Comment on Update 305 ?
Yeh Supyaar koun hai ? Pahle kis update mein iska naam aaya hai... Kya ye Mamta aur Kavita ki Maa hai ?
Main isse Mamta aur Kavita ki Maa Supriya samajh leta hun...
Mere Hissab se Mandva ka Scene mujhe theek nahi laga... Main kuchh edit karke likh raha hun ki aisa hona chahiye,,, (Meri personal opinion mein)... Baki aapke upar aur Pathako ke upar hai ki unhe kya pasand hai...
Mera Edited Portion....
Mandawa…..
Mamata “Dadaji chay lau…
Dadaji “nahi Mamta bahu ko bhej de baat karni hai”
Mamta “ji “
Jagmal Singh apne study room mein pahunche aur aram karne lage….kuch pal baad he Supriya aagayi aur boli “babuji apne bulayaa”
Jagmal Singh “waise ye sawal hume Divya se puchna chahiye tha par hum sahi jawab chahte hai aur aap bhi Raj ki choti maa hai aapka bhi uspar pura hak hai”
Supriya “babuji mera dil ghabra raha hai kya huva hai Raj ko sab theek hai na”
Jagmal Singh “ kya Raj ke liye koyi ladki dekhi hai ya pasand hai aapko…”
Supriya kuch pal rook kar “Richa… usse Raj pasand karta hai ya tha ….pata nahi par pyar ko bhulaya nahi ja sakta hai aur Raj unhi mein se hai jo bhulta nahi hai …aur Dusri taraf Sonali ne ek patni ke sare kartavya ab tak nibhaye hain….wo uske liye marne jeene ke liye taiyar hai garam mijaj ki hone ke bavjood usne kabhi hum mein se kisi ko palatkar jawab nahi diya hai jo uske samarpan ko dikhata hai …meri nazar mein Sonali beti Raj ke liye ek patni ke roop mein har tarah se uchit hai”
Jagmal Singh “theek hai bahu ab ja sakti ho” aur Supriya ke jane ke baad wo gahri dhuvidha mein pad gaye….aur sochne lage baba ki baato ko…
Dadaji “baba aap toh uski kismat jante hai mujhe kuch nahi janna hai bus itna bata dijiye ki in teeno bachiyo mein se uski jeevan sathi koun hogi… apka kahna hai Sonali ki wajah se ye pariwaar ek rahega.. aur Richa bitiya uske jeevan ko raah dikhayegi jabki wo toh usko dekhte he rasta badal leta hai ..aur Poonam beti se usko jindgi bhar gahara lagaav rahega aur wo bilkul Vidya ki tarah banegi sabko pyar apnapan dene wali….”
Baba “Swarthi ho rahe ho”
Jagmal Singh “Baba kirpa kare mujhe bataye kyoki abhi tak toh uski jindgi mein pyar ka namonishan tak nahi hai aur mujhe meri jindgi ka koyi bharosa nahi hai ki kab khatam ho jaye please baba bata dijiye is budhe ko kuch”
Baba ankh band karte hue “tumhari adhirta dekhte hue main tumhe kuch batata hu par uss se aage koyi sawal nahi toh suno….Raj ki shadi ho jayegi par tum jaan nahi paoge…aur na wo khud jaan payega abhi main sirf tumhe itna he bata sakta hu ….aur jaisa maine kaha tha tumhari har ichchha puri hogi filhal itna kah sakta hu tumhe”
Dadji man mein “kaise hogi koun hogi uski wo ladki jiska na usse pata lagega na mujhe …hey ishwar ye kaisa khel raha mere bache ki jindgi mein… main ab apni buddhi aankho se aur dhukh nahi dekh payunga …kirpa rakhna bhagwan”
Jagmal Singh “Baba ye Sherdil hai Ali ka beta aur Raj ka bhai”
Baba “Sherdil ka hath dekh kar …jaisa naam waisa tere kaam honge…ek waqt aayega jab tujhe nirnay lena hoga us waqt jo tera dil kahe bus wo kar dena…aur tu chinta mat kar teri bahan aur maa hamesha sukhi rahengi unhe wo sab milega jo tune chaha hai par iski keemat tujhe chukani hogi… tere jivan mein shanti nahi likhi hai putra….maut se khelega tu….jab tak jiye shan se jeena upar wala sab mangal karega”
Sherdil hairani se baba ko dekhta rah gaya…toh dadaji ka dil baith gaya kyonki wo samajh rahe the ki baba ke kahne ka kya matlab tha….
Dadaji “baba aap ja rahe hain”
Baba “sab upar wale ka rachaya khel hai kab kisse kahan bula le koyi pata nahi hai”
Dadaji baba ko hairani se jate dekhte rah gaye toh baba bina palte jate huve bole “ab waqt hai uddhaar kaa ab waqt hai apno se judayi ka….. ab waqt hai kali ghaneri raat ka…par tu himmat mat harna a pathik…..andhero ke baad he anand aata hai ujaale ka…. Alakh nirajan…alakh niranjan”
Dadaji kuch nahi bole aur chup chap ghar ke andar aa gaye ….unka dil bhari bhari ho rakha tha…
Sherdil ki maa piche se aati huvi boli “Allah sab theek karega babuji…hamare bache har musibat se lad jayenge ….mujhe pata hai aap baba ki baat ke bare mein soch rahe hain….”
Dadaji “haan beti …”
Sherdil ki maa “Main bus un ghunegaro ki maut dekhna chahti hu agar mere bete ki jindgi chhoti likhi hai toh bhi mujhe gham nahi babuji bus wo apne mama aur baap ke hatyare ko maar kar mare” itna kahte kahte uske aansoo foot pade….“
Dadaji khade hokar gale lagate hue “mat ro meri bachi ishwar kabhi hamare sath itni nainsafi nahi karega…sab theek hoga tu ro mat “
Dadaji ne kahne ko kah toh diya par wo khud andar he andar ro rahe the….
******