Update 5
Rescuing Annie.
Jab Ardivan ne dekha ke uske samne jo tino dark elf assassins hai vo maare jaa chuke hai tab usne jaldi se first aid kit ko nikaala aur jaldi se apne injuries ko usse cover karne lag gaya. Yeh sab karne mei vo yeh bhi bhul gaya tha ke kuch der pehle uski kisi ne help ki thi.
Jab Ardivan ne apne injuries ko puri tarah se cover kar liya tab usne apne sir ko tha kar samne ki taraf dekha. Usse apne samne ek ladka dikh raha tha jisne abhi kaafi normal clothes pehne hue the. Us gali mei andhera hone ki wajah se Ardivan ko sahi se us ladke ka face nahi dikh paa raha tha. Par Ardivan ko yeh dekh kar achha laga tha ke usse kisi human ne help ki hai.
Raj chalte hue Ardivan ke samne aaya aur uske body ko dekhne lag gaya.
Abhi bhi Ardivan ke body par kahi jagaho par small injuries bani hui thi. Lekin vo utni serious nahi thi.
Abhi Raj kuch kehne hi wala tha ke tabhi usse apne piche kuch sense hua.
Koi unki hi gali ki taraf aa raha tha.
Raj ne Ardivan ko shant rehne ka ishara kiya aur khud uska knife aur ek haat mei sword lekar gali ke bahar ki taraf aane lag gaya.
Jaise hi Raj us gali ke opening par aaya waise hi andhere mei se ek sword straight way mei uske face ki taraf aayi.
Ab jab Moonstone aur Fragment of Creation ke saath Raj ki body merge ho gayi thi is liye Raj ke senses aur bhi sharp the. Issi wajah se jaise hi Raj ne us sword ko apne face ki taraf aate hue dekha waise hi usne apne left haat mei jo sword thi usse wave kiya aur uspar attack karne wale sword ko deflect kar diya. Wahi Raj apne opponent ko koi chance nahi dena chahta tha. Is liye jaise hi Raj ne apne opponent ke sword ko deflect kiya waise hi usne apne right haat mei jo Ardivan ka knife liya tha usse apne opponent ke gale par rakh diya.
Abhi Raj us knife ko ghuma kar apne opponent ko marne hi wala tha ke tabhi usse ek jaani pehchani aawaz sunayi di.
“Ruko, Ruko Raj yeh mein hu Riya!”
Jaise hi Raj ne yeh suna waise hi usne apne knife ko Riya ke gale se hata diya.
Wahi Ruhi ke piche se Roshni samne aayi.
Raj ne jab in dono ko sahi salamat dekha toh usse kaafi achha feel ho raha tha.
Raj ne dono ko dekhte hue unse pucha.
Raj-Tum dono yaha kaise aa gayi ?
Raj ke is sawal par Roshni ne kaha.
Roshni-Jab tumne us portal tower ke magical circle ko us anti magic sword se destroy kiya tab ham dono ko us magical circle ne yaha is market ke paas wale area mei teleport kar diya.
Raj ne jab yeh suna tab usne ek gehri saans chodi.
Tabhi Raj ko yaad aaya ke Riya basic healing spells cast karni aati hai. Toh vo Ardivan ke injuries ko kuch had tak heal kar sakti hai.
Raj ne jaldi se Riya aur Roshni ko waha par kya hua tha yeh bata diya aur un dono ko bhi Ardivan ke paas lekar chala gaya.
Jab Ardivan Raj ke saath 2 aur logo ko dekha toh vo kuch alert ho gaya. Lekin Raj ne usse ishare se shant rehen ke liye kaha tha.
Riya jaldi se Ardivan ke paas aayi aur usne us par apne basic healing spell ko cast kiya.
Jab Ardivan Riya ke basic healing spell se kuch had tak heal hua tab usne Raj, Roshni aur Riya ko dekhte hue kaha.
Ardivan-Thank You! Agar aaj tum sabhi nahi hote toh mein un dark elf assassins ke haato mara jata. Waise kya mein tum sabhi ke naam jaan sakta hu ?
Is par Raj ne Ardivan se kaha.
Raj-Abhi hamare paas in sabh formalities ke liye time nahi hai. Rahi baat ham sabhi ke naamo ki toh mein Raj hu tumhe jisne heal kiya vo Riya hai aur mere saath jo khadi hai vo Roshni hai. Baki sabhi baate ham baad mei karenge. Sab se pehle hame yaha ke Military Post ki taraf jaana hai.
Raj ke muu se yaha ke Military Post ke baremei sunkar Ardivan kuch surprise sa ho gaya tha. Raj ke is baat se hi Ardivan ko yeh pata chal gaya tha ke Raj koi ordinary person nahi hai. In military posts ke baremei zyada kisi ko pata nahi tha. Aise mei ek ladke ko iske baremei pata hona yeh show kar raha tha ke yeh ladka koi noble hai.
Ardivan abhi Raj ke background ko check nahi karna chahta tha. Abhi Gladstone City kaafi bade danger mei thi. Aise mei Ardivan ke paas in sabhi baato ke liye time nahi tha.
Ab jab usse help mil gayi thi toh vo sure tha k evo MI 3 ke Military post tak pohoch sakta hai.
Raj, Roshni, Riya aur Ardivan jaldi hi us gali se bahar aaye. Bahar aate hi Raj ne Ardivan ko dekha aur usse pucha.
Raj-Kya tum mujhe is Military Post ke baremei aur kuch bata sakte ho.
Is par Ardivan ne kaha.
Ardivan-Mujhe breakfree karne ke liye hamari outpost ki commander ne un dark elf assassins ko apni taraf distract kiya. Abhi vo sabhi kaafi danger mei hai. Hame waha jaa kar un sabhi ki help karni hogi.
Ardivan abhi bhi kuch nervous tha aur Raj aur uske friends ko dekh raha tha. Yeh toh koi bhi bata sakta tha ke yeh mission kitna dangerous hai. Upar se Ardivan ke saath yeh kuch teenage bachhe the. Yeh mission itna dangerous tha ke yeh koi bhi nahi bata sakta tha ke kab kis ki death ho jaaye.
Raj ne Ardivan ko dekha aur usse kaha.
Raj-Waise abhi us base par bhi kise post kiya hua hai ?
Ardivan-Is base par Commander Annie ko post kiya hua hai.
Jab Raj ne Annie ka naam suna tab usse yeh naam kuch suna hua laga.
Jab kuch der sochne ke baad usse yaad aaya ke yeh naam usne kaha suna hua hai.
Annie Swarndesh ke ek duke, Iron Duke ke naam se jaane, jaane wale person ki beti hai. Iron Duke kaafi strong willed person the aur Maharaj Shekhar ke kaafi achhe dost bhi the. Raj ke pita Senapati Deepak ki unke saath kaafi achhe relations the.
Annie ek kaafi achhi Mage Warrior thi. Chahti toh kisi Princess ki tarah apni life ko bita sakti thi. Lekin usse apna Swarndesh kaafi pyara tha. Issi liye vo kaafi hard training ke baad ek assassin bani aur Swarndesh ke liye shadows mei reh kar work karti thi. Usne sabhi ki tarah niche se start kiya tha aur aaj apne kaafi contributions ke saath vo is organisation ke andar kaafi high post kar aa gayi thi.
10 Years mei hi vo MI 3 ke best assassins mei se ek ban gayi thi aur MI 3 ke one of the three decision makers mei se ek thi.
Raj ne jaldi se Ardivan ko kaha.
Raj-Agar waha par Annie phasi hui hai toh hame jaldi se jaldi waha par jaana hoga. Agar der ho gayi toh kuch bura bhi ho sakta hai.
MI 3 ki base old city ke quarters mei bani hui thi jo yaha se kuch hi distance par thi.
Ardivan Raj aur baki sabhi ko jaldi se us taraf lekar jaane laga.
Wahi Riya ke basic healing spell ke baad bhi Raj Ardivan ke face par ek tarah ki yellowness dekh sakta tha jo zyada blood loss hone ki wajah se hua tha.
Raj ne Ardivan ko dekhte hue usse pucha.
Raj-Tumhari injuries thik hai ?
Raj yeh achhe se note kar raha tha Ardivan ke steps abhi bhi ladkhada rahe the. Uski saanse abhi bhi kuch fast chal rahi thi. Yeh sab kuch uske bad condition ke baremei bata raha tha.
Ardivan ne Raj ko dekha aur kaha.
Ardivan-Nahi, aisi koi baat nahi hai. Mein isse bhi badi injuries ko jhel sakta hu.
Yeh keh kar Ardivan smile karna chah raha tha taki vo Raj aur uske friends ko yeh show kar sake ke vo kuch had tak thik hai.
Ek professional assassin hone ke wajah se Ardivan kaafi hard endurance training se guzara hua tha. Yeh injuries uske liye kuch bhi nahi thi. Par uske blood loss ne usse kuch weak bana diya tha.
Ardivan ek Level 2 ka elite Mage Warrior Assassin tha. Uski specialities Speed Burst aur Dancing Daggers jaise techniques mei thi.
Blood loss ki wajah se abhi Ardivan ki strength uske 50% par bhi nahi thi. Uske abhi ke condition mei vo 30% se bhi kam stamina ko use kar sakta tha. Agar Ardivan apne body ko zyada push karta hai toh uski blood loss ke wajah se instant death ho sakti thi.
Is sab ke wajah se Ardivan ke face par kaafi pasina aa gaya tha. Aise will power person ko dekh kar Raj ne halke se smile kiya aur apne baba se vo Ardivan ke baremei zarur batane wala tha.
Raj Ardivan ko dekh kar Roshni aur Riya ke paas aata hai aur un dono ko halke aawaz mei puchta hai.
Raj-Kya tum dono mei se kisi ko Elemental Healing ko cast karna aata hau ?
Elemental Healing ek Level 1 spell thi.
Isse cast karne ke baad jispar yeh cast ki jaati thi uske body ko yeh equilibrium state mei laati thi. Yeh spell jispar bhi cast ki jaati thi uske body ko basic healing spell se kuch zyada heal kar sakti thi. Target ki body jitni strong hogi iska effect utna hi strong hoga.
Elemental Healing koi real healing spell nahi thi. Lekin isse kaafi sare disease ke symptoms ko cure karne ke liye use kiya jata tha. Abhi ke liye yahi sab se best spell thi Raj ke paas Ardivan ko usne peak level ke had tak laane ke liye.
Ardivan ek strong Mage Warrior aur ek assassin tha. Saath hi Annie ko bachane ke liye vo Raj ki sab se badi help tha. Aise mei uska weak rehna bilkul bhi sahi nahi ho sakta tha.
Raj ke sawal ko sunne ke baad Roshni ne khaa.
Roshni-Mein sure toh nahi hu lekin mein is spell ko kuch had tak cast kar sakti hi.
Roshni ki baat ko sunkar Raj ne kuch der ke liye socha aur phir usse apna sir hilate hue yeh spell Ardivan par cast karne ke liye kaha.
Jaise hi Roshni ne us spell ko cast kiya waise hi uske haato mei se ek clear transparent light beam nikal kar Ardivan ke chest mei chali gayi.
1 second ke baad Ardivan ke aaspas elements create hone lag gaye the. In sabhi mei sab se zyada Fire aur Water element the. Unke saath Wood, Earth aur Metal element bhi the. Vo sabhi elements khud ko Ardivan ke body ke hisab se adjust karne lag gaye the.
Yeh pura process hone ke liye kuch 3 seconds ka time laga tha.
Uske baad Ardivan ke body ke aaspas jo light bani hui thi vo gayab ho gayi. Wahi Ardivan ke body ke aaspas jo elements bane hue the vo bhi apne apne Mana ke hisab se ek milky fog mei transform hog aye. Is fog mei na sirf vo elements the balki kuch had tak nutrients bhi the.
Dekhte hi dekhte vo fog Ardivan ke body ke andar chala gaya. Tab tak usne Ardivan ke body mei jo blood loss hua tha usse kuch had tak cover kar liya tha.
Is ka matlab ab Ardivan ke paas abhi ke liye itni strength thi ke vo apne mission ko complete kar sake.
Ardivan ek strong assassin tha jiske wajah se uski body bhi kaafi strong thi. Vo sirf apne blood loss hone ki wajah se weak hua tha.
Us fog ke body ke andar jaane ke baad se hi Ardivan ko kaafi achha feel hone lag gaya tha. Wahi kuch der pehle usse jo pyaas lagi thi vo bhi kahi gayab si ho gayi. Uski heart beat jo blood loss ki wajah se fast hui thi vo bhi ab normal hone lag gayi thi. Ardivan ab apne andar kaafi energy ko feel kar sakta tha.
Yeh sab kuch us Elemental Healing Spell mei jo elements the unki wajah se hua tha. Un elements ne Ardivan ki body mei blood loss ki wajah se jo nutrients ki kami ho gayi thi usse recover kar diya tha.
Ardivan ne Raj aur uski dosto ko dekhte hue kaha.
Ardivan-Incredible! Mein is spell ki wajah se kaafi achha feel kar raha hu.
Yeh keh kar Ardivan ne apne haat ko ghuma kar dekha. Even uski injury bhi itni pain nahi kar rahi thi.
Raj ne uski is baat par smile kiya aur kaha.
Raj-Is spell ko kuch time do aur tum abhi se bhi zyada achha feel kar paoge. Abhi apne body ko is sudden change ko adopt karne ke liye time do.
Kyo ki Ardivan ke nutrients ko Raj ne Elemental Spell se recover kiya tha is wajah se vo sabhi nutrients apne pure form mei the. Aise mei agar Ardivan unhe apne body ke hisab se adopt karne nahi deta hai toh vo nutrients backfire bhi ho sakte the.
Ek Mage Warrior hone ki wajah se Ardivan ko in sabhi baato ke baremei achhe se pata tha. Is liye usne bhi apne body ko relax kiya aur usse recover hone diya. Vo sabhi chalte hue us market area se aage badhte rahe. Abhi un sabhi ke chalne ki speed pehle se kuch zyada thi.
Kuch half and hour ke baad vo sabhi Old City Quarters ke entrance par khade the.
Yeh city ka ek tarah se cradle part tha. Yaha par kaafi saari ancient buildings thi jo centuries tak old thi. City ke saare Governmental Departments yahi par bane hue the aur MI 3 ka base bhi.
Raj aur Ardivan chup kar us gate se andar ke area ko dekh rahe the ke kahi aaspas koi dark elf toh nahi hai. Kyo ki yeh ek important government division area tha is wajah se yaha par ordinary log kaafi kam the. Agar yaha par dark elves hue jo Raj ko lag raha tha definitely honge. Kyo ki Ardivan ne hi apne baat mei kaha tha ke unke base par dark elves ne attack kiya tha toh vo sabhi yaha par kahi na kahi chupe honge. Aise mei Raj aur Ardivan bina kisi plan se aage badhte hai toh vo dark elves ke liye easy target ban sakte the.
Abhi Raj aur Ardivan yeh soch hi rahe the ke vo kaise yaha ke Military Base mei jaaye ke tabhi unhe laga ke koi unki taraf aa raha hai.
Ardivan ne sabhi ko andhre mei chupne ke liye kaha.
Uski baat ko sunkar sabhi jaldi se ek andhere corner mei chup gaye aur dekhne lag gaye ke koun hai jo unki taraf badh raha hai. Agar vo dark elf nikalta hai toh Raj aur Ardivan ne yeh puri tarah se soch liya tha ke vo usse kaisi puchtaach karne wale hai.
Kuch der baad 2 shaks us old city ke gate ke paas aaye aur vo dono bhi Raj aur bakiyo ki tarah chup kar gate ke andar dekhne lag gaye.
Raj ne Ardivan ko piche rehne ke liye kaha aur Riya ko ishara karte hue usne uske saath aane ke liye kaha.
Raj aur Riya ne jaldi se jaa kar un dono logo ke gardan par apne apne knife ko rakha aur un dono ne ke saath pucha.
“Koun ho tum ?”
Dono ne hi is sawal ko ek hi time par pucha tha, Wahi jab un 2 logo ne Raj aur Riya ki aawaz suni toh vo dono bhi khush hue aur jaldi se palat kar Raj aur Riya ko dekhne lag gaye.
Raj ne jiske gardan par knife rakha hua tha vo koi aur nahi balki Aditya tha aur Riya ne apne hi bhai Abhay ke gardan par knife rakha hua tha.
Jab Aditya aur Abhay ko Raj aur Riya ne apne samne dekha toh vo dono bhi khush ho gaye. Unhe in dono ko lekar kaafi tension ho raha tha.
Raj ne Aditya ko dekha aur usse pucha.
Raj-Kaha the tum dono ?
Is par Aditya ne kaha.
Aditya-Ham dono river wale area mei teleport ho gaye the. Uske baad ham dono bhi is taraf aane lag gaye kyo ki mujhe pata tha ke tum bhi yahi aaoge.
Aditya aur Abhay ke aane ke baad usne un dono ko bhi vo sab kuch bata diya tha jo unke saath hua.
Ab vo sabhi milkar us gate ke andar dekhne lag gaye.
Abhi bhi waha par unhe koi bhi dark elf nahi dikh raha tha.
Raj ne Ardivan ko dekhte hue usse pucha.
Raj-Ab andar kaise jaana hai ?
Ardivan-Ham sabhi building ki shadows mei move kar sakte hai. Lekin hame kaafi speed se move hone hoga. Koi bhi piche nahi rehna chahiye.
Ardivan ne apni baat kaafi serious tone mei kahi thi.
Wahi Raj aur uske friends bhi unki baat mei jo seriousness thi usse achhe se samajh gaye the.
Issi ke saath ab Ardivan un sabhi ko lead kar raha tha aur sabhi uske piche piche aa rahe the.
Kyo ki Elemental Healing se ab tak Ardivan kuch heal ho gaya tha toh vo apne top speed par toh nahi lekin kisi bhi normal human se toh kaafi fast move kar raha tha.
Aise hi vo aur baki sabhi un badi badi buildings ki shadows mei move hone lag gaye.
Baki sab toh thik tha par Raj ko itna fast move hote hue dekh kar uski friends bhi kuch surprise hue the. Unhe yeh samajh mei hi nahi aa raha tha ke Raj suddenly itne fast kaise move kar sakta hai.
Raj janta tha ke uske friends ke mind mei kya chal raha hai par usne abhi is sab par baat karna sahi nahi samjha Waise bhi sab se pehle vo khud samajhna chahta tha ke uske saath hua kya hai.
Ardivan aur baki sabhi silently us old quarters mei move ho rahe the.
Aise hi kuch 5 minutes move hone ke baad Ardivan ek jagah ruk gaya aur ek andheri gali ko dekh kar jaldi se waha chala gaya.
Yeh dekh kar Raj aur uski friends bhi Ardivan ke piche chale gaye.
Is andheri gali mei ek aur MI 3 ki female warrior injured giri hui thi. Is ladki ki height kuch kam thi aur uska body structure bhi slim tha. Usne apne baalo ko ponytail mei bandh diya tha.
Vo kaafi heavily injured hui thi. Uske haato aur pairo par kaafi cuts bane hue the lekin abhi achhi baat yeh thi ke vo zinda thi aur hosh mei thi. Usne bhi khud ko kuch had tak usse hui injuries ko first aid diya hua tha. Jab us ladki ne apne aaspas kisi ke hone ki aawaz suni toh usne jaldi se uske haato mei jo knife tha usse utha liya.
Lekin vo kaafi weak ho gayi thi. Uski is harkat ko dekh kar koi bhi normal person usse distance bana sakta tha. Par ek professional assassin ki nazaro mei vo defence kuch bhi nahi tha.
“Merry yeh mein hu, Ardivan. Mein return aa gaya hu.”
Ardivan ne jaldi se uske paas jaa kar usse yeh kaha tha.
Jab Merry ne Ardivan ki aawaz suni toh vo kuch surpise hui. Usne Ardivan ko dekhte hue kaha.
Merry-Kya tumne news ko send kiya hai ?
Merry bhi Ardivan ke saath un dark elves ke attack se nikal kar bahar aayi thi. Taaki vo bhi yaha ki news Duke tak pohocha sake. Lekin vo Ardivan jitni strong nahi thi aur is wajah se vo injured ho gayi aur jaise taise apni jaan bachate hue is gali mei aa kar gir gayi.
Merry ki baat par Ardivan ne usse dekhte hue kaha.
Ardivan-Haan! Mein ne sabhi homing birds ko bhej diya hai. Vo sabhi jaldi hi yaha ki news duke tak pohocha denge.
Jab Merry ne yeh baat suni tab usne ek gehri saans chodi. Lekin tabhi usne jaldi jaldi mei kaha.
Merry-Agar aisa hai toh tumhe jaldi se headquarter jana hoga. Waha par hamare sabhi saathiyo ko help ki zarurat hai. Abhi waha par at least 100 ya phir usse zyada dark elf assassins ho sakte hai. Un sabhi ko Commander Annie akele handle nahi kar payengi.
Jab tak Merry yeh baat keh rahi thi tab tak piche se Raj aur uske friends aaye. Raj ne jab Merry ko dekha tab usne Roshni ko dekhte hue ishare se Merry ko bhi heal karne ke liye kaha.
Raj ke ishare ko dekh kar Roshni bhi aage aayi aur Merry ki taraf badhne lagi.
Jab Merry ne un sabhi ko waha par dekha toh usne Ardivan ko dekhte hue usse pucha.
Merry-Yeh sab koun hai ?
Is par Ardivan ne Merry se kaha.
Ardivan-Yeh Raj hai aur yeh sabhi uske friends hai. Yeh hamari help karna chahte hai.
Roshni aa kar Merry ke paas baith gayi aur usne usse kaha.
Roshni-Ab zyada hilna mat. Mein tumhe heal karne wali hu.
Yeh keh kar Roshni ne Merry par bhi Elemental Healing spell ko cast kiya.
Merry ko Roshni ki age dekh kar uspar kuch doubt aa raha tha ke vo usse heal bhi kar payegi ya nahi.
Jab Ardivan ne Merry ke facial expressions ko dekha aur usse samjhate hue kaha.
Ardivan-Merry tum is spell se jaldi hi heal ho sakti ho. Is liye zyada mat socho.
Jab Roshni ne spell ko cast kiya tab us gali ke andar ek halki si light flash hui. Merry apni jagah par khadi hui aur usne apne aaspas ghum kar dekha aur kaha.
Merry-Mein iske effect ko feel kar sakti hu. Lekin yeh waisa nahi lag raha hai jaise professional healers karte hai. Par abhi ke liye mein apne pairo par khadi ho sakti hu.
Firmoon Universe mei Healing Powers ko Divine Magic samjha jata tha. Healing Spell ko har koi cast nahi kar sakta tha. Healing Spell kisi bhi user ke body par use karne ke baad kaafi toll daalti thi. Is wajah se professional healers kaafi kam the.
Merry ko abhi bh chalne mei kuch problem ho rahi thi. Tab Ardivan ne usse bithate hue kaha.
Ardivan-Merry abhi tum zyada hilo mat. Roshni ne abhi abhi tum par healing spell ko cast kiya hua hai aur mein sure hu ke jaldi hi tum bhi khud ko achha feel karta paogi. Abhi half and hour ke liye tum yahi ruk kar rest karo. Ham sabhi headquarters ki taraf badhte hai. Jab tum puri tarah se recover ho jaao toh tum jaldi se jaldi waha par aa jana.
Merry ne apne sir ko haan mei hilakar usse ishara kiya.
Ardivan apni jagah par uth khada hua aur usne Raj aur bakiyo ko dekhte hue kaha.
Ardivan-Raj ab mujhe headquarters ki taraf jana hoga lekin mein tum sabhi ko waha par le kar nahi jaa sakta hu. Tum sabhi abhi bachhe ho aur vo jagah tumhare liye dangerous ho sakti hai.
Agar Raj ki jagah koi aur bada person hota toh Ardivan usse help maang bhi sakta tha. Lekin Raj aur uske sabhi friends teenagers the. Aise mei vo kaise un sabhi se help maang sakta hai.
Lekin Raj ne usse dekhte hue kaha.
Raj-Nahi Ardivan, ham aisa nahi kar sakte hai. Tum akele ho aur vo dark elves kaafi saare hai. Aise mei waha par akele jana jaan dene jaisa hai. Nahi bilkul nahi, ham sabhi tumahre saath aa rahe hai.
Lekin Ardivan apni baat par aadaa raha.
Ardivan-Nahi Raj tum aur tumare friends itne bade nahi hue ho ek tum ek full grown dark elf warrior ke saath fight kar sako.
Jab Aditya ne yeh dekha ke Ardivan unki baat nahi maan raha hai toh vo Raj ke side mei aa kar khada hua aur usne Ardivan ko dekhte hue kaha.
Aditya-Agar aisi baat hai toh is Swarndesh ka Prince hone ke naate mein tumhe yeh order deta hu ke mujhe aur Senapati Dipak ke bete Raj ko headquarters ki taraf lekar chalo.
Aditya ne yeh baat kaafi authority ke saath kahi thi. Wahi jab Ardivan ne Aditya ki baat suni toh vo kaafi shock ho gaya tha. Usne Aditya ka naam toh suna hua tha par usne kabhi bhi usse dekha nahi tha aur na hi usne kabhi Raj ko dekha tha. Yaha par jitney bhi log the unhone sirf in dono ke naam sune hue the.
Jaldi hi Ardivan shock se bahar aata hai aur suddenly apne ek ghutne par baith jata hai aur apne right haat se fist bana kar usse apne heart par rakhte hue kehta hai.
Ardivan-Prince ki jai ho.
Kyo ki ek Prince ki authority ke saath Aditya ne Ardivan ko order diya tha toh usse is order ko follow karna hi tha.
Aditya ne apne haat ko wave kiya aur Ardivan ko uthne ka ishara kiya. Aditya ke ishare ko samajh kar Ardivan khada hua aur Aditya ko dekhne lag gaya.
Is baar Raj ne usse kaha.
Raj-Ab hame zyada time waste nahi karna chahiye. Har ek second par ham hamare ek warrior ko kho rahe hai.
Raj ne apni baat ko kaafi serious tone mei kahi thi aur baki sabhi bhi usse achhe se samajh rahe the.
Ardivan ke heart ke beat karne ki speed jaise badh gayi thi. Usne bhi Raj ki baat ko sunkar apne sir ko haan mei hilaya aur jaldi se un sabhi ko headquarters ki taraf lekar jaane laga.
Wahi Raj ne bhi ab tak ek plan bana liya tha ke un sabhi ko kaise headquarter ke andar ghusna hai.