• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller Raghav

StarDust

Active Member
976
323
63
Wah.. Firt update always kahani ki disha deta hai user ko ki vo anuman laga sake ki kahani kitni judgei use aur apki itni clean writing hti hai ki ankhon ke aage visual create hote hain :bow: :bow:

Plot seems to be tensed and thrilled, maza ayega why don't you try in script writing :D

Thank You very much Harshit :D
jaisa socha hai waisa hi likh sakun toh mazaa aayega :p
 
  • Like
Reactions: harshit1890

harshit1890

" End Is Near "
Prime
6,151
16,151
219

StarDust

Active Member
976
323
63
Update: -

Update: -

"Naam"

"Raghav"

"Pura naam"

"Raghav urf Raghu"

"Aakhri naam kya hai"

"Nahin pata"

"Baap"

"pata nai"

"yeh kaam kyun karte ho"

"achha lagta hai"

"crime karna achha lagta hai tujhe" Raghav ko interrogate kar rahe Solanki ne chilla ke kaha aur pehle se hi ghayal hue Raghav ko kas kar tamacha maara, Raghav pehle se hi lahu lohaan tha, 5*5 ke interrogation room mein Raghav ek lakdi ki kursi pe betha tha, uske haath peeche bandhe the, Solanki use apni belt se maar maar ke thak chuka tha, lekin Raghav tas se mas na hua

"Shinde, Kursi le jaa re, Rassi khol aur danda laa mera" Solanki ne apni shirt utaari aur Raghav ko khada kar, uske dono haath upar ki taraf karke moti si rassi se baandhe, Raghav mein jaan hi nahin bachi thi, uska chehra neeche ki aur jhuka hua tha, uske lambe baalon ki wajah se khoon se sana chehra dhaka hua tha, shareer pe koi kapda nahin, Raghav nange badan Solanki ki maar jhelta gaya, Belt se leke tel mein sanna hua danda, Solanki ne har paintra aazmaaya lekin Raghav ko kuchh farak nahin pada, Solanki 5 ghante baad khud toot gaya, zor zor se saans leke haanfne laga

"hahaha"

"hahahha"

"hahahahahhahaaaa" Raghav, Solanki ki haalat dekh zor zor se hansne laga, Interrogation room ke bahar betha havaldar bhi chaunk utha

"Insaan hai ya Shaitaan" usne khud se dheere se kaha

"5 ghante se tu mujhe maar raha hai, aur thak bhi tu hi gaya" Raghav ne Solanki ka mazaak banate hue kaha, Raghav ke honthon se khoon aise tapak raha tha jaise kisi nal se pani tapak raha tha, paseene aur khoon mein sana hua Raghav bas neeche ki or hi dekha jaa raha tha, Solanki ko kuchh bolna sujh hi nahin raha tha, kehta bhi toh kya

"tu mere"

Abhi Raghav firse kuchh bol hi raha tha ke interrogation room ka darwaza khol, bahar betha hua havaldar andar aaya aur Solanki ke kaan mein kuchh khusfusane laga

"meri rihaai ka order aaya hai Inspector" Raghav ne ek dum dheemi awaaz mein kaha aur pehli baar apna sar unchaa kar, Solanki ki aankhon mein aankhein daal kaha

"apni dhum hilaata hua jaa aur 5 minute mein mujhe rihaa kar, warna aisi jagah transfer karwaunga jahan jeene se zyada sukoon tujhe khudkhushi karne mein milega" Raghav ne Solanki ke chehre pe thookte hue kaha

"kya bola madarchod haraami gutter ki aulaad" Solanki ka khoon jaise ubalne laga, tehesh mein aake usne fir se apne belt se Raghav ko peetna chalu kiya, agle 15 min tak Raghav fir belt ki maar khata raha aur Solanki ki aankhon mein hi dekhta raha, khoon sa utar aaya tha Raghav ki aankhon mein

"Sir Sir" havaldar ne aakhir Solanki ko roka aur interrogation room ke bahar le gaya, Solanki lagatar 5 se zyada ghante use maar chuka tha, lekin usne ek bhi sawaal ka jawaab dhang se nahin diya

"yeh mere client ke papers hain, riha karo" Solanki jab apni kursi pe betha toh saamne bethe wakeel ne bina waqt ghanwaye papers uske aagey kar diye

"tum jaise logon ki wajah se hi samaaj mein aise criminals pal rahe hain, wakeel kam dalaal zyada lagte ho" Solanki ne ghin mein aake kaha aur wakeel ke diye hue papers ko table pe hi faad diya

"tumhara bhaashan sunne nahin aaya hun main, gair kanooni tareeke se tum mere client ko third degree torture de rahe ho, agar 2 minute mein mera client mere saamne nahin aata, toh abhi CMO se phone aayega aur kal subah tak tumhare transfer ke papers" Wakeel ne bina kisi bhaav ke Solanki se kaha, Solanki ke chehre ke bhaav dekh woh fir bola

"aise mat dekho inspector, main toh dalaal hun, tum kutte se kam nahin ho, abhi bhi 90 second hain tumhare paas, nai toh phone ki ghanti sunke tumhara pichhwada aisa fatega ke koi see bhi nahin paayega" Wakeel ke yeh shabd sun Solanki ek jhatke se apni kursi se utha, aur dusri taraf jaake Wakeel ke coat ka collar pakad liya

"kya bola haraamzyaade" Solanki ne abhi bas itna kaha hi tha ke station ke phone baj utha

"Phone uthao inspector, yeh tumhe tumhari aukaat dikha dega" Wakeel ne Solanki ka haath apne collar se hataya, Solanki jaanta tha ke Wakeel gidhad bhaki nahin de raha

"Raghav ko chhod do, aur aainda se agar kisi ko bhi bina papers ke third degree torture diya toh sabse pehli karyawahi tumpe hogi Mr Solanki" saamne CMO se phona tha, Solanki kuchh kehta usse pehle line cut gayi, havaldar Solanki se order liye bina hi andar gaya aur Raghav ko bahar le aaya

"zyada maara toh nahin tumhe" Wakeel ne Raghav ko dekh kaha

"Police ki aukaat is baat se pata chalti hai, ke maar maar ke yeh thak gaya hai, mujh mein abhi aur 10 ghante maar khane ki shamta hai" Raghav ne Solanki ko dekh kaha jiska chehra lala pad chuka tha, zyada kuch kahe bina Raghav aur uska wakeel bahar nikle aur apni gaadi mein beth ke wahan se chale gaye

Yeh thi Raghav aur Solanki ki pehli aur aakhri mulaqat, Solanki ne Raghav ki file wapas apne drawer mein rakhi aur apne ghar ke liye nikal gaya, pure raaste woh bas yehi soch raha tha ke aakhir Raghav ka plan tha kya, Raghav mar chuka hai lekin shayad uska plan abhi bhi zinda hai, Ragav kisi majboori se criminal nahin bana tha, use jurm karne mein mazaa aata tha, aisi soch wale insaan ko toh maar sakte ho, lekin uski soch, hamesha zinda rehti hai, woh apni soch ko sachai mein tabdeel karne mein peeche kabhi nahin hatta.
 

Rahul

Kingkong
60,514
70,702
354
nayi kahani ke liye badhai ho:congrats:
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
6,151
16,151
219
:claps: :claps: for the screenplay,lagta hai aise scene bahut dekhe hai :D
Judge karna kahani ko abhi se koi fayda nahi uspar soch kar, par writing bemisal hai, raghav ka pitna solanki ka thakna. Let c kanoon ke balbutte kahan tak pahunchte hai solanki ji :D

Bravo kimi ji :yay:
 
  • Like
Reactions: Naina

StarDust

Active Member
976
323
63
:claps: :claps: for the screenplay,lagta hai aise scene bahut dekhe hai :D
Judge karna kahani ko abhi se koi fayda nahi uspar soch kar, par writing bemisal hai, raghav ka pitna solanki ka thakna. Let c kanoon ke balbutte kahan tak pahunchte hai solanki ji :D

Bravo kimi ji :yay:


:ecs: thank you signature mein daalne ke liye.

Time ke hisaab se I will keep fast updates, work from home hai tab tak I will see story achhi speed pakad le
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
6,151
16,151
219
:ecs: thank you signature mein daalne ke liye.

Time ke hisaab se I will keep fast updates, work from home hai tab tak I will see story achhi speed pakad le

Achi story hamesha mere siggy mein hoti hai :D jesi meri bhi hai udhar :D Han yahi sahi mauka hai hatoda marne ka :cool:
 
Last edited:
Top