nice update..!!
yeh raka sultan ko jaldi se rajiv ki beti rinky ko uthane ke liye bol raha hai lekin yeh sultan overconfidence me hai aur yeh chutiya nirwana ko hi khatam karne ki baat kar raha hai..lekin isko nahi pata yeh mout ke samne ja raha hai..ab yeh 3 din me rinky ko uthane wale hai aur anthony k aadmi john bhi sultan ke pehle rinky ko uthana chahta hai..rinky ki jaan bahot khatre me hai lekin ab uske sath raj hai toh raj aise thodi hi rinky ko musibat me fasne dega..!! yeh aaditya, manisha aur rinky nirwana ke fan hai lekin raj bahot sincere banane ki acting kar raha hai..muze laga ki rinky yaha pe bol degi ki usko raj ne kaise bachaya tha kuchh ladko se lekin rinky kuchh boli hi nahi..manisha toh raj ko hi galat smajh baithi..rinky ne manisha ko toh bata dena chahiye ki raj ne usko kaise bachaya tha..aur yeh raman, raju aur rafiq bahot hi uchhal rahe hai..agar inke kuchh kand samne aaye toh inka bhi haal raj waisa hi karega jaisa javed aur ravi ka kiya tha..!! yeh manisha raj ko fattu samajhti hai lekin jab raj paas jata hai toh aisa behave karti hai ki woh raj ki lover hi hai..shweta toh shweta hai manisha se hi bhid gayi..!! bhai aaditya toh gk competition ke liye nahi jayega toh usko kyun lekar gaya raj apne ghar..aur yeh shweta toh manisha aur aaditya ke samne aisa behave kar rahi thi ki uski gf ho lekin rinky ne uska sach samne la diya..!! raj ne anthony ke bhai ki info aaditya ko nikane ke liye bola hai iska matlab raj jaan gaya hai ki anthony ka bhai drugs supply karta hai uske school me..!! raj ne rinky ke sath thoda maja kar liya aur rinky toh pehle se hi raj ke pyaar me hai..aur ab toh woh aage jaan bhi jayegi ki raj hi nirwana hai..!! yeh shaitan aur uski biwi ko abhi bhi akal nahi aayi..yeh jarur royenge apni galti ke liye..raj inn mp ke gundo ko pelkar inki info nikal hi lega..fir shaitan ki khair nahi..!! yeh banda kaun hai 6 feet ka jo hath me photo lekar dehradun aaraha hai aur dekhne me killer lag raha hai..!! kavita ko bhi mamta ne raj ke photos dikha diye aur raj ke photos unke paas apni shweta hi bhejati hogi..!! yeh madhu bhi raj ko like karne lagi hai..ab dekhte hai yeh dono kaise aage badhte hai..!! bhai ek baat samajh nahi aayi ki raj school me champu ki tarah rehta hai lekin ab manisha raj ke ghar bhi aagayi toh raj kaise rehta hai usne yeh bhi dekha hoga..usse doubt toh aaya hi hoga na aur raj usse girls hostel bhi achhi bike lekar gaya tha..shayad isliye hi woh raj ko ghurti rehti hai..raj ki gehrayiyon me jane ki koshish karti hai..!!