Update no :- 90
Location :-unknown
Kundera se karib 70 km dur ek bahut hi badi haveli thi , jiske malik ka naam tha takhur nahar singh , jo ab duniya m ni rahe the . Or unke 2 bete the , ek ka naam samar singh tha or dusre ka raghunath singh .
Samar singh bhi ab duniya Me ni raha tha , uski mot kese or kab hui uska aage pata chalega .
Kuch dino se raghunath singh ki haveli m bahut hi ajib si ghatnaye ho rahi thi , raat ko kisi ki jor jor se rone ki aawaz aati thi or jab gharwale check kerte to unhe kuch ni milta .
Per aaj ki raat anhoni ki shuruat ho chuki thi . Aaj raghunath ji apne office ki kuch files check ker rahe the to late tak jag rahe the , tabhi fir se ghar me rone ki aawze aane lagi.
Raghunath :- aaj to m pata kerke hi rahunga , aakhir ye kon h jo rat ko rota h .
Raghunath ne apni files ko side me rakha or awaaz ki disha m bad gaya . Wo aawaz k disha m badta hua haveli k main hall me pahunch gaya , awaz waha se hi aarahi thi.
Raghunath chonk ke :- ye kya aawaz to yahi se aarahi h , per kon ro raha h , koi dikhayi kyu ni de raha.
Raghunath ko ab koi bhut pret ka chakkar lagne laga or ye soch wo vaha se nikalne hi wala tha ki ,usne gor kiya ki ye aawaz uske pita yani nahar singh ji ki ek badi si tasvir jo hall m lagi hui thi usme se aarahi thi.
Raghunath ne jab ye baat notice ki to uski herani ka koi thikana na raha. Or wo is baat ki tah tak pahunchne k liye jese hi us tasvir k pass jata h , to achanak se us photo ki ankho se khun k ansu nikalne lage.
Ab to raghunath ki halat kharab hone lagi .
Raghunath :- yyye kkkkya ho raha h , mujhe kal hi purohit ji ko bulana hoga , ye sab ghatnaye kisi anhoni ka sandesh de rahe h.
Ye bol wo jaldi se apne kamre ki or bhag gaya or usne purohit ko jaldi se phone lagaya or sari baate batayi, lekin unki shayad kismat hi kharab thi , ki purohit ji k yaha kisi ki mrityu ho gayi thi or sava mahine tak vo koi puja path ya vidhi ni ker sakte the.
Raghunath ne kal kuch kerne ka soch , kese n kese so gaya.
Wahi dusri or.
Naina or preety subah jaldi uth gaye the or teyar ho ker apne aage k safar p nikalne ki teyari m lagi hui thi.
Tabhi sare ganv wale waha aate h or kal raat apne kiye gaye bartaav k liye sab preety se maafi mangte h .
Preety bhi bada dil rakh unhe maaf ker deti h , or fir apna sara saman le ker naina or preety jeep m beth gayi .
Tabhi veer bola.
Veer :- naina ager tum dono ko koi problem na ho to aage k safar p m bhi chal sakta hu kya tumhare sath ?
Preety :- ha ha kyu ni veer chalo na.
Naina preety ko kohni maarti h veer ki najaro se bacha or veer se boli.
Naina :- veer vese to hume koi dikkat ni h , per aage ka safar khathro se bharpur hoga.tumne to sab dekha hi h , m ni chahati ki meri vajah se tumharo jaan khatre m aaye
Veer :- tum us sab ki chinta mat kero naina , m sab manage ker lunga , or jab hamari ye lady don sath m h , to darna kesa.
Or wese bhi ager musibat ki ghadi m jo sath na nibha sake wo kesa dost hua bhala
Preety :- chalne do na sister , or wese bhi hum aane wali problem ko bhi vese hi solve ker lenge , jese abhi tak kiya h sath mil ker
Naina :- hum abhi ni jante ki hamara dushman kitna takatwar h , isliye ager hum har gaye to
Preety :- to hum harege bhi sath sath sister .
Veer ;- ha naina , jiyenge to 3no sath sath or ager mot aabhi gayi to 3no milkar use gale lagayenge.
Apne dosto ka apne prati itna pyar dekh naina ki ankhe nam ho gayi , uski jhil si nili ankho se nikalte ansu ko dekhna uske dono dosto k liye ashaniya ho gaya , un dono ne naina ko gale laga chup karwaya.
Fir 3no nikal gaye dakshin disha ki or jaha ka rasta Lila ne naina ko bataya tha.
Back to the hero.
Karan :- tiruanntapuram ! Parantu baba jesa ki apne bataya ki ashvatthama k sir se nikli us mani k us bhag ko bhagwan shrikrishna ne devo ko somp diya tha , to wo mani tiruanntapuram kese pahunch gayi or mani k baki hisse ka kya hua.
Baba :- putra shrikrishna ne wo nil mani ko devo ko somp di thi , lekin uske shesh hisse me keval nakaratmak urja rah gayi thi, lekin uska tez , uski chamak, uski sundarta m koi antar na pada,
Short flashback
Tan Bhim ne wo shesh hisa yudhishthir ko dete hu bole .
Bhim :- lijiye bhrata shri , ye divya mani is dusht k yogya ni h , isper ab se aapka adhikar h.
Arjun :- majhle bhaiya uchit kah rahe h , jyeshth. Aap bharatvarsh k samraat ho or isliye mani ki sthan aapke mukut me hona chahiye.
Yudhishthir shrikrishna ki or dekhte h , jese unse aagya le rahe ho , shri krishna bhi unhe sahmati dedete h.
Tabse ashvatthama ki vo mani samraat yudhishthir ke mukut ki shobha bhadane lagi.
Duryodhan ki mrityu k pashchat sabhi pandavon ne vahi kurukshetr me apni vijay ka utsav mana rahe the, tabhi sab me ek bahas hone lagi ki sabse jyada veerta yudh me kisne dikhayi or kon tha is yudh ka nayak
Bhim :- isme shanka kesi , bade bhaiya , mane akele ne 100 korvo ka nash kiya, isliye nayak hone ka adhikar to mujhe hi prapt hona chahiye na
Arjun :- aapka kahana uchit h bhim bhaiya , lekin yudh me mane pitamah bhishm , angraj karn or jayadrath jese mahashakti shali yodha ka ant mane kiya nA.
Abhi un dono me bahas chal hi rahi thi , tabhi puri yudh bhumi me kisi k thahako ki hasi gunjane lagi.
Pandavo ko herani hui ki hamare alavs to koi bacha hi ni , to ye kon has raha h , unhonne shrikrishna se is baare m pucha to shri krishna ne un sabko pass k hi ek chote pahad k pass leker gaye.
Shrikrishna :- wo dekhiye bhim bhaiya , aap sab pe hasne wala koi or ni aapka potra, mahabali ghatotkach ka beta barbarik h.
Shrikrishna ki baat sun unhone shrikrishna ki batayi disha ki or dekha to paya ki ek 21 22 varsh k ek yuvak ka keval sir pahad p rakha hua tha, uska dhad ni tha , fir bhi vo jivit tha , jese rahu hota h.
Bhim jab apne pote ki ye halat dekhta h to usko dukh or krodh dono aata h , shrikrishna use shant karwate hue sari ghatna batate h , aakhir hua kya tha
Darasal bhim ka ye pota jiska naam barbarik tha , wo apne pita ghatotkach k samman hi mahashakti shali or veer tha or to or usne devi kamakhya ko prasan ker 3 divya baan vardan m praapt kiye the , jo bade se bade yudh ko bhi samapt kerne k liye paryapt the.
Jab barbarik ko pata chala ki uske dada bhim or unke bhaiyo ka korvo se yudh hone wala h to vo bhi yudh me jane ko sajj ho gaye , parantu barbarik ne kabhi apne dada ko dekha ni tha, isliye usne apni ma se is bare m baat ki.
Barbarik ki maa ne to ye socha ki koravo ki sena bahut shaktishali thi or uper se ek se bad ke ek divyastr praapt yodha bhi sammilit the.shayad isliye pandav har jayenge.
To ye sab soch k barbarik ki maa ne unhe aadesh diya ki beta tum usi paksh se yudh kerna jo yudh me prajit ho jaye.
Apni maa ka ye adesh man vo kurukshetr ki or nikal gaye . Raste me hi unhe shrikrishna mil gaye to shrikrishna ne usse pucha ki wo kon h or is yudh me kis paksh ki or se ladenge .
Tab barbarik ne unhe apna parichay dete apne maa k adesh k bare m bataya
Shrikrishna sab kuch jante hue bhi bole the ki bhala 3 bano se kese yudh karoge.
barbarik :- ki he madhav aap in bano ko sadharan baan samjhne ki bhul kadapi na kijiye , ye baan devi kamakhya k amogh vardan h .
Ye 3 baan keval 3 sham m yudh ka ant kerne ko paryapt h.
Tab shrikrishna ne barbarik se kaha ki is pipal k ager har ek patte ko tumne bhed diya , tabhi mujhe tumhari baato p vishwas hoga
veer barbarik ne jesa kaha vesa kerke bhi dikhaya ,unhone ek hi ban se pipal k ek ek pate ko bhed diya .
Lekin shri krishna ne ek pata apne pero k niche daba liya tha to isliye barbarik ka ban shri krishna k charno m jaa ruk gaya tha.
Tabhi waha devi kamakhya prakat hui or ve boli ki he prabhu ye aapne kya kiya , mane to barbarik ko ye vardaan diya tha ki in bano ka vaar kabhi nishfal na hoga, parantu aapne to mere vardan ko hi nasht ker diya.
Shrikrishna :- he devi , dharm ki raksha k liye mera esa kerna aavashyak tha , ye baat aap bhi bhali bhanti jante h .
Parantu karmo k fal se to swayam m bhi achuta ni hu , isiliye aaj k pashchat mera yah per mere sharir ka sabse durbal bhag hoga or isi bhag pe vaar hona mera is dharti se apne lok jane ka kaaran bhi banega
Shrikrishna ki ye baat sun devi vaha se anter dhyan ho gayi, tabh shrikrishna ne barbarik ko samjhaya ki putra tumhara is yudh me bhag lena niyati k virudh hoga , or apne vachan k kaaran tum dharm k virudh bhi hoge , isliye mujhe tumhara ant kerna hi hoga.
Ye bol shrikrishna ne apna sudarshan ko prakat kiya .
Tabhi barbarik bole ki hey prabhu kripya aap kasht na kare , ager mera ant is dharm yudh me dharm ko vijayi banata h to m apne shish ka dan dene ko swayam sajj hu.
Parantu prabhu meri ek icha h ki m is hone wale dharm yudh ko apni ankho se dekhna chahata hu, kripya apne das p itni kripa kijiye.
Shrikrishna :- tathastu !
Bas itna sun hi barbarik ne apna shish kaat shri krishna k charno m rakh diya or shri krishna ne barbarik k shish ko amar banake us pahad pe rakh diya tha.
Ye katha sunane k baad shrikrishna pandavo se bole ki he bhaiyo barbarik ne ye sara yudh dekha h , aap isi se puchiys kom tha yudh ka mahanayak. pandavo ne jab ye prashna barbarik se kiya to barbarik bole.
Barbarik :- hey prabhu , mane to is yudh me aapke alava kisi ko dekha hi ni , mujhe to keval yudh me har jagah keval aap or apka sudarshan chakra dikhe , jo shatruo ka nash ker rahe the.
Jan dada arjun ne bhishm k sharir ko bano se chalni ker diya tab bhi mane yahi dekha ki , pitamah bhishm dada arjun k bano se ni , balki apke sudarshan chakra k prahar se gir pade the.
Angraj karn ka ant bhi aaphi ke sudarshan ne kiya prabhu , or yaha tak ki is yudh me jitne bhi shatru paksh ki sena k yodhao ki mritu hui , mane to keval vo sab aapke hatho hi hoti dekhi. Isliye mere mat anusaar to yudh ke mahanayak keval aap the prabhu.
Or m has isiliye raha tha ki mere sabhi dadaji , aapko dhanyawad dene k sthan p khud ko bada bata rahe the
Sabse jyada hasi to mujhe is baat per aayi , ki mere sabse jyeshth dada, jo swayam dharmaraj h , aaj unhone ashvatthama k papo se yukt is mani ko apne shish per dharan kiya hua h .
Barbarik ki baat sun sabhi pandavo ko apni galti ka ahasas hua or unhone shrikrishna se apne jhute ahankar ki shama mang unka dhanywad kiya or yudhishthir ne wo mani wapas shrikrishna ko somp di jise shrikrishna ne nasht ker diya, kyunki wo ab kisi kaam ki ni rahi thi or mahadev ki sari vardan yukt wo skatiya nilmani m ja chuki thi.
Shrikrishna :- putra barbarik tum sach m mahan ho , jisne dharm ki sthapna k liye , ek shan me apne shish ka daan kiya, mahabharat k is yudh ka uchit nirnay tumne sunaya.
M tumse atyadhik prasan hu putra , isliye m tumhe ye vardaan deta hu ki bhavishya me tumhari puja mere nam se hi hogi or tumhari puja kerne se meri puja ka hi fal prapt hoga manushyo ko.
Tumhe kaliyug me khatu shyam k naam se prasiddhi praapt karoge , tumhe sabhi shish k daani , hare k sahare , or 3 ban dhari k naam se bhi pujenge. Tumhe sabhi kaliyug ka bhagwan kahaker pukarenge.
Or shrikrishna ka ye vardaan bilkul uchit or satya saabit hua , rajasthan k khatu nagar m aaj bhi barbarik k usi sish ki puja hoti h, jinhe sara sansar khatu shyam k naam se jante h.
Flashback end
Karan :- is adbhut katha ki jankari k liye dhanyawad baba , parantu tiruanntapuram me hume wo nilmami milegi kaha.
Baba :- putra yahi to tumhari pariksha h , mani tak pahuchne ka marg itna saral ni hoga or tum dono ko apna marg tumhe swayam khojna hoga.
Parantu ek guru hone k naate m tumhe ek chota sa sanket avashya de sakta hu , tumhare is prashns ka uttar , is shahar k naam m hi chupa h.
Jyoti :- jesa aap kahe baba.
Baba :- or ha putri ek baat smaran rakhna , ki nilmani tak pahuchne k marg ka dwar keval ek vishesh amavas ko hi khul sakta h, jo aane wali amavas hi h , arthat tumhare pas keval 3 din h us dwar ko khojne k liye , uske pashchat tumhe kayi varsho tak ka intezaar kerna hoga.
Jyoti :- hum avashya hi samay rahate is karya ko purn ker lenge baba
Karan :- ab hume prasthan kerne ki anumati pradan kijiye baba.
Ye bol dono bhai bahan baba ka ashirwad lete h .
Baba :- ishwer tumhare sakal manorath purn kare bacho
Fir karan or jyoti ashram se nikal gaye , jyoti kuch soch rahi thi tabhi uske chahare pe ek gad jitne wali muskan aagayi.
Karan :- chal jyoti abhi k abhi tiruanntapuram pahunch jate h.
Karan ka ishara teleportation power ki or tha to jyoti boli.
Jyoti :- ni bhai , hum waha train se jayenge , taki hum safar ko thoda enjoy ker sake , vese bhi bhai bachpan se leker aaj tak hum kabhi ghumne gaye hi ni .
Shimla bhi gaye to plain se wo bhi compitition k liye, isliye hum train se jayenge or m kuch ni sunungi.
Karan :- thik h meri dadi ma , jesa aap kaho, ab chale.
Jyoti haste hue :- ha ha chalo na beta roka kisne h.
Karan ne halki si chapat lagayi jyoti k or wo dono waha se teleport ho railway station p pahunch gaye.
Or kismat se tiruanntapuram k liye train ek ghante baad ki hi thi , jisme unhe aasani se sleaper seat to mil gayi per , keval ek hi thi.
Per dono bhai bahan ko koi problem ni thi , isliye unhone adjust ker liya tha.
Train time p aagayi or karan or jyoti apni seat p jaker beth gaye .
Karan man me :- gudiya hum train se ja to rahe h , per tumhe ni lagta ese hamara time waste hoga , wese bhi humare pas keval 3 din hi h.
Jyoti :- offo bhaiya , aap har baat m itni tension kyu lete ho , baba ne bola tha na , dwar keval amavas ko hi khulega , to ager hum abhi vaha pahunch k dwar dhund bhi lete to kya fayda hota.
Issse acha to hum thoda enjoy kerte hue chale na ,or hum kal sham tak to tiruanntapuram pahunch bhi jayenge na.
Or dwar ki paheli ka bhi hum koi na koi samadhan ker hi lenge na.
Jyoti ki baat sun karan shant ho gaya , kyunki jyoti ki kahi ek ek baat sach jo thi.
Thodi der baad dono bhai bahan sonam ke banaye tifin se khana khate h or fir kese n keSe ek dusre se chipak ker thodi der baad dono bhai bahan so gaye
Wahi dusri or
Naina veer or preeti apne kundera se kafi dur nikal chuke the.
Preeti :- kuch to bataya hoga na sister lila ne kuch or masi (garima) k baare m , wo kaha h , konse ganv konse shahr me h
Naina :- ni preety , lila ne keval itna hi bataya tha ki , kundera se dakshin m 300 km ki duri p 2 pahado k bich ek haveli m maa ko samraat ne ked kiya hua h.
Veer :- per naina fir bhi hume kese pata chalega ki kaha h masi. bina kisi proper address k ye kaam bahut mushkil h.
Naina :- janti hu veer ,ye kaam bahut mushkil h , parantu mujhe maa kali p pura bharosa h ki vo humara margdarshan avasya karegi.
Tabhi achanak se unki jeep puncher ho gayo.
Preeti :- ye lo sister , mata rani ne to sanket dediya h , ki filhal thoda ruko or kucha khana pina kero.
Naina:- hmm , bhukh to mujhe bhi lag rahi h preety , wo dekho samne ek haveli h , chalo unse jaker help mangte h.
Preety jeep ko side m laga deti h or 3no haveli k gate p pahunch gaye , gate p ek name plate thi.
Jispe bade bade akshro p naam likha hua tha.
Thakur nahar singh.
Aaj k liye bas itna hi.
Stay tuned