Update no :- 172
Wahi dusri taraf
Naina or uske dost trishastra k tisre hisse ko leker sidha mandir pahunchte h , jaha baba dhyan m bethe the
Naina isse pahale baba ko pukare usse pahale hi baba band ankho k sath hi bol pade.
Baba :- apne maksad m kamyab hui ladki.
Naina :- ji baba humne trishastra k dusre hisse ko prapt ker liya h
Baba :- shabas samne bane ghere m dono hisso ko rakh do.
Naina wesa hi kerti h , samne bane yantra rupi ghere m wo dono hisso ko rakh deti h, jiske baad baba mantrocharan aaramb kerte h or sath m hi navmi ki pooja bhi
Or mantrocharan or puja k purn hone k kuch shan baad dono hisse roshni m chamakte hue hava m udne lage or agle hi shan wo ek dure se jud ek ho gaye .
Dono bhag mil ker ek tir ban gaye , lekin adhura kyunki tir ki upri nok ni thi , jo shayad trishastra ka tisra hissa thi.
Baba ankh khol :- ladki aage bad is mahan astra ko dharan kero
Naina aage bhad isse pahale astra ko dharan kerti h .
Baba :- putri is ashtra ko sambhal ker rakhna kyunki ye na keval samraat ka ant kerne k liye ekmatra ashtra h apitu is sansar ka bhavishya bhi h .
Naina :- ji baba m aapko vachan deti hu m iski raksha har hal har kimat me karungi or (preety ko dekhte hue ) or isko is shastra ki niyati tak bhi pahuchayungi.
Veer :- vo to hum karenge hi naina per sawal ye h ki ye ashtra abhi bhi adhura h iska ek bhag or h jis tak hum abhi tak na pa sake.
Or us bhag k bina to ye shastra shaktihin h
Naina :- veer ne bilkul sahi kaha baba , kripya hume is ashtra k tisre v antim bhag tak pahuchne ka marg prashast kare.
Baba :- ladki mane ye baat tujhe pahale bhi kahi thi or aaj bhi kah raha hu , ki manjil marg puch ker ni apitu marg per chal ker hi.prapt ki ja sakti h.
Isliye tu baki sab chinta chod apna karm ker , jo tum tino ka bhagya h wo niyati swayam tumhe pahuncha degi.
Tumne us ladki piya or uski maa rekha ko vachan diya tha na sahayata ka.
Naina chonkte hue :- ji baba per ye aapko kese gyaat hua.
Baba :- is baat ko chod naina ki mujhe is bare m kese gyaat hua, apitu jald se jald apne vachan ko purn kerne k safar per nikalne ki vyavastha kero.
Smaran kero mane kya kaha tha , yadi tujhe apni maa tak pahuchna h to usse pahale tumhe kayi mao ka ashirwad praapt kerna hoga.
Ja naina ja , tujhe tera farz teri manzil bula rahi h , ek maa ki karun pukar tujhe bula rahi h.
Naina :- ji baba , parantu kya aap humare sath ni chalenge , yadi aapka ashirwad humare sath hoga to hum shighra hi apni manjil ko prapt ker payenge.
Baba :- mera ashirwad to tum sab ke sath humesha h putri , or rahe mere sath chalne ki baat , to suno mera or tumlogo ka sath is safar m yahi tak tha , ab age ka marg tumhe swayam hi khojna hoga, kyunki ab mere smadhi m jane ka samay aachuka h.
Naina :- ji baba .
Ye bol naina or uske dost baba k charan sparsh kerte h.
Baba :- vijayi bavah putri.
Asha h shigra hi samrat k ant ka samachar praapt hoga.
Ye bol baba sabko ashirwad dete hue anterdhyan ho gaye.
Naina trishastra ko hath me le use dekhte hue :- bas ek padav or samraat fir uske baad tumhare kale samrajya ka ant nishchit h dusht , shighra hi m aaungi teri mritu evam apni maa ki mukti k vaste.
Ye bol naina apni jeap me jaker chupchap Beth gayi or apne dosto k sath nikal padi apne hotel ki or.
Wahi dusri or
Naina or uske dosto k mandir se nikal jate hue ka drishya ek badi si haveli m mojud ek shakti nirmit screen pe saf saf dikhayi pad raha tha.
Jise or koi ni apitu samraat or kubdi dekh rahi the or wahi p mojud vp bhi.
Kubdi naina ki or ishara kerte hue :- yahi h malik , yahi h wo jisne humare yuvraj ko mara.
Yahi h wo brihaspur k bhutnashak jinhone na jane kitne bhut pret dayano ko or uske sath sath humare yuvraj or maharani Vrushali ka ant tak ker dala.
Samraat chonkte hue :- kya Vrushali ka bhi .
Vp :- tumhari ye dasi sahi kah rahi h samraat , in logo ne mahashaktishali Vrushali ko bhi veergati dedali.
Kubdi abhi tak ki sari ghatnaye samraat ko bistar purwak bata dali.
Samraat :- mujhe unki mahima mandal sunane m koi shok ni amma , mujhe bas ye janna h ki kon h ye log or kya chahte j ye log , inka agla pichla sab janna h mujhe taki inhe marne se pahale Jan to saku , akhir esi konsi abhilasha thi inki jinko purn kerne k chakkar m inhone mujhse yani samraat se panga liya.
Vp gusse se :- yahi to vidambna h samraat , in dono ka jan sthan or inke bare m jankari ka pata to aajtak mujhe bhi gyat na tha.
Sunne m asambhav lagta h parantu satya to ye h ki inke astitv tak ka bhan aajtak na hua.
Samraat :- asambhav , aapko bhi inke astitv ka bhan na hua , iska to keval ek hi arth h
Vp bich me :- ki yahi inke janm k piche avashy hi devo ki ya yu kaho us shani ka koi gahari sajish yani mantvya h jo asuro k hit m to Kadapi ni ho sakti.
Samraat :- ni is baar hum devo ko vijayi ni hone denge prabhu , m inhe trishastra ka tisra bhag kabhi prapt ni kerne dunga.
Kubdi :- to maharaj der kis baat ki m sena ko abhi adesh deti hu hum aaj hi inper aakraman karenge.
Samraat :- markesh ki mrityu apni ankho se dekhne k baad bhi esi murkhta bhari baat kerti ho bhudiya, jisne ek tritya ko mar dala , wo bhi ek ni 2 2 bar , wo koi sadharan shakti Kadapi ni ho sakti , or bina shatru ki shakti ko jane or bina kisi yojna k yudh k medan m utarna murkhta h.
Mere bhai ne jo murkhta ki wo m dohrana ni chahta , isliye tumhe mera ek kaam kerna hoga, mujhe tumhe shigra se shighra in logo ki jankari laker deni hogi , 3 din h tere pas , yadi 3 din m mera kam na hua to teri khal ko udhad k m apna paydan (dormat) bana dalunga
Kubdi ghabrate hue :- ji ji malik , lekin aapko janker khushi hogi malik mane apna pasa pahale hi fek diya h , or yahi pasa humara vijayastra or unki kamzori banegi.
Ye bol kubdi kuch samraat ko batati h jise sun samraat jor jor se haste hue bola
Samraat :- bahut khub ama , bahut khub , aakhir mane bhi to ye jalilta or katuta tumhi se to sikhi h.
Ab suno jesa m kahata hu vesa hi kero or mujhe shigra se shighra in sabki sari jankari laker do or khasker is ladki (preety ki tasvir ki or aage kerte hue ) ki to jitna shighra ho sake utna shigra kero.
Akhir pata to chale kon h ye gaddar jisne apne kul k sath droh kiya
Kubdi :- ji malik.
Samraat tez aawaz me:- ab khadi khadi mera muh kya dekh rahi ho , jo bola h wo kero
Samrat ki tez awaz sun kubdi waha se ese gayab hui jese ghade k sir .
Kubdi k jate hi samraat preety ki tasvir ko dhyan se dekh man hi man sochne laga.
Samraat :- kyu , akhir kyu is gadar ki tasvir dekh baar baar ese lag raha h ki kuch to sambhamdh h isse mera , kyu esa bar bar lag raha h ki kuch to esa h jo meri najro se bacha hua, ye chahra , ye chahra bhi kuch jana pajachana sa h , kahi ....
(Khayalo ko jhatakte hue ) ni ni esa ni ho sakta , m kuch jyada hi soch raha hu , ye faltu bato pe samay nasht kerne se acha mujhe apni yojna pe dhyan dena chahiye, jisse danav jati k pratyek dushman ka safaya kiya ja sake.
Ye sab sochte hue wo us screen ko apni ankho k samne se hatane hi wala hota h ki ek shan phir uski najar preeti p pad jati h jise dekh wo ruk use dekhta rahata h kuch der or uske baad wo kuch sochte hue screen hata deta h or hall se uth ker apne kamre m chala jata h
Back to the hero.
Karan or jyoti kuch der rest kerne k baad uthe hi the ki unka gate knok hua , unhone gate khola to paya samne unki bhua khadi thi.
Bhua :- beta mane tumhe disturb to ni kiya na.
Karan :- are meri darling bhua kesi baate kerti ho aap , aaiye ander aaiye.
Karan garima ko leker ander aata h or h to jyoti bhi bathroom se bahar aati Hui boli.
Jyoti :- bhuaji aap yaha is waqt.
Garima :- ha beta mujhe tumse kuch jaruri baat kerni thi.
Karan sab samjhte hue bhi jan bhujker bola :- boliye bhua
Bhua udaas man se :- beta aaj jo bhi hua m uske liye bahut sharminda hua , mane bilkul bhi ni socha tha ki itna sab kuch hone k baad bhi vo bilkul na badlenge, aaj bhi unki soch wesi h jesi pahale thi , m to khud ni chahti beta ki tum yaha raho per kya karu beta , tumse milne k baad jo mane khushi bhai k or komal beti k chahre pe dekhi h , wesi mane bahut salo baad Dekhi h beta , salo pahale is ghar se keval bhabhi hi ni beta is ghar ka sukh chain or sari khushiyan hi chali gayi thi , bhai to mano hasna hi bhul gaye.
Parantu tumhare aagman k sath aaj unke chahre ki wo muskan firse lot aayi beta.
Isliye ek bahan apne bhai ki or ek bhua apni bhatizi ki khushi ki tumse bhik mangti h beta tum yaha se mat jao , jo galti ma baba ne ki unki saza apne chachu or apni choti bahan ko mat do bate mat do.
Ye bol garima karan or jyoti k per pakdne ko hui , per jyoti ne unhe rokte hue kaha.
Jyoti :- are are bhua ye aap kya ker rahi h , kyu apne hi bacho ko pap ki bhagi bana rahi ho, or rahi baat yaha rukne ki to bhai ne bahar kah to diya tha na ki hum ab yahi rukenge.
Garima :- per beta mujhe laga ki ye sab tumne komal ko bhulane ko kaha hoga.
Jyoti :- kesi baat kerti ho bhua , aap to jante hi ho jhut bolna bhai ka swabhav ni or vese bhi chachu sirf aapke bhai ni humare chacha humare pita saman h vo ,jis prem ko hum salo se tadfe us prem ka ahasas hume keval unke prem bhare aalingan se hi prapt ho gaya .
Jyoti yu hi kafi samjhdari or niti yukt bate kerte hue apni bhua se boli.
Jyoti :- isliye aap nishchit rahiye bhua , hum yaha se kahi ni jane wale , kyunki humne esa kiya to humme or dada dadi m fark hi kaha rahega.
Garima pyaar se jyoti ko gale lagate hue :- haye meri pyari bachi kitni samjhdar ho gayi h , lagta h ab tere hath pile kerne ka time agaya h.
Garima ne bhale hi ye baat yu hi boli ho lekin karan or jyoti hadbada gaye , karan ne baat badalte hue.
Karan :- vese bhua , chachu or komal se to hum mil liye , per humari chachi kaha h.
Jyoti :- ha bhua bataiye na chachi kaha h mujhe unse milna h.
Garima ye sun pahale to thoda pareshan ho gayi phir boli.
Garima :- wo beta tumhari chachi kal hi apne mayke gayi .
Karan udaas hote hue :- kya , per kya unko pata ni tha kya ki aaj hum aane waLe h.
Garima karan ko puchkarte hue :- ni beta darasl tumhari chachi k pitaji ki tabiyat thodi kharab thi , isliye unhe jana pada , per tum tension mat lo , wo parso tak aajayegi.
Thodi der baat kerne k baad garima waha se chali gayi or raat ko sabne khana apne apne room me hi kiya , kyunki aaj subah k hadse se sabka mood off tha.
Jyoti humesha ki tarah karan ko apne hatho se khana khilate hue :- dekhiye na bhai , humne kya socha tha or kya ho gaya.
Karan :- matlab ?
Jyoti :- matlab ye ki bhai yaad h bhai jab hum akele the to humesha sochte the ki kash humara bhi ek bada sa parivar hota , jisme hum sab milker pyaar se ek sath rahate , na koi gila shikwa or na hi koi man mutav per yaha to (nam ankho se) parivar to mila per..
Iske aage vo kuch bol na saki or subakne lagi.
Karan turant jyoti ko shant kerwate hue :- na meri gudiya mera bacha yu rote ni , mane tumse kitni baar kaha h , ye tumhare aasu mere liye anmol h inhe yu na bahaya kero .
Jyoti :- rou ni to kya karu bhaiya, mujhse ni dekha jata apne pariwar me yu man mutav .
Kitni Masum thi jyoti , ye wahi jyoti thi jise subah apne dada dadi ki shakal tak na dekhni thi or ab wo unhike liye ro bhi rahi thi.
Karan :- are meri pyari jan , to isme rone ki kya baat h , aapke bhaiya h na , dekhna wo jald hi sab sahi ker denge
Jyoti :- sachi bhaiya.
Karan jyoti k gal chum :- muchi gudiya.
Jyoti :- promise kero.
Karan :- god promise.
Jyoti khushi se :- yahoooo , aap sach me duniya k best bhaiya ho.
Ye bol wo karan ka chahra gila ker deti h .
Jyoti serious hote hue :- per bhai ye aap keroge kese.
Karan :- bas dekhti ja gudiya , kal se aarambh hoga dada or dadi per dandnayak ka dand chakra .
Ye bol karan ek rahasmyi muskurahat deta h , jise jyoti samjh jati h or wo bhi muskurane lagi.
Jyoti jony lever style me :- abhi maja aayega na bhidu log
Ye bol wo has padi or sath m karan bhi.
Or fir dono bhai bahan thodi planning or thoda romance ker so gaye
Dekhte h kal ka naya savera kya gul khilata h.
Aaj k liye bas itna hi
Stay tuned