• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Rajkumari Samriddhi

LallanMia

Member
150
666
93
Aapke pyar aur samman ke liye teh dil se shukriya! Agla update jald prastuti lega :)
 

LallanMia

Member
150
666
93
Update 3

Agle hi din subah subah ek shandaar palki tayyar ki gayi, jiske andar Samriddhi aur Malvika dono pravesh karte hain aur kuch hi pal ke andar hi andar palki ko uthaya jaata hain aur manzil ki aur ravana kiya jaata hain.


imayyyges

Samriddhi ke anusar palki ke andar, dono aur se ek choti si khidki thi, jahaan se bahaar ka nazara dekha jaa sakta tha. Jaise jaise palki chalti gayi, bahaar ke nazaro me se khet vagera ke bhi darshan huye aur unhe dekhke Samriddhi bhavuk hoke, apni pallu se nam aankhen pochne lagi.


imnnnages

Is harkat pe Malvika gaur karti hai aur voh foran puch leti hain..

"Aap ro rahi hai Rajkumari?"

Aankhen saaf karke Samriddhi keh uthi, apni koyal jaisi awaaz me...

"Nahi..bas....in kheto ko dekhkar, pitaji yaad aagayi! Bachpan me kheto me jab unke kandho pe bethke ghoomti thi! Tab ek alag hi maza aata tha!"

Samriddhi ke liye Malvika ki dil Beth jaati hain aur voh apni jagah se uthke, seedhe uske baju bethke, kandho ko is tarah sehlati hain, ke Samriddhi khud aur pighalne lagi aur apni sar seedhe apne saheli saman dasi ke kandhe par rakh leti hain.

Dusre aur, kandho ko sehlate sehlate, kab Malvika ki haath niche haath tak jaaane lagi, yeh use khud pata nahi chali, lekin ek baar jab hatheli vaha pahuch gayi thi, ab Bina sehlaye, voh kaise rehti?


IMG-20220826-184049

Lekin phir Samriddhi ke vapas sthir hote hi, Malvika bhi sthir hoke beth jaati hai aur bina kuch kahe, bas apne paas wale khidki ke bahar ke nazare dekhne lagi. Ahista ahista, samay badhta gaya aur Mir Changezi ke rajya me palki pravesh hone laga. Sach me, ekdam aalishan rajya tha unka. Nazare kuch aise the, ke dekhne wale dekhte reh jaye.

Samriddhi ne gaur kiya ke saamne ka darwaza behad lamba aur chauda tha. Kuch is tarah ke, maano koi swarg ka raasta ho! Khair, aakhirkar us duar ko paar karti hui, palki andar tak jaati hain aur kuch adbhut nazaro pe dono Malvika aur Samriddhi gaur karte hain. Sabse pehli baat to get thi ke rajya me purush to sadharan se the, lekin unke saath ek ek mahila na keval sudol the, balki jismani taur pe behad chaudi aur gadraye huye the.



imagggges

"Lagta hai yaha ke mahilaye behad khaate peete hai!"

Malvika aankhen chaudaye dekhne lagi aur Samriddhi to bas itne zyada gadrayepan ko dekhte hi ghinn me aane lagi. Voh khud to thi ekdam niyantrit patli dubli lekin sakht jism ki malkin thi, aur use aksar gadraye huye mahilao se nafrat thi, ya yun kahiye ke shayad unke jismo ke banavat uske hisab se alag thi.

Khair, aur aage aage jaakar, aakhirkar palki baag bagiche wale sthan pe pahuchte hai, jahan dono ladkiya phir gaur karte hai ke ped par latke huye ek ek fal kaafi bade bade the!


imrttages imdffages

"Yeh saare ke saare fal kuch bade bade nahi lagte tumhe Malvika?"

Samriddhi ek yodha ki tarah nahi, balki ek kautohol balika ki tarah yaha se vaha dekhke, puchne lagi. Jawab me Malvika ne sach hi kaha "haan Rajkumari bilkul!" kyonki aise bade bade aakar ke fal to voh bhi pehli hi baar dekh rahi thi.

Khair yunhi yaha se vaha jaate jaate, aakhirkar Mir Changezi ke bhavya Mahal ke duar pe aake palki ruk jaati hain aur niche utarte hi, Malvika aur Samriddhi dono yeh gaur karti hai ke ek mantri ke poshak me ek aadmi vaha pe pehle se hi khada hua tha aur nazre milte hi, voh jhukke, bade adab se kehta hain....

"Rajkuma Samriddhi ko teh dil se main swagat karta hoon, aayiye mere saath, Sultan aapke raha dekh rahe hain kaafi samay se!"

Itna kehke voh Mantri aage aage jaane laga aur pichhe pichhe dono ladkiyan jaane lagi. Jaise jaise Mir Ali ke ke Mahal ke duar aage aage aata gaya, vaise vaise Samriddh apni mutthi kas leti hain, yeh sochti hui.....

"Tumne mujhe davat nahi di hai Mir Changezi! Apne maut ko davat di hai!"

 
  • Love
Reactions: Sauravb
Top