• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Pyare Rishte - Bhai Bahan Ki Pavitra Prem Ka Ek Safar (part 1 and 2 completed) part 3 in running (restart)

Kya mujhe story restart kerni chahiye

  • Ha bilkul

    Votes: 44 89.8%
  • Ni , rahane do

    Votes: 5 10.2%

  • Total voters
    49

Harry rocks

Well-Known Member
7,284
18,816
189
update no :- 217
OpKaran abhi dukhi man se asma se abhi kuch or baat kerta usse pahale hi karan ne paya ki asma samet jo jaha jesa jis haal m mojud tha , wo vese hi sab tham gaya , sivaay karan k


Karan turant samjh gaya ki samay tham chuka h , lekin karan heran tha ki akhir ye kiya kisne , tabhi karan k kano m ek jani pahachani awaaz padi , jise sunte hi karan pahale chonk utha , lekin fir usne jese hi us aawaz ki disha m dekha to samne jinhe pata h , unhe dekhte hi uski khushi ki sima na rahi.


Aaiye dekhte h uska kaaran


Karan abhi jis kabristan m mojud tha , waha keval kabristan hi ni balki shamshan ghat bhi tha , or jinhone karan ko aawaz di thi wo us shamshan bhumi k bilkul bicho bich bethe the.


Jo or koi ni wahi the , jinki bhumi ko shamshan kaha jata h , wahi jo is moksh dham (shamshan bhumi ka ek dusra naam ) m sthith ho sabko mukti pradaan kerte h , ji ha dosto karan k samaksh uske aradhya wahi moksh data devadhidev bhagwan bhuthnath mojud the.


Bhagwan shiv ek shila p dhyan mudra m bethe the , tan p bhasm gale m mundmala dharan kiye shivji netra bhale hi band ho lekin jab unhone ek baar fir karan ko pukara ...


Mahadev :- putra karan .


Tab karan apne aanand k sagar se bahar aaya or use samjhte der ni lagi k uske shiv usko pukar rahe h , karan turant dod k apne mahadev k charno m ja betha or ghutno k bal beth charno m shish rakh


Karan khushi k ansu k sath :- prabhu aap , m dhanya ho gaya prabhu , aapke punah darshan paker m dhanya ho gaya.


Mahadev dhime se apne netra kholte h or karan k shish per prem se hath rakh bole :- sada sukhi raho putra


Bhagwan ashutosh k matra sparsh or prem k in 2 vachno se wo paliya jiske liye karan pichle 3 din se bhatak raha tha or taklif jhel raha tha , yani ki man ki shanti.


Ese hi to h mere bholenath apne bhakto ka kasht mere shiv se kaha dekha jata h , jab bhagwan kailash pati ne kailash m dhyan kerte hue apne bhakt ki man ki ashanti or pida se tadapte yu bhatakte dekha to wo turant us shamshan bhumi m pragat ho gaye apne bhakt apne ansh ko is pida s ubharne .


Mahadev k sparsh se na keval use shanti mili , balki usko ye gyaat bhi ho gaya ki uske mahadev usike liye specially yaha padhare h.


Karan khushi is baat se dugni ho gayi :- prabhu aap apne ek tuch se bhakt k liye swayam yaha padhare , aapka ye bhakt itna bada rin. Kese utaar payega prabhu aapka.


Mahadev apne saral swabhav k sath haste hue bole :- putra isme kesa rin , mere ghar padhare ho to mujhse tumhari yaha bhet ni hogi to kaha hogi.


Karan :- aapka ghar ?


Mahadev apne charno se karan ko kandho se uthate hue bole :- wo sab baad m putra pahale tum suno mane kaha tha n putra tumhara sthan mere charno m ni balki sadev mere hriday m rahata h , isliye tum humesha mere hriday k karib mere sath betha kero .


Karan :- ni ni prabhu , m aapke barabar sthan p kese beth sakta hu aap mere ishwer ho or m


Mahadev bich m tokte hue :- tum yaha beth rahe ho ya m bhi tumhare sath dhara p bethu


Ye bol mahadev apme sthan se uth karan k sath niche bethne ko hue to karan turant uth beth gaya mahadev k sath unke bagal m .


Mahadev :- ye ki n mere putra wali baat .


(Kuch der prem se karan ko niharte hue) putra tum bhul rahe ho ki shamshan ka arth hi h shiv ki bhumi , yani ki meri bhumi , ye sthan mujhe atyant priya h kyunki , yahi vo pavitra sthan h jaha ishwer is maya se yukt mrityulok ko tyag atma ka milan parmatma se hota h , mujhse hota h , ese pavitr sthan p mera sthan na hoga to or kaha hoga.


Mahadev ne badi hi saralta se karan ko is bhav se mukt ker diya ki uske mahadev ko uske kaaran yaha ane ka kasht kerna pada .


Karan ye baat bhali bhanti samjhte hue :- aap dhanya h prabhu dhanya h aap.


Mahadev :- wo sab chodo putra ab apne mahadev ko ye ni bataoge ki aaj yaha ka marg kese bhul gaye.


Karan usi kabra ki or dekhte hue :- prabhu aap to antaryami h aap se bhala kya chupa h .


Mahadev bhi usi or dekhte hyd :- jante hue h putra jante h ki humara ansh aaj bhi apne bhut kaal m hui un ghatnao k kaaran kasht m h , jinme uska dosh ni tha, use bhul kyu ni jate putra.


Karan nam ankho se :- prabhu ye aap kya kah rahe h , kiske hi kaaran aaj wo is sansaar m ni h , jiske kaaran aaj meri judwa meri jyoti is halat m h .


(Kuch der siskne k baad rundhe hue gale k sath) kese bhul jau ki inhi hatho se mane..........


Karan age kuch ni bolta or fir ek bar fut fut k rone laga , jise dekh ek shan mahadev k chahre p dukh k bhav prakat hue , parantu agle hi shan unhone wo kiya jo unhone aaj tak apne kisi bhakt k liye shayad na kiya hoga.


Unhone karan k mukh ko prem se thama or bade hi prem se unhone karan ko letate hue uska shish apni god m rakh ek pita ki bhanti prem jatate hi hue bole.


Mahadev :- shant ho jao putra , tum jese mere gyani or veer putra ko yu ashru bahana shobha ni deta , putra ye to is sansaar ka vidhan h jisne is sansaar m janm liya h use ek din is sansar ko chod ker jana bhi padta hi h , ye wo atal satya h jise koi ni badal sakta , jab koii manushy is sansar m janm leta h to uski mrityu bhi usi samay nirdharit ho jati h , to ese m putra tumhara dosh kese hua putra , is sansaar m koi yadi kisi ki mrityu ka jimedar ni hota putra , jimmedaar h to vo kaal jisko vidhata ne hi ye karya sompa h


Karan jo mahadev k pitrvrat prem se kafi had tak shant ho chuka tha wo bola ;- parantu prabhu m kese bhul jau ki...


Mahadev :- putra mane kaha n jo hua usme tumhara koi dosh ni tha , .(kabra ki or dekhte hue ) or swayam vichar kero putra tumhari mitr tumhari z... Jo abhi jaha bhi hogi kya tumhe yu is halat m dekh ker kya sukhi rah payegi , kya wo sukh bhog payegi , jiske liye wo yaha us samay rahate hue tarasti rahi.


Karan ye sunte hi shant hote hue apni ansu puchte hue :- ni ni prabhu m kese apni dost ko taklif m dekh sakta hu , yadi mere rone se ager meri saheli ko kasth hota h to or yadi wo mujhe sun sakti h to ye uske prince ka vada h ki wo kabhi use yaad ker ni royega , vo bas khush rahe yahi uske is prince ki icha h bhagwan.


Karan shivji k hath jodte hue :- prabhu apne is bhakt pe ek upkaar or ker dijiye bas ye bata dijiye ki meri dost meri ...... Jaha bhi h wo sukhi to h na , use koi taklif to ni na bhagwan.


Mhadev muskurate hue usi kabra ki or dekhte hue :- nishchit raho putra tumhari saheli jaha bhi wo sukhi h use koi bhi taklif ni , jiska tum jesa prem kerne wala sakha raha ho vo bhala kisi bhi lok m kese taklif m ho sakti h.


Mahadev se jese hi karan ko pata chala ki uski wo dost jiski kabra p wo aaya tha wo jaha bhi vaha khush or sukhi h , to uski khushi ne uske sare gam lagbhag bhula diye , lekin ek gam abhi bhi baki tha jo uske liye sabse jyada kashtdayi tha , wo tha jyoti se duri ka.


Jise samjh mahadev bole :- putra tumhari sakhi to khush h parantu hum tumse rusht h.


Karan ye sun ghabra gaya :- prabhu m ni janta ki mujhse kya bhul hui , parantu yadi aap mujhse rusht hue h to mujhse avashy hi bahut badi bhul , bhul ni apradh hua h mujhse .


Kripya apne is daas p kripa kare bhagwan , apne is putra ko uske uske apradh ka gyat karaye bhagwan taki m wo apne is apradh ka pashchatap ker sake or apse shama prapt ker sake


Shiv ji muskurate hue ::- shama to tumhe avashya mangni hogi putra , parantu humse ni balki humari is putri se jisko rusht ker tumne use taklif pahunchayi h , yani ki humari jyoti putri se .


Karan sir jhuka :- m janta hu bhagwan mane apni gudiya ka dil dukhaya h parantu aap hi bataiye bhagwan m kya kru , ek or meri gudiya ki khushi thi or apni maa kor ek or mera kartavya , isme fir bhi mane apna kartvya chuna kya ye meri bhul thi bhagwan.


Shivji :- tumhari ye bhul ni thi putra tumne apna kartvya chuna , apitu tumhari bhul ye h putra ki tumne apne kartvya k kaaran apni bahan ko najarandaj kiya , mana putri jyoti tumhari baat ko samjh ni payi , parantu tumne kya use ek baar bhi use beth punah samjhane ka pryas kiya , kya jab jyoti tumhari bhua k ghar us halato m bhi ruki jab use tumhari sabse jyada jarurT thi , kya tab tumhee use ni rokna ni chahiye tha.


Mahadev ki baate sun karan ko apni bhul ka ahasas hua, or rote hue wo bola.


Karan :- aapne uchit kaha prabhu bhul meri h , ye jante hue bhi ki meri gudiya ne aj tak kya kya n saha h , kya kya ni gujri uspe , ye jante hue bhi m usko leker bilkul laparwah ho gaya jiske kaaran meri gudiya aaj itni kasht m h .


Per apka ye bhakt apni bhul sudharega bhagwan , apni gudiya k chahre ki wo hasi fir se lotayega , jo uske kaaran hi kahi kho gayi h, bas apne is bhakt ko ek avsar de dijiye bhagwan.


Mahadev :- diya putra , ab bina deri kiye jao or apni gudiya ki khushi fir se lota do .


Karan nam ankho se khushi khushi muskurate hue mHadev koo pranam kerta h or mahadev bhi vaha se anter dhyan ho gaye.


Karan fir waha se wapas asma k pas lot jata h or samay wapas se chal pada


Karan :- tum thik hu kah rahi ho asu , mere ese rone se tumhari di ko taklif hi pahunchegi , isliye tumhare bhai jan ka vDa h ajkbaad wo kabhi aake yu na royega na hi uske karan uski dost ko taklif hogi..


Asma karan ki shant swar sun khush ho gayi ki uska bhaijan ab shant h wo turant uske gale lag gayi or boli :- ye ki na mere bhai jaan wali baat.


Karan fir kuch der us kabra ko nihar kabristan se bahar aata h or kuch der asma se bat kerta h or fir apne jane ki baat kerta h to asma dukhi ho jati h.


Karan :- asu tu bhi mere sath chal na , pahale tere bhai jaan majbur the , jis kaaran tum yaha is haal m rah rahi thi , lekin ab tumhe yaha taklif jhelne ki jarurat ni h meri pari .


Ye bol karan asu ko apne sath chalne ko kahata h


Asma - ni bhai bat taklif ya majburi ki ni ,aap to jante hi h m is sthan ko jab tak ni chod sakti jab tak ki ... (Ye bolte hue uski prakash hin. ankho me angare or ansu saf dikhayi dene lage) (fir bat bat badalte hue)or vese ab is sthan ko chodne ka ji ni kerta , is sthan se lagav hi esa ho gaya h , or vese bhi yadi m jyoti di k samne gayi or galti se bhi unhe apna past yaad aagaya to m kabhi khud ko maaf ni ker paungi , isliye please bhai aap mujhe yahi rahane de , bas ek request h apse bhai jaan ki next time apni asu se milne aane m itna time mat lagana, aap to jante hi ho ki aapke alawa mera koi or ab h hi kon.


Or mujhe kisi chij ki jarurat padi to m janti hi hu na mujhe kese contact kerna h apne bhai jan ko.


Karan bacho jese narajgi dikhate hue :- janti h fir bhi time se ek baar bhi phone ni kiya apne bhai jaam ko.



Karan ye bol or asma ki bato ko bhali bhanti samjh taraf utha or apne sine se laga liya or use kafi der sine se lagane k baad alag kerte hue usse jald milne ka vada kerte hue nikal pada apni bike ki or.


Tabhi karan ko achanak kuch bura hone ka andesha hone laga , jisse uske hath kampne lage or saans fulne lagi.


Tabhi uska phone ring hua , phone radha ka tha , jise dekh karan ne khud ko shant kerte hue pick kiya or jese hi usne hello bola


Tabhi uske kaano m uski jan uski pyaari radha ki rone ki aawaz padi.


Karan ghabrake :- kya hua radha meri gudiya tu ro kyu rahi h.


Radha rote subakte hue :- bhai aap jaldi yaha city hospital aajaye.


Hospital ka nam sun karan ghabra gaya or bola :- hospital , hospital kyu kya hua tujhe , tu thik to h na.


Radha :- m thik hu bhai per (hamfte hue) jyoti didi jyoti didi.


Karan jyoti ka nam sun buri tarah ghabra gaya :- jyoti , kya hua jyoti ko.


Bol radha kya hua teri didi ko


(Karan tez awaz me chilaya jisse radha ghabra gayi , tab kavya ne phone liye)


Karan :- hello choti maa ye radha kya bol rahi h , kya hua meri gudiya ko.


Tab kavya ne rote hue karan ko jo bataya use sun karan ki to mano ek shan sanse hi ruk gayi or uske hath se phone chut gaya or wo rote hue chillaya.


Karan :- gudiyaaaa.


Or usne phone utha apni choti ma ko apne pahuchne ka bol turant apni bike p betha or asu or full speed,se nikal pada hospital ki or.


Aaj k liye bas itna hi
Stay tuned
 
Top