Xabhi
"Injoy Everything In Limits"
- 10,210
- 42,632
- 174
Update 35
Attack, Bell The Necromancer Awake.
1 Year ke baad.
Raj aur uske friends khud apni training aur academic life ko kaafi importance dene lag gaye the. Har koi apne apne skills ko master karne mei laga hua tha. Physical training ke saath satah sabhi apme mind ko bhi sharp aur strong banana mei lage hue the. Hera bhi Ekant ko har vo chiz sikha rahi thi jo abhi usse uski growth mei help kar sakti thi. Koi bhi ab jaldi se level 3 par breakthrough nahi karna chahta tha. Raj ke saath har koi apne foundation ko consolidate karna chahte the. Isse unhe aage chal kar kaafi benefits ho sakte the.
Har din ke saath yeh strong hone ki feeling Raj ke saath sabhi ko kaafi achha feel karwa rahi thi.
Aaj Bell ke incident ko hue pura 1 year ho gaya tha. Maharaj Shekhar aur Senapati Dipak ko MI3 ne is matter se related kaafi saari baato ki report di gayi thi. Saath hi unhone ek specific area ko dhund nikaal liya tha jaha se Dark Energy sab se zyada release aur fluctuate ho rahi thi.
Maharaj Shekhar aur Senapati Dipak ko yeh samajhte der nahi lagi ke yahi vo jagah ho sakti hai jaha par Bell Mist Basin mei chupa hua ho. Ab bas Maharaj Shekhar aur Senapati Dipak ko ek safe plan banana ki zarurat thi.
Wahi ek aur baat un dono ko MI3 ki report mei pata chali thi ke jab vo northern side ke us mysterious forest ki taraf gaye the tab unhe kaafi saari anomalies dikhi. Lekin sab se badi anomaly yeh thi ke jaha se vo mysterious forest start hota hai uske border par har tarah ek beasts jaise us mysterious forest ko guard kar rahe ho. Par usse bhi ek badi hi ajeeb baat MI3 ko yeh pata chali ke us mysterious forest ke border par ek invisible barrier hai jo itna strong hai ke usse koi bhi break nahi kar paya hai.
MI3 ne unhe pata hone wali har ek trick ko use kar ke dekha tha us invisible barrier ko break karne ke liye lekin unhe har baar fail ho hona pada.
Even vo kis type le magic spell se yeh invisible barrier cast hua hai yeh bhi pata nahi chal paya tha.
In sabhi baato ne Maharaj Shekhar aur Senapati Dipak ko kaafi shock kar diya tha. Even Raj se Senapati Dipak ne in sabhi baato par baat bhi ki thi lekin usne bhi unhe yahi kaha ke sahi time aane par vo unhe sab kuch bata dega par abhi yeh baat karne ke liye sahi time nahi hai.
Is 1 year mei Raj ne apne practice mei bow and arrow ko bhi add kar liya tha aur uski bhi practice karne lag gaya tha.
Aaj Raj ek open area mei apne bow aur arrows ke saath aim ki practice kar raha tha. Uske master ne hawa mei 4 stones ko throw kiya. Wahi yeh dekh kar Raj ne ek ke baad ek arrows ko apne bow se shoot kiya.
Vo 4 arrows itni speed ke saath shoot hue the ke unhone apne piche ek halki light trail chod di thi aur aage badh kar unhone un sabhi 4 stones ko destroy kar diya tha.
Yeh dekh kar Raj ke master ne zor se haste hue kaha.
“Kaafi achhe.”
Wahi Raj ne apne bow ko side mei rakha.
Wahi Raj ke master chalte hue uski tarah aaye aur unhone Raj ko dekhte hue kaha.
“Raj tumne already mental segment ko master kar liya hai. Tumne toh mein ne create ki hui Quadshot Skill ko bhi quickly master kar liya hai. Ab archery mei mein tumhe aur kuch nahi sikha sakta hu. Ab tumhe sirf continuously khud ko train karte rehna hai aur apne experience ko build up karna hai. Jaise jaise tumhari strength badhti jaayegi waise waise tum aur bhi powerful arrows ko shoot kar paoge. Ab yeh training courtyard tumhare liye kaafi small hai. Ab tumhe ek large aur expansive place ki jagah ki zarurat hai jaha par tum 1,2,3 yaa phir 4 km ke distance se bhi arrow ko shoot kar sako. Jitne long distance par tumhe arrow ko shoot karna hua utna hi tumhe wind aur environment ki judgement aati jayegi.”
Raj-Mein samajh gaya master.
Archery mei usse practice karne wale ko extremely precise hona padta hai. Issi liye Firmoon Universe mei bhi zyada archers nahi the aur jitney bhi the vo sabhi high level masters the aur ek se badh kar ek the.
Archery mei bow string ko pull karne ki strength, arrow ki trajectory aur gravity ka downward pull in sabhi baato ko consider karna padta tha. Wahi same time par wind ke speed ko bhi factor karna padta tha.
Waise toh yeh sab kuch complicated tha lekin jab tak us person ko wind ki strength aur direction ke bareemei kuch sense ho toh vo person bina aim kiye bhi apne arrow ko shoot kar sakta tha. Aisa is liye kyo ki repetitive training se us person ko yeh pata chal chuka rehta hai ke usse koun se angle se aur kaise apne arrow ko shoot karna hai. At least abhi ke Raj ke liye uske 500 meters ke range mei uske arrow se small insect bhi nahi bach sakte the.
Lekin yeh enough nahi tha.
Jaise jaise Raj ki strength badhti jaayegi waise waise uske arrows bhi powerful hote jayenge. Kuch high level master archers ke arrows kaafi kilometres tak travel kar sakte the vo bhi kaafi force ke saath. Jitna distance great hoga utna hi difficult hota tha arrow ko accurately shoot karna, kyo ki iske liye kaafi zyada training aur experience ki zarurat thi.
Raj ke masters ne usse dekhte hue kaha.
“Raj ab kal se mein yaha nahi aane wala hu. Meri ab tak ki life mei tum mere sab se talented student the jise mein ne archery sikhayi hai. Is liye apne talent ko waste mat jaane dena. Mein sure hu ke future mei tum definitely most terrifyingly godly archer banoge jo is planet par hoga.”
Issi ke saath Raj ki archery ki training complete ho gayi thi aur usse bas khud ko train karna tha.
Aaj Maharaj Shekhar aur Senapati Dipak Royal Palace ke court hall mei baith kar kuch baato par discussion kar rahe the. Tabhi Mist Basin mei kuch hua.
Aaj pure 1 year ke baad Shade ke mage tower mei kaafi strong Dark Energy fluctuate ho rahi thi.
Shade apni jagah par khada hua aur usne palat kar us pond ko dekha jaha se yeh Dark Energy fluctuate ho rahi thi. Tabhi us pond mei se ek dark violet colour ka light pillar upar aasman mei shoot hua aur saath hi us wajah se aasman mei lightning hone lag gayi thi.
Tabhi us light pillar mei se kisi ke zor zor se hasne ki aawaz aayi.
“Aakhir kaar mein ne immortality paa li. Ab mein puri tarah se invincible aur immortal hu. Koi bhi mujhe nahi maar sakta hai. Even Magic Academy ke Dean bhi nahi aur naa hi Swarndesh ke Maharaja aur Senapati bhi nahi. Magician Shade aap sach mei mere liye ek hope ban kar aaye the.”
Yeh koi aur nahi balki Bell tha. Uska transformation complete ho gaya tha aur ab vo puri tarah se ek Necromancer ban gaya tha. Uski dikhne ki age abhi bhi waisi hi old thi par uske bones aur uske flesh Dark Energy ki wajah se kaafi strong aur sturdy ho gaye the. Ab uske body par koi bhi normal spells se attack nahi kiya jaa sakta tha aur naa hi uspar kisi bhi normal weapons ka effect ho sakta tha.
Shade ne Bell ko dekha aur usse kaha.
“Bell tumahre is transformation ke bich kaafi kuch hua hai. Tumhari us Magic Academy ke Dean aur Swarndesh ke Maharaj aur Senapati ne milkar kaafi koshish ki hai is area ke baremei pata lagane ke liye aur par abhi tak unhe is jagah ke baremei pata nahi chal paya hai. Lekin jaisi hamari deal hui thi waise mein ne tumhe ab immortal bana diya hai ab tum mujhe Magic Academy ki har ek detail ke baremei bataoge.”
Bell yeh sunkar kuch soch mei pad gaya. Kyo ki Shade ne uske saath yeh deal karne se pehle hi usse kaha tha ke usse immortal banana ke baad Bell ko Magic Academy ke baremei jitni bhi detail pata hogi vo sab Shade ko batani hogi.
Pehel toh Bell kuch der sochta raha par phir jab usse yaad aaya ke ab usse kisi se bhi koi danger nahi hai toh usne apne sir ko jhatak kar Shade ke samne aaya aur usne usse dekhte hue kaha.
“Thik hai.”
Yeh keh kar Bell Magic Academy ki har ek information puri detail ke saath batane lag gaya.
Wahi yaha Royal Palace mei jab Bell us pond mei se bahar aaya tha tab Maharaj Shekhar aur Senapati Dipak dono ne uske Dark Energy ko sense kar liya tha aur us wajah se unke face par serious expressions aa gaye the.
M.S-Lagta hai yeh Bell hi hai. Hame jaldi se Dean se milkar baat karni hogi. Ab jab vo itna strong ho gaya hai toh ham ruk nahi sakte hai. Hame apni teams ko Mist Basin mei bhejna hi hoga.
Yeh keh kar Maharaj Shekhar ne clap kya aur unke aisa karte hi hall ke bahar se ek warrior aaya aur usne Maharaj aur Senapati ko salute kiya.
M.S-Jaao aur Magic Academy mei jaa kar Dean ke liye yeh message do ko hame aur Senapati Dipak ko unke saath urgent meeting karni hai. Matter kaafi serious hai.
“Jaisa aap kahe maharaj.”
Yeh keh kar us warrior ne phir se dono ko salute kiya aur waha se nikal kar Magic Academy ke liye chala gaya.
Yaha Magic Academy mei bhi Dean ne Bell ki Dark Energy ko sense kar liya tha aur uske face ke expressions bhi kuch serious ho gaye the.
Par sirf Dean hi nahi balki almost jiski bhi Mana ko sense karne ki ability normal se high thi un sabhi ko Bell ki Dark Energy feel hui thi.
Hera bhi jo apne mage tower mei ek book ko read kar rahi thi tab usse Bell ki Dark Energy feel hui thi. Usse achhe se pata tha ke yeh Dark Energy kaha se aa rahi hai aur kis type ki hai.
Hera jaldi se apne mage tower ke terrace par aayi aur forest ki taraf dekhne lag gayi.
Kaafi distance par forest ek upar kaafi saare dark clouds jama hue the aur waha par heavily lightning ho rahi thi.
Us jagah ko Hera kaafi serious ho kar dekh rahi thi. Tabhi uski nazar apne right side par gayi jaha par Dean bhi apne mage tower ke terrace par khade ho kar forest ke ussi part ko dekh rahe the.
Unhone ek gehri saans chodi aur vo phir se apne mage tower ke andar chale gaye. Unhe Maharaj Shekhar ka message mil gaya tha aur vo jaldi hi waha par jaane wale the.
Jaldi hi pure Magic Academy ko yeh notice aayi ke 2-3 din ke liye academy ki sabhi activities close hone wali thi.
Sabhi is baat par kaafi surprise hue the ke suddenly yeh notice kyo aayi. Par sirf Magic Academy ke high officials members ko hi pata tha ke yeh notice kyo aayi hogi.
Jaha students milkar apne apne plan kar rahe the wahi Raj aur uske friends Vikarm’s courtyard mei aa kar baith gaye the aur sabhi ke face ke expressions kaafi serious the.
Raj ne sabhi ko dekha aur kaha.
Raj-Kya kuch der pehle tum sabhi ne us Dark Energy ko feel kiya tha ?
Abhay-Haan aur vo itne distance par bhi itni strong feel ho rahi thi iska yahi meaning hai ke vo Bell se hi release hui hai.
Aditya-Mujhe bhi aisa hi lagta hai. Shayad issi liye Dean ne yeh 2-3 din ke liye notice nikaali hogi. Mein abhi Royal Palace ke liye nikalta hu aur sab kuch pata karta hu. Ho naa ho Pitaji kuch naa kuch plan karne wale honge.
Ekant-Par is sab mei ham kya kar sakte hai. Bell ek level 6 magician hai aur ab toh vo Dark Energy ka practician hai. Aise mei vo aur bhi dangerous hoga. Hame kisi bhi plan ke bina nahi jana chahiye.
Tabhi Roshni jo yeh sab soon rahi thi usne kaha.
Roshni-Dark Energy ko meri Devil Energy aur Pure Energy hi nullify kar sakti hai. Par yeh Dark Energy kaafi dense aur strong hai. Even meri Devil Energy bhi isse cancel nahi kar sakti hai. Hame kisi aise Mage yaa phir Mage Warrior ki zarurat hai jo Pure Energy ko is level par release kar sake jo itni dense aur strong Dark Energy ko cancel kar sake. Par kya hamari academy mei aisa koi Mage yaa phir Mage Warrior hai ?
Riya-Lagta hai Dean hi Bell ko rok sakte hai yaa phir Shekhar uncle aur Dipak uncle. Mujhe sirf yeh 3 hi log aise dikh rahe hai jo us Bell ko rok sakte hai.
Raj-Hmm. Par hame bhi ready rehna hoga.
Raj ki baat sunkar sabhi ne apne sir ko haan mei hilaya.
Uske baad Aditya jaldi se Royal Palace ke liye nikal gaya aur Raj aur baki sabhi bhi apne apne ghar ke liye chale gaye.
Raj ab kaafi serious ho gaya tha.
Yaha Royal Palace mei court hall mei Maharaj Shekhar, Senapati Dipak aur Dean tino milkar Mist Basin mei jaa kar Bell par kaise attack karna hai is sab ke baremei discuss kar rahe the. Wahi Maharaj Shekhar ne MI3 ke members ko bhi forest ke aaspas ke area par nazar rakhne ke liye kaha tha. Maharaj Shekhar is baar puri tarah se ready rehna chahte the.
Jaldi hi Aditya Royal Palace pohoch gaya tha. Waha par usse yeh pata chala ke MaharaJ Shekhar aur Senapati Dipak ke saath Dean kisi meeting mei hai.
Aditya ne khud ko jaldi se royal attire mei change kiya aur court hall ki taraf chala gaya.
Abhi Maharaj Shekhar ke saath Senapati Dipak aur Dean khade the. Aditya ko waha aate hue dekh kar sabhi ruk gaye aur usse aate hue dekhne lag gaye.
M.S-Aditya abhi ham kaafi serious matter par baat kar rahe hai.
Aditya-Mujhe pata hai pitaji lekin is sab se mein bhi dur nahi reh sakta hu. Kyo yeh aap bhi jante hai. Ek prince hone ki wajah se yeh sab meri bhi responsibilities hai.
Abhi Aditya ne jo baat kahi thi vo puri tarah se sahi thi yeh vo tino bhi jaante the. Is liye kisi ne bhi uski baat ko mana nahi kiya.
Is par Dean ne Aditya ko dekhte hue kaha.
D-Prince Aditya aap ko pata hai Bell ka matter kitna serious hai. Usse hamari Magic Academy ke kaafi saare secrete ke baremei pata hai jo bahar kisi bhi tarah se nahi jaane chahiye. Is liye ab Bell ko yaa toh capture karna hoga yaa phir usse puri tarah se destroy kar dena hoga.
Abhi Dean aage kuch kehne jaane hi wale the ke tabhi ek warrior court hall mei bhagte hue aaya aur usne sabhi ko salute karte hue kaha.
“Maharaj ek urgent letter aaya hai Flamingo Mercenary Band ki taraf se . Unhone isse urgently aap ko dene ke liye kaha tha.”
Yeh keh kar usne pass mei khade ek ladke ko vo letter diya jo us ladke ne aa kar Maharaj Shekhar ke haato mei diya.
Us letter ko open kar ke Maharaj Read kar rahe the aur jaise jaise us letter ko read kar rahe the uske facial expressions kaafi serious hote jaa rahe the. Senapati Dipak, Dean aur Aditya yeh sab kuch notice kar rahe the. Jab Maharaj Shekhar ne letter ko puri tarah se read kiya tab unhone ek gehri saans chodi.
S.D-Maharaj kya likha hai is letter mei ?
M.S-Flamingo Mercenary Band ki report bheji hai. Unhone kuch magical beasts ko River Tower aur uske aaspas ke kuch towns ki taraf badhte hue dekha hai. Unhe assistance ki zarurat hai. Wahi Mist Basin ke andar bhi kaafi kuch hone lag gaya hai.
D-Lagta hai yeh sab Bell hi kar raha hai. Par mein yeh pata nahi laga paa raha hu ke vo yeh sab kar ke kya hasil karna chahta hai. Usse yeh pata hai ke Maharaj aur Senapati dono bhi uske against is battle mei aate hai toh vo buri tarah se haar sakta hai. Lekin sab ke baremei pata hone ke baad bhi usne yeh decision liya.
S.D-Par mujhe lag raha hai ke is sab mei Bell akela nahi hai. Yaha par hame kaafi saari baato ke baremei abhi tak puri tarah se pata nahi chal paya hai ke ek Bell jaisa ek high level magician Dark Magic ki practice kyo karne lag gaya. Zarur vo kisi ki baato ke influence mei aaya hoga.
Aditya side mei khade reh kar sab kuch soon raha tha. Usse yeh pata tha ke abhi uske baat karne ke sahi time nahi hai.
Maharaj Shekhar ne sabhi baato ko soch kar clap kiya aur unke clap ko sunkar ek warrior andar aaya.
M.S-Yeh letter jaa kar River Town mei stationed jo Mage Warriors ki unit hai unhe do. Baki sab vo samajh jayenge.
Yeh keh kar Maharaj Shekhar ne us letter ko pass kiya aur usse lekar vo warrior River Town ki taraf chala gaya.
Maharaj Shekhar ne Senapati Dipak aur Dean ko dekh kar kaha.
M.S-Hame full proof plan ki zarurat hai. Ham kal hi Mist Bain par ek medium level Mage aur Mage Warriors ki unit ke saath attack karne wale hai.
Tabhi Aditya ne kaha.
Aditya-Pitaji is mei mein bhi jana chahunga aur mere sabhi friends bhi.
M.S-Nahi, bilkul bhi nahi. Bell ke level 6 magician hai aur ab vo Dark Magic ki practice karne ke baad aur bhi strong ho gaya hoga. Aise mein tum mei se kisi ko bhi waha jaane ki permission nahi de sakta hu.
Aditya-Par pitaji…
Abhi Aditya apna point aage rakhne hi wala tha ke Maharaj Shekhar ne kaha.
M.S-Mein janta hu ke tum kya kehna chahte ho aur us baat mein aur ham sabhi tum sabhi young generation par proud bhi feel karte hai lekin is baar nahi Aditya. Agar tumhari maa ko yeh baat pata chali ke mein ne tumhe itne dangerous mission par jaane ki permission di hai toh tum soch sakte ho ke vo kitna gussa ho sakti hai.
Wahi in sabhi ke bich Dean kuch soch rahe the. Tabhi unhone Maharaj ko dekhte hue kaha.
D-Well ek kaam kar sakte hai. Mein in sabhi ke saath Hera ko appoint karta hu aur in sabhi ko piche ki taraf hi rehne ke liye kahunga. Isse inhe ek battle ka experience bhi mil jayega aur yeh sabhi apne mind ko bhi grow kar paynege.
Dean ki baat sunkar Maharaj Shekhar aur Senapati Dipak dono bhi kuch der sochne lag gaye aur phir Maharaj Shekhar ne kaha.
M.S-Thik hai. Par tum mein se koi bhi frontline par nahi jayega. Tum support ki tarah piche hi rahoge.
Aditya-Thik hai.
Aditya bhi is baat ke aage kuch nahi keh sakta tha after all usse yeh matter kitna serious hai yeh pata tha.
Apne room mei aa kar Aditya ne ek message crystal ko break kiya aur issi ke saath uske sabhi friends ko uska message mil gaya tha.
Jab Raj ko yeh message mila tab vo deep meditation mei tha. Usne us message ko sunkar phir se apne meditation ko continue kiya.
Agle din sabhi ready the. Hera pehle hi forest ki border par pohoch gayi thi Ekant aur Roshni ke saath. Wahi jaldi hi Raj aur baki sabhi bhi waha aa gaye the.
Is baar Raj ne apne saath apna bow bhi lekar aaya tha.
Hera ne sabhi ko unke plan ke baremei samjhaya aur sabhi ne uski baat ko sunkar apne sir ko haan mei hilaya.
1 saal ka Samay beet gya, is ek saal me kya kya nhi hua, Raj ne growth ki Vahi baki sabhi ne bhi apni practice se apne body or mind ko or bhi jyada mehnat karke train kiya hai...
Raj ne to archar ki training bhi li hai or uske guru ne jitna unhe aata tha Sara kuchh sikha diya hai, sath hi yah salah bhi Di hai ki Vo apni training continue rakhe or dheere dheere distance ko badhane pr kaam Kare jisse uski yah skill godly strong ho jayegi...
Bell ko hosh aa chuka hai or uski energy ko Lagbhag sabhi ne mahsus kiya hai Itni dur se, maharaj senapati or dean ne turant us threat ko niyantran karne ya khatm karne ki planning ki hai vahi Raj ne apne sabhi dosto ko samjha diya hai ki kya karna hai or Aditya ne maharaj se attack team ko join karne ki permission bhi le li hai Jisme maharaj NE unhe force ko madad support ke rup me karne ka kaha hai, ab dekhte hai Raj ki yah team vha sirf support karti hai Ya kuchh or...
Machinery band ne bhi creatures threat ganvo ki taraf badhta dekh madad karne ke liye msg bhej diya hai maharaj ke pass or unhe Uski manjoori bhi mil chuki hai...
Bell ne us shed ko acadamy ke raaj btane suru kr diye hai ab Dekhte hai roshni ki btai hui baat ko Raj ne samajh liya hai Ya nhi, sirf Vahi ek aisa hai jo pure energy ko dharan karta hai or kafi dence bhi hai Uski energy...
Attack ke liye team ready ho chuki hai ab bs akraman karne ki der hai...
Superb update bhai sandar jabarjast lajvab bhai with awesome writing skills