Sandeep bhai ju ki story ke liye maine pahli bhi kahi hui hai ki apka jo story ka har charecters ke emotions hote hai wo bohot hi lajavaab hote literally har scenes ko ek apne hi andaz me dikhana aur hamare samne prastut Krna bohot hi kabile taarif hai aur jo aapne pichle Update 105 me jo action, emotional attachment relation,aur uss shaks ki jo entry wali action scenes apne jis trah se dikhayi thi wo bohot hi lajavaab the khaskar mughe uss pure update me apke last ke likhe shewata ke kuch lines sabse jyada pasand aaye bhai unn 3-4 lines hi sahi par unn lines me jo dard jhalka tha uska apno ke liye wo dil se hote hue gayi bhai aur apko to pata hi apan emotions ke mamle me kaisa hai aur ek aur baat bhai ki aapne Anthony ka jo scenes usme jis atrance dikhaya tha wo bhi bohot amazing tha khaskar uska action part jo usne kiya last me manisha ke saath wo to fully realistic imagination laa reli thi.
Apka review aj kal din ba din gahra hota ja raha h bahut se aise typical imagination hoti h jo sirf writer he samaj pata h wo bhi ap pakadne lag gaye ho
Ab aate ju ke har scenes ko ek hi trah se luricate krne wali bhai to wo bohot hi intresting part raha mere liye jaise aapne raj ka scene jis tarah se dikhaya Update 106 me wo mughe kisi starting sequence jaisa feel hua ab kuch bada hone wala hai aisq kuch Khair ye part bohot amazing tha aur intresting to bohot jyada kyu ki aajtak aisa part aur sequence maine kahi bhi nhi padhe the.
Hoga kyo nahi sutra ju jo ho toh hona he tha ye sab aur responce as we expected he mila h
Ab aate hai ju ke action part par bhai to wo to bhai literally ek alag hi level par tha....jaise south movie jaisa scene waisa hi kuch but south movie me bhi aise scenes nhi aate jaldi.....aaur yahi to bhai aapke story ko ek alag level ka banati hai khaskar action wale scenes me ya wo pura part me hi ho yas koi total sequence me hi kyu na ho bohot hi lajavaab hote hai.
Main kya kahu sab toh pata he h apko action dhamka .....
Aur yaha Update 106 me jaisa action scene dikhaya wo to kabile tarif tha khaskar wo helicopters ki entry aisa aap ke sakte the iss Update me aisa kisi ne nhi socho thi.
Sala yakin rakho end mai fighter helicopters bhi ane wale h ....
Aur wo scene jab kisi shaks ne changes wagerah krwa raha tha wo to lajmi hai helicopters aur boats hi honge jinme wo changes krwa raha tha but unexpectedly aapne ye bilkul hi sahi kiya tha brother iss scene ko pahle hi dikha kr nhi to agar aap isse agle Update me dikhate to may be confusing part to ho hi jata thoda .
Ha wo us samay helicopters mai change karwa raha tha ....isilye he 3 hours dikha diya pahle he ..
Ab aate Sonali wale scene par to wo bhai literally ye scene bohot jabardast tha jisme aapne emotion bhi jode the jo istrah se kuch the ki Ek traf wo Anthony jo mahilao ko sirf ek saman smjhta tha jo bohot galat tha aur wo uska bad intention tha jo uske emotion ko ek nashe me duboya hua tha jo ghamand me chur tha ki usse mahilao ki koi parwah nhi thi aur naa hi dar ka koi bhav uske mann me par Jis tarah Sandeep singh nirwan bhai apne raj ke dwara Sonali ko uska wo ghamand,uska wo badly affection jo mhilao ke prati tha usse todne ko bheja wo part mera best of raha aur kaha Sonali apni bahen aur Manisha ke liye uss Anthony ko marna chahti thi pahle iss liye wo Anthony par utta to bhari pad paa rahi thi but mere khyal se maine jitna notice kiya wo raj ke uss kahe hue sabdo pe to gayi hi thi par usse kuch aur bhi realise hua tha jo tha ki Anthony ka pura ghamand aur buri nashe ki chahh jo maahilao ke prati uski wor se thi,ab wo usse todna chahti thi aur issi baat ko lekr jab usne apne mann me thaan usne Anthony ka wo hasr kiya jo sayad hi koi aur hi Anthony ki tarah agar dekhta to uski sari burai ek pankh si lag ke udd jaati,bohot hi lajavaab likha tha ye part bohot hi lajavaab bhai.
Bilkul sonali ki fight inhi wajah se he dikhayi thi ek ki aurto ko wo sirf sex toy samjta h ....dusri wajah yahi thi ki raj ne anthony ki taakat physically samaj li thi isiliye sonali ko ladaya taki. Usai bhi uski strength ka andaza ho ki usai aur strong hona hoga
Aur wo last ka wo part jab Sonali ka wo gussa jo uska asal me bhav hi the jo uski ankho se saaf jhalak rahe the jo yske dil se arahe the akhir raj ne kahi hi aisi baat thi jo uske dil tak ko ghayal kr sakti thi aur yahi andaz jis tarah se usne raj ko coller se pakd kr jis tarah se baate usne boli
Ha ha ha wo sab sah sakti h par raj se alag hona nahi isiliye bifarpadi wo ..
"Haaye unki un ankho se jalti hui angare,
Simat ti hui chali gayi uss dil ke galiyo se hote hue,
Naa chahh kr bhi unki ankho se,
Kahti hui chali gayi wo lafze,
Ki naa chahh kr bhi nazre ferni hi padi hame,
Agar na ferte apni nazre unse,
To sayad hi wo dil jata pata apne wo kahe hue alfaz unse!!
Ohhh sayariya sonali pe bilkul fit to fit baithi h
Sandeep singh nirwan bhaya bohot hi jabardast Update raha dono khaskar 106 uski to demand hi alag hogayi bohot hi lajavaab likha tha apne.
Take care bhai.........
Thank you so much for lovely deeply beautiful review