyati ko kuch or hi swikar tha.

Ek baar daksh ne bhagwan vishnu ka vishal mandir banwaya or ek yagya ka aayojan kiya jiske baad mandir m murti ki sthapna honi thi.or us murti ko yagya k purn hone tak ek kapde se daka hua tha.

Yagya m sabhi mahan rishi muni aaye hue the, sath me sapt rishi bhi the.

Fir yagya ka aarambh hua or karib 6 ghanto tak chala . Or jese hi yagya sampan hua to daksh ne murti se kapda hata diya . Jise dekh waha sabhi log prasan or heran bhi hote h. Kyunki wo murti hi adbhoot thi. Kyunki wo bhagwan vishnu k padmanabh roop ko samarpit thi .Or bahut vishal bhi thi.


images


Kuch esi lekin jese hi sapta rishi m se ek rishi kashyap us murti ko dhyan se dekhte h . To unko bahut dukh hota h or daksh ki soch p krodh bhi aata h.

(Kyu wo aage pata chalega)

Rishi kashyap baki sabhi ko bhi us or ishara kerte h jise dekh sabki manodasha esi hi hoti h.

Rishi kashyap abhi kuch bolte usse pahale hi daksh unhe shant rahane ka ishara kerte h.or apne sevako ko us murti ko mandir ki or lejane ko or kahate h.

Murti vishal hone k karan use ek rath per madir ki or lejaya jata h .

Rishi kashyap bakiyon se bolte h .

Rishi kashyap :- ager gyaat hota ki prajapati esi dosh purn murti ki sthapna ker rahe h to hum kabhi bhi yaha na padharte. Nahi m ye anarth hote hue ni dekh sakTa. M yaha se ja raha hu.

Rishi atri (saptrishiyo me se ek ) :- ni rishiwer ese kisi subh karya ko bich m chodke jana uchit na hoga. Mujhe anubhuti ho rahi h ki yaha jo bhi ho raha bhavishya k kisi mahan karya k purn hone k liye hi ho raha h.

Fir sabhi mandir m pahunchte h lekin jese hi madir k garbhagrih k dwar tak pahuchti h , achanak se jis rath pe wo thi , wo apne aap ruk jata h, sevako ne bahut prayas kiya lekin rath tas se mas na hua.

Rishi kashyap :- baat ko samjhne ka prayas kijiye prajapati aap jo kar rahe h wo uchit ni h . Or isiliye bhagwan vishnu bhi mandir m pravesh ni kerna chahate .

Daksh (krodh se ) :- jo aap kahana chahate h m samjh raha hu rishi kashyap, lekin aap bhi ek baat jaan le ki jo aap chahate h wo asambhav h.m vesa bilkul ni karunga.

Or rahi baat murti ka mandir m na jane ki to ho sakta h humse yagya m koi truti hui ho , jis kaaran ye apashakun ho raha h. Iska bhi upaay h mere paas m abhi isi vakt narayani yagya ka aayojan karunga , jisse ye apashakun shighr hi dur ho.

Tabhi rishi bhrigu jo sapt rishiyon me se hi ek h wo bole

Bhrigu :- parantu us yagya ki safalta k liya aapko parijat k pushpon ki avashyakata hogi prajapati, or wo pushp bhi ap kisi sevak se ni mangwa sakte ya to aapko swayam jana hoga ya aapke sabse nikat or priya h use.

Daksh :- parantu rishiwer m yaha yagya or sthapna k karya ko chod kese jau.

Tabhi ek aawaz gunjati h

Ye karya m karungi pita shri.

Ye awaaz daksh putri sati ki thi jo itne samay se ye sab ghatnaye mon ho to dekh rahi thi.

Daksh :- parantu putri tum akele van me kese.

Sati :- pita shri aap swayam yaha se ja ni sakte to niyamanusar mujhe hi jana hoga na .

Daksh sati ko bahut samjhata h parantu wo ni manti , kyunki daksh ki putri hone k kaaran unme hat (zid) ka ye avgun bachpan se hi tha .
Aakhir me daksh ko manna hi pada or sati nikal gayi van ki or.

Aaj k liye bas itna hi.



Kya kaaran h ki bhagwan vishnu ki vo murti mandir m pravesh ni ker rahi ,kya hoga sati k sath van me , or sabse bada prashn kese hoga mahadev or sati ka vivah janne k liye sath bane rahiye.

Stay tuned

Note :- friends kal ho sakta h ek k bajaye 2 bhi update aaye
nice update ..apni khyati badhne ke karan prajapati daksh me ahankar aa gaya ,aur tarkasur ne bhi usko shiv ke khilaaf bhadkaya jisse daksh ne apne rajya se shiv ki saari cheeje hata di ..
par vishnu ki murti mandir me kyu nahi jaa rahi 🤔 aur ab sati van me parijat lene jaa rahi hai dekhte hai aage kya hota hai 🤔.
kahani bahut romanchak hoti jaa rahi hai shiv ke vivaah ki 😍.
 
15,608
32,143
259
Update no :- 46
Sati daksh se aagya le nikal gayi van ki or . Van me pahunch ker unhone parijat k vriksh ko bahut khoja, parantu vo vifal rahi.

Sati :- kaha se khoju m parijat ka vriksh, ager khali haat gayi to pitaji ka parihaas hoga.

Lekin unhone haar ni mani or fir se dhundne lagi . Lekin wo pushp dhundhte hue van m bahut bhitar jaa chuki thi . Tabhi unhe ek or se damroo ki dhvani sunayi di, to wo us or jane lagi, tabhi unhe waha p ek bahut hi vishal parvat ko kaat ker banaya hua shivling dikha .
Screenshot_2019-03-04_183317.jpg



Sati ko achanak hi us or jane ki tivra icha hui ,na jane kyu unhe us shivling dekhne k baad u lag raha tha jese koi varsho se khoya kuch milne wala ho.

Jese hi wo us parvat ki or pahunchi to unhe waha ek aashram dikhayi diya , kaha per bahut se rishi or tapasvi , sharir p bhasm or rudraksh dharan kiye hue dhyan me bethe the.

Sati ne us ashram me pravesh kiya , or charo or dekhne lagi , unhe bahut hi ashchary ho raha tha ye sab dekh k , sabhi ki veshabhoosha dekh .

Tabhi ek rishi sati k pas aaye or bola

Rishi :- prajapati daksh ki putri sati ka maharishi dadhichi k aashram me swagat h.

Ji ha dosto ye ashram maharishi dadhichi ka tha , jo rishi pippalad k pita h.

Sati ko pahale to herani hui ki vo unhe kese jante h , fir socha k unke pita prajapati h , jinhe sara sansaar janta h to ye bhi jante hi honge na unke or unke parivar k baare m.

Sati :- ji m disha bhatak gayi hu.

Tabhi ek awaz aati h " kabhi kabhi disha bhatakna hi , uchit disha ko pane ka marg hota h devi"

Ye aawaz rishi dadhichi ki thi.

Dadhichi :- kya hua , kabhi kisi ko ni dekha na tan p u bhasm or rudraksh lagaye hue kisiko, ye bhasm hame ye yaad dilati h ki ye sansaar ki pratyek vastu yaha tak ki ye sansaar bhi nashwar h to is sansaar se moh kyu.

Isliye humsab moh maya tyaag yaha bhagwan shiv ki bhakti m lin rahate h.

Sati :- shiv.

Unko ye naam sun ker esa ahasas hua jese , is naam se sambhand yugo yugo se h.esa ahasas hua unhe apne jivan ka udeshya prapt ho gaya ho.

Dadhichi :- ha devi bahgwan shiv , sansar ke sanghark, or devo k dev mahadev

Sati k man m shiv k baare m or janne ki tivra lalsa to thi , lekin unhe vilamb ho raha tha.

Sati :- mujhe yaha se ab jana honga.

Dadhichi :- aapka yaha parijat pushp k liye ana bhi purn nirdharit tha .

Sati ye sun chonk jati h or unse parijat pushp k liye sahayata mangti h.rishi dadhichi unhe apne piche aane ko bolte h.

Sati k sath parvat k uper jate hue.

Dadhichi :- aapko pushp to mil jayenge , lekin uska koi labh na hoga devi .

Sati :- esa kyu rishiwer.

Dadhichi :- kyunki wo murti adhuri h.or adhuri murti k sath bhagwan vishnu kabhi bhi mandir m virajman na honge.

Sati :- esi kya kami h us murti m jo vo murti m pravesh bhi ni ker rahi h

Dadhichi unhe us bade se shivling k pass le jate h or bolte h ki.


Dadhichi :- is shivling ko chukee ,us murti k bare m sochiye aapko sab gyaat ho jayega.

Sati vesa hi kerti h or unhe gyaat bhi ho jata h.

Sati :- rishiwer jo mane dekha wo satya h to , pitaji se esi bhul kese ho gayi.

Dadhichi :- bhul ni devi unhone esa jan bhujker kiya h taki vo shiv ko apmanit ker sake.

Sati :- per kyu .

Dadhichi :- is prashna ka utter apke pita hi de to jyada uchit hoga devi.

Tabhi dadhichi ki patni unhe pushp laker de deti h . Or sati bhi man me us galti ko sudhar ke nikal padti h mandir ki or .Sati daksh ko pushp de deti h jisse wo bahut khush hota h.or sati ko shabasi deta h or narayani yagya ka prarambh ker deta h.

Or sati sidhe us murti kaar k pas jati h jisne murti banayi thi or bolti h.

Sati :- aap jante the na murti ko adhura banana ashubh hoga fir bhi esa kyu kiya.kyu bhagwan vishnu ki is murti m brahma k sath mahadev ko bhi sthan kyu na diya.

Ji ha dosto yahi kami thi murti jiske kaaran vo murti dosh purn thi. Bhagwan vishnu k anant shaiya wale roop m unki nabhi se nikale hue ful per brahma ji virajman hote h or unke hatho k pas ek shivling hota h. Lekin daksh ne mahadev se chalti uski nafrat k kaaran shivling rakhne se mana ker diya tha.

Murtikar:- devi mane to prajapati ko bahut samjhane ka prayas kiya parantu wo na mane .
Or apni potli se ek shivling nikalke sati ko dete hue murtikar bola

Murti kar :- raj kumari , m ye shivling apne sath laya hu.aap chahe to ise abhi inke sthan p rakh dijiye , tabhi murti mandir m pravesh karegi .

Sati unse vo shivling leti h or jaker us sthan pe rakh deti h us shivling ko jaha us murti m hona chahiye tha.or rath ko dobara aage bhadane ko bolti h, itne m yagya bhi purn ho jata h.


Or is baar rath aaram se pravesh ker jata h mandir m or murti ki sthapna ho jati h.

Lekin jese hi daksh ki najar shivling p padti h uske krodh ki koi sima ni rahati or wo jor se chillate hue bolta h .

Daksh :- kisne yaha ye shivling rakhne ka dussahas kiya .


Sati :- mane pita shri , or m aapse ye puchna chahati hu ki kyu aapne ye adhuri murti ki sthapna kerni chahi, kyu bhagwan shiv ka apman kiya.

Daksh :- janna chahati ho kyu , to suno,
Fir daksh unhe brahma k shraap ki sari katha sunata h.

Sati :- pita shri , aapne jesa bataya h uske anusar to bhul pitamah ki hi thi.unhe asatya ni bolna chahiye tha.

Sab log heran the jo sati kabhi apne pita k samne tej aawaz m baat bhi ni kerti thi , wo aaj yu unse sawal jawab ker rahi h . ye isliye ho raha tha kyunki wo aadishakti h or manushy roop m ab shiv k bare m janne k baad unhe apna udeshya gyaat ho gaya tha, jis daksh ne itne varsh sati ko shiv se dur rakha , aaj bas ek baar shiv naam sunne se hi unke hridaya m shiv k prati prem uttpan ho chuka tha

Daksh :- ni meri putri esa ni ker sakti , jarur kisi ne tumhe bhramit kiya h.

Tabhi rishi dadhichi waha aate h or bolte h.

Dadhichi :- bhramit ni prajapati , uchit marg dikhaya h.

Daksh :- oh to ye sab aapne kiya h , aapke or mere mat bhin hone k bavjood bhi m aapka m samman kerta hu iska ye arth ni h rishiwer ki aap meri putri k man m apne us bhand, us aghori shiv k liye aastha uttpan kare. Jo shamshan ka vasi h , bhang k nashe m dhut rahata h, tan p murdo ki bhasm lagata h , bhala esa vyakti bhagwan kese ho sakta h.

Dadhichi :- ager itna bata hi rahe h apni putri ko prajapati , to ye bhi bata dijiye k , wahi aghoriyo k sath shamsan m nivas kerne wale shiv aapke narayan ko itne priya kyu h ki unke bina narayan ko mandir m pravesh kerna bhi swikar ni h.

Daksh :- aap bhul rahe h ki usi shiv ne mere pita ko kabhi na puje jane ka shrap diya tha. Or esa bol aap narayani yagya ki shakti p prashn chin laga rahe h.

Dadhichi :- or aap yah bhul rahe h ki aapke pita ne apni bhul savikar ker saharsh wo shrap svikar kiya tha.
Or jaha shradha ho prajapati vaha shakti ka prashna hi kaha uttha h.
Mahadev to itne bhole h ki unko prasan kerne k liye na kisi badi vidhi na koi yagya kerne ki jararut h. Keval shradha se chadhaya hua bel patra hi unko khich lane k liye paryapt h.

Daksh :- ager ye satya h to abhi sidh ho jayega.

Daksh apne sevako ko belapatr lane ko bolta h. Or bel patra ko sati ko dete hue jor se bola.

Daksh :- lo ye bel patra or bulao us shiv ko , bhul meri hi h jo tumhe uski sachai se dur rakha , aaj tumhe bhi pata chale ki , wo kesa h.
Bulao.

Dadhichi :- putri sache man se ye bel patra shivling p rakh shivji ka aavahan kero vo avashya aayenge.

Sati vesa hi kerti h or shivling p belapatr arpan ker ankh band ker shivji ka smaran kerti h.

Tabhi pure mahal me damaroo ki dhun gunj uthati h or ek sthan pe bhasm rupi dua udne lagta h jo pata ni kaha se aarahi thi or wo dhua itna us sthan p fel gaya ki wo sthan dikhna band ho gaya .


Rishi dhadichi ye sanketo ka matlab samjh jate h or jor jor se mahadev ki ye stuti kerne lagte h.

करपूर गौरम करूणावतारम
संसार सारम भुजगेन्द्र हारम |
सदा वसंतम हृदयारविंदे
भवम भवानी सहितं नमामि ||

Or dhire dhire wo dhua waha se gayab hone laga , or jese hi wo dhua hata to samne sakshat devadhidev mahadev khade the.
devon-ke-dev-mahadev-on-life-ok_01.jpg


Jinka sharir kapur se bhi gora tha.lambi lambi jataye, gale m vasuki naag , hatho m trishul , ankho m apaar prem tha.

Daksh or sati ko chod sabhi mahadev ko pranam kerte h. Daksh to mahadev se ghrina k kaaran unhe pranam ni kerta . Lekin sati to unhe dekhte hi unme kho gayi thi ,vo bina palak jhapkaye bas shivji ko nihare ja rahi thi. Unke mukh pe ek bahut hi ghahri muskan or ankho m ansu the .

Yu to unki mahadev se unka mulakat ka ye pratham avsar tha , lekin unhe pata ni kyu esi anubhuti ho rahi thi jese vo unhe hamesha se janti h or bahut hi lambe samay pashchat unse mil rahi h.isliye unki ankho m ansu the.

Mahadev :- aaj prajapati ne mera smaran kese kiya.

Daksh :- meri icha thi ki meri praja or meri putri ye jane ki aap vastvikta m kon. H meri ye praja ye samjhti h ki aapko prasan kerna bahut hi saral h .Kyunki aapke liye koi niyam anivarya h or na hi aapki puja m kisi vidhi vidhan ka mahatva h . Isliye ye aapko bholenath bolte h .

Parantu ye murkh ye ni jante ki aapki vastvikta isse viprit h. Mere pita ko uchit satkar or saman se vihin kerne se leker yaha padharne tak ki har chal suniyojit h , usse shadyantra ki gandh aati h.

Ye sun dhadichi bich me hi bol pade .

Dadhichi :- aap apni maryada bhul rahe h daksh , mat bhuliye aap jinse ese baat ker rahe h vo sakshat mahadev h or aap ek sadharan ...

Daksh bich me bol utha.

Daksh :- sadharan ni hu m , brahama ka putra hu m , mane hi is sansar ko niyamo m bandh is bhumi ko nirvah yogya banaya h. Or mane hi yagya sanskriti is sansar ko pradan ki . Ager m ye sab na kerta to kon pujta devo or brahmano ko.

Isliye m hi hu is sansar ka sanchalak .

Mahadev :- kiske liye daksh ! Ye sab kiske liye kiya , aapne is bhumi ko nirvah yogya banaya to kisper upkar kiya ,praja per.

Ni daksh aapne kisi per upkar ni kiya , balki keval apna kartavya ko purn kiya h , isiliye to apka janm hua .Apne aaspas dekhiye ye surya, ye chandra ,ye pavan bhi to sabko pran de rahe h , kya inko kabhi bhi aapne apni mahima bhakhan kerte hue dekha h. Aap swayam gyani h daksh , bas avashyakta h bas apne hriday m jhankne ki ,jaha hamare har sawal ka uchit utter milta h.

m to vairagi hu na
Na samman ka moh
Na apman ka bhay.
Na koi shatru
Na mitra
Na koi apna
Na koi paraya
Na is sansar se kuch lena
No kuch dena.
Parantu jab bhi kabhi dharm k naam p kiya jane wala aadamber pakshpat ka adhar banega tab tab m uska vinash avashya karunga.

Or itna bol mahadev vaha se anter dhyan ho gaye.

Interval .

Abhi karan aage kahani sunane ja hi raha tha ki riya bol uthi .

Riya :- bhai hume late ho raha h to thodi short m hi kahani suna do na.

Karan vesa hi kerke sabko kahani short m suna deta h.

Note :- friends yaha karan ne to short m kahani suna di ,lekin jese aap sab ne kaha tha , wese hi ab shiv katha or story sath sath hi chalegi .

Fir karan and party sabhi wapas teyariyo m lag jate h , jisme 2 din lag jate h.

Aaj mahashivratri ka tyohar tha , karan or friends aaj subah braham muhurat m hi mandir pahunch ker bach hui teyari bhi puri ker di.

Dhire dhire sare shraddhalu mandir aane lage or jo bhi mandir ki sajawat hi itni shandar thi . Mandir ko pura phulo or rudraksh se sajaya hua tha . Jagah jagah jhankiya saji hui thi jo shiv parvati, radha krishna , sita ram ji ki aadi.
images113.jpg

images114.jpg


Or mandir k mukhya dwaar ,or har jagah tarah tarah ki sunder rangoli bani hui thi.
images111.jpg


images18.jpg

Jo bhi mandir m aaraha tha sabhi karan or jyoti ki dil khol k taarif ker rahe the

Tabhi jyoti boli

Jyoti :- bhai teyariyo k chakkar ye mat bhul jaiyega , ki hamari puja abhi baki h.

Karan :- kesi baat bol rahi h gudiya , ye kaam bhi m bhala bhul sakta hu kya.

Fir karan or jyoti bhi jaker puja kerte h mahakaal ki . Or puri shradha se mahadev ko panchamarat snaan kerwate h , unko bel patra , dhatura , ankda aadi arpit kerte h.

Bhai ab mahashivratri ka tyohaar ho or bhang na ho esa bhi ho sakta h kya . Rohan ne special apni or se bhang ka bhi intezam bhi kerwaya tha.

Wo ek glass karan k pass leker aata h or bolta h.

Rohan :- le bhai tu bhi pi na .

Karan :- are ni bhai m ni pita .

Rohan :- are pi na yaar , ye to shivji ka prasad h or prasad ko mana ni kerte .

Or rohan karan ko jabardasti pila deta h, dhire dhire bhang kaam dikhana shru ker di or use masti chadne lagi .

Karan:- are ye kya bhai , mahashivratri ka tyohar h or sab logo m na koi josh na utsah , esa ni chalega.

Or mandir m bhag ker jata h or damaroo leker aata h or bajate hue
Bola.

Karan :- har har mahadev , bam bam bhole.

Or nachte hue gane lagta h .

Saare gaon se doodh manga kar
Pindi ko nehla do
Saare gaon se doodh manga kar
Pindi ko nehla do

Bhole ko nahla do
Mere shankar ko nahla do
Aaya baba ka tyohar aaya
Shiv ratri ka tyohar aaya
Aaya baba ka tyohar aaya
Shiv ratri ka tyohar aaya

Saare gaon se doodh manga kar
Pindi ko nahla do
Saare gaon se doodh manga kar
Pindi ko nahla do

Bhole ko nahla do
Mere shankar ko nahla do
Aaya baba ka tyohar aaya
Shiv ratri ka tyohar aaya
Aaya baba ka tyohar aaya
Shiv ratri ka tyohar aaya

Maha raatri shiv ratri ki mahima
Jo nar nari gaave
Maha raatri shiv ratri ki mahima
Jo nar nari gaave
Varat puja parivar sahit kar
Sakhal pararath paave
Dhup deep bela patra se
Baba ko sanwaro
Shankar jata jut gangadhar
Hey gaurish pukaro

Aaya baba ka tyohar aaya
Shiv ratri ka tyohar aaya
Aaya baba ka tyohar aaya
Shiv ratri ka tyohar aaya

Bhole daya ke sagar apni
Pure kar de sapane
Bhole daya ke sagar apni
Pure kar de sapane
Tan man sab arpit tum kar do
Praan diye hai usne
Subah sham baba dar aakar
Man mandir sanwaro
Shradha purwak bhakti bhaanv se
Shankar ko pukaaro

Aaya baba ka tyohar aaya
Shiv ratri ka tyohar aaya
Aaya baba ka tyohar aaya
Shiv ratri ka tyohar aaya

Saare gaon se doodh manga kar
Pindi ko nehla do
Saare gaon se doodh manga kar
Pindi ko nehla do

Bhole ko nahla do
Mere shankar ko nahla do
Aaya baba ka tyohar aaya
Shiv ratri ka tyohar aaya
Aaya baba ka tyohar aaya
Shiv ratri ka tyohar aaya

Aaya baba ka tyohar aaya
Shiv ratri ka tyohar aaya
Aaya baba ka tyohar aaya
Shiv ratri ka tyohar aaya.

Karan k josh bhare is bhajan k gane or dance dekh ker sabhi bhi utsahit ho jor jor se har har mahadev ka jayakare lagate hue dugne josh k sath bhagwan mahakal k utsav ko manane lage.

Puja k baad sabhi ko prasad k roop m vrat m khane yogya bhojan batne ka bhi intezaam bhi karan ne mandir k aangan kiya tha. Aaj mandir m aaye sabhi shardhaluyo ko dono samay ka bhojan madir ki or se hi milne wala tha. Karan ne specially ye garib logo k liye hi karwaya tha , taki kam se kam aajke din to koi bhi garib bhuka na soye.or sham kq ek vishesh program abhi baki tha

Ye sab dekh kailash m bethe mahadev or mata parvati or kfd bahut prasan the.

Mahadev:- adbhoot bhakti h putra karan tumhari , tum chahate to tumhe mile dhan ka upyog sirf apne liye hi ker sakte the , per ni tumne apne parishram or satkarmo se prapt dhan ko , meri seva m samarpit ker diya or itna hi ni sath sath us dhan ka upyog paropkar m bhi kiya.

Aaj k is pawan avsar pee tumhe tumhari bhakti ka fal avashya milega putra.

Kfd ne bhi aaj bhavya aayojan kiya hua tha. Sabhi dev , yaksh , nag , asur , aadi mahadev k darshano k liye aaye hue the.

( Kuch asur ese bhi h jo apne guru shukrachary k sath shanti se rahate h. Bina devo se shatruta kiye , yaha wahi log aaye hue h)

Kfd :- samaroh k aarambh ki aagaya dijiye gurudev .

Mahadev apni gardan hila ker ha bolte h.

Aaj k liye bas itna hi
Stay tuned

And sorry friends m aaj 2 updates ni de paya , socha to yahi tha ki 2 update dunga , lekin ek to tyohaar uper se mere exam bhi aane wale h isliye ek hi de paya.
nice update ..shiv ke darshan ho hi gaye sati ko aur unko dekhkar kho gayi sati unme 😍.
karan ne shiv ji ki stuti mast ki aur usse kailash par baithe bholenath bhi prasanna ho gaye ..
karan ne apne mile huye paiso se sab garibo ke liye 2 waqt ke bhojan ka bandobast kiya hai isse yahi sabit hota hai ki usko lalach nahi hai aur dusro ki chinta hai 😍..
 

Harry rocks

Well-Known Member
7,286
18,828
189
Bhai ab kya ho Gaya Jo update nahi a Raha hai bhot din ho Gaye Bhai ya bata de ke ab update Nahi aye ge to sab intezar na Kare update Ka
Bhai is sunday tak pakka aa jayega thoda sa busy tha or tabiyat bhi kharab thi isliye sirf site visit to kerta lekin likhne ki himmat ni ho rahi thi
 
15,608
32,143
259
Update no :- 47.
Shiv katha.

Us din k paschat sada sat shiv k khayalo m hi khoyi rahati . Unhe hamesha esa lagta rahata ki vo purn ni h , or unhe wo purnta pradan sirf mahadev se hi praapt ho sakti h.

Wahi dusri or daksh ab to or bhi krodhit ho chuka tha , usne sati ka mahal se nikalnA hi varjit ker diya tha, parantu wo murkh kaha janta tha ki bhala niyati ke likhe ko bhi bhala koi badal sakta h.

Ek din ki baat h daksh apni sabha m betha tha ki unki 26 putriyan rote hue apne sasural se unke pass aayi , jinka vivah chandra dev se hua tha. Unki is dasha m dekh daksh ka hriday dahal gaya, bhale hi daksh kesa bhi ho lekin use apni putriyon se bahut prem tha.

Daksh :- kya hua meri bachiyo tum ro kyu rahi ho , or achanak tum sab yaha kese , sab kushal to h na.

Lekin vo sab kuch na boli , shayad wo apne pita se sharma rahi thi.daksh bhi samjh jata h or apni patni prasuti ko bula ker unhe ekant m baat kerne k liye bhej deta h.

Jaha wo sabhi apni maa ko sari baat batati h , jise sun prasuti ko bhi bahut chinta hoti h or wo daksh k pass jati h , jo apne kaksh me adhirta se apni patni ka intezaar ker raha tha

Daksh :- kya hua prasuti kya samasya h hamari putri ki.

Prasuti:- swami hamari putriyan apne vaivahik jivan m khush ni h, kyunki chandra dev rohini putri ko chod (daksh ki hi ek putri ka nam rohini tha, daksh ki 27 putriyon ka vivah chandra dev se hua tha .) Kisi or ki or dekhte bhi ni.

Daksh bhi ye sun kuch chintit ho jate h or bole.

Daksh :- koi baat ni prasuti m chandra dev se is vishay m vartalap karunga.

Or daksh chandra lok jate h , jaha chandra unka bahut ache se satkar kerta h. Daksh chandra dev ko pyaar se samjhata h ki wo apni sabhi patniyon k sath saman tarike se vyavahar kare , chandra dev bhi vachan dedete h ki vo esa hi karenge. Fir daksh apni sabhi putriyon ko wapas chandra dev k pas bhej dete h .

Lekin chandra dev na mane or unka vyavahar vesa hi raha , or unki sabhi patniya wapas apne pita k ghar aagayi.

Ab daksh k krodh ki koi sima ni rahi or wo usi waqt chandra lok pahuch jate h.or jese hi chandra daksh ko krodh m dekhta h , wo thar thar kanpane lagta h or isse pahale wo kuch safai deta . Daksh guse m bola

Daksh :- bas chandra mon raho ,m kuch ni sunna chahata , mane tumhe ek avsar diya tha , sasur pita saman hota h , is nate ek pita saman tumhe prem purvak samjhaya bhi , parantu tum apni sundarta k ahankar m na hi sirf meri putriyon ko andekha ker unhe apmanit kiya , balki mere ko jhuta vachan deker mera bhi apman kiya.

Isliye m prajapati daksh tumhe shrap deta hu, ki jis sundarata ka tumhe aham vo dhire dhire kam hone lag jayegi , tumhe shay (tb) rog ho jayega , or dhire dhire tumhara tej kam hote hote tumhara ant ho jayega.

Or itna bol daksh bina kuch sune waha se chala gaya. Or chandra dar k mare bhagta hua rishi atri k pass gaya . Rishi ne jab ye sab suna pahale to chandra ko bahut danta . Fir wo bole.

Rishi atri :- ab to tumhare ant ko rokne ka ek hi upaay h putra tumhe bhagwan shiv ko prasan kerna hoga wahi tumhe bacha sakte h ab.

Chandra bilkul wesa hi kerta h or ek samudra k kinare ja ker mahadev ka ek bahut hi sunder shivling teyar kerta h.or mahadev k tap m betha jata h or kayi varsho tak mahadev ka sache man se aradhna kerta h.

Chandra ki mrityu se is sansar ka santulan bigad jata , isliye mahadev shighra hi santusht ho gaye.or mahadev chandra k samne pragat hue or bole.

Mahadev:- netra kholo chandra.

Chandra jese hi apne samne mahadev ko dekhta h to rote hue unke charno m gir jata h or mafi mangte gue bolta h.

Chandra :- meri raksha kijiye prabhu , mujhe apni bhul ka ahasas ho chuka h prabhu , m apni bhul k liye apse shama chahata hu .

Mahadev:- mujhe prasanta hui chandra k tumhe apni bhul ka ahasas h. Lekin kya tum apni bhul ka pashchatap kerne ko sajj ho.

Chandra :- ha prabhu m sajj hu, aap adesh dijiye mujhe kya kerna hoga.

Mahadev :- ager tum sache man se pashchatap kerna chahate ho to tumhe apni sabhi patniyon se shama mang ker wapas apne lok lana hoga or aage se unko bhi saman sneh or samman dena hoga.

Chandra :- jo aagya prabhu , ab m esa hi karunga. Kripya mujhe is rog ki pida se mukt kare .

Mahadev :- m prajapati daksh ko to ni lota sakta chandra , lekin aaj se m tumhe apne lalat pe dharan iske mah krishn paksh k 15 din tumhara prakash kam hota rahega or amavas k din tum prakash vihin ho jaoge , jo amavasya ka din kahlayega . Or amavasya k baad dhire dhire pratyek din tumhara prakash dhire dhire wapas aane lagega, or in 15 din k paksh ko shukla paksh k naam se jana jayega jiske 15ve din tumhara prakash purntah lot aayega or vo divas purnima kahlayega.

Chandra mahadev k is nirnay se bahut khush hota h or wo ek roop m mahadev k shish pe virajman ho jata h . Isiliye mahadev ko chandramoli bhi kaha jata h.

Mahadev:- is sthan p tumne meri aradhna ki h chandra isliye ye sthan bhavishya m tumhare hi naam se jana jayega . Or ye stan mera pratham jyotirling hoga .

Or is shivling ko sab "somnath mahadev" k nam se jana jayega.

Itna bol mahadev vaha se anterdhyan ho jate h. Or chandra bhi apni galti sudhar leta h apni patniyon ko wapas laker or unhe bhi saman prem dene lagta h .

Jab ye bate sati ko pata chalti h to wo or bhi jyada mahadev se prabhavit ho jati h.

Ab to unhone than hi liya tha ki vo mahadev k bare m sab kuch jan ker rahegi .

Sati khud se:- mane than to liya ki mahadev k bare m sab janke rahungi , per kese , kon batayega mujhe unke bare m .

Tabhi sati k chahare p ek muskan aajati h kisi ka smaran hote hi.

Interval .

Mahadev ki anumati milte hi utsav ka aarambh ho jata h. Sabse pahale kfd mahadev ko lejar ek sthan per bithathe h .sabse pahale mahadev ka jalabhishek karte h or dugdabhishek karte h. Or fir kfd k baad sabhi dev aadi bhi vesa hi kerte h.

Fir itne m nandi ji bhi vaha apne asli roop m waha pahunchte h , yani ki bel k roop m .

Mahadev:- are nandi tum is roop m kyu.

Kfd :- wo isliye gurudev , kyunki barat m hamesha ki tarah aap nandi ji pe sawar honge na .

Mahadev :- barat ?

Kfd :- ha mahadev , aaj aapko ager guru maa se milna h to ek baar fir wese hi baraat leker jana hoga unke dwar.

Mahadev:- ab apne priya shishya or ansh ki baat ko m kesa tal sakta hu.

Or fir bhole baba teyar ho nikal pade nandi p swar ho ker us bhavan ki or jo kfd ne apni shaktiyo se banaya tha jaha shiv parvati k vivah ki varsh ghat manayi jane wali thi .Barat bilkul vesi hi thi jesi unke vivah k samay thi .
images


Har or bam bam bhole , har har mahadev k nare gunj rahe the.

(Mahadev ki barat ka sampoorn varnan shiv katha m hi aapko detail m dunga aap sab ko bhai log. )

barat m sabhi dev upasthit the sivay bhagwan vishnu k , bhagwan vishnu parvati ji k bhai h to wo ladki walo ki or se the.

Jese hi sab dwar pe pahunche to bhawan k dwar pe mata lakshmi or saraswati ne puja ki thali se barat ka swagat kiya. Mata lakshmi or saraswati, mata parwati ki bhabhi ki bhumika nibhaa rahi thi.

Fir bhagwan vishnu aaker shivji ko bhawan k ander leker jate h us sthan, jaha per bilkul vivah k jesi hi saja or teyari ya thi.

Fir vishnu unhe havan agni k pass lejaker bitha the h or thodi hi der m mata parvati ko bi devi lakshmi or saraswati leker aati h . Unko bhi bilkul ek nayi naveli dulhan ki tarah sajaya gaya tha.

Fir brahama ji purohit k sthan per bethkar , vivah k mantrocharan kerte h.

Braham dev :- he mahadev ab aap or devi parvati pavitra agni k sath parikrama kijiye.

Mahadev or parwati mata vesa hi kerte h .

Fir mahadev or mata parvati ko ek vishesh jhule pe bithaya jata h or unki aarti ki jati h.

Kfd :- aarti gate h.

OM JAI SHIV OMKARA, PRABHU JAI SHIV OMKARA
BRAHMA VISHNU SADA SHIV, ARDHANGII DHARA
OM� JAI SHIV OMKARA...

EKANANA CHATURANAN PANCHANAN RAJE
HANSANAN, GARURAASAN VRISHVAHAN SAJE
OM JAI SHIV OMKARA....

DO BHUJA, CHAAR CHATURBHUJA DASHABHUJA ATI SOHE
TIINON ROOP NIRAKHATE TRIBHUVAN JAN MOHE
OM JAI SHIV OMKARA...

AKSAMALA VANAMALA MUNDAMALA DHARI
CHANDANA MRIGAMAD SOHAI BHAALE SHASHIDHAARI
JAI SHIV OMKARA...

SHVETAMBARA PIITAMBARA BAAGHAMBARA ANGE
BRAHMADHIK SANAKAADHIK PRETAADHIK SANGE
OM JAI SHIV OMKARA...

KARA MADHYE KAMANDALU AU TRISHUL DHARI
JAGKARTA JAGHARTA JAGAPALAN KARTA
JAI SHIV OMKARA...

BRAHMA VISHNU SADASHIVA JANATA AVIVEKA
PRANAVAKSAR�KE MADHAYA�TINONH EKA
OM JAI SHIV OMKARA...

TRIGUN SWAMI KI AARTI JO KOI NAR GAVE
KAHATA SHIVANANDA SWAMI MANA VANCHITA PHALA PAVE
JAI SHIV OMKARA...




Aarti k baad sabhi dev mahadev or mata parvati ko tarah tarah k aabhushan or kimti uphaar de rahe the. Lekin kfd chup chap ek jagah khade the. Esa ni tha ki wo uphar ni laye the. Lekin baki sab k kimti upharo ko dekh unhe lag raha tha ki mera uphar to insab k aage kuch bhi ni h. Gurudev or guru ma kya sochenge ki unka priya putra or shishya , itne khas avsar pe bhi ek acha sa uphaar na la saka. Abhi kfd isi duvidha m fase hue the ki mata parvati ki najar unpe padti h or vo sab samjh jati h.

Mata parvati :- kya baat h putra , kis duvidha m ho , or ye kya putra yaha mojud sabhi koi n koi uphaar laye , kya tum apni guru maa k liye kuch ni laye.

Kfd:- ni mata esi baat ni h .

Mata parvati :- to do na putra , m kabse apne priya putra dwara uphar pane k samay ki pratiksha ker rahi hu.

Kfd sharmate hue ek chota sa ghada numa bartan aage bhadate h jise kapde se dhaka hua tha, or bolte h.

Kfd :- gurumata mane ye vishesh roop se apne hatho se banaya h aapke or guru dev k liye.

Mahadev mata parvati se jhat se wo uphar chinte hue bolte h.

Mahadev :- tab to ye uphar ko sabse pahale m hi dekhunga ki mere priya shishya mere liye kya laya h.

Or jese hi us bartan se kapda uthathe h to , bahut khush hote h.


Kyunki us bartan me mahadev ki sabse priya mishthan kheer thi.

Mahadev:- putra ! aaj sabhi k diye hue uphar m sabse jyada pasand tumhara diya hua uphaar aaya h hame.kyunki is uphaar m tumhara hamare prati sneh or prem spasht dikhayi de raha h.

Or mahadev ek bache ki tarah wahi hi bartan se khir nikal ker khane lagte h.

Mahadev :- sach me putra aaj jo aanand mujhe ye kheer kha ker prapt hua h , wo aanand to kisi ko amrit pan kerke bhi prapt na ho.

Or fir se kheer ka aanand lene lagte h

Mata parvati :- are bas bhi kijiye swami , jara hume bhi to chakhne dijiye kheer ,jo mera putra ne apne hatho se banayi h.

Mahadev:- ji ni , ye kheer mere shishy ne ,sirf apne guru dev k liye hi banayi h , aap isse dur hi rahiye gori

Mata parvati :- ji ni , ye kheer hamare putra ne apni guru maa k liye banayi h.

Or ese hi mahadev or mata parvati m pyari nok jhok hoti h.

Fir dono bari bari se kfd ko gale lagaker apna sneh or aashirwad dete h.

Aaj k liye bas itna hi

Stay tuned.


Ager update m koi galti hui ho to please ignore kijiyega friends, kyunki ye update time na milne ki vajah se mane jaldbaji m likha h .
nice update ..chandra ko daksh ne shrap de diya par mahadev ki tapasya karke thodi rahat mili .
kfd ne kheer banayi thi upahar me shiv aur mata parvati ke liye,, aur sabse jyada wahi upahar pasand aaya shiv ko 😍..
shiv ki barat ko bahut achche tarike aayojan kiya tha kfd ne .
sati ab shiv se milne ke liye aatur ho rahi hai dekhte hai kaise milan hota hai sati aur shiv ka .
 
15,608
32,143
259
Update no 48
Shiv katha.

Sati agle din subah braham muhurat m hi seniko ko chakma deker apne mahal se bahar nikal aayi , or nikal padi van ki or .

Man me sochte hue .

Sati :- ab jinhone mujhe mahadev se avgat karwaya tha , wahi rishi dadhichi hi meri sahayata ker sakte h meri ,


Sati ne ashv ki sawari kese ki jati h wo sikha tha, isliye unhone mahal k astabal se ek ashv le ker nikal padi rishi dadhichi k aashram ki or .

Or jese hi sati aashram pahunchi to wo dekhti h ki rishi dadhichi aashram k dwar p hi khade h.

Sati :- pranam rishiwer.

Dadhichi :- aao putri mujhe tumhari hi pratiksha thi.

Sati chonk jati h or bolti h

Sati :- kya aap jante the ki m yaha aane wali hu

Dadhichi :- isme janane kya baat h putri , jo niyati m likha h wo to hona hi h, or tumhara yaha shiv k bare m janne k liye ana bhi purv nirdharit tha.

Sati shiv nam sunte hi bhavuk ho jati h or hath jodti hui bolti h.

Sati :- aapne bilkul satya kaha rishiver , m isiliye aayu , kon h shiv , kya sambandh h unse mera , ki matra unke naam ko sun hi m unse prem ker bethi or itna lagav bhi ho gaya h ki ab ek shan bhi unke bina kayi yugo k samman hota h.

Or ye bol unki ankho se ansu aajate h.

Maharishi kese n kese sati ko shant karate h or bolte h,

Dadhichi:- shant ho jao putri , aao mere sath,

Fir rishi dadhichi unhe apne sath le jaker ek singhasan per bitha the h or bolte h.

Dadhichi :- ab pucho putri kya puchna chahati ho.

Sati :- mahadev kon h

Dadhichi :- mahadev , mahadev vo h jo ni h, or jo ni h wo hi mahadev h.

Sati :- m kuch samjhi ni

Dadhichi :- mahadev ko samjhne k liye , tridevo ko samjhna hoga.

Brahama vishnu or mahesh , mahesh yani mahadev, brahama sharsti k rachna kerta , vishnu sansar k palan har , or mahadev sharasti k sangharkarta, jo vinash kerke is sansaar ka santulan banate h.

Sati :- mahadev ka janm kab hua .

Dadhichi :- wo ajanme. H sati , unka n adi na ant h,avinashi h , vishwanath h, kalopari h , panch maha bhuto k nath , "bhutnath" h.

Sati :- ka rahate h.

Dadhichi :- kailash pati h , kintu sara sansar unka nivas sthan h, sarvavyapi h wo, or sabhi kaarno k pramukh kaaran h ,mahayogi h , vairagi h vo.

Sati :- arthath unka koi parivar ni h.

Dadhichi :- kisne kaha ,ye sara sansar unka parivar hi to h, or hum sab unki santan.

Sati :- wo dikhte kese h.

Dadhichi :- nirakar h wo , nirgun h vo , chandrmoli bhi vahi , trilochan h voor natraj bhi vahi.karpur k saman gor varn h unka , karuna k avtaar h vo. Sarp unka kanth haar , rudraksh unke aabhushan ,hath p trishul , tan p bhasm , netro m parmanand h or mukh per bholapan.

Sundarta ki paribhasha h vo or akarshan ki prakashta. Jiv h wo , brham h vo, sampurn jagat niranjan h wo. Vikaral kaal h vo , vo hi ek lagu pal h , vahi amar h or pratyek mrityu m vo hi marte bhi h.

Maha parvat h vo or ek sukshm tarn bhi vahi h, prathvi vo h or akash bhi vo h , bandhan vo h or mukti bhi vo hi h, vish or amrit bhi vahi , gyan bhi vo h or andhkar bhi, prakash , andhkar bhi vo hi h , duvidha h vo or nirnay bhi vo hi , shanti vo h or ashanti bhi vahi h.

Vahi brahama h or vo hi narayan .

Or vahi h devo k dev "mahadev".

Sati mahadev ka itna sundar vivran sun mantra mugdh ho jati h . Ab to unka mahadev ko pane ka nishchay or bhi drid ho gaya tha.

Sati :- parantu mere unse mahadev se kya sambhandh h.

Dadhichi kuch ni bolte or usi bade se shivling ki or ishara ker dete h , sati bhi samjh jati h or ek baar fir us shivling , ko chu mahadev ko yaad kerti h.

Tabhi unhe bhut kaal ka sab kuch band ankho m dekhne lagata h , adishakti ko mahadev ka vachan dena , daksh ko adi shakti ka vardaan , fir apna janm.

Ab sati ko sab kuch smaran ho gaya tha. Or unki ankho se pani bahane laga.

Sati :- mujhe sab kuch smaran ho gaya h rishiwer.

Itna sunte hi rishiwer bahut kush ho jate h or sati k charno m gir jate h .


Sati :- are rishiwer ye aap kya ker rahe h.

Dadhichi :- he maa , m to jagat janni maa, yani apko dandvat pranam ker raha hu, aaj m bahut prasan hu bhagwan vishnu ne jo mujhe karya diya tha . Wo aaj pura hua maa.

Sati :- rishiwer is janm me aap mere guru h ,aapne hi mujhe meri vastvikta ka gyaat karwaya h, isliye kripya khade ho jaiye mujhe paap ka bhagi na banaye or mera aage ka maarg prashast kijiye.kyunki mane manav roop m janm liya h to mujhe karm k vidhan k anusar mahadev ko pane k liye tap kerna hoga.

Rishi dadhichi unhe mahadev ki tap or puja ki vidhi batate h . Or sati lag jati h tap me . Unko tap kerte kayi varsh bit gaye.

Ek baar somvaar k din vo mahadev ki puja ker rahi thi , tabhi waha ek vridh brahaman aate h.

Brahman :- pranam devi.

Sati :- pranam brahaman dev.

Brahaman :- devi mane rishi dadhichi se suna h ki aap shiv ko pati roop m pane k liye tap ker rahi h , kya ye satya h

Sati :- ha brahman dev.

Brahman haste hue:- kyu aap apna samay nasht ker rahi h devi , us shiv ko pane k liye , vo jise na rahane ka dhang h , na kapdo ko pahane ki budhi , tan per bhagh ki khal pahane wala wo shamsan vasi h , bhut pret uske sathi, bhang k nashe m rahane wala wo bhand aapke yogya kaha , jaiye devi lot jaiye or koi or acha var dhundhiye.


Sati mahadev k bare m itna bura bhala sun krodhit ho jati h.

Sati :- bas brahaman dev bahut bol liya apne , jin mahadev k naam lene matra se hi sabhi paap nasht ho jate h , aapko lajja na aayi unke bare m esa bol

Lekin brahaman dev ni mane or mahadev ki burayi kerte rahe .

Sati :- bas brahaman dev , bahut ho gaya dussahas aapka , ab lagta h aapko shraap dena hi hoga mujhe.

Or jese hi vo kamandal utha ker shraap dene braham ki or mudti h or chonk jati h , unke hatho se kamandal chut jata h or unki khushi ki koi sima ni rahati .

Kyunki un brahaman dev k sthan per sakshat devadhidev mahadev khade the.

Sati nam ankho se :- aap aagaye swami , jante h aapki ye sati aapke liye kitna tarasi h.

Mahadev :- m bhi tumhare bina kaha sukhi tha priye , jitni pida tumne mujhse dur ho sahi h usse jyada pida mane sahi h.

Kyunki tum to is janm me sab kuch bhul chuki thi , parantu mujhe to sab smaran tha.

Or itna bol mahadev apne trishul ko apne hatho se gayab ker apni bahe fela dete h.or sati unki baho m ja samati h.

Sati :- swami ab m aapke bina ek shan bhi ni raha sakti, kripaya apni sati ko apne sath je jaiye .

Fir mahadev or sati kalash pahunch jate h or vaha brahma ji or vishnu ji k sanidhya m vivah ker lete h. Jisme bhagwan vishnu or lakshmi sati k bhaiya bhabhi ban unka kanyadan kerte h .

Or fir mahadev or sati sukh purvak rahane lagte h. Jab ye baat daksh ko pata chalti h to wo usi vakt sati se sabhi sambhandh tod lete h .

Wese tod to wo pahale hi chuka tha.lekin ab usne iski saf saf ghoshna ker di.

Ek din ki baat h sati shivji k sath bethi thi . Tabhi sati puchti h

Sati :- swami aap to swayam mahadev h , aap kiska din raat smaran kerte rahate h fir.

Mahadev :- priye m mere prabhu mere aradhya " shri ram " ka smaran kerta hu.

Sati :- ram vo kon h.

Mahadev :- priye ram , aapke bhai narayan ka bhavishya m hone wale manav avtar ka naam h jo is sansar ko dusht rakshaso k atyacharo se mukt kerwayenge , or wo sati ko pahle hi puri ramayan bata dete h.

Sati ko mahadev ki is baat per yakin ni hota or vo swayam ram ki pariksha lene ka sochti h.


Or vo apni shaktiyo se treta yug m pahunch jati h, jaha prabhu shri ram mata sita ko dhundte hue van van bhatak.rahe the.

Tabhi sati sita ka roop leker ram k sammukh jati h.

Lekin shri ram unhe turant pahachan jate h or bas itna hi bolte h. Hath jod.

Ram:- pranam.mata , aap yaha is van me akeli kya ker rahi h, or bhagwan bhuthnath kaha h.

Sati ye jab sunti h to wo pani pani ho jati h , or unhe apni galti ka ahasas hota h ki unhonne mahadev per avishvas kiya . Or wo wapas apne samay m.lot jati h. Or mahadev ko kuch ni batati , lekin mahadev to thahare antaryami unhe sab gyat ho gaya tha,or unhe sati k is karya se thes bhi pahunchi.



Daksh ne mahadev ko apmanit kerne k liye ek vishal yagya ka aayojan kiya ,jisme unhone sati or mahadev ko chod sabhi ko aamantrit kiya . Jab ye baat sati ko pata chalti h to wo bhi mahadev se waha jane ki anumati mangti h .


Mahadev :- ni sati tumhara jana waha uchit ni hoga or vese bhi bina nimantran kahi jana apman ka kaaran banta h.

Parantu sati ni mani or unhone ye tark dete hue , apni bat per jor dala ki pita k ghar jane k liye , putri ko nimantran ki avashyakata ni hoti .Mahadev ne bahut samjhaya parantu sati ni mani , akhir m shivji ne unhe nandi or gano k sath bhej diya .Or wo jaker samadhi m beth gaye, lekin unke ankhon m ashru the , kyuki wahi jante the ki aage kya hone wala h.

Sati jese hi daksh k ghar pahunchti h to daksh ko bahut krodh aajata h, prasuti to apni putri ko dekh bahut khush hoti h. Or sati ko gale lagaker sati ka swagat kerti h.

Daksh :- bina nimantran k yaha aane ka sahas kese kiya tumne .

Sati ko ye sun ker bahut dukh pahunchta h pahale to k jo pita unke bina kisi samay ek shan bhi ni rah sakte the wo aaj itni kathor vani bol rahe h.lekin fir sati ka dukh krodh m badal

Kyunki Sati dekhti h ki waha sabhi devo k liye sthan h keval mahadev ko chod ke.

Sati :- ye kya pita shri aapne apni niji dvesh k chalte mahadev ka apman kiya .Jo swayam yagya purush h jinke marji k bina ek pata bhi ni hilta , jo vishvanath h unhe hi aapne yagya m sthan ni diya.

Daksh :- us bhand , us asbhya k liye mere is yagya m koi sthan ni h , are kesa bhagwan vo shamsan vasi , sharir p bhasm malne wala, nashe m dhut rahane wala vo bhand kese pujniya ho sakta h.

Sati :- bas pitaji bas , aap ager mujhe kuch kahate to m sah bhi leti kyunki aap mere pita ho per aapne mere pati k liye apshabd bol jo mere dil m aapke liye samman tha vo bhi kho diya h.

Or fir waha mojud narayan k pass ja ker bolti

Sati :- ye kya bhaiya aap kese mon bethe rah sakte h yaha , balki aap vaha aabhi kese sakte h jaha prajapati daksh ne mahadev ko apamanit kerne k liye janbujh ker ye yagya ka aadamber ker rahe h. Aap to wo narayan h na bhaiya jinhone bina mere swami k mandir m pravesh kerna bhi swikar ni kiya tha.

Narayan asahay bhav se bole

Narayan :- apne is bhai ko shama ker do bahan , tumhara bhai vivash h bahan , daksh mera bhakt h or usne kathor vrat rakh or bhakti se mujhe yaha aane k liye bhadhya ker diya h.

Daksh :- wah sati wah , us bhand k sath rahakar acha natak kerna sikh gayi ho tum , chali jao yaha se tumhare or us aghor k liye mere is yagya m koi sthan ni h.

Sati ka krodh ab sima par ker chuka tha or usi shan wo apne asli roop yani mata aadishakti k roop m aagaye. Sabhi unhe dekh khade ho pranam kerte h.

Adishakti :- bas daksh bas , bahut ho gaya tumhara dussahas , tum apne ahankar or ghrina ki agni k chalte ye bhi bhul gaye ki tumne meri tapasya kis liye ki thi. Or ye bhi bhul gaye mane kya chetavani di thi.

M chahu to tumhare isi shan ant ker du per ni , tum is deh k pita ho or m tum jesi dusht ni hu.parantu ab tumhare in apavitra vachno se ye deh bhi apavitra ho chuki h or m unki itni burayi sun ne k baad unke samaksh ni jaa sakti , na hi ab is sansar ko tadkasur k atyacharo se mukti dilane wala is sansaar m aayega. M isi vakt ye deh tyag rahi hu. Parantu ab tum bhi ni bachaoge mere mahadev apni sati k is apman ka pratishodh avashya lenge.

Or itna bol sati apni ankhe band ker sharir tyag deti h or sati ki deh jalne lagti h.
Nandi ye dekh gan preto k sath waha mojud daksh samet sabhi per aakraman ker dete h . Parantu brighu apni shaktiyo se unsab ko rok dete h. Or nandi or gan ko apni shaktiyon se kailash pahuncha dete h.

Or waha kalash pe mahadev dhyan m bethe sab dekh rahe the or jese hi sati sharir tyagti h



Mahadev jor se rote hue chillate h.

Mahadev :- satiiiiiiiiIiiiiiiiiii.

Unke krodh ki ab koi sima ni rahi thi pura kailash jalne laga tha. Nandi ja ker mahadev k pero m gir k rone lagte h or bole.

Nandi :- mujhe shama ker dijiye prabhu m mata ko na bacha paya , hamne pratishodh lene ki bhi koshis ki lekin us daksh k jamata rishi brighu ne hamari ye dasha ker yaha pahuncha diya


Mahadev ki ankhe puri lal ho chuki thi, unhone jor se ek jata apni ukhad di or ek parvat pe de mara .Jisse unki sare lambe baal khul gaye , jo jata roop m saje hue the.

Or jese hi wo jata us parwat se takrayi to ek maha bhayanak visfot hua jisse 3no lok hil gaye . Or us bhayanak visphot k sath prakat hue vo jo.swayam mahakal ki pachai h, jinke hajaro hath h , jinme har prakar k shastra or astra shusobit the.

Or vo koi or ni mahadev ka sabse rudra roop "veer bhadra" the.

Unko.dekhte hi sare shivgan unke samne jhuk.gaye or stuti kerne lage
Ek swar me.


वीरभद्र भद्रविर वीरभद्र वीर
वीरभद्र भद्रविर वीरभद्र वीर
वीरभद्र भद्रविर वीरभद्र वीर
वीरभद्र भद्रविर वीरभद्र वीर

भद्रकाल लोचनः
पिशाच भूत नायकं
जटा कटा हसम्भरम
कपाल काल शोभतः
डम डम डम डमरुनाद
जम जम जम जम्भनाथ

मलिका प्रचंड काल
महाकाल भद्रकाल
images


Virabhadr :- maharudra aagaya dijiye mujhe , aap kahe to sagar ko ek shan me sukha du, ye akash ko jala du, mujhme jo shaktiya h vo mujhe aapse hi praapt hui h prabhu.

Mahadev (garajte hue) :- jaao veer bhadra us abhadra daksh or uske yagya ka nash ker do or jo badha bane use bhi nisankoch yamraaj k pass pahuncha dena.

Aajane do.aaj pralay ko , jis sansaar ne mujhse meri sati ko china h , us sansar ko jine ka koi adhikaar ni h.


Veer bhadra itna sunte hi turant nikal jate h daksh k yagya ki or.

Vahi daksh k mahal me

Braham dev :- murkh dekh liya apne dushkarmo ka parinam ,lajja aati h mujhe tumhe apna putra kahate hue,kitni baar samjhaya ki tumhe lekin tum na mane.

Ab apne ant k liye saj ho jao , kyunki mahakal ne tumhare vadh k liye swayam veerbhadra ko bheja h.jo mahakal ki hi pratikriti h.

Daksh ye sun dar jata h or bhagwan vishnu se apne bhakt hone ki baat bol sahayata mangta h .

Krodhit to narayan bhi bahut the daksh se , sati ko unhonne sache hriday se apni bahan mana tha, wo to khud daksh ka vadh ker dete , per vo unka bhakt tha, isliye majburi m unhe daksh ki sahayata k liye raji hona pada.

Yaha veer bhadra jese hi daksh k mahal pahuncha to daksh ki puri sena unse yudh kerne aagayi , parantu vo sadharan manushya kaha veer bhadra k aage tik pate . Veer bhadra ne kuch shano m hi puri sena ka nash ker diya.

Fir aage bhade hi the ki unke samne bhagwan vishnu aagaye.or unhonne veer bhadra ko bandh diya.

Veer bhadra :- hey prabhu , kripya mujhe is dharm sankat m na dale , jese mere liye mahadev h vese hi mere liye aap h dayanidhan .m bhala aapse yudh kese ker sakta hu.
Aap to jante hi h ki m mahadev ki aagaya se bandha hua . Isliye he madhav kripya mujhe dharm sankat m na dale

Narayan vivashata purvak bole :- veer bhadra jis dasha m tum ho vahi meri dasha h. Niyati ka khel to dekho m is sansar ka palan haar aaj apni hi bahan k hatyare ki raksha kerne k liye , apne hi aaradhya k virudh khada hu.

Mahadev ne jab ye dekha to apni ek or jata ukhad ker feki or us jata se devi bhadrakali prakat hui.
images


Mahadev :- jao bhadra kali , narayan apne bhakt ki raksha k liye vivash h or veer bhadra unper prahar karega ni , tum jaker veer bhadra ki sahayata kero .

Bhadrakali bhi vaha se gayab ho sidha veer bhadra k paas pahunchti h or veer bhadra ko mukt ker deti h.

Narayan bhi ye moka sahi samjh ye ghoshna ker dete h ki vo haar gaye or waha se anter dhyan ho jate h.

Or veer bhadra yagya m pahunch ker sabko katna shuru ker deta h , kisi k kisi k per . Or aakhir m daksh ka sir kaat ker havan kund m fek dere h jisse yagya nasht ho jata h or vo vaha se gayab ho jate h.

Parantu mahadev ka krodh shant hone ka naam hi ni le raha tha ,wo vinash tandav kerne lage the.

Tabhi narayan waha pahunch ker hath jod bole .

Narayan :- shant ho jaiye prabhu verna sharsati ka nash ho jayega .Daksh ko uska dand mil chuka h .

Or ese hi narayan samjhaye jaa rahe the parantu mahadev shant hi ni ho rahe the. Fir aakhir m narayan bole .

Narayan :- prabhu kam se kam bahan sati k liye to shant ho jaiye , unki deh abhi bhi vahi jal rahi h , or aapki pratiksha ker rahi h.

Ye bolte hue unki ankho m bhi aansu the . Mahadev ye sun shant ho jate h or narayan k sath waha yagya m pahunchte h , jaha prasuti mahadev ko dekh apne pati ki taraf se shama mangti h. Sach me mahadev daya k saagar h vo daksh ko punah jivit ker dete h bakre ka sir laga ker.

Or fir sati k deh k pass ja ker fut fut ker rone lage h

{Wo drishy itna bhavuk tha ki , ye drishya likhte hue mere(writer) ki ankho m pani aagye h or man se ye git nikal raha h.}


Shakti thi shiv ka pran thi
Man thi samman thi.
Shrishti ka aadhar thi.
Mahadev ka vistar thi.

Kailash ki thi vo swamini
Shiv ki thi vo ardhangini
Niyati ne esa kyu kiya.
Shankar se bichdi shiv priya.

Shiv k hi gorav k liye
Sati ho gayi ab dur h.

Fir mahadev sati ki deh ko apne hatho utha kee 3no loko m ghumne lagte h . Sab chintit the ager mahadev yu hi rahe is dasha m to shrishti ka ant nishchit h.mahadev ko sati k khone k gam se nikalna bahut jaruri ho gaya tha.
images


Bhagwan vishnu abhi soch hi rahe the is baare m to unke kaano m ek awaz padti h.

Bhaiya..

Vishnu bhagwan ye awaz sun chonk jate h kyuki ye aawaz sati ki thi.

Vishnu rote hue bole :- bahan kaha ho tum.
Tabhi aadishakti unke samne sati roop m.hi prakat hoti h.

Sati :- bhaiya , aap hi keval ab swami ko is pida se mukt ker sakte ho.

Narayan :- parantu kese bahan .

Sati unhe upaay batati h jise sun vishnu bhagwan bole.

Narayan :- ni bahan m esa ni ker sakta , kya koi dusra upay ni h.

Sati :- ni bhaiya ab keval yahi upaay h , or aap jab ye upay karenge tab hi mera dusra janm hoga.

Dusra janm ki baat sun vishnu khush ho jate h.

Sati :- acha bhaiya ab mujhe jana hoga.

Narayan :- ruko bahan ,

Wo bas itna hi bol ruk jate h or unhe samjh ni aaraha tha ki aage kese bole parantu aadishakti samjh jati h or wo prem se narayan k gale lag ker boli.

Sati :- aap nishchit rahiye bhaiye , mere dusre janm me bhi m aapki hi bahan rahungi ,
Or unke aansu punch ker bolti h

Sati :- bhaiya ab aap kripya mat roye aapki bahan shighra lotegi.

Or ye bol sati waha se gayab ho jati h.
Or ab waqt tha narayan ka wo thos kadam uthane ka. Unhonne apni ungli uper ki .
Or tabhi waha sudarshan chakra prakat hua. Or bhagwan vishnu ne vi chakra mahadev ki or chod diya jo sidha ja ker sati ki deh se takraya or ek visfot k sath sati k sharir k 52 bhag ho ker , prathvi per gire .

Or fir kese na kese narayan waha aaker mahadev ko samjhate h or aadishakti ki batayi sabhi baate bhi batate h.

Jise sun mahadev shant ho jate h or jaha jaha wo 52 bhag gire vo sabhi pind roop m parivartit ho gaye jinki sthapna mahadev ne shaktipith k roop m ki .

Or jaha jaha sati k bhag gire waha waha mahadev bhi apne bhairav roop . Virajman hue un shaktipith ki raksha k liye

Lekin ab mahadev wapas vairagi ho gaye or wo is sansar ko tyag ker himalay ki ek gufa me ja ker samadhi m beth gaye .

Kayi varsh bit gaye or ek din parvat raaj himalaya k ghar ek bahut hi sunder kanya ne janm liya .

Himalaya ne unke naam karan k liye narad ji.ko bulaya or unhone jese hi us kanya ko dekha unke per chuhe or bole

Narad ji :- aapka koti - 2 dhanyawad ma ki aapne ye shubh avsar fir se mujhe pradan kiya.

Ji ha dosto ye kanya or koi ni sati ka hi dusra janm.thi. narad ji ne ye sari baate himalay ko batayi or samjhaya ki daksh wali bhul wo naa doharahe.

Or us kanya ka. Nam parvati rakha jata h. Unke mata pita dono hi param shiv bhakt the to parwati m bhi shiv bhakti k gun aagaye or wo bachpan se shiv bakti m lin rahati.

Ek din wo van me gayi thi or ghumte ghumte vo usi gufa k paas pahunch gayi jaha mahadev samadhi m lin the.

Us gufa k ander pahunch jese hi unhone mahadev ko dekha , pahale to ek shiv bhat hone k kaaran unki khushi ki.sima na rahi . Fir dhire dhire parvati ko apne sati janm ki or aadishakti hone ki sabhi bate yaad aane lagi .

Or jese hi unhe sab yaad aaya wo rote hue mahadev se boli .

Parvati :- netra kholiye swami , dekhiye aapki sati aapki patni lot aayi h.

Parantu mahadev apni samadhi m lin the . Tabhi indra ne ek murkhta ker di or mahadev ki tapasya bhang kerne k liye kaam dev ko bhej diya or jese hi kaam dev ne apna tir chalaya . Mahadev ka 3sra netra khul gaya , jisse maha bhayanak jwala nikali or kam dev bhasm ho gaya, or mahadev bina kisi or dekhe waha se gayab ho pahunch gaye shamsan.

Nandi waha aaker bole

Nandi :- prabhu aao kaha chale gaye the apne is das ko chod ,

Mahadev :- putra mat royo ab , balki ab to khushi ka samay aagaya h , kyunki tumhari mata ka janm wapas ho chuka h or vo mil bhi gayi h mujse m

Nandi khush hote hue:- kya , ager ye satya h to aap Mata ko leker kyu ni aaye .

Mahadev :- kyunki tumhari mata ko abhi ek pariksha deni hogi nandi.

Wahi mahadev ko yu gayab hote dekh mata parwati rone lagi , tabhi piche se unke kandho per kisi ne hath rakha , or jese hi parwati ne piche mud k dekha to , turant us shaksh k gale lag rone lagi.

Parwati :- bhaiya aap aagaye bhaiya , ye kya or kyu hua bhaiya swami ne meri or dekha bhi ni.

Ji ha dosto wo shaks or koi ni bhagwan vishnu hi the.

Narayan :- shant ho jao bhahn, shant ho jao , mahadev bas tumhari pariksha le rahe h .

Parvati :- ager esa h to m unki pariksha m avashy uttirn houngi bhaiya . Mujhe kya kerna hoga.

Narayan unhe upay batate h or mata parvati shivling banane lagti h lekin shivling ban hi ni raha tha, to narayan unki sahayata kerte h , darasal wo shivling mahadev hi ni banne de rahe the, parantu narayan k hatho se banaya shivling vo kese bigad sakte the.

Fir shuru hua mata parwati ka kathor tap jisme unhone ann jal sab tyag diya , unka sharir kala padne laga , unke tap ko kayi varsh bit gaye . Or aakhir kar mahadev prakat hur or unhe apne sath le jane lage , lekin mata parvati boli.

Parvati :- ni swami , pichle janm ki baat alag thi , daksh aapse nafrat kerte the , lekin is baar mere pita himalay ek ache vyakti h or apke bhakt bhi h. Isliye meri ye icha h ki aap is baar mere pita k ghar barat leker aaye or mere pita ko kanyadan jese mahan karya ka sobhagya pradan kare.

Mahadev bhi maan jate h . Or parvati apne pita k ghar lot unhe sari baat batate h . Jise sun parvat raj bahut khush hote h. Or vivah ki teyariyo m lag jate h.

Wahi mahadev bhi itne varsho baad kailash aaker bahut khush hote h. Jo kailash unke krodh se jal gaya tha use wapas se thik kiya or yaha bhi vivah ka utsav aarambh hue. Mahadev k mata pita ki bhumika vivah m rishi kashyap or dev mata aditi ne nibhayi , kyunki vidhi vidhan se vivah k liye var paksh k mata pita hona bhi jaruri h.

Fir teyaar hu mahadev ki barat .

Vishnu ji sab se majak kerte hue bole.

Vishnu :- are bhai sabhi shighrata dikhao , kahi baad m ye na pata chale ki hum to teyar h barat k liye or yaha bhole baba to beth gaye apni samadhi me.

Sabhi haste hue sajj ho gaye.

Fir nikal padi bhole baba ki barat , lekin ye kya barat m aage aage dev the bich me nandi p virajman mahadev , or unke piche bhayanak bhut pret . Bhut bhi ese , kisi ki ek bhi ankh ni thi , to kisi ki hajaro ankhe thi . Kisi k hath ni the to kisi k hajaro hath the.koi itna chota k dikhai na de , koi itna bada ki uska chahata hi ni dikh raha tha
images


Or jese hi barat waha pahunchi to pahale to parvati ki mata bahut khush hui , unhe ghamand ho gaya tha ki unka jamata 3no loko ka swami h or uper se narad ji ne bhi jo mahadev ka varnan liya tha usse to unka ghamand ki koi sima hi ni thi.

Parantu jab unki najar mahadev p padhi to vo buri tarah dar gayi kyunki unka roop hi kuch esa tha.

Unke gale m mundmala, sare sharir per sarp, or bhasm or wo hajar sal k bhudhe dikh rahe the.
images


Kaha jata h ki shivji ka esa kerne k 2 kaaran the .

1 apni saas ko ahankar mukt kerna

2 kanyadan k baad himalaya ko mukti mil jati , jisse bina himalya k sare sansar ka santulan bigad jata , or unke esa kerne se himalay k man m sandeh rah jata ki kya , unhonne parvati k liye yogya var dhundA ya ni.

Parvati ki maa ne vivah k liye saf saf inkar ker diya , or boli m apni putri k vivah ese vyakti se ni hone dungi , tab bhagwan vishnu shivji ko samjha ker apne sath leker jate j or unhe dulhe k roop m bahut sunder roop m sajate h . Mahadev ka wo roop itna sunder tha ki karodo kamadev bhi , unke aage kuch bhi ni ho sakte the .Mahadev k us roop ko narayan ne chandra shekhar naam diya.

Or yu sampan hua mahadev ka vivah.

Shiv katha samapt.

Present .

Wahi sham ko mandir m karan or jyoti bhi mahadev or mata parvati ki shadi ki teyari kerte h . Lekin karan ne idher bhi apni jinda dil ka parichay diya , or yaha shadi k mandap m ek unke hi area k ek ladki jo anath thi or kese na kese apne ghar ka nokri kerke apni jindagi chala rahi thi , bhagwan shiv k is pavan tyohar pe karan ne us ladki k vivah ka sara kharch khud uthaya tha.

Us ladki ka nam swati tha.swatiko bilkul mata parvati jese hi dulhan k roop m sajaya gaya. Or jis ladke ki shadi swati k sath karwayi ja rahi thi vo bhi ek anath tha or swati se bahut pyar kerta tha , use bilkul shivji k chandra shekhar roop ki tarah sajaya gaya , or fir un dono ka vivah karwaya .

Fero k baad swati jhuk ker chune hi wali thi to karan unhe rok k bolta h

Karan :- are are di ye kya aap ker rahe ho , kyu mujhe paap ka bhagi bana rahi ho.

Swati rote hue :- mujhe chu lene do bhai apne per , tum mujh anath ki jindagi me bhagwan ban k aaye ho, aaj k jamane m jaha apne sage bhi sath chod dete h ,waha tumne is anath ki itni madad ki.

Karan swati ko gale lagaker bola

Karan :- kesi baat kerti ho di , bhai bhi bol rahi or shukriya bhi , ek bhai ka to kartavya hi hota h apni bahan ki sahayata kerna , or

Or ahasan to aapke h di apke ham bhai bahan pe aapka.

Karan or jyoti shuru shuru me hoshiyar ni the. Unhe padahai m pahale bahut dikkat aati thi or unke pass tution k jitne pese ni the .

Ek din dono bhai bahan park m bethe isi baat ko leker tension m the . Tabhi swati ki najar unpe padhi jo udher se hi gujar rahi thi.wo karan or jyoti ko or unki condition ko janti

Or wo unke pass jaker puchti h kya hua. To karan or jyoti apni sari problem use batate h.

Jise sun ker swati boli ki koi baat ni tum kal se mere paas aajaya kerna m apne chote bhai bahan ko padhaungi , tumhe tution kerne ki jarurat ni h.

Ye sun dono bhai bahan bahut khush hote or swati unhe 12 tak padhati h. Or karan or jyoti swati ki vajah se hi topper bane.

Isi tarah fir swati ki bidai bhi hone hi wali hoti h ki swati ka husband hi aaj mahashivratri k antim pahar ki puja tak k liye ruk jane ko bolta h.

Aaj k liye bas iitna hi.
Kya hoga shivratri k antim pahar ki puja m karan or jyoti k sath , janne k liye sath bane rahiye.

Note :- friends jesa ki yaha sabne mujhe kaha ki m ab or lambi na kichu shiv katha is liye mane ye mega update di h . Please please comment kerke jarur bataiyega aapko kesa laga , ye puri katha mane apni khud ki bhasha m likhi h.
Or aajkal comments bhi pahale se bahut kam ho gaye h ana , kya baat h friends story pasand ni aarahi to please bataiye

Stay tuned
nice update ..shiv katha padhkar maja aa gaya ..
karan ne swati ki shadi karayi mahashivratri par .aur swati ne hi unko tuition padhaya tha 12 tak .
 
15,608
32,143
259
Update no :- 49
Swati ki shadi k baad sabhi k baad sabhi ek baar k liye apne apne ghar lot gaye , kyunki shivratri k antim pahar ki pujaa der raat ko honi thi.

Karan or jyoti bhi ghar aaker fresh ho bed pe let jate h thakan k kaaran , akhir itni mahanat jo ki thi.

Jyoti :- bhai sach me is baar ki shivratri yaadgaar rahegi , mahadev k aashirwad se aaj hamare hatho kitne punya hue h bhai.

Kitne hi jaruratmando ko aaj khana mila, aaj do premiyon ko milane ka mahan karya bhi hamare hatho se hua.

Karan :- ha gudiya , bilkul sahi kaha tumne , ye to mere bhole baba ki hi kripa se sambhav hua h , kerne wale to wo h , hum to sirf madhyam h.

Kitna mahan charitra h dono bhai bahan ka , aaj k din itne ache or nek kaam dono ne kiye , lekin dono m baat ka lesh matr bhi aham ki bhavna na aayi

Karan koi soch me duba hua tha , tabhi jyoti pyaar se karan k gaal kat leti h.

Karan :- aah kya ker rahi h gudiya.

Jyoti haste hue :- kya baat h , jara hume bhi to pata chale , ki mere bhaiyu kis soch me khoye hue h.


Karan masti k mood me tha or wo bola.

Karan :- nahi to , m kaha khoya hua tha.

Jyoti :- kyu jhut bol rahe ho bhai , batao na

Karan jijhakne ki acting kerte hue bolta h.

Karan :- gudiya, sach ye h ki m teri hone wali bhabhi k baare m soch raha tha.

Jyoti ko ye sun bahut bada jhataka lagta h ,

Jyoti lagabhag chillate hue :- kya.

Karan :- ha jyoti mane kafi time se ye baat tujhse chupayi h ki meri ek gf h, or hum ek dusre se bahut pyaar kerte h.

Jyoti to ye sab sun ker buri tarah tut si gayi , uski anko m pani or gussa dono the.

Jyoti (gusse me apna aapa khone lagi or boli) :- kon h vo , kamini , vo chudel , jo mujhse meri jaan , mere bhai ko chinne m lagi hui h.naam batao uska bhai mujhe , aaj m usko jinda ni chodungi.

Or ye bol ker apna hath hava me ker deti h or ek roshni k sath uske hath me ek bahut hi sunder lekin khatarnak talvaar aajati h.

Jyoti (jor se chillate hue) :- suna ni mane kya bola bhai , naam bataiye us kamini ka.




Karan ye sab dekh ker buri tarah chonk gaya tha, wo jyoti jo ek jhil ki tarah shant thi, ab us vikaral nadi kaa roop le chuki thi , jo baad rupi jal se sab kuch nasht ker dena chahati thi.

Uske sharir se agni nikal rahi thi , jo pure room ko jalana shru ker di thi.
Wo to shukar h shivani radha k sath chali gayi thi, or unke maa baap ghar p ni the

Tabhi karan k man m baba ki aawaz aati h.

Baba :- putra shighr se shighra jyoti ko shant kero werna anarth ho jayega.kahi esa na ho jyoti khud ko hi hani pahucha le.

Karan ye sun ghabra jata h or bhag ker jyoti k pass jata h or uske hath se talvaar ko chin k fek deta h or apne gale laga leta h.

Or uske sir p pyar se hat ferte hue shant karwane lagta h . Wo to karan koi sadharan manushy ni tha.

Verna koi or jyoti k pass pahuchne se pahale hi bhasam ho jata, kyunki jyoti ka tez hi bahut jyda tha us time.

Jyoti dhire - 2 shant hote hote behosh ho jati h.

Karan :- baba ye sab kya tha , kya hua meri gudiya ko , achanak se itna krodh, esa kyu ho raha h baba , kyu aajkal jyoti ko itna krodh aane laga h.

Baba:- putra jesa ki tum jante ho ki tum koi sadharan manav ni ho or tumhara janm ek mahan uddeshy ko purn kerne k liye hua h.jis kaaran tumms bahut si deviy shaktiya h.

Usi prakaar jyoti bhi tumhari sirf bahan hone k sath sath , tumhari wo shakti bhi h jo bhavishy m dushto k vinash kerne k liye tumhare kaam aayegi , or shakti to ugra hogi hi na putra.tumhari jyoti tumhari shakti usi prakaar h , jese mahakal ki shakti mahakali h .Parantu abhi uchit samay ni aaya h jyoti ki shaktiyo ka jagrit hone ka. Isliye tumhe is baat ka vishesh dhyan rakhna hoga ki jyoti ko jitna ho sake uSe shant rakha jaye.

Karan abhi kuch or puchne hi wala tha ki baba bich me bol pade .

Baba :-putra m janta hu tum kya puchna chahate ho per abhi k liye bas itna jaan lo ki tumhe in prashno k utter swayam hi khojne honge , yahi to tum dono ki pariksha h .

Or itna bolne k baad baba ka sampark karan se tut jata h.

Fir karan jaldi se jyoti k chahare p pani dal k hosh m lata h.

Jyoti ko jese hi hosh aata h use karan ki sabhi baate yaad aajati h or wo karan ki or se apna muh mod ker apna gussa dikhati h or uski ankho m pani tha .

Karan :- kya hua gudiya.esa kyu ker rahi ho.

Jyoti :- kyu ab kyu meri chinta ker rahe ho , jaiye na usi chudel k pas ab jisse pyaar kerte ho.

Karan ko jyoti ki masumiyat p bahut pyaar aata h or bolta h.

Karan:- are meri gudiya meri jaan , kam se kam itna gussa kerne se pahale jaan to le m kiski baat ker raha hu, ruk m tujhe uski pic dikhata hu.

Jyoti :- mujhe koi pic Vic ni dekhni

Karan apna phone jyoti k chahare k pas late hue bola .

Karan :- are dekh to le ek baar .

Jyoti jese hi beman se phone ki or dekhti h to or vo buri tarah chonk jati h , kyunki mobile ki screen p koi pic ni thi, balki phone ka front camera on tha.

Wo chonkte hue karan ki or dekhti h.

Karan :- haa meri jaan ek tu hi to h jisse is duniya me m sabse jyda pyar kerta hu pagli , m to bas majak ker raha tha tujhse .


Jyoti jese hi ye sunti h uski khushi ka thikana ni rahata , per fir jhuta gusa dikhate hue karan p tut padti. H or uski dhulayi shru ker deti h per pyaar se.

Karan :- are maar kyu rahi h gudiya.

Jyoti :- bhai aap bahut gande ho , esa majak bhala koi kerta h , pata h meri to jaan hi nikal gayi thi ye soch ker ki ab aap mere se dur ho jaoge.

Karan jyoti ko apne sine se lagaker bola.

Karan :- hat pagal tune soch bhi kese liya ki tera bhai tere se dur hojayega , tujhse dur to mujhe swayam mahadev bhi ni ker sakte . Tu to meri , meri har shwas h gudiya , or koi bhala apni jaan se dur ho sakta h.

Jyoti bacho ki tarah kaan pakad k bolti h

Jyoti :- sorry bhaiya.

Karan(majak kerte hue) :- it's ok didi.

Jyoti or karan firse hasne lagte h or thodi der aaram kerke wo wapis naha ker teyaar hote h shivratri k antim pahar ki puja k liye.

Or fir wo dono wapas mandir pahunch jate h. Ab mahadev ki antim pahar ki puja m unka maharudrabhikek hone wala tha or sath sath bhajan bhi hone wale the

Karan or jyoti mandir k liye nikal jate h or mandir pahunchte hi garbh graha ki safai kerne lagte h.

Thodi hi der m baki sab bhi aajate h

Karan priya ko dekh ker bolta

Karan :- are beta , aap soye ni , aapko so jana chahiye tha na , aap subah se jagi hui ho aaj.

Radha :- ha bhaiya , mane bahut koshish ki ise sulane ki per ye mani hi ni.

Karan :- kyu

Priya :- kyunki mujhe bhi shivji ki puri puja dekhni h or kerni h bhaiya.

Priya k bolne k andaaz se hi pata chal raha tha ki karan or jyoti k sanidhya ka kitna acha prabhav pada h priya p , ki uske man me bhi shiv bhakti jagrit ho chuki h.

Radha :- bhai ab aage kya hone wala h.

Jyoti :- ab mahadev ka rudrabhishek hoga or sath m bhajan bhi

Abhi sabhi ye baat ker hi rahe the ki tabhi vaha pandit ji aake bole. Vo bahut tension m the

Pandit ji :- beta ek samsaya aan padi h.

Jyoti :- kya hua pandit ji.

Pandit:- beta jo sangitkaar hamare har saal puja k liye aate h , achaanak se unki tabiyat bahut kharab h to vo ni aapayenge ,

Jyoti :- ye ap kya bol pandit ji bina sangit k bhajan or rudrabhishek kese hoga, bina sangit k to sab niras ho jayega.

Sabhi ko is baat ki tension hone lagi tabhi karan ko ek idea aata h or wo rohan ko apne sath leker uske ghr ki or nikal jata h.

Or karib aadhe ghante baad wo dono wapas aate h .Or karan k hath m ek keyboard tha.

Darasal rohan keyboard bajana sikh raha tha

Jyoti :- bhai aap kaha chale gaye the.or ye keyboard kyu laye ho sath m

Karan :- gudiya mane is probalem ka solution dhund liya h , m ye keyboard play kerke puja sampoorn karunga.

(Or fir wo sabki najro se bach ker jyoti ko ankh mar ke bola)

Karan :- tu bhul gayi gudiya mane keyboard ki classes li thi.

Karan ne classes start ki jarur thi but usne peso ki problem k chalye 1 mahine m hi chodni padi.

Jyoti bhi karan k us ishare ko samjh gayi .

Jyoti :- are ha bhai m to bhul hi gayi thi.ab chaliye jaldi se rudrabhishek shuru kerte h.

Karan(jor se ) :- to sab bolo "shiv shankar mahadev ki"

Sab :- jai

Jyoti :- har har mahadev.

Fir sabhi lag jate h rudrabhikesh ki teyari m. Or teyariyo k baad ye decide hua ki jyoti mahadev ka abhishek karegi or karan bhajan gate hue sangit dega.

Karan (keyboard ko start kerte hue maa saraswati ka dhyan kerte hue man hi man bola) :- he saraswati ma apne is putra ki is galti k liye shama kerna ki m sangit sikhne k liye apni shaktiyo kA upyog ker raha hu maa , parantu he maa ye baat to aap bhi janti h maa, ki mera ye sab kerne k piche koi galat uddeshy ni h maa, m to bas bhagwan shulpani ka ye abhishek achi tarah sampann ho isliye hi ye sab ker raha hu, isliye he sangit ki devi , hey maa apne is putra ko apna aashirwad de.

Kailash m baithi maa saraswati karan k is saral swabhav se prasan ho bol uthi.

Maa saraswati :- tathastu putra , vidyavan bhavah.

Wahi karan keyboard p hath rakh k shaktiyo ka istemal kerta h, jisse usko keyboard k baare m har jankari or usko kese play kiya jata h , sab uske mind m apne ap set ho gayi.

Fir shuru hota h bhagwan vishnu ka rudrabhishek.

jyoti bhi mahadev ka dugdh abhishek start ker deti h.


Karan keyboard bajate hue gane lagta h.

Karan:-Om namah Shivay, Om namah Shivay
Om namah Shivay, namah Shivay, namah Shivay....

Damaru paani, shool paani, he Natraajan,

Namo namo, namo namo (chorus) namo namo, namo namo (chorus), namo namo, namo namo (chorus)

Shish ang, bhasm ang, karate dhaaran,
Namo namo, namo namo (chorus) namo namo, namo namo (chorus), namo namo, namo namo (chorus)

Damaru paani, shool paani, he Natraajan, namo namo (Chorus)

(1)
Tum aadidev anaadi ho, tum anthin anant ho;

Om namah Shivay

Shrimant ho, bhagawant ho, he naath Girijakant ho;

Om namah Shivay, namah Shivay , namah Shivay, namah Shivay

Shashi lalaat, tan viraat, he Trilochan,
Namo namo, namo namo , namo namo, namo namo , namo namo, namo namo

Damru paani, shool paani, he Natraajan, namo namo.

(2)
Nissaar is sansaar me, Shiv naam keval saar hai;

Om namah Shivay

Shiv Shakti hai, Shiv Bhakti hai, Shiv Mukti ka aadhaar hai;

Om namah Shivay, namah Shivay , namah Shivay, namah Shivay

Rom rom, Aum Aum, he agh-naashan,
Namo namo, namo namo , namo namo, namo namo , namo namo, namo namo

Damru paani, shool paani, he Natraajan,
Namo namo, namo namo , namo namo, namo namo , namo namo, namo namo

Karan ki itni madhur awaaz sun sabhi mantra mugdh ho chuke the or uske keyboard se nikali dhuno k kya kahane .

Yaha tak ki kailash m bethe bhagwan bholenath or mata parvati samet sare dev bhi.

Mahadev :- karan kitna sundar tarike se us vadhya yantra ko baja raha h, kitna madhur sangit uttpan ho raha h na priye , mera to aanand tandav kerne ka ho raha h.

Parvati ji :- to kijiye na swami bhakt , kisne roka h aapko , hamara bhi bahut man h aapko anand tandav kerte hue dekhne ka. Aapke Bhakt aapke liye vadya yantra bajaye , aap nritya kare or hum sab aanad le


Sabhi dev bhi yahi baat doharate h.

Mahadev bhi ye sun muskurate hue apne sthan se gayab ho jate h or ek jagah jaa ker apna anand tandav start ker dete h.

Karan abhi pure sharadha bhav se hi hue shivling ko dekhte hue keyboard baja raha tha ki , tabhi use ek.esa drishya dikhna shru ho jata h jise dekh pahale to vo bahut shok hota h , per fir uske aanand ki koi sima ni rahati.

Kyunki wo samne dekhta h k shivling k ander use saakshaat mahadev k darshan ho rahe or wo bhi aanand tandav kerte hue .




uske ankho m khushi k aansu aajate h, aaj uske aanand ki koi sima ni thi. Or ho bhi kyu na jin mahadev darshan , bade bade rishiyon ko bhi , kayi varsho ki tapasya k baad ni hote , un bhagwan vishwanath k darshan use aaj praapt ho chuke the.

Or o bhi kyu na jab bhakt apne sab dukh dard ko bula sache bhav or nishta se gaa ker ya kese bhi kuch ker apne bhagwan ko rijhata h . To mahadev vi khud ko aanand tandav kerne se rok ni paate.



Or jab vo ye dekhta h ki uske bholenath uski bajayi hui dhun per hi aanand tandav ker rahe h, to vo apni puri shakti or dugne josh k sath bajane laga wo keyboard ko.

Or wahi jab jyoti bhi dugdh abhishek k baad jese hi shivling per chandan or kumkum se tripund (mahadev k mastak per jo 3 rekhaye hoti h use tripund kahate h) banati h, to use esa feel hota h ki jese uska hath shivling ko ni kisi k mastak ko touch hua ho or hua bhi esa hi tha .

Screenshot_2019-03-08_222144.jpg



jyoti k dwara banaya gaya tripund mahadev k mastak per hi laga tha.or karan ko bhi ye sab dikha ki uski bahan ka hath mahadev k mastak ko chua h.

Tabhi karan ki ankho m ansu dekh jyoti uski taraf aaker ishara kerti h jese puch rahi ho ki kya hua. Karan kuch na bol jyoti ko ankho se shivling ki or dobara dekhne ka ishara kerta h.

Or jese hi jyoti shivling ki or dekhti h to usko bhi mahadev dikhte h or jyoti ki situation bhi bilkul vesi ho jati h, uske aankho se bhi khushi k aansu bah rahi thi.



Or wo kuch der yu dekhte rahane k baad , shiv stuti purn kerti h.

Jyoti :- Om Namah Shambhavaay ch, Mayobhavaay ch,

Namah Shankaraay ch, Mayaskaraay ch,

Namah Shivaay ch, Shivtaraay ch.

Or fir karan bhi bas apne sangit ko vishram deta h.or isi k sath mahadev bhi apna aanand tandav purn ker karan or jyoti ko aashirwad de waha se antardhyan ho jate h.
Screenshot_2019-03-08_222305.jpg



Lekin apne baki bhakto ko bhi shivratri ka ek uphaar de jate h.

Jo ye tha ki shivling k pass rakhe diye se jo shivling ki parchai divaar p ban rahi thi , us parchai ne achanak se mahadev ki aakriti ka roop le liya , esa pratit ho raha tha jese samne sakshat mahadev hi khade ho.


Jab waha mojud karan k dost or pandit ji vo drishya dekhte h to usi samay sab jor se har har mahadev ka nara lagate hue dandvat pranam kerte h. Un logo ki bhi khushi ka koi thikana na tha.

Mahadev wapas aapne sthan per lot aate h.

Mata parvati :- sach me swami itne yugo baad aapko aanand tandav kerte dekh man prafullit ho gaya.

Or de aaye aap apne param bhakt ko darshan.

Mahadev :- ha priye , ye to unke nek karmo ka fal tha, unhone meri bina kisi swarth k , purn nishtha se bakti ki thi , or sabse badi baat unhonne meri bhakti k sabse mahan marg ko sirf jana hi ni, balki use jivan m hi utara.

Meri bhakti ka arth sirf ye abhishek ya sangit hi ni h, meri bhakti ka sabse mahan or uchit marg , jo mujhe sabse jyada priya h vo h "paropakar" .

Jo karan or jyoti hamesha se kerte aarahe h. Pahale ek vidhva orat or us bachi ko unhonne apni maa saman mosi ka or bahan ka darza diya, mere sabse priya din per na jane kitne bhuko ko bhojan karwaya , yaha tak ki sabse bada punya ka kaam jo ki do premiyo ko milana h , wo bhi kiya , do anath or garib premi premika ka vivah kerwa ker. To kese m prasan na hota or kese unhe darshan na deta .

Mata parvati :- uchit kaha aapne swami.

Aaj k liye bas itna hi.

Stay tuned.
nice update ..jyoti itna gussa kyu ho gayi karan ki gf ke baare me sunkar 🤔..
karan ka sangeet sunke swayam mahadev anand tandav karne lage aur karan ko darshan bhi diya 😍..
baadme jyoti ko bhi darshan ho gaye shiv ke ..unke saath saath unke saathi aur pandit ko bhi aakriti ke roop me darshan mil gaye ..
 
Top