Thode der baat karke raju apne ghar chala jata hai aur suman apne kaam me busy ho jati hai
Raju- Ghat me jaake sabko bata deta hai ramesh uncle ki wife aayi hui hai aur abhi hamar ghar bhi aayengi.
Suman- ye sunkar kehti hai achha thik hai
Suman khana bana ke free ho jati hai aur fir wo kehti hai aap khana kha lijiye
mai abhi unke ghar se aa rhi hu.
Ramesh- thik hai lekin jaldi aana.
Fir suman chali jati hai raju ke ghar
sunita unko dekhkar bolti hai
namaste bhabhi ji
Uski Bibi bhi jawab deti hai .
Fir suman sabhi ghar walo se milti hai aur baat karte hai.
Sabhi ko suman ki baar chit achi lagti hai.
Suman baar bahut dhyan se sunita ko dekhti rehti hai man me sochti hai kitni sunder aur sushil hai.
Suman ko sunita bahut pasand aati hai uska baat aur uska swabhaw.
Aise baat karke raat ho jati hai to suman kehti hai ab mai jaa rhi hu kal subeh fir milungi aapse sunita.
Sunita- thik hai aap jarur aayega aur kuch din yahi rehiye.
Suman- dekhti hu gaon me beta bhi hai usko dekhna padta hai isliye rukna thoda muskil hai.
Sunita- Keht hai 1-2 din ruk jaiye fir chali jayiega
Suman- thik hai mai baat karungi
Aur fir suman apne room me chali jati hai.
Suman fir ramesh ke pass chali jati hai
Ramesh suman ko dekhkar bolta hai itna der kyo laga di
Suman- wo Sunita ji mil gayi thi to hum baat karne Lage isliye der ho gaya
Ramesh- kya keh rhi thi Sunita
Bhabhi kuch khas nhi bus puch rhi thi bhaiya yaha rehte hai app gaon kyo rehti hai. Wahi Maine bataya bache gaon me hi padte hai isliye waha rehna padta hai.
Ramesh- Achha aur kya puchh rhe the log.
Suman- kuch nhi bus ghar war ki baaten
Ramesh- Man hi man bahut khush hota hai sunita ke bare me puchkar.