Bhai kabhi kabhi aap 2 character ko over dikha dete ho ,ek death halo hai aur dusra Sonali ,
Chalo Maan liya nahi bataya Divya aur Richa ne ,kuch reason Raha hoga isliye tou nahi bataya tha Raj ke baare me kisi ko ,
Aur Sonali Bahu hai aur kuch toh maryada me rakho ,itna bhi sar par nahi chadna chahiye , jo sab log itna dar rahe hai ,khass kar divya aur Richa ,chalo Maan liya Sonali Richa ko gusse me thappad maar sakti hai toh kya Joginder , chief aur Divya ko bhi thappad maregi ,kyuki pata toh in sabko bhi hai ,
Divya ab ek saas hai aur wo sonali ( bahu) se bachne ke liye chip rahi hai .
Bhai itna bhi Over mat dikhao yaar sonali ko ,
Pichli baar bhi Jab bina Bataye Raj Mumbai gaya tha aur jab Rakshabandhan me aaya tha toh sonali ne us per fire kar diya tha ,
Thoda hadd me rakho bhai Sonali ko ,itna bhi accha nhi lagta hai ,abhi jab pata chal gaya hai ki Raj jinda aur Wo MP me hi hai toh phir waha se aane ki kya jarurat thi ,waha par gayi toh Raj ko khojne hi na toh phir kyu chali aayi ,khojti Raj ko jab tak Raj na milta