Raja thakur
King
- 11,726
- 23,758
- 228
Nice update bhai aur ab karan aur jyoti wapas darathi par aa rahai hai dekthe aagye kya hota hai
Mazza aagya bhaiUpdate no :- 105
Wahi mata chaya k jaane k baad mahadev k chahre p muskan aagayi, tab shani dev bole.
Shani :- m janta hu guru dev aap kinchit matra bhi rusht ni h , aapne keval esa isliye kiya na gurudev , kyunki aap jante h ki is samay keval mata hi karan or jyoti ko sajj ker sakti h prathvi p lotne ko.
Mahadev :- putra shani , isiliye to tum mere priya ho , kyunki keval tum hi ho jo hume bhali bhanti samjhte ho or bina kahe hamare mantavya ko samjh bhi jate ho.
Ha shani tumhara kathan uchit h , jab santaan kisi duvidha me ho to ek mata hi uska uchit marg darshan ker sakti h , parantu devi chaya khud karan or jyoti k prem k moh me pad gayi thi , or inme unki koi bhul ni , kyunki devi chaya ek saaf evam pavitra hriday se yukt devi h , isliye unme keval prem or mamta ka hi vaas h , or ek maa ka apni santan se moh to swabhavik h .
Isliye mane unke moh ko is prakar bhang kiya ki unhe pida bhi na ho or vo swayam apni ansh ko prerit kare.
Shani :- parantu dekhiye mahadev mata to swayam apna marg bhatak gaye h , wo bhul gayi h ki ek maa se shaktishali or prabhavshali prerak ek santan k liye koi ni ho sakta , wo to ab sahayata k liye.....
Mahadev :- ab jag kalayan me itna bada vighn aaya h to vighnharta ko samaksh to aana hi hoga na shani.
Ha dosto mahadev ka kathan bhala anuchit ho sakta h, devi chaya apne is vighn ko dur kerne k liye vighnharta k samaksh ja pahunchi.
Ganesh ji is sandhya vandana ker dhyan me bethe the .
devi chaya ne unki stuti ki.
वक्रतुण्ड महाकाय सूर्यकोटि समप्रभ।
निर्विघ्नम् कुरु मे देव सर्व कार्येषु सर्वदा॥
Vakratunda Mahakaya Surya Koti Sama Prabha
Nirvighnam Kuru Me Deva Sarva Karyesu Sarvada.
Stuti k purn hote hi ganesh ji ne apne netra khole or devi chaya ko dekh bole.
Ganesh :- mata chaya aap, pranam.
Shani or ganesh ji bachpan k dost h isliye dono ek dusre ki mata ko mata kahaker hi bolte h
Devi chaya :- pranam parvati nandan .
Ganesh ji :- kahiye mata , aaj aapne apne is putra ka smaran kese kiya.
Devi chaya :- bhala koi pratham pujya ko bhul sakta h kya ganesh ji , aapki ye mata aapke samaksh ek yachak k roop me prastut hui h lambodar, kripya meri sahayta kijiye.
Ye bol devi chaya ganesh ji ko sab bate bata deti h or fir shri ganesh sara majra or mahadev ki mansha samjh gaye or bole.
Ganesh ji shararati muskan k sath :- mata m aapki sahayata kerna to chahata hu parantu.
Chaya :- parantu kya gori nandan ?
Ganesh :- parantu mata itne samay dhyan me rahane se tivra shuda lagi h to kuch
Mata chaya haste hue :- samjh gayi ganesh ji aap kya kahana chahte h , or haa m aapke priya vyanjan apne hatho se paroske layi hu.
Ye kah ker devi chaya ne apne dono hath aage kiye or usike sath hi unke hath me badi si thali jo modako se bhari hui thi , wo unke hatho me aagayi.
Ganesh ji modak dekh khush ho gaye or wahi thali ko le bhog lagane lage.
Chaya :- ab to apni mata ki sahayata kijiye gajanan .
Tab ganesh ji modak chod hasne lage .
Chaya :- ye kya ganesh ji aap hasne kyu lage.
Ganeshji :-shama kijiyega mata , aapne prashn hi esa kiya h ki m khud ko rok na paya.
Chaya :- esa mane kya bol diya gori nandan.
Ganesh ji :- or ni to kya mata ,aapka prashna kerna vesa hi , jese chitra kaar puch raha ho ki chitra kese banau , murtikar bol rahe ho , murti kese banau, surya dev puch rahe ho ki shrishti kese rachu.
Chaya :- tatpary ?
Ganesh ji :- mere kahane ka tatpary itna hi h mata ki , ek maa chahe to kya ni ker sakti , ek maa sirf santan ki janmdayita hi ni , uska pratham guru bhi hoti h , mata ka kartavya kahe ya shakti , jab bhi santan marg bhatke to ek mata hi apni santan ko uchit marg darsha sakti h .
Aap yahi soch rahe h na ki karan or jyoti ne pita shri ki hi na suni to aap kya ker paoge , parantu aap bhul rahi h devi , ki mata ka sthan to mahadev se bhi uper hota h , ek mata chahe to kya ni ker sakti.
Kya mujhe unko bhi ye sab samjhana hoga mata , jinhone apne sanskaro or margdarshan se chaya putra ko karmfal data bana dala.
Devi chaya ganesh ji k vachno se prabhavit hui or boli.
Devi chaya :- aapka bahut bahut dhanyawad vighnharta, aapke margdarshan ne meri sari duvidha ka hal ker diya , aapne bilkul satya kaha vignharta , ek santan ko keval mata hi uske bhule hue karmpath ka samaran kerva sakti h.
Ha ganeshji m hi apni santaano ko wapas unke udeshya ki or agrasar karungi.
Devi chaya yu bol ganesh ji se aagya le nikal gayi karan or jyoti ki or.
Wahi dusri or
Kolkata se kayi milo dur rajasthan ka ek ganv shivpur , jaha k jagiradar jai prakash ji ek bahut hi dhanwan or nek dil insaan the , lekin unke kahayal thode rudiwadi or purane jamane k the , lekin wo ganv valo k liye bhagwan se kam ni the, wo ganv k sarpanch bhi the isliye unhone ganv k liye bahut kaam kiya tha jisse aaj unka ganv shahar se kam ni tha, unke is kaaran kayi dushman bhi ho gaye the , per ye unke liye koi khas baat na thi, kyunki unke pass political support ki koi kami naa thi.
Kami thi to bas ek vaaris ki , kyunki inka ek beta to inse dur ho chuka tha , kyu vo aage pata chalega abhi or dusre bete ke ek hi ladki thi , wo bhi bichari viklang thi , jo baisakhi ya wheelchair ki madad se hi chal pati thi.
Ek beti bhi thi , jiski shadi ho chuki thi or uske bhi keval ek hi bet thi, jis kaaran unke nati ki ummid bhi tut gayi thi.
Or kuch samay se to inke ghar me matam jesa mahol tha.
Hua darasal yu tha ki.
1 mahine pahale
Jaiprakash ji yu hi ek din apni haveli me yuhi udaas bethe the , tabhi unki patni rama ne aake bola.
Rama :- suniye ji bahut din ho gaye , garima beti se baat kiye hue , jara phone to lagaiye .
Jaiprakash :- ha bhagwan sahi kaha tune ruk abhi lagata hu.
Ji ha dosto ye dono or koi ni garima or ranvir k maa baap yani karan or jyoti k dada dadi the , jo aaj bhi apne us paap ka dand bhugat rahe the , jo unhone apni devi saman bahu ko beijjati kar ghar se nikalne ka kiya tha .
Isliye ab m inhe inke usi sambhandh k naam se likhunga , jo inka hero se h.
Dadaji garima ko phone lagate h or 3 4 ring k baad garima phone pick kerti h .
Garima :- hello , ha papa , namaste kese ho aap , maa kesi h.
Dadaji :- m thik hu beti tum batao , bahut dino se tumhara phone na aaya to socha ki aaj apni beti se baat to ki jaye.
Dadi dada k hath se phone chinte hue :- mujhe to apni beti se baat kerne dijiye.
Fir dono maa beti me thodi baat hoti h , fir garima boli.
Garima :- maa , ghar me baki sab kese h , rajiv bhaiya, bhabhi aap sab.
Dadi :- baki sab to thik h beta , per ek pote ki kami hamesha khalti rahati h.
Garima ne socha ki aaj moka sahi h aaj use karan or jyoti k baare me sab kuch bata dena chaiye apne maa baap ko.
Garima :- maa mujhe aapse usi baare me baat kerni h , bade bhaiya or asha bhabhi k bare m.
Asha ka naam sun dadi chid gayi or boli.
Dadi gusse me :- naam mat le us kulta banjh ka mere samne , wahi to sare fasad ki jad h , na hi usne mere bete ko fasaya hota , to aaj humara bada beta humse yu dur naa hota , or na hi aaj hum aaj yu ek pote k liye taras rahe hote, wo mar hi jaye to acha.
Garima gusse se :- maaaaa , aapko jara si bhi sharam ni aati , bhabhi jesi devi k liye , jisne aapki itne atyachar sah ke bhi 5 saal seva ki or ghar chodne ka fesla bhai ka tha na ki bhabhi ka.
Per m bhi kise samjha rahi hu , jo bete ke moh me andhi ho chuki h ki apni beti jesi bahu ko bhi gali dene se ni lajati.
Dadi :- ye kya tamij h teri apni maa se baat kerne ki garima.
Garima rote :- sach hi to kaha h mane maa , vese ab aapko samjhane ka koi fayda ni, per shayad aapke dushit man ko ye sun k bahut khushi hogi ki meri bhabhi jinhe aapne hamesha badua hi di , wo ab sach me ni rahi or sath me aapka pote ka khawab bhi .
Dadi :- kyaaaaaaaa
Garima :- ha maa aaj aapne apni bahu ko hi ni , aapke paap karmo k kaaran apne pote or poti ko bhi kho diya.
Ye bol garima shuru se leker ant tak ki sari kahani rote rote batati h or boli.
Garima :- ha maa ha , ye sab aapke hi paapo ka natija h , jo paap apne meri devi samman bhabhi ko apmanit ker unpe atyachar ker kamaye the.
Ye sunte hi dadi k hatho se to phone hi chut gaya or wo wahi farsh pe beth rone lagi , phone speaker pe tha to dada ji or rajeev *(chacha ji) ne bhi sari baat sun li or wo bhi fut fut ke rone lage.
Rajeev ka to bura haal ho gaya , wo bhi garima ki tarah apne bhaiya bhabhi se bahut pyar kerta tha , or aaj itne samay baad unki khabar bhi mili to esi manhoos khabar mili.
Wo sabhi to kolkata jana chahate the , per garima ne hi filhal k liye unhe rok diya. Ye bol ki wo khud ranvir ko kuch time baad leker aayegi.
Dadi k aankhon m aaj bhi dukh to tha , per apni bahu ki mot ka ni , bas apne pote poti ki mot ka.
Wo to abhi bhi apni bahu se apni nafrat ko khatam na ker payi thi.
Ab to sare ghar ko keval ranvir k aane ka intezaar tha.
Back to the hero.
Karan :- ni mata kripya aap to hume waha wapas lotne ko na kahiye , aap to janti hi h ki hume waha ghrina or apmaan k alawa kuch mila hi ni.
Ha dosto devi chaya karan or jyoti k pass ja pahunchi thi or unhe samjhane me lagi hui thi.
Devi chaya :- janti hu putra , m kaha chahati hu ki mera putra koi kasht jhele , parantu putra mahadev ki aagaya ko to manna hi hoga na or uper se tumhari karm bhumi or janm bhumi dono prathvi hi to h.
Or yadi tum hi apne kartavy se vimukh ho gaye to, is sharasti ka kya hoga.
Karan bhavuk hoker :- mata , sharati ka kalyan avashyak h m manta hu , parantu kya koi hamari bhavnao or saman ka koi mulya ni.
Chaliye ek baar m apna apman or pida ko bhula ker , wapas lot bhi jayu.
Parantu kese bhul jau us apman , us kasht or pida ka jo meri bahan , meri gudiya ne prathvi lok pe jheli .
Mata mujhe apne kasht ya kathinaiyon ki koi chinta ni h , parantu ab mane khud ko ye vachan diya tha ki ab chahe kuch bhi ho jaye m apni gudiya ko wapas vo kasht wo pida ni jhelne dunga or dand nayak apna vachan kabhi ni todta.
Mata chaya :- vachan to tumne apne mitro ko bhi diya tha ki tum apne aapko ek din nirdosh saabit karoge.
Karan mitra naam sun krodh gusse me aagaya uski ankh thodi laal ho gayi nile rang se.
Karan :- konse mitra , kese mitra mata , karan ki sirf ek hi sakhi , ek hi mitra h , wo h meri gudiya jyoti , jo aapke samaksh khadi h , fir aap kin mitro ki baat ker rahi h.
Kahi aap unki to baat ni ker rahi , jo mitra k bhesh me shatruo se bhi gaye gujre the , jinhe mane apna keval mitra ni , apne bahan se bhi bad ker mana or uske badle kya mila mujhe or meri jyoti ko , ek itna ghinona kalank or apman .
Ni mata ni jis mitrata me vishwas na ho , vo mitrata ni hoti , na hi mera unse koi nata h , or jinse m koi sambhandh hi ni rakhna chahata unhe m kuch bhi pramanit kerna aavashyak ni samjhta.
Devi chaya ne pyaar se karan k galo k sahalate hue bola.
Devi chaya :- unke liye ni to putra kya apni sakhi , apni premika , apni bahan jyoti k liye bhi esa na karoge.
Tumhe gyaat na ho to m tumhe bata du putra, tumhari gudiya ne hi tumhari nirdoshta saabit kerne ki pratigya li thi.
Ye sun karan jyoti ki or dekhta h, jese puch raha ho ki ye sach h kya , jyoti bhi gardan haa me hilati h.
Devi chaya :- prashna keval apni nirdoshta ka ni putra , tum ye dekh rahe ho ki jal ka patra aadha khaki h , parantu ye ni ki vo adha bhara hua h.
Tumhare kuch apno ne tumhare sath vishwas ghat kiya , iska ye arth to ni ki un sab ka prem jo aaj bhi tumhari mrityu k sandesh se sadme me h , unka prem jhutha h.
Kya tum bhul gaye putra apni shivani ko , jo tumhari rajkumari h, jisne apne itne kam aayu me bhi itna dukh jhela , jo bachpan se apne bhai bahan k prem yani tumhare prem k liye tarsi , apne mata pita k virudh ja ker bhi tumhara sath na choda , kya uska prem jhutha tha .
Mata jab ye sab bol rahi thi , to sath me unhone apna ek hath aage kiya , jisse ek roshni nikali , jisne hava me chal chitra bana diya .
Jisme karan or jyoti ko shivani ki is time ki halat dikhne lagi, jise dekh karan or jyoti ka hriday kamp utha.
Hamesha hasti khelti rahane wali shivani unki princes aaj hasna hi bhul gayi thi , uska ful sa chahara , murjha sa gaya tha or sahi se na khane pine ki vajah se kamjor pad gayi thi.
Devi chaya :- kya bhul gaye putra apni choti maa k prem ko jo tumhara asha ki mrityu k baad sahara bana.
Ye bolne k sath hi screen pe kavya ki bhi halat dikhne lagi .
Jise dekh karan or jyoti ko dukh or herani dono hui .
Devi chaya :- m janti hu putra , tumhare man me kya prashn uth raha h , isliye m tumhe vastvikta se avgat karwana chahati hu.
Ye bol mata chaya ne kavya ki sari sachai karan or jyoti ko bata di , jise sun karan or jyoti k ankho se ansu jhar jhar bahane lage or usdin ki gayi kavya k sath unki badtamiji ka karan ko bahut pashchatap hone laga.
Mata chaya :- kya putra tumhari choti ma ka balidan roopi prem bhi mithya tha , jisje badle kavya ne atyant kasht sahe.
Or fir devi chaya ne garima , priya , gita or priya k bhi drishya dikhaye
Fir chal chitra badla or jo drishya karan or jyoti ne dekha unka to hriday kamp utha.
Ye chal chitra sonam or rohan ki us halat ka tha , jab sonam sadme me sare din mandir me bethi rahati thi or rohan khud dhukh me Duba hua hone k bavjood bhi sonam ka sambhalne me laga hua tha.
Mata chaya nam ankho se :- kya is masoom k prem ko bhi tum mithya kahoge putra , jiska to shayad tumhare alawa is duniya m koi h bhi ni .
Kya bhul gaye apni sonu ko putra , jisne to apna jivan jina hi tumse milne k baad sikha , jisne tum dono ko hi apna sab kuch mana, apna bhai , apna pita , apna dost apna sab kuch
Dekho putra jabse tumhare ant ki suchna ise mili , tabse din raat keval ishvar se tumhare lotne ki kamna kerti rahati h, kyunki use vishwas h ki uska bhai , jisne use sadev sath rahne ka vachan diya tha, vo apna kabhi vachan ni todega.
Or yahi vishwas tumhare bhai saman sakha rohan k hriday me , jisne apni bahan k galti ki saja khud pe leli , khud se uska nata tod k , keval isliye ki uske apnu bahan ki or se is tarah k praishchit se hi sahi , tum dono wapas lot aao.
Bolo putra kya sonam or rohan ka ye vishwas ye prem bhi mithya h.
Karan or jyoti k ankho se ansu rukne ka naam na le rahe the , apne apno ki ye dasha dekh, esa ni tha karan in sab ko bhul gaya tha, ya inse nafrat kerne laga tha.
Use to bas ye dar tha ki kahi radha or riya ki tarah sonam or baki sab bhi use na thukra de , wo ab or apno ki nafrat ni jhelna chahata tha , isliye usne na jane ka fesla liya tha , lekin aaj karan ko apne is fesle pe bahut pachtava ho raha tha
Or last me mata ne unko unka chitra dikhaya , jo karan or jyoti k liye unki sab kuch thi , unse jyada to unke liye ishwer bhi mayne ni rakhte the , yani ki unki maa asha.
Mata :- putra baki sab ka ni to kam se kam apni maa k sanskar or unke kathano ka smaran kero.
Tumhari maa yani asha ne hamesha yahi chaha ki unki santan bahut aage bade or apne karmpath pe agrasar ho apne charam sikhar pe pahunche.
Kya tum apni maa k us sapne ko adhura chod doge putra , kya sabka nyaya kerne wala, apni hi maa k doshiyo ko dand ni dega putra , kya yahi h dand nayak ka nyaya.
Fir mata ne karan or jyoti ko ek esa satya bataya asha se juda , jise sun karan or jyoti ki bhohe tan gayi or karan ne apni talvar ka aahavahan kiya
or usi ke sath vo apne dand nayak roop me aagaya or bola.
Dand nayak :- nyay hoga , sab doshiyo ko dand avashya milega mata.
Karan ne apne hath me jal le pratigya ki :- atal , vital , sutal, rasatal , takatal , mahatal or patal sune , sabhi dishaon k digpal or mahapal sune , sabhi acharya or guru sune ,sabhi dev gandarbh , yaksh kinner aadi sune.
M dand nayak karan devo ke dev mahadev ko sakshi man ye pratigya kerta hu , koi bhi doshi ab ni bachega , ab chetawani ka ni samay h to keval dand pradan ka.
Isliye m dand nayak karan prathvi pe lotne ko sajj hu .
Aaj k liye bas itna hi.
Stay tuned
Note :- sorry for late update friends and also for short , aaj kuch had tak tabiyat thik hui to ye update dediya, isliye isme koi galti ho to please ignore kerna , and batana jarur update kesa tha