Update 9.
Thodi der baad anu didi jhadu laga kar chali gai to mai uthha aur bathroom chala gaya sabhi log taiyari me lage hue the aur phir nashta kar ke sabhi log koi 10 baje ladke ke shahar ke liye hamari scorpio se nikal gaye ab unhe aane me raat ke 8 baj hi jane wale the, bhabhi mere liye khana bhi bana kar rakh gai thi to ab mujhe ghar par koi kaam nahi tha to maine ghar ko lock kiya aur monu ke ghar ko nikal gaya.
Monu ke ghar pahuncha to dekha ki monu kahin bahar jane ki taiyari kar raha tha
"Kya baat hai bhai, kahin bahar ja raha hai kya?" maine puchha
"Haan yaar meri bua ji ki tabiyat kharab hai to papa aur mummy ko lekar bike se unke ghar ja raha hu" monu ne bataya
"Are yaar phir to mera aaj ka din hi kharab ho gaya" mai bola tabhi soni bhi wahan aa gai thi, aaj bhi uska chehra murjhaya hua tha lekin kal se kam hi tha
"Kyo kya hua..." monu ne puchha
"Are aaj mere ghar par bhi koi nahi hai sab log anu didi ke liye ladka dekhne gaye hue hai aur ghar me mai akela hi hu aur ghar wale raat tak hi wapas aa payenge aur ab tu bhi ja raha hai" ye baat maine soni ko dekhte hue kahi thi jo mujhe hi dekh rahi thi, meri baat sunkar usne nazre jhuka li
"Ab kya kare yaar mujhe jana hi padega kyonki papa ko bike chalani nahi aati" monu bola
"Kya hua beta, kya baat hai" tabhi monu ki mummy waha aati hui mujhse boli jinhe mai kaki kah kar bulata tha
"Kuchh nahi kaki mere ghar wale bahar gaye hue hai aur mai ghar par akela hi tha to monu ko bulane aaya tha lekin wo bhi bahar ja raha hai" mai bola
"Haan beta uski bua ki tabiyat kharab hai na to wo hame lekar ja raha hai, waise ab tera khana kon banayega" kaki boli
"Abhi to nashta kar liya hai aur bhukh bhi nahi hai dophar ko bana lunga kuchh" maine jan bujh kar jhut bola jabki mere liye to khana bana rakha tha
"Are are kaisi baat kar raha hai tu kyon banayega yahin kha kar chale jana, waise bhi soni akeli rahegi to tera sath ho jayega" kaki boli
Sala ye to sone pe suhaga ho gaya tha kahan to mai soni ko apne ghar bulana chahta tha jisme risk bhi thi kyonki gaon me sabhi ki nazre lagi hi rahti hai ki kon kahan aa ja raha hai lekin ab to kaki ne mujhe license de diya tha unke ghar rahne ka lekin mera ekdum se maan jana bhi galat tha
"Are nahi kaki mai bana lunga bechari didi ko bekar hi pareshani hogi" main bola
"Are isme kaisi pareshani wo khud ke liye to banayegi hi to char roti tere liye bhi daal degi, kyon soni..." Kaki boli
"mummy bhala mujhe kya pareshani hogi haan ye baat alag hai ki agar ye mere hath ka nahi khana chahta ho" soni muskurate hue boli
Mujhe soni se aisi ummid nahi thi ki wo aisa bolegi lekin shayad mai abhi tak uske bare me chup tha isiliye shayad wo bhi ab wapas normal ho rahi thi aur waise bhi use mujhse baat to karna hi tha
"Nahi nahi aisi baat nahi wo to tumhe pareshani hogi isiliye mai kah raha tha" mai bola
"Mujhe koi pareshani nahi hai aur haan mai khana jaldi khati hu isliye 12 baje tak aa hi jana" wo boli aur shararti muskan se mujhe dekhte hue wahan se chali gai
Idhar mere mann me bhi laddu foot rahe the aur ek alag hi romanch mujhe mehsus ho raha tha khair kuchh der me monu apne papa mummy ko lekar chala gaya aur mai bhi apne kheto ki taraf chala gaya aur 12 bajne ka intzaar karne laga.......