Neeta - gaon ke iss jaahil aur gawaar logo ke saath mai rahana nahi chahati..
Gagan- muje bhi aapne job chodake iss gaanv mai rahane ka koi shook nahi hai.
Neeta- fir kyon rah rahe ho aap
Gagan-Pitaji ki iccha poori kar raha hun main..aur agar tumhe itni takleef ho rahi to chali jao yaha se .. mai akela shadi karav lunga.. tumari koi jaroorat nahi hai..
Neeta- haa pata hai.. akele hi shadi karvani thi to muje kyon saath mai leke aaye..
Gagn- wo maa ne bola tha.. iss liye.. leke aaya tume..
Neeta- kya kismet paye hai maine .. naukro ki shadi karvane ke liye delhi se yaha chote se gaanvv mai aana pad raha hai..
Uspar Gagan kahta hai. .
Gagan- babuji ke aakhari samay mai raju aur rani ne bahut seva kit hi babuji ki.. aur babuji ke baad hamara ye farz banata hai ki hum babuji ki aakhari ichha puri kare …
Neeta- haa pata hai.. babuji ke naam pe ye log aapko aur aapke maa ko emotional blackmail kar rahe hai... . aap ko Yeh log bewakoof bana rahe hai aur apna kharca aapse karava rahe hai..hamari zameen bhi in logo ne hathya rakhi hai. .uske baare mein aap kyun nahi poochte raju se. ..
Neeta-Raju ne sara hisaab maa ko samjha diya hai ..woh jhooth nahi bolta hai aur jitna munafa use wahan kheti baadi karke kamata. . woh bakaya jake maa ko deta hai . .aur tum kya chahti ho ki shaher ki naukri chhod ke yahan kheti baadi karu mai..
Neeta- To zameen ko bech kyon nahi dete. ..
Gagan- Raju ke poore parivaar ne use sambhala hai aur bas kuch paison ke liye use bech dun ..taki woh log bhooke mar jaye. ..
Neeta- hame kya karna hai wo bhuke mare ya jinda rahe..
Gagan-tumhe zara bhi idea nahi hai ki tum kya kah rahi ho. .bina hamare yaha hote hui wo bechara har mahina paisa bhi deta hai aur khet ki zimmedari bhi nibahata hai.. aaj ke jamane mai itana barose wala aadmi dusara koi nahi milega.. dusara koi hota to aada maal khud hi bech deta.. aur itana karke wo maa ki dekh bhaal bhi karta hai ..tum se to maa ki dekhbhaal bhi nahi hoti..
Ye baat sunake neeta ko pahale se jada gussa aata hai .. wo gusse mai kahti hai..
Neeta- Jaise bewakaoof aap waise hi aapki maa.. aapko kya pata ye aada maal bech raha hai ya nahi..
Gagan gusse mai kahta hai..
Gagan- tu chup kar.. maa ko kuch mat bol
Neeta- agar aap ko itna hi shauk tha naukaro ki shadi karane ka to aap aur aapki budhhe maa milke karate.. muje kyon yaha laya tha..
Iss par gagan kahta hai..
Gagan- aisi bat nahi hai. .in garib logo ki shadi karvaoge to dua hi milegi tume..
Neeta – muje nahi chahiye inn ganvar logo ki dua..yaha ke zahil gawar log kaise bartav kar rahe hai ye dekha na aapne.. waise iss mai aap ka kya jayega.. inzam to mujpar hi aayega na.. mai kitane battchalan hu .. ye aap saare gaanv ke samane bataoge..
Gagan- gaanv nahi tha waha sirf mukhiya tha waha..
Neeta- wo sala budhha mukhiya sare gaanv ko bolega..
Isspar mukhiya ko neeta jo gali dete hai uspar gagan hasata hai..
Neeta- aap ko mere baato se hasi aa rahi hai na… ..
Gagan hasate hui kahata hai
Gagan- tumane mukhiya ko jo gali di us wajah se hasi chuut gayi.. waise wo aadmi waisa nahi hai..wo achha aadmi hai..
Neeta- sab ache hai mai akele hi battchalan hu.. ek din mai aapko pata chal gaya wo kitana achha hai aur mai nahi pata chali itane dino mai.. muje sare aam jalil kiya.. mujpe shak kiya.. muje battchalan sabit kiya ..
Gagan- neeta.. maine tume kabhi bhi battachalan nahi kaha.. tum khud hi kah rahi ho..
Neeta- aap ne muj par shak nahi kiya ..
Gagan – nahi kiya..
Neeta- fir kyon kaha.. ki tum kyon us bevade se baate kar rahe the.. tum baate kar rahi thi iss wajah se ye sab hua .. aisa kaha na aapne
Gagan haa mai garden hilata hai..
Neeta- iska matlab yahi hai ki aap ka muj par barosa nahi hai.. mai kisi bhi aadmi se baate karte hu.. mere koi izzat nahi hai.. mai aap ke peet ke piche gulchaare udati hu.. aisaa hi matlab nikalata aap ke baato ka..
Gagan- neeta tum baat ka kaha se kaha le jari ho..maine aise kab kaha .. mai to sirf itana kah raha tha ki…
Uske bolane se pahale hi neeta bol padati hai..
Neeta- aap muje janate ho na.. ( rote hui kahte hai ) mai aise hu kya.. delhi mai mai kabhi kisi se baat bhi nahi karti.. aur yaha iss ganvar pikkad logo se kaise ye sab karunge… wo budhhi waha allhabad mai baitkar aaram kar rahi hai.. muje yaha iss ganvar logo ke beech bhej diya.. kamini kahi ki…
neeta ke mooh se aapne maa ke bare mai aisi baatein ko sunkar gagan ka dimag ghoom jata hain.....usne kabhi neeta se aisi baateion ki umeed nahin ki thi.......
gagan - kya kahan tumne..... maa ko gali di..zara fir se kehna.....
neeta- kamini.. budhhii…
ye baat sun ke gaagn ka chehra gusse se laal padh jata hain tabhi wo kaskar ek zor ka tamacha neeta ke galon par jadh deta hain......neeta ka chehare par gagan ke paanchon ungliyan chaap jati hain........aur uske aankhon se aansoon chalak parate hain ..........................
gagan - tumhein zara bhi sharam nahin aayi mujhse aise baatein kehte hue....... mere maa ko mere samane gali de rahe ho.. aaj tum mere maa ke bare mein aisa kaise soch sakati ho ........ tum bhala aise baat apne munn mein kaise laa sakti ho......aakhir kya ho gaya hain tumhein.......
neeta is waqt khamosh thi......uske aankhon se aabh bhi aansoon beh rahein the......tabhi gagan uske nazdeek jata hain aur apna ek haath aage badhakar neeta ke aankhon se behte aansoon pochne lagta hain......neeta gagan ke haathon ko gusse se jhatak deti hain......
neeta - maine kaha door raho mujhse....koi zaroorat nahin hain aapko mujhse jhooti humdardi jatane ki......aap ne sirf apne fayde ke liye mujhse shadi ki hain.....jab aap ke pass mere liye waqt hi nahin tha to kya zaroorat thi mujhse shadi karne ki.....shuru shuru mein to aapne mujhpar bahut pyaar aata tha....aab kya hua ......kahan gaye wo kasmein vaade jo aapne pehli raat mein mujhse kiye the......main sab janti hoon sare mard ek jaise hote hain.....mujhe to lagta hain ki aab aap ka intrest mujhse khatam ho gaya hain......
gagan- ye tum kya bol rahi ho neeta......tum be-wajah baat ko badha rahi ho......
Neeta - in logo ke sath rahke aapka bhi deemag kharab ho gaya hai ..Ek to chhutti itni mushkil se milati hai aur woh bhi in logo ke shadi karvane mein waste karva di aapne ..
Gagan ka koi zaroori project chal raha tha.. iss wajah se usko jada chuttiya nahi milati thi..aab usko 4 -5 din ki chhuti mili thi to gagan ne neeta ko yaha le aaya iss wajah se neeta dukhi thi.. uska mann tha ki chutti mai kaha ghumane jaye.. par gagan ne mana kar diya tha..
Gagan- neeta tum janati ho mera ek project chal raha hai.. mere liye mere career ke liye ye project kitana important hai ye tum ache se janati ho..