Raj ne jab class me Nandani aur Ajay ko ek sath baitha dekha to gussa me usne muththi bheench li par par chehre par koi imotion nahi aane diye balki muskurate hue apni seat par jakar baith jata hai
Raj ko aise jate dekh Nandani udas ho jati hai usne socha tha ki wo raj jealous feel karvayegi isliye usne Ajay se dosti kar li thi
jaha aaj aman aur Vandana baithe hue the Raj ke vaha aane par Vandana sar jhuka kar seat se khadi ho kar nandini ke pas chal deti hai par Raj uske aise jane par muskura deta hai
Vandana _(Nandani ke pas pahunch kar Ajay se) kya aap meri seat khali kar sakte hai mujhe baithna
Ajay Kuch bolta usse pahle Divya ( Ajay ki badi bahan) _ Vandana baitho apni seat par aur Ajay tum apni seat par baitho mujhe class start karni hai jaldi karo
Ajay apni bahan ke samane kuch bhi nahi bolta hai aur uth kar apni seat par baith jata hai
Divya class start kar deti hai raj aur aman aapas me hi busy the par Nandani chor najaro se raj ko dekh rahi thi aise hi class chalti rahti hai phir lunch ho jata hai
Vandana _( Nandani se) kya kar rahi hai tum vo Ajay achcha ladka nahi hai aur tum usse hi Dosti kar rahi ho
Nandani_(sad tone me) Vandana me to uske sahare se Raj ko jalana chahti thi par unhe is bat se fark hi nahi padta chahe me kisi ke sath baithu ya ghumu
Vandana _ meri bahan kismat par bharosa rakh hame apna pyar jarur milega
Nandani _ dekh Vandana aaj me apni kismat ke sath ek juaa khelne ja rahi hu ya to ye aaj raat 12 baje Tak apne pyar ka ijhar karenge nahi to me raj ji saugandh leti hu kabhi Raj ji ko apni shakal nahi dikhaungi
Ye bolkar Nandani aankhon me nami lekar Ghar ke liye nikal jati hai Vandana use peeche se awaz deti rahti hai par vo Nahi rukati hai
Vandana Apna phone nikal kar raj ko message karke sab kuch bata deti hai par Raj kuch bhi reply nahi deta hai
Vandana bhi apne ghar ke liye nikal jati hai hai
Idhar raj aur aman practice ground ki taraf ja rahe the
Aman _ raj bhai aap Kon se game me participate kar rahe ho
Raj _ are yar me to bas Vani ki vajah se is tournament me hissa le raha hu Varna mene to aaj Tak koi bhi game nahi khela hai
Dono bate karte hue ground me pahunch jate hai
Raj dekhta hai ki ek taraf sab ladke apni practice me lage huye hai vahi dusri taraf ladkiya bhi jamkar practice kar rahi thi
Par Raj ki Nazar sirf Vani par thi jo ki bade dhyan se ladkiyo ko practice kara rahi thi sports clothes me vo gajab kahar dhah rahi thi
Raj seedha Vani ki taraf chal deta hai tabhi use ek aawaj aati hai
" Oye udhar to ladkiyo ke jhund me kaha ja raha hai mard hai to hamare sath practice kar"
Note_ is bar chota update Diya par aage koshish karunga ki 2 din me ek bada update De saku