• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance RAGHAV [ Pyar ya Sex]

Aap sabko ye story kaisi lag rahi hai??????

  • GOOD

    Votes: 20 29.0%
  • BETTER

    Votes: 4 5.8%
  • BEST

    Votes: 45 65.2%
  • Bad

    Votes: 0 0.0%

  • Total voters
    69

mashish

BHARAT
8,032
25,910
218
writer ji kya abhi tak aapke yha ka lockdown open nahi hua india me har jagha har state har city ka open ho gaya aap aesi kon si jagha ho jha lockdown hai.
 
  • Like
Reactions: Mr. Perfect

mashish

BHARAT
8,032
25,910
218
Next update aayega ya nahi writer ji
 
  • Like
Reactions: Mr. Perfect

mashish

BHARAT
8,032
25,910
218
Good bye writer ji bahut wait kiya aapka aur aapke update ka but kuch nahi aaya
 
  • Like
Reactions: Mr. Perfect
466
728
108
Bhai abhi thak new phone nahi liya hey to kal se jo big bilioun days chalu ho raha hey usme phone le legieaga bhai aur jitni jaldi ho sake story ko restart karie please.
 

TheBlackBlood

शरीफ़ आदमी, मासूमियत की मूर्ति
Supreme
79,765
117,182
354
RAGHAV [Pyar ya Sex]
UPDATE #36

Tej hawa mere chehre se takrate huye gujar rahi thi jisse mujhe aur bhi maja aa raha tha. Mere man me ekdam se khayaal aaya ki dekhu to sahi ye bike kitni tej bhaag sakti hai. Is liye maine teji se bike ko chalana shuru kar diya. Jo aadmi mujhe bike sikha raha tha usne kaha tha ki bike ko tej raftaar me bhagana ek alag baat hoti hai magar use tej raftaar se control karna important baat hoti hai. Kyo ki agar ham control nahi kar paye to accident hone me deri nahi lagti.

Jab maine mahsus kiya ki bike ki raftaar bahut jayada ho gai hai to maine uski raftaar ko kam kar diya aur fir araam se chalne laga. Bike ke back mirror me maine dekha ki bus ka door door tak kahi pata nahi tha. Kareeb bees minute baad main gaav ke bus stand par pahuch gaya.

Gaav ke bus stand par kuch log najar aaye jo gaav ke hi log the. Maine jaise hi sadak se bike ko gaav taraf jane wali sadak par moda to pedh ke niche bane chabutre par baithe log jhat se niche utar aaye.

Ab aage_______
Un logo ko dekh kar maine moter sycle rok di. Wo teen chaar log the jo ki gaav ke hi the aur hamari jameeno me mehnat majduri karte the. Mujhe rukte dekh wo teji se meri taraf aaye aur fir sab bade adab se mujhe salaam karne lage. Unme se ek ko main pahchaan gaya.

Main= Kya haal chaal hai mangal kaka.? Aaj aap log yaha par kya kar rahe hain.?
Mangal= Kuwar sahab wo ham sab bus ke aane ka intjaar kar rahe the. Waise aaj to aap moter gadi me hain kuwar ji. Kasam se bahut achhe lag rahe hain aap.

Main= Achha aisa kya.?
Mangal= Haan kuwar ji is moter gadi me aap bahut hi achhe lag rahe hain. Lagta hai abhi abhi liye hain ise.

Main= Haan kaka ise aaj hi khareeda hai maine. Wo kya hai na ki aane jane me wakt ki bachat bhi hogi aur pareshani bhi kam hogi.
Mangal= Haan ye to sahi kah rahe hain aap. Achha kuwar ji agar aapki ijajat ho to ek baat puchhe aapse.?

Main= Kaka ijajat lene ki jarurat nahi hai. Jo kuch bhi puchna ho aap bejhijhak puch sakte hain.
Mangal= Ji dhanyawaad kuwar ji. Wo kya hai ki aapne pichhli baar ham sab se kuch kaha tha usi ke bare me jaanna chahte hain.

Main= Hame sab yaad hai kaka aur aap fikar mat kijiye. Aaj kal main usi kaam me laga hua hu. Bahut jald aap sabke liye achhe din aane wale hain.

Mangal(Khushi se)= Kya aap sach kah rahe hain kuwar ji.?
Main= Kya aapko lagta hai kaka ki main aap sabse jhooth boluga.?

Mangal= Nahi nahi kuwar ji. Hame to aap par usi tarah bharosa hai jaise bade thakur sahab par tha. Hame pura bharosa hai kuwar ji ki jis din jamidaari ka taaj aap pahan lege usi din se aapki kripa ham majlumo par barasne lagegi.

Main= To bas intjaar karo kaka. Ab bas thoda sa hi samay rah gaya hai. Uske baad main sab kuch thik kar duga. Khair ye bataiye ki ab us kaki ki tabiyat kaisi hai.?

Mangal= Ab to thik hi hai kuwar ji magar abhi kuch din pahle fir se chhote thakur sahab ka kahar ham par baras gaya kuwar ji.
Main= Ye kya kah rahe hain aap.? Kya kiya chhote chacha ji me.?

Mangal= Ab kya bataau kuwar ji.? Abhi kuch din pahle ki baat hai chhote thakur sahab apne kuch aadmiyo ke sath kheto ki taraf aaye the aur fir unke ishare par unka ek aadmi bhanu ki mehariya ko jabran utha liya. Bhanu bechara rota gidgidata raha magar aapke chacha ji use daant dapat kar aur jaan se maar dene ki dhamki de kar chup kara diya tha. Us wakt shaam hone wali thi jab ye ghatna ghati thi. Uske baad sari raat bhanu ki mehariya ghar nahi lauti. Dusre din subah jab ham sab fir se kheto par gaye to dekha ki borwell ke paas hi jameen par bhanu ki mehariya behosh haalat me padi thi.

Main mangal ki is baat se kuch bol na saka magar apne chachao par gussa jarur aaya. Mujhe samajh nahi aata tha ki aisa ghatiya kaam karne me unki shaan me kaun sa ijafa hota tha.? Gaav ke gareeb majduro ki bahu betiyo ko wo jab chaahe apne aadmiyo ke dwara uthwa lete the aur fir uske sath raat raat bhar hawas ka nanga naach khelte the. Unhe is baat se koi matlab nahi hota tha ki jis aurat ke sath wo is tarah ka kukarm karte the us par kya gujarti hogi.

Mangal= Kuwar ji bhanu to usi wakt khud khushi karne par utaaru ho gaya tha magar hamne use kisi tarah samhala aur samjhaya tab ja kar wo kuch shaant hua tha magar baar baar yahi kahta raha ki aisa kab tak chalega.? Kya hamari bahu betiyo ki koi ijjat nahi hoti.?

Main= Apne chachao ki taraf se main aap sabse hath jod kar maafi maagta hu kaka. Is wakt to main is maamle me kuch nahi kar sakta magar main aap sabse wada karta hu ki jamidari ka taaj pahanne ke baad main gaav ke kisi bhi byakti par koi julm nahi hone duga aur jo jurm karte huye paya jayega use saja jarur milegi.

Mangal= Ham sab usi din kar intjaar kar rahe hain kuwar ji. Bhagwan aapko lambi umar de.
Main= Kaka main aapke upar ek jimmedari saump raha hu aur wo jimmedari ye hai ki aap gup chup tarike se ye pata lagayege ki gaav me aise kitne log hain jo mere chachao ke isharo par kuch bhi karne ko taiyar rahte hain.?

Mangal= Isme pata lagane ki kya jarurat hai kuwar ji.? Ham sab jante hain ki aise kaun kaun log hain is gaav me aur aas paas ke gaav me bhi.

Main= Fir to ye achhi baat hai kaka magar abhi aise aur bhi log hoge jinhe mere chachao ne abhi abhi kaam par lagaya hoga. Is liye aap un sabhi logo ki ek list bana ke rakhna. Aap me se jo bhi thoda bahut likhna padhna janta ho usse un logo ki list banwa lena.

Mangal= Jaisa aap kahe kuwar ji.
Main= Aur haan kaka agar kisi bhi cheej ki jarurat ho ya pareshani ho to sirf mujhse batana. Main puri koshish karuga ki aapki pareshani aur jarurat ko pura kar saku.
Mangal= Ab se ham sab aisa hi karege kuwar ji.

Mangal ki is baat ke baad maine usse kuch aur jaruri baate ki uske baad main moter sycle start karke gaav ki taraf chal pada. Royal enfield bahut hi kam samay me haweli par aa kar ruki. Moter sycle ki tej awaaj sun kar jald hi haweli ka gate khula aur darwaje par ratna chachi najar aai. Mujhe moter sycle me dekh kar wo pahle to chaunki fir unke chehre par khushi ke bhaav ubhar aaye.

Maine moter sycle khadi ki aur bag le kar aage badh chala. Abhi main darwaje par hi pahucha tha ki andar se meri bahne bhi daudte huye aa gai. Majhle chacha aur chhote chacha bhi baahar aa gaye. Moter sycle par najar padte hi sab ke sab hairaan huye aur fir mujhse puchhne lage uske bare me to maine sabko bataya ki aaj hi kharida hai ise.

Majhle chacha aur chhote chacha moter sycle ko dekh kar bada khush huye aur mujhe apne gale se laga kar mujhe shabashi dene lage. Uske baad ham sab ek sath hi andar aaye.

M Chacha= Ye kaam tumne bahut achha kiya raghav jo moter sycle le aaye. Kafi damdaar hai. Hamari shaan me ijafa karegi ye. Isme baith kar ham jis gali se gujrege us gali ke logo me ek alag hi raub jamega. Shabash raghav shabash.

C Chacha= Aap bilkul sahi kah rahe hain bhaiya magar bade bhaiya kahi ise dekh kar kuch kahe na raghav ko.
M Chacha= Aree wo bhala kyo kuch kahege raghav ko.? Wo to behad khush hoge chhote ki raghav ek aisi moter sycle laya hai jo hamari shaan ko aur badha degi.

Main= Maine to bahut kuch socha hua hai chacha ji magar us sab me mujhe aap sabke sath ki jarurat hai. Main akela bhala kya kar luga.?

M chacha= Tum hamare jigar ke tukde ho raghav. Hame pura yakeen hai ki tum jo kuch bhi karoge wo sab sahi hi hoga aur hamari shaan ko aur bhi jyada badhayega. Rahi baat tumhara sath dene ki to tumhe ye kahne ki jarurat hi nahi hai bete kyo tum agar na bhi kahoge tab bhi ham teeno bhai tumhara har kaam me sath dege.

Main= Fir to mujhe koi tention hi nahi hai chacha ji. Achha abhi mujhe jana hoga yaha se.
C chacha= Jana hoga.? Kaha jana hoga tumhe.?

Main= Wo kya hai ki main to moter sycle se hi aa gaya hu magar maa aur urmila chachi apni beti ke sath bus se aa rahi hain. Is liye unhe lene jana padega stand.

M chacha= Achha urmila ji aa rahi hain.?
Main= Ji chacha ji. Maa ne hi unhe chalne ke liye jor diya tha is liye kuch dino ke liye wo yaha aa rahi hain. Uske baad wo mere sath waapas shahar chali jayegi.

M chacha= Chalo ye to achhi baat hai. Khair tum to thak gaye hoge is liye tum araam karo. Tej chala jayega unhe lene ke liye.
Main= Thik hai chacha ji.

Uske baad main andar ki taraf badh gaya. Ratna chachi ko maine bag se nikaal kar mithaai ka dibba de diya aur fir main upar kamre ki taraf chala gaya. Kamre me aa kar maine kapde utare aur ek towel lapet kar niche aa gaya.

Hath muh dho kar main fir se kamre me chala gaya. Kamre me maine dusre kapde pahne aur fir se niche aa gaya. Niche meri sabhi bahne thi jo ratna chachi ke charo taraf faili hui thi mithaai lene ke liye. Ratna chachi ne meri taraf dekha aur halke se muskuraai. Unhe muskurata dekh main bhi halke se muskuraya aur fir roopa chachi ke kamre ki taraf badh gaya.

Tej chacha maa aadi ko lene tractor se ja chuke the is liye roopa chachi ke kamre me jane me koi dikkat nahi thi. Roopa chachi ka kamra halka sa dhulka hua tha jise khol kar main andar daakhil ho gaya. Kamre me aa kar maine darwaje ko andar se band kiya aur fir palat kar roopa ki taraf dekha. Tej chacha ne bata diya tha use ki main aaya hu. Is liye mujhe dekh kar use hairaani nahi hui balki khushi se wo muskuraye ja rahi thi.

Main jaldi se aage badha aur charpaai ke paas hi khadi roopa ko jhapat kar apne seene se laga liya. Roopa khud bhi mujhse kas ke lipat gai thi. Pata nahi aisa kya tha usme ki mujhe us par behad pyaar aata tha. Shayad is liye ki wo mere bachche ki maa thi.

Kuch der use apne seene se lagaye rakhne ke baad maine use khud se alag kiya aur fir jald hi jhuk kar maine uske shahad jaise mithe hotho ko muh me bhar liya. Idhar charpai par mera beta bade maje se khel raha tha aur mukh se awaaje nikaal raha tha.

Main roopa ke hotho ko bade maje se choos raha tha aur wo bhi waisa hi kar rahi thi. Jab ham dono ki saanse bhar aai to ham dono ek dusre se alag huye. Alag hone par jaise hi ham dono ki najre mili to roopa halke se sharma gai aur muskurane lagi.

Main= Haye kya ada hai jaalim ki. Kitna bhi pyar karo magar ji nahi bharta.
Roopa= Mera bhi yahi haal hai raghav ji. Aapke bina ek pal bhi dil nahi lagta. Aap nahi hote na to kuch bhi achha nahi lagta mujhe. Man me bas ek hi baat rahti hai ki bas aapki baaho me hi samaai rahu.

Maine roopa ki ye baat sun kar uske hotho par pyaar se chuma aur fir charpai par pade khel rahe apne bete ko pyaar dulaar karne laga. Sach kaha tha ratna chachi ne mera beta ansh bulkul meri tarah tha. Bada hone par wo bilkul meri tarah hi dikhega. Mere man me ekdam se khayaal aaya ki agar aisa hua to sab kya sochege uske bare me.? Kahi tej chacha ko shak to nahi ho jayega ki ansh unka nahi balki mera beta hai.? Aur to aur sabko bhi agar yahi laga to kya hoga.?

Main ye sab soch soch kar andar hi andar ekdam se ghabra gaya. Roopa ne shayad mere chehre ke bhavo ko padh liya tha isi liye usne mujhse puchh bhi liya to maine use sab bataya. Sun kar wo bhi soch me pad gai thi. Maine apne aapko samhala aur roopa ko bhi is bare me jyada sochne se mana kar diya. Kuch der main ansh ko pyar dulaar karta raha uske baad main roopa ke kamre se baahar aa gaya.

Majhle chacha haweli me hi the is liye main sarita chachi ke kamre me unse milne nahi gaya balki ratna chachi se chaay pilane ka kah kar main apne kamre ki taraf hi badh gaya.

Kamre me aa kar main palang par let gaya. Bade chacha kisi kaam se kahi gaye huye the is liye kaagjaato ke bare me unke aane par hi baat ho sakti thi. Abhi mujhe lete huye paanch minute hi huye the ki ratna chachi ki chhoti beti kanchan kamre me aai aur mujhse kaha ki bhaiya aapko majhle chacha bula rahe hain. Kanchan ki baat sun kar main uth kar niche ki taraf chal diya.

Kuch hi palo me main niche majhle chacha ke paas aa gaya. Unhone mujhe dekhte huye kaha ki shahar se ek din ek aadmi aaya tha. Usne bataya ki tumne use yaha par phone lagane ka order diya tha.

Main= Haan chacha ji. Aap to jante hain ki sandesh bhejne wala jo jariya abhi tak chal raha hai usse wakt par kisi ko bhi koi sandesh nahi milta. Jabki aaj ke samay me phone ek aisa system hai jo ek pal me kahi par bhi ham jisse bhi baat karna chaahe kar sakte hain. Isi liye maine use haweli me do landline phone lagane ka order diya tha.

M Chacha= Haan usne bhi yahi sab samjhaya tha. Khair jab usne bataya ki tumne order diya tha to maine use lagane ka hukm de diya.

Main= Aane wale wakt me iski bahut jarurat padegi chacha ji. Is liye main chaahta hu ki ek ek mobile phone aap log bhi le lijiye. Kyo ki ye to landline phone hai jo haweli me hi rahega magar jo mobile phones aap sabke paas rahege usme ye rahega ki aap kahi bhi hoge to ham ek dusre se badi asaani se baat kar lege.

M chacha= Agar aisa hai to is bare me bade bhaiya se aaj ham sab baat karege.
Main= Ye aisi cheeje hain chacha ji jo aaj ke samay me bahut hi jyada jaruri hain. Ham yaha par baithe baithe duniya ke kisi bhi aadmi se baat kar sakte hain. Yaani jo aadmi yaha se 200km ki doori par hai to ham yaha par baithe baithe hi usse baat kar lege. Uske paas 200km chal kar jane ki jarurat hi nahi padegi aur nahi daank dwara koi sandesh bhejne ki jarurat padegi.

M chacha= Fir to ye bahut hi badhiya suvidha hai raghav. Tumne sach me bahut hi samajhdaari wala kaam kiya hai. Achha ye bataao ki tumne gadi chalana to seekh liya na.?

Main= Haan chacha ji. Is baar main car chalana seekh ke hi aaya hu. Udhar kaagjaat ban rahe the aur usi time me main gaadi chalana bhi seekh raha tha. Moter sycle chalana bhi seekh liya tha tabhi to moter sycle kharida maine magar.

M chacha= Magar kya bete.?
Main= Yahi ki maine moter sycle to khareed li magar mujhe dar hai ki bade chacha kahi gussa na ho. Kyo ki maine unse is bare me puchha hi nahi tha.

M chacha= Hahaha fikar mat kar mere sher puttar. Ab tu bada ho gaya hai is liye har chhoti chhoti baat ke liye tujhe kisi se puchhne ki jarurat nahi hai aur waise bhi tumne kaun sa galat kaam kar diya hai.? Moter sycle hi kharida hai na..par ye to achha hi kaam kiya tumne.

Main= Thik hai chacha ji.
M chacha= Achha ye bataao ki kaagjaat ban gaye hain na.?
Main= Haan chacha ji. Sare kaagjaat ban gaye hain. Ab ham us chaudhari ko uske himakat ki saja jarur dege. Wo hamare pairo me gir kar na gidgidaya to kahna.

M chacha= Aisa hi hoga beta. Bas bade bhaiya ko aane do. Aaj ham sab baith kar is bare me vichaar karege ki sab kuch kaise karna hai. Ab to us chaudhari ka beda gark karke hi dam lege ham.

Main= Jaldbaaji me koi kaam mat kariyega chacha ji. Mana ki us jameen ke kaagjat hamare paas hain aur ab wo jameen hamari hai. Magar chaudhari ke sath hisaab kitaab tab karege jab uske upar se us shahri aadmi ka saya hat jayega.

M chachi= Aisa kyo raghav.? Ab bhala wo shahri bhi hamara kya ukhaad lega.?
Main= Ukhaad to kuch nahi lega chacha ji lekin agar ham uske saamne us chaudhari ka kriya karm karege to ho sakta hai wo shahri kuch aisa kar de jisse ham seedha kanoon ki chapet me aa jaye.

M chacha= Aree wo bhala aisa kya kar dega raghav.? Nahi nahi...mujhe nahi lagta ki wo ab kuch kar lega.
Main= Aap jara gahraai se sochiye chacha ji. Itna to us chaudhari ko bhi pata hai ki wo jameen uski nahi hai. Use ye bhi andaja hoga ki sambhav hai ki us jameen ke kaagjaat pahle se bane huye hi ho. Yaani uske man me kahi na kahi shanka jarur hogi. Wahi dusri taraf wo ye bhi janta hai ki us jameen ko hathiyana itna asaan nahi hai. Matlab ki agar wo jabran us jameen ko bechega to aap uska kriya karm karna shuru kar dege. Ye baat usne us shahri ko bhi bataai hogi. Is baat se us shahri ne use samjhaya hoga ki agar halaat aise bane ki us par aapka kahar barasne lage to wo us wakt ki sari ghatna ko mobile me video bana lega. Ye mat bhuliye ki wo shahri aadmi hai aur business man bhi is liye uske paas mobile phone jarur hoga. Ab sochiye agar usne aapki aisi koi video bana li jisme aap us chaudhari ka kriya karm kar rahe hain to kya hoga.? Hoga ye ki wo us video ko police ke hawale kar dega aur aapke upar case karwa dega.

Meri in baato se majhle chacha hairaani se meri taraf dekhte rah gaye the. Unke chehre par aise bhaav the jaise unhe meri in sab baato par jara bhi yakeen na aaya ho.

M chacha= Pata nahi tum kya kya soch rahe ho raghav jabki mujhe in sab baato par yakeen hi nahi ho raha.
Main= Aisa kuch agar na ho to usse achhi koi baat hi nahi hai chacha ji. Lekin hame to har tarah se sochna chahiye na. Is liye mera sujhaav ye hai ki us chaudhari se apni jameen ko ham bade hi shaantipoorn dhang se le lenge. Use yahi lage ki uske sir se khatra tal gaya hai. Isse wo befikra ho jayega aur uska wo shahri dost bhi. Jabki uske ek do din baad hi ham us chaudhari ko gup chup tarike se utha lege aur apne adde par le aayege. Uske baad ham jis tarah chahege us chaudhari ka hisaab kitaab kar lege. Kisi ko pata bhi nahi chalega ki chaudhari ke sath kab kya hua.? Chaudhari agar us bare me kisi se kahega bhi to koi yakeen nahi karega, kyo ki sab jante hain ki thakur jo kuch bhi karte hain danke ki chot par aur sabke saamne karte hain.

M chacha= Waahh shaandaar raghav. Ye to jabardast sujhaav diya hai tumne. Manna padega ki is bare me tumne bahut achhe tarike se socha hai.

Main= Iska ek faayda ye bhi hoga chacha ji ki kisi ke paas aapke khilaaf koi saboot nahi rahega jisse koi police ko bata sake. Man me ye baat sab sochege ki ho na ho chaudhari ka kriya karm thakur sahab ne hi kiya hoga magar wo ye bhi sochege ki agar aapne kiya hota to sabke saamne karte.

M chacha= Bilkul thik kaha tumne. Aane do bade bhaiya ko. Ham shaam ko is bare me baat karege. Jaao ab tum bhi kha pi lo aur araam karo.
Main= Ji thik hai chacha ji.

Uske baad main waapas apne kamre me aa gaya. Kamre me aaya to dekha ratna chachi mere aane ka intjaar kar rahi thi. Ek taraf stool par chaay ka tray rakha hua tha.

R chachi= Kya baat hai raghav ji. Apne chacha logo se aaj kal badi lambi lambi baate hoti hain.
Main= Dhire dhire unse kuch na kuch to sikhna hi padega na chachi.

R chachi= Haan haan seekhiye. Agle baras jamidaari ka taaj jo pahanna hai aapko.
Main= Main to nahi pahanna chahta chachi magar kya karu ye mere bas me nahi hai.

R chachi= Meri maaniye to jald se jald taaj ko sir par pahan lijiye raghav ji. Kyo ki is taaj ke pahan lene se taakat aur satta aapke hatho me aa jayegi.

Main= Mujhe taakat aur satta ki kya jarurat hai chachi.? Main to aise hi bada khush hu.
R chachi= Fir to aap me aur aapke chachao me koi fark hi nahi raha raghav ji.

Main= Kya matlab.?
R chachi= Matlab ye ki bhale hi is haweli ki aur is gaav ki mukhiya jethani ji(Meri Maa) hain magar wo kabhi bhi apni taakat ya satta ka upyog nahi karti hain balki unhone sab kuch aapke chachao par chhod rakha hai. Aapke chacha log unke bharose ki kaise dhajjiya udate hain ye baat wo agar janti bhi hongi to wo kuch nahi bolengi. Shayad is liye ki wo nahi chaahti hain ki unke rokne ya tokne ki vajah se aapke chacha log unse bagawat karne lage. Ab aap sochenge ki isme bagawat wali baat bhala kaha se aa gai to iska jawaab ye hai ki aapke chacha log aaye din gaav ki kisi na kisi bahu beti ko uthwa lete hain aur unke sath galat kaam karte hain. Pahle ye sab itna jyada nahi tha magar jethani ji ki chuppi ne unhe ye sab karne ka aur bhi badhawa de diya aur halaat aise hain ki ab agar un par is baat ke liye rok lagaya jayega to wo bagawat hi karege.

Main chachi ki baate sun kar hairaan tha. Matlab chachi ko sab pata tha aur wo samajhti thi ki unke pati aur unke devar ye sab galat kar rahe hain magar wo khud kuch nahi kar sakti thi balki kuch kahne ya karne ka adhikaar to meri maa ke paas tha. Magar meri maa shayad isi liye is sabke liye chacha logo se nahi kahti thi kyo ki unhe is baat ka ehsaas tha ki chacha log unki baat nahi manege ulta ye hoga ki wo unka apmaan hi karne lagege. Meri maa ko apni maan maryada ka khayaal tha. Aakhir thi to wo ek aurat hi. Shayad wo mere bade hone ka intjaar kar rahi thi.

R chachi= Main janti hu raghav ji ki mere pati aur unke bhai gaav walo ke sath bahut kuch galat kar rahe hain magar ham iske liye kuch nahi kar sakte. Gaav wale bechare in logo ke dar se kuch nahi bolte balki apne saamne rote bilakhte rahte hain. Ab agar aap bhi gaav walo par ho rahe is atyachaar ko nahi rokenge to fir aap par aur aapke chachao par kya fark rah jayega.? Jab tak aapke pita ji jinda the tab tak is gaav ke log kitna khush rahte the aur aapke pita ji ko devta ki tarah maante the. Ab to un logo ki saari ummide aap par hi atki hui hain raghav ji. Unhe yakeen hai ki aap unke upar ho rahe julmo ka hisaab karege.

Main= Main ye sab janta hu chachi. Mujhe sab pata hai ki chacha log kya kya karte hain aur wo ye bhi chaahte hain ki aane wale wakt me main bhi unke sath hi ye sab karu. Main agar jamidaari ka taaj pahan bhi luga to bhala akela kya kar luga.? Apne hi chacha logo ke khilaaf agar koi kaam karuga to kya wo sab mere jaani dushman nahi ban jayege.?

R chachi= To kya is dar se gaav walo par ho rahe atyachaar ko aap najarandaaj kar denge.? Nahi raghav ji ye to galat ho jayega. Gaav walo ko agar aapka bhi raham na mila to wo bechare mar hi jayege. Aap to padhe likhe hain raghav ji aur ye achhi tarah jante hain ki desh samaaj ko badalne ke liye pahle ek insaan hi khada hota hai, baaki log dhire dhire uska sath dene lagte hain. Rahi baat meri to aap meri taraf se befikra rahiye. Wo bhale hi mere pati hain magar main aise pati ka sath kabhi nahi dena chahugi jo apne do pal ki khushi ke liye gaav ki masoom bahu betiyo ka is tarah se balaatkaar karta hai. Aapko kya lagta hai ham teeno (Ratna, Sarita aur Roopa) is bare me kuch nahi sochti hain.? Ham teeno ko us din ka intjaar hai raghav ji jab aapke sir par jamidaari ka taaj rakh jayega. Hame bhi yahi ummid hai ki aap sab ke dukh sukh ki parwaah karege aur gaav walo par ho rahe atyachaar ko rokege.

Main= To kya sach me aap log apne apne patiyo ke khilaaf mera sath dene ko taiyar hain.?
Main= Isme puchne ki kya baat hai raghav ji. Agar aapko yakeen nahi hai to aajma kar dekh lijiye. Aapke liye ham teeno jaan tak de dengi. Maine roopa se baat ki thi usne to saaf kah diya hai ki wo ab aapko hi apna sab kuch maanti hai. Tej to duniya ke liye uska pati hai. Yahi soch meri bhi hai raghav ji. Aap jaante hain ki main aapse kitna pyaar karti hu aur chaahti hu ki main bhi roopa ki tarah aapki biwi ban jaau. Sarita ke dil me bhi aapke liye wahi pyaar aur khwahish hai magar wo apne sharmile swabhaav ke kaaran aapse kuch kah nahi paa rahi hai. Ham teeno ko pura yakeen hai raghav ji ki aapke hath me taakat aur satta aayegi to sab kuch thik ho jayega.

Main chachi ki baate sun kar aur bhi jyada hairaan ho gaya tha. Mere liye ye badi ajeeb baat thi ki ye teeno apne apne patiyo ke khilaaf ja kar mera sath dene ki baat kar rahi thi. Agar ye sach tha to ye mere liye bahut achhi baat thi lekin agar ye koi chhal tha to mere liye bahut hi gambheer baat thi. Dusri taraf ye bhi tha ki wo teeno meri biwiya banna chaahti thi. Ye baat agar meri maa ko pata chal gai to kya hoga.? Sach kabhi nahi chhupta balki wo ek din saare parde faad kar sabke saamne aa hi jata hai.

Main= Ye sab to thik hai magar kya aapne kabhi ye socha hai ki jab meri maa ko ye pata chalega ki aap teeno se mera kya rishta ban gaya hai aur kaisa sambandh ban gaya hai to wo kya kahengi.? Kya aapko nahi lagta ki unhe ye sab pata chalte hi is haweli me kayamat aa jayegi.?

R Chachi= Waise to ham sab puri koshish karege ki is baat ka pata didi ko na chale lekin agar aisa kabhi hua bhi to ham is baat ko kisi na kisi tarah samhaalne ki koshish kar hi lenge. Sabse jaruri to yahi hai ki aap apne hath me taakat aur satta le lijiye aur gaav walo par apni kripa barsaiye. Aapke chacha log agar aapke is kaarya se koi bagawat jaisi baat karte hain to aap jo chaahe unke sath sulook kar sakte hain.

Main= Achha ek baat bataiye ki aap teeno mera kis tarah se sath dengi.?
R chachi= Ham bas aapka sath dengi raghav ji. Halaat chahe jaise bhi ho aur ye mera wada hai aapse.

Main= Thik hai fir. Ab aap jaiye warna koi yaha aa na jaye. Waise bhi majhle chacha maa aur urmila chachi ko le kar aate hi jonge.
R chachi= Kya aise hi chali jaau.?

Main= Matlab.?
R chachi= Sabko to mithaai de kar aapne un sabka muh mitha kar diya magar mera muh to mithaai kha kar bhi mitha nahi hua.

Main= To fir aap hi bataiye ki aapka muh kaise mitha hoga.?
R chachi= Waise hi jaise us din aapne mujhe inaam diya tha.

Main chachi ki is baat se chaunka. Jab ki wo meri taraf muskurate huye dekhe ja rahi thi. Unke chehre par halki sharm ki laali dikhaai dene lagi thi. Main samajh gaya ki chachi ka muh mitha karna hi padega. Is liye Main aage badha aur apne dhadakte dil ke sath unke chehre ko hathliyo me le liya. Wo meri aankho me hi dekh rahi thi. Unke gulaabi hoth halka halka kaampne lage the.

Maine kuch palo tak chachi ke chehre ki taraf dekha aur fir aahista aahista jhukte huye unke hotho ko pahle do teen baar chuma fir unhe apne muh me bhar liya. Ham dono ke jism me jaise current sa daud gaya. Main chachi ke hotho ko maje se chusne laga. Pahle to chachi bejaan si khadi rahi fir unke jism me harkat hui. Unhone apne dono hatho se mujhe apni baaho me lapeta aur khud bhi mere hotho ko chumne chusne lagi.

Abhi ham dono ek dusre ke hotho ko chumne chusne me lage hi the ki kisi ne kamre ka darwaja khatkhataya. Khat khat ki awaaj se ham dono ekdam se ek dusre se alag ho gaye. Ham dono ki saanse bhaari ho gai thi aur chehra surkh sa pad gaya tha. Ratna chachi to darwaje par hui khat khat se dari hui najar aane lagi. Maine unhe shaant rahne ka ishara kiya. Tabhi baahar se jo awaaj aai usne hame raahat ki saans di. Darwaje ke baahar roopa chachi thi aur halki awaaj me kaha tha ki badi didi log aa gai hain.

Roopa ki is baat se maine darwaja khola to dekha wo akeli hi thi. Ratna chachi jaldi se tray utha kar darwaje ke paas aa gai. Ab wo normal ho chuki thi. Roopa unki taraf dekh kar halke se muskuraai aur apni saari ke chhor ko pakad kar ratna chachi ke hotho ke aas paas fail gai lipistic ko achhe se ponchh diya. Roopa ki is harkat se ratna chachi buri tarah sharma gai thi aur jaise hi roopa us laali ko pochh kar fursat hui to ratna chachi jaldi se baahar nikal gai.

Roopa= Haye raghav ji bada muh mitha kar rahe the aap ratna didi ka.
Main= To tumne sab sun liya.?
Roopa= Bas itna hi sun paai thi. Uske baad to koi awaaj hi nahi aai. Main samajh gai ki kaaryakram shuru ho gaya hai.

Main roopa ki ye baat sun kar muskuraya aur jhat se use kheech liya andar ki taraf. Roopa meri us harkat se buri tarah ghabra gai magar fir jald hi samhal bhi gai.

Roopa= Haye daiya aapne to dara hi diya tha mujhe.
Main= Koi baat nahi meri jaan. Ab main tumhare hotho se thoda apna muh mitha kar lu. Kyo ki tumhare hotho ki baat hi alag hai.
Roopa= Achha ji.?

Roopa ne ye kaha aur muskurane lagi. Maine jhat se uske hotho ko apne muh me bhar liya. Darwaja khula hua tha is liye maine roopa ko jaldi hi chhod diya. Roopa muskurate huye niche chali gai. Kuch der rukne ke baad main bhi apna huliya thik karke niche ki taraf chal pada.
Sabse pahle to maafi chaahuga perfect bhai ki mujhe yaad hi nahi raha aapki story ko padhna aur us par apni pratikriya dena,,,,,:bow:

Aaj baaki ke updates padhe maine. Samajhne me pareshani huyi is liye pichhe ke kuch updates par bhi nazar daali. Story bahut hi kamaal ki likh rahe hain magar kaafi time se khud gayab hain. Ummid karta hu ki sab kushal mangal hoga,,,,:dost:

Is story me kaafi saari baate ab aage badh chuki hain. Raghav ka apni chhoti chachi rupa se judaav jo ki ek tarah se wo dono pati patni hi hain aur unka ek beta bhi hai. Wahi ek taraf badi chachi ratna bhi rupa ki raah par hai aur yahi haal dusri chachi sarita ka bhi hai. Ye alag baat hai ki filhaal wo apne sharmile swabhaav ki vajah se khul kar saamne nahi aa rahi...magar bhala kab tak.???:D

Shahar me urmila chachi ke sath raghav ka alag hi jalwa hai aur ab to uski beti poonam bhi khul rahi hai. Raghav ki maa ne to use apni bahu banane ka soch liya hai aur shayad poonam ko bhi ye rishta manjoor hi hai. Khair abhi to usne raghav ko apne khamosh hone ki jo kahani bataayi wo dilchashp hai. Dilchashp is liye kyo ki uske anusaar uske chehre par muskaan tabhi aayegi jab uski friend ke qaatilo ko saza milegi aur iske liye raghav ne usko vachan de diya hai. Ab ye dekhna dilchashp hoga ki raghav kaise ye sab karega,,,,,:dazed:

Zameen ke papers ban chuke hain aur sabhi chacha raghav se khush hain. Raghav bhi apni soojh boojh se unhe sheeshe me utaar raha hai. Yaha sawaal ye hai ki raghav kahi overconfidence ka shikaar to nahi hai.? Aisa lagta hai jaise wo khud bahut zyada hoshiyaar hai aur uske sabhi chacha dimaag se paidal. Use samajhna chahiye ki iske peechhe uske chachao ki koi chaal to nahi hai,,,,,:dazed:

Raghav ki sabhi chachiya uska hi sath dene ki baat kah rahi hain usse aur chaahti hain ki raghav jald se jald zamidaari ka taaj pahne. Mere khayaal se raghav ko zara soch samajh kar aur satarka se kaam lena chahiye. Kyo ki mujhe to uske chachao ke zahen me koi shaatir khel chalne ki boo aa rahi hai. In chachiyo par bhi aankh band karke bharosa karna mere khayal se sahi nahi hoga,,,,:dazed:

Raghav ki maa aur uske sabhi chacha bhi is baat se sahmat hain ki urmila chachi apna shahar wala ghar bech kar gaanv me apni beti ko le kar aa jaye aur yahi rahne lage. Iske liye unhone kuch zameen bhi dene ki baat kahi hai. Khair urmila chachi aur uski beti ke hit ke bare me to badhiya socha hai sabne magar mujhe lagta hai ki raghav ke tharki chachao se in maa beti ka zyada dino tak bachna mushkil hi hoga. Khair dekhte hain kya hota hai,,,,,:D

Gaanv ke wo log raghav ke sath hain jo raghav ke chachao ke julmo ka shikaar hain. Udhar chaudhari ka mashla bhi chal raha hai jo ki ab achhe se hi sulajh jayega. Kyo ki zameen ke papers ban chuke hain. Perfect bhai idhar ke updates se itna hi nazar aaya mujhe. Ab iske aage ka badi shiddat se intzaar rahega,,,,,:smarty:
 

Mr. Perfect

"Perfect Man"
1,434
3,733
143
Bhai phone to le liya tha lekin family me big problem ho gai thi is liye story stop karni padi______

Bhai abhi thak new phone nahi liya hey to kal se jo big bilioun days chalu ho raha hey usme phone le legieaga bhai aur jitni jaldi ho sake story ko restart karie please.
 

Mr. Perfect

"Perfect Man"
1,434
3,733
143
Sorry bhai family me problem thi is liye story ko aage nahi badha saka______

Good bye writer ji bahut wait kiya aapka aur aapke update ka but kuch nahi aaya
 

Mr. Perfect

"Perfect Man"
1,434
3,733
143
Sorry bhaiyo lekin family issue ki vajah se story ke update nahi de saka. Mere ghar me mere bhatije ko gambheer bimari ho gai thi to uske ilaaj me busy raha. Kya bataau bhaiyo badi musibat aa gai thi______
 
Top