• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Rajkumari Samriddhi

LallanMia

Member
150
666
93
Teh dil se shukriya aap sabhi ka!
 
Last edited:

LallanMia

Member
150
666
93
Update 2

Jab Sultan Mir Changezi ka niyota Chowdhary rajya tak pahucha, Samriddhi ko apne kaano pe vishwas hi nahi hua! Yun kahiye ke use itni ghussa aayi ke uski dono ke dono haatheliya mutthi me tabdil ho gayi aur aankhon me aag hi aag nazar aa rahi thi!

Mantri : To Rajkumari sahiba, kya jawab hai aapka?

Samriddhi : Hargiz nahi! BILKUL NAHI! MIR CHANGEZI KI YEH HIMMAT? mujhe niyota de raha hai!!"

Mantri : Bura na maane to, ek baar phir soch lijiye, Sultan Changezi behad beraham insaan hai! Aapke pitaji ki jaan unhi ke vajah se gaya tha!

Samriddhi ne mutthi kaali aur apni Singhaasaan se uth khadi hui, usi dubli si haathon me bhi muscle ke nas saaf nazar aa rahe the!

Samriddhi : Aap unke mantri hai ya mere?? Jayiye aur doot ko saaf saaf kahiye ke mujhe kisi shatru ke rajya me davat ka niyota manzoor nahi! Yeh apmaan hai mere rajya ka!

Tabhi us samay ek awaaz aati hain...

"Rajkumari sahiba, aise anarth mat kijiye! Darkhwast hai aapse!"

Yeh awaaz sunte hi Samriddhi mud jaati hain aur dekhti hai ke kuch hi doori pe uski sabse khaas dasi Malvika khadi thi.

"Are Malvika tum? Vaha kyon khadi ho, nazdeek aao aur saaf saaf kaho!"

Samriddhi aur Malvika dono me saheli jaisi rishta zyada thi, kyonki bachpan se dono khel kud me badi hui thi aur isliye Malvika bhi is pure Mahal ke zyada se zyada affairs me hissa bhi leti thi.


imajjges

Ab doston, Malvika ki roop rang ki baat kare to, badi seedhi aur sadharan, lekin phir bhi akarshit dikhti hain. Vajan uski ekdam dubli thi, kyonki Samriddhi ke saath saath, voh bhi utna hi niyantran rakhti thi khaane peene ki aur upar se vyam varjish alag. Aalishan si saree aur blouse pehne, voh dasi kisi bhi soorat se dasi lagti hi nahi thi, balki pure rajya ko yeh malum tha ke Samriddhi ke jaise Malvika bhi koi Rajkumari se kam nahi thi.

Khair, ab vapas aate hai situation pe -

Samriddhi : yeh kaisi baat kar rahi thi tum Malvika?

Malvika : (nazdeek jaate huye) Gustaakhi maaf Rajkumari, lekin ek ghatna ke baare me shayad aapko kuch andaaza nahi!

Mantri bhi gaur se Malvika ke aur dekhne lag jaata hain aur Samriddhi bhi aankhen badi karti hain.

Malvika : Baat kuch teen saal pehle ki thi, jab aap in rajya ke mamlo se door rehte the. Ek baar Raziapur ke Raja Liakat Bashir aur uske patni ko niyota diya gaya tha, lekin pati ya patni me se, kisi ne kubul nahi kiya!

Samriddhi : to? phir kya hua? (kautohol hoti hui)

Malvika : Hua yeh ke ek raat unke haveli se behad khaufnak cheekh aayi aur jab rajya ke baaki log upar kaksh pe pahuche to Liakat Bashir aur unke patni, dono ke sar dhar se alag farsh par lete huye the!

Yeh sunke kuch pal ke liye Mantri aur khud Samriddhi chintit aur hairan, dono hone lage aur rajkumari ke aur dekhle Mantri bhi apne dil ki baat aage badha deta hai...

"Kripa kijiye Rajkumari! Agar aapko kuch ho gaya, to is Chowdhury rajya ka kya hoga? Hum sab kiske bharose rahenge? Zara gaur kijiyega is baat pe!"

Mantri ke aise kehne se, Samriddhi soch me aa gayi aur kabhi voh niche dekhti, to kabhi Mantri ke aur, to kabhi Malvika ke aur. Uski patli lambi ungliyan uski jabre par thapkiya deti gayi aur uski chote chote stan me bhi upar neech ho to rahi thi chinta ke maare, lekin bhala kisko pata lagta.

Kuch samay ke shaanti aur sthirtha ke baad, aakhirkar Samriddhi bol uthi...

"Yun to main ek jabaaz ladki hoon, lekin Mantriji, aap log mere liye bahut zyada maine rakhte hain. Shaheed hone me mujhe aitraaz nahi, lekin agar mere maut ke baad, aap logo ko kuch ho gaya, to main upar jaake bhi khud ko maaf nahi kar paungi!"

Is vakya ke baad, Mantriji aur Malvika, dono ne chain ki saans leli aur Rajkumari ke anusar, Mantriji khud bahaar jaake doot ko niyote ke kubul hone ki khabad de diya.


Kuch samay baad -

Raat ko, hamesha ke jaise ek sadharan se bhojan ke baad, Samriddhi apni kaksh me yaha se vaha aur vaha se yaha ghoomne lagi aur foran rukke, jaise hi ek taali bajayi, foran ek daasi vaha haazir hui aur nazren jhukke kehne lagi...

"Jee Rajkumari?"

"Maalvika ko mere kaksh me haazir kiya jaye, abhi isi vakt!"

Kuch hi der me Maalvika haazir hoti hai aur Samriddhi use adesh deti hain foran ke kaksh ke duar band kiya jaye. Ek natkhat si muskaan aati hai Malvika ki honton pe aur voh duar foran band kar leti hain. Phir, voh ahista ahista, apni pairo ke ghungroo ki khan khan samet, seedhe Samriddhi ke nikat khadi ho jaati hain.

"Kya Rajkumari ko kuch baat karni thi?"

Jaise hi Malvika ne yeh baat kahi, Samriddhi ki nazren uski honton pe gayi aur jis andaaz se dono hont hilte the, unme apne aap hi ras ghol jaati thi.


imjjages

"Haan, lekin baaton ko rehne do, bas mere paas hi reh jao!"

Samriddhi ki awaaz me ek natkhatpan thi aur Malvika yeh samajh jaati hain ke aakhir Rajkumari sahiba ke mann aur tann, dono me kya chal rahi hai. Isliye voh Samriddhi ke aur nazdeek aajati hain aur Samriddhi uski lachkile patli kamar pe haath lagate huye kehti hain....

"Uff, agar main koi purush hoti, to tumhari khair nahi thi Malvika, sach me, kya Meneka jaisi kaya hai tumhari!"

Malvika ki yoni mehez baaton se hi aksar pighalne lag jaati thi aur yon duar me nami mehsoos karti hui, voh bhi palke jhapke apni saheli ko dekhne lagi aur phir uski kamar pe haath lagaye kehti hain...

"Kayamat to aap hai Rajkumari, aisi badan hai ke hayeee.. main ladki hoke bhi pagal ho jaati hoon!"

Jab bhi aise mauke me Malvika tarif karti thi, tab tab Samriddhi ke jism me ek leher si daud jaati thi aur natija yeh thi ke ab voh apne honton ko ahista se apne sabse pyare daasi ke hont se mila deti hain, behad ahista se. Aur phir ahista ahista, dono ladkiya ek dusre ke ras pine me magan ho jaate hain


kiss-lesbian

Lekin phir kuch hi der me, ek awaaz Malvika ke kaano tak aati hai...

Malvika?? Malvika!"

Malvika ne gaur kiya ke voh kaksh me hi khadi thi aur apne hawas bhari soch me kuch der ke liye kho gayi thi. Use behad sharam aayi, lekin phir apne aap ko sthir karti hui, keh uthi...

"Uh....maafi chahta hu, aapne bulaya tha Rajkumari?"

Samriddhi ke liye yeh rahasya thi ke aakhir Malvika aksar mulaqat ke vakt, kahi kho kyo jaati thi! Lekin khair, uske liye abhi ka mudda zyada zaroori thi.

Samriddhi : Malvika, maine yeh niyota ek uddesh ke saath kubul kiya hai!

Malvika : uddesh?

Samriddhi : haan!

Malvika : kaisa uddesh?

Samriddhi : Main khud Mir Changezi ke rajya me jaake uska sarvanash karungi! Aur main chahti hoon ke tum bhi mere saath aao!

Malvika apni Rajkumari ka saath paake khush hoti hai aur sach kahe to uski badan ke kareeb rehne ke soch me uttejit bhi hoti hain, lekin phir normal bartav karti hui kehne lagi...

"Mm..main? Bhala iski zaroorat kya hai? Aap to akele hi sherni se kam nahi!"

Samriddhi apne khaas dasi ke kandhe pe ek dosti bhara haath rakhti hai aur kehti hai pyar se...

"Are pagli, lamba safar hai, baat karne ke liye koi to chahiye na!"

Samriddhi ke saath saath Malvika bhi khilkhila uthi.
 
Last edited:
Top