Ye sapna bhi ho sakta h na bro...kyoki sapne usai start se arahe h ab dekhte h kya ye mahaj sapne he h ya kuch aur
Hmm aap sapna keh rahe toh ho bhi sakta lekin ye sapna logic kya rehega kyuki sapna toh imagination ya kuch pehle dekha ho tabhi aa sakta hai .
Aise iss tarah sapna aana bina reason ya logic lagega .
No comments
Matlab mein sahi hu woh thunder god ya nirvana ke father hai .
Bilkul sapne ke heesab se yahi lag raha h
Abhi bataunga nahi par agar ye sapna sach huva toh ap soch sakte ho ye story in future kanha par jane wali h
Hmm sahi hai
Parllel universe ho sakta h bilkul ye concept lagu ho sakta h ...agar uska sapna sach huva toh ....aur agar aisa huva toh ...story fantasy ki aur badh jayegi ..
Fantasy toh jaroor jayegi ye
Kyuki nirwana khud fantasy character hai toh nirvana ko explore karne ke liye fantasy tour karna padega .
Ye mamala thoda aur typical h ...matlb bahut typical h...jo story ke ant mai khulega
Typical yaha thodaa mujhe aur vichar karne padega ki typical mein kya hoga
Valentine rider ka role isi story tak rahne wala h ye confirm h matlb first part tak....
Aisa kyu
Valentina rider toh mera favorite hai
Jab se uska introduce hua tab se mein uska fan hu .
Aap hi kehte thee ki Valentina rider raj se khatarnaak hai .
Toh uska Bhi kuch ho sake toh next part mein fit karona.
Wanha uski gf jo bhi h ye toh saaf h ki agar huvi toh wo kaisi hogi ...kyoki nirwana ko controle karne wali simple toh nahi hogi..
Yaha toh pura sure hu
Nirwana hi Poonam ki gf thee.
Xabhi close combat mai trained fighter h aur wo isiliye he yanha aya tha kyoki usne khatro ko dekha h ...aur aj usne proof bhi kar diya
Par yanha raj musibat mai aya he nahi warna wo sayad puri tarah bahar ajata ya wo khud valentine rider ko rok raha h
Ohh aisa hai valentine rider ka clear hogaya ki woh kyu bahar nahi aaya .
Raj aur nirwana ka imbalance personality he deepu h jismai richa ka bachpan ka pyar dikhta h isliye wo thoda childish behave karta h par power nirwana wali h
Iss personality ko kya hamm raj par bachpan mein uske sath hue bartaaw se jodd sakte hai.
Kya ye possible hai ki deepu raj ke bachpan ke trauma ki wajah se create hogayi
Yudh ha ...kuch toh jiske liye ye sab chal raha h ....aur wo log hath dhokar raj ki family ke piche h secrets ke liye..
Ha ha ha ...ek maut ....abhi nahi agai bahut maute h akhir yudh h maut toh hongi he
Maut last mai pata lagegapar ye clear h bahut sare log marenge raj ki sides se bhi
Yudh mai nuksan toh hota he h aur hero ka na ho ye kaise mumkin h isliye yudh bhi bhayankar hoga antim wala aur fight bhi janha sabkuch dekhne ko milega
Hmm sahi hai yudhbhumi toh balidaan mangti hai .
Thank you so much for your precious words and Review
Welcome
Bus wait karo bahut bahut baaki h action thrill story mai jismai technology enter ho he gayi h ab
Jaroor