Great update. Ladayi bahut bhayanak ke saath-saath plan se ladi thi jisme Aslam aur Mityudoot ki bhi aham bhumika thi. Haath me dhadakta dil vyang ke saath hi bhibhats bhi tha.
Nisha ka role bahut sundar tha khaas kar jab usne 'Kulhade' ko ped se nikala tha. Sabse shocking to tab laga jab Nirvana ne usase kaha ki marna nahi, tum mujhe pasand aane lagi ho. Shiwani ki yaad aa gayi.
Ab commissioner ko kiski call aayi thi, ho sakta hai Joginder ho, lekin Chakravati Toofan ne bhi kya saath diya hai. Idhar Raj ki jinda hone ki khabar sunte hi uske sab ghar wale usase milne chale aa rahe hain.
Sunil ke Shadow Warriors ka padh kar purani yaadein taja ho gayi. Unki himmat aur kartavyata dekh kar accha laga. Chalo, Nirwana ko bhi kuch log acche lagne lage.
Ek khaas baat, Wafadaar ne ladne se pehle kya piya tha. Kahin yeh bhi Sahdev ka banaya hua na ho jiske baare me weh ek baar dada ji se keh raha tha.
Ab aate hain Guruji par. Yeh to samajh me aa gaya ki ab un logon ke baare me sab ko pata lag jayega, lekin aakhir weh kaun si baat hai jiske baare me Guruji pareshan hain.
<Guruji “ Mahaguruji ne mujhe bataya tha ki raj ki jindgi mai ek bahut bada badlav uski kundli mai mityudosh ke 2 varsh baad ayega jab usai ek bahut badi sachayi ka samna karna padega…”>
Raj do saal pehle marte-marte bacha, yani ab weh samay aa gaya hai. Jarur isase Nirwana ki maa judi huyi hai.
<Guruji “ ye samjlo ki tumhara samna tumhare sabse khatarnak dhushman se hone wala h ….>
Tattoo wale, ho sakta hai yeh dushman unka leader ho.
<Maalik “mujhe mat maro main tumhe ek raaz bataunga tumhari maa ke bare mai…”>
Kya weh jinda hai... Lagta to nahi lekin phir bhi... Nirwana ko ladayi ke beech me ek baar sir me dard utha tha, kya Raj bahar aane ki koshish kar raha tha. Ab Finland jaane ke liye Raj ko control lena padega.