Agrawal ji
Supreme
Raj parampita ke chayan ko sahi thehra rha hai .ek ache insan ka jo kartvya hota hai woh Raj kr rha hai ardivan ko bachana fir riya ke dwara usko heal krna fir sari situation ko smjh kr army post pr jana lekin rashte me Raj notice krta hai ke ardivan ki health thik nahi hai toh roshani se bol kr elimental healing spell ko use krne ko kehta hai jisse ardivan Kuch better feel krta hai pehle se qki iske elements me nutrients hone ki wajah se body ko pure nutrition milta hai jisse body strong hota hai. Yahi spell woh Merry pr bhi use krte hai. Isse pehle abhay or Aditya bhi Team join kr lete hai. Jahan ab unko headquarter jana hai Annie ki help krne jo wahan pr as a commander posted hai. Lekin ardivan Raj nd group ko le jana nahi chahta qki usko lgta hai teenagers hai Dark elf's se Fight nahi kr payenge pr woh ye bhul gya ke Raj ne kaise uske samne 2 assassins ko Mara or usko ye nhi pta ki portal tower uda ke ye teenagers ne kitna badaa kaam kiya hai. Ye na hote to ab tk situation out of control hota city ke andar khairr Aditya ne apni or Raj ki identity bta kr ardivan ko order de diya hai headquarter le jane ke liye. Ab dekhte hai agey Kya hota haiUpdate 5
Rescuing Annie.
Jab Ardivan ne dekha ke uske samne jo tino dark elf assassins hai vo maare jaa chuke hai tab usne jaldi se first aid kit ko nikaala aur jaldi se apne injuries ko usse cover karne lag gaya. Yeh sab karne mei vo yeh bhi bhul gaya tha ke kuch der pehle uski kisi ne help ki thi.
Jab Ardivan ne apne injuries ko puri tarah se cover kar liya tab usne apne sir ko tha kar samne ki taraf dekha. Usse apne samne ek ladka dikh raha tha jisne abhi kaafi normal clothes pehne hue the. Us gali mei andhera hone ki wajah se Ardivan ko sahi se us ladke ka face nahi dikh paa raha tha. Par Ardivan ko yeh dekh kar achha laga tha ke usse kisi human ne help ki hai.
Raj chalte hue Ardivan ke samne aaya aur uske body ko dekhne lag gaya.
Abhi bhi Ardivan ke body par kahi jagaho par small injuries bani hui thi. Lekin vo utni serious nahi thi.
Abhi Raj kuch kehne hi wala tha ke tabhi usse apne piche kuch sense hua.
Koi unki hi gali ki taraf aa raha tha.
Raj ne Ardivan ko shant rehne ka ishara kiya aur khud uska knife aur ek haat mei sword lekar gali ke bahar ki taraf aane lag gaya.
Jaise hi Raj us gali ke opening par aaya waise hi andhere mei se ek sword straight way mei uske face ki taraf aayi.
Ab jab Moonstone aur Fragment of Creation ke saath Raj ki body merge ho gayi thi is liye Raj ke senses aur bhi sharp the. Issi wajah se jaise hi Raj ne us sword ko apne face ki taraf aate hue dekha waise hi usne apne left haat mei jo sword thi usse wave kiya aur uspar attack karne wale sword ko deflect kar diya. Wahi Raj apne opponent ko koi chance nahi dena chahta tha. Is liye jaise hi Raj ne apne opponent ke sword ko deflect kiya waise hi usne apne right haat mei jo Ardivan ka knife liya tha usse apne opponent ke gale par rakh diya.
Abhi Raj us knife ko ghuma kar apne opponent ko marne hi wala tha ke tabhi usse ek jaani pehchani aawaz sunayi di.
“Ruko, Ruko Raj yeh mein hu Riya!”
Jaise hi Raj ne yeh suna waise hi usne apne knife ko Riya ke gale se hata diya.
Wahi Ruhi ke piche se Roshni samne aayi.
Raj ne jab in dono ko sahi salamat dekha toh usse kaafi achha feel ho raha tha.
Raj ne dono ko dekhte hue unse pucha.
Raj-Tum dono yaha kaise aa gayi ?
Raj ke is sawal par Roshni ne kaha.
Roshni-Jab tumne us portal tower ke magical circle ko us anti magic sword se destroy kiya tab ham dono ko us magical circle ne yaha is market ke paas wale area mei teleport kar diya.
Raj ne jab yeh suna tab usne ek gehri saans chodi.
Tabhi Raj ko yaad aaya ke Riya basic healing spells cast karni aati hai. Toh vo Ardivan ke injuries ko kuch had tak heal kar sakti hai.
Raj ne jaldi se Riya aur Roshni ko waha par kya hua tha yeh bata diya aur un dono ko bhi Ardivan ke paas lekar chala gaya.
Jab Ardivan Raj ke saath 2 aur logo ko dekha toh vo kuch alert ho gaya. Lekin Raj ne usse ishare se shant rehen ke liye kaha tha.
Riya jaldi se Ardivan ke paas aayi aur usne us par apne basic healing spell ko cast kiya.
Jab Ardivan Riya ke basic healing spell se kuch had tak heal hua tab usne Raj, Roshni aur Riya ko dekhte hue kaha.
Ardivan-Thank You! Agar aaj tum sabhi nahi hote toh mein un dark elf assassins ke haato mara jata. Waise kya mein tum sabhi ke naam jaan sakta hu ?
Is par Raj ne Ardivan se kaha.
Raj-Abhi hamare paas in sabh formalities ke liye time nahi hai. Rahi baat ham sabhi ke naamo ki toh mein Raj hu tumhe jisne heal kiya vo Riya hai aur mere saath jo khadi hai vo Roshni hai. Baki sabhi baate ham baad mei karenge. Sab se pehle hame yaha ke Military Post ki taraf jaana hai.
Raj ke muu se yaha ke Military Post ke baremei sunkar Ardivan kuch surprise sa ho gaya tha. Raj ke is baat se hi Ardivan ko yeh pata chal gaya tha ke Raj koi ordinary person nahi hai. In military posts ke baremei zyada kisi ko pata nahi tha. Aise mei ek ladke ko iske baremei pata hona yeh show kar raha tha ke yeh ladka koi noble hai.
Ardivan abhi Raj ke background ko check nahi karna chahta tha. Abhi Gladstone City kaafi bade danger mei thi. Aise mei Ardivan ke paas in sabhi baato ke liye time nahi tha.
Ab jab usse help mil gayi thi toh vo sure tha k evo MI 3 ke Military post tak pohoch sakta hai.
Raj, Roshni, Riya aur Ardivan jaldi hi us gali se bahar aaye. Bahar aate hi Raj ne Ardivan ko dekha aur usse pucha.
Raj-Kya tum mujhe is Military Post ke baremei aur kuch bata sakte ho.
Is par Ardivan ne kaha.
Ardivan-Mujhe breakfree karne ke liye hamari outpost ki commander ne un dark elf assassins ko apni taraf distract kiya. Abhi vo sabhi kaafi danger mei hai. Hame waha jaa kar un sabhi ki help karni hogi.
Ardivan abhi bhi kuch nervous tha aur Raj aur uske friends ko dekh raha tha. Yeh toh koi bhi bata sakta tha ke yeh mission kitna dangerous hai. Upar se Ardivan ke saath yeh kuch teenage bachhe the. Yeh mission itna dangerous tha ke yeh koi bhi nahi bata sakta tha ke kab kis ki death ho jaaye.
Raj ne Ardivan ko dekha aur usse kaha.
Raj-Waise abhi us base par bhi kise post kiya hua hai ?
Ardivan-Is base par Commander Annie ko post kiya hua hai.
Jab Raj ne Annie ka naam suna tab usse yeh naam kuch suna hua laga.
Jab kuch der sochne ke baad usse yaad aaya ke yeh naam usne kaha suna hua hai.
Annie Swarndesh ke ek duke, Iron Duke ke naam se jaane, jaane wale person ki beti hai. Iron Duke kaafi strong willed person the aur Maharaj Shekhar ke kaafi achhe dost bhi the. Raj ke pita Senapati Deepak ki unke saath kaafi achhe relations the.
Annie ek kaafi achhi Mage Warrior thi. Chahti toh kisi Princess ki tarah apni life ko bita sakti thi. Lekin usse apna Swarndesh kaafi pyara tha. Issi liye vo kaafi hard training ke baad ek assassin bani aur Swarndesh ke liye shadows mei reh kar work karti thi. Usne sabhi ki tarah niche se start kiya tha aur aaj apne kaafi contributions ke saath vo is organisation ke andar kaafi high post kar aa gayi thi.
10 Years mei hi vo MI 3 ke best assassins mei se ek ban gayi thi aur MI 3 ke one of the three decision makers mei se ek thi.
Raj ne jaldi se Ardivan ko kaha.
Raj-Agar waha par Annie phasi hui hai toh hame jaldi se jaldi waha par jaana hoga. Agar der ho gayi toh kuch bura bhi ho sakta hai.
MI 3 ki base old city ke quarters mei bani hui thi jo yaha se kuch hi distance par thi.
Ardivan Raj aur baki sabhi ko jaldi se us taraf lekar jaane laga.
Wahi Riya ke basic healing spell ke baad bhi Raj Ardivan ke face par ek tarah ki yellowness dekh sakta tha jo zyada blood loss hone ki wajah se hua tha.
Raj ne Ardivan ko dekhte hue usse pucha.
Raj-Tumhari injuries thik hai ?
Raj yeh achhe se note kar raha tha Ardivan ke steps abhi bhi ladkhada rahe the. Uski saanse abhi bhi kuch fast chal rahi thi. Yeh sab kuch uske bad condition ke baremei bata raha tha.
Ardivan ne Raj ko dekha aur kaha.
Ardivan-Nahi, aisi koi baat nahi hai. Mein isse bhi badi injuries ko jhel sakta hu.
Yeh keh kar Ardivan smile karna chah raha tha taki vo Raj aur uske friends ko yeh show kar sake ke vo kuch had tak thik hai.
Ek professional assassin hone ke wajah se Ardivan kaafi hard endurance training se guzara hua tha. Yeh injuries uske liye kuch bhi nahi thi. Par uske blood loss ne usse kuch weak bana diya tha.
Ardivan ek Level 2 ka elite Mage Warrior Assassin tha. Uski specialities Speed Burst aur Dancing Daggers jaise techniques mei thi.
Blood loss ki wajah se abhi Ardivan ki strength uske 50% par bhi nahi thi. Uske abhi ke condition mei vo 30% se bhi kam stamina ko use kar sakta tha. Agar Ardivan apne body ko zyada push karta hai toh uski blood loss ke wajah se instant death ho sakti thi.
Is sab ke wajah se Ardivan ke face par kaafi pasina aa gaya tha. Aise will power person ko dekh kar Raj ne halke se smile kiya aur apne baba se vo Ardivan ke baremei zarur batane wala tha.
Raj Ardivan ko dekh kar Roshni aur Riya ke paas aata hai aur un dono ko halke aawaz mei puchta hai.
Raj-Kya tum dono mei se kisi ko Elemental Healing ko cast karna aata hau ?
Elemental Healing ek Level 1 spell thi.
Isse cast karne ke baad jispar yeh cast ki jaati thi uske body ko yeh equilibrium state mei laati thi. Yeh spell jispar bhi cast ki jaati thi uske body ko basic healing spell se kuch zyada heal kar sakti thi. Target ki body jitni strong hogi iska effect utna hi strong hoga.
Elemental Healing koi real healing spell nahi thi. Lekin isse kaafi sare disease ke symptoms ko cure karne ke liye use kiya jata tha. Abhi ke liye yahi sab se best spell thi Raj ke paas Ardivan ko usne peak level ke had tak laane ke liye.
Ardivan ek strong Mage Warrior aur ek assassin tha. Saath hi Annie ko bachane ke liye vo Raj ki sab se badi help tha. Aise mei uska weak rehna bilkul bhi sahi nahi ho sakta tha.
Raj ke sawal ko sunne ke baad Roshni ne khaa.
Roshni-Mein sure toh nahi hu lekin mein is spell ko kuch had tak cast kar sakti hi.
Roshni ki baat ko sunkar Raj ne kuch der ke liye socha aur phir usse apna sir hilate hue yeh spell Ardivan par cast karne ke liye kaha.
Jaise hi Roshni ne us spell ko cast kiya waise hi uske haato mei se ek clear transparent light beam nikal kar Ardivan ke chest mei chali gayi.
1 second ke baad Ardivan ke aaspas elements create hone lag gaye the. In sabhi mei sab se zyada Fire aur Water element the. Unke saath Wood, Earth aur Metal element bhi the. Vo sabhi elements khud ko Ardivan ke body ke hisab se adjust karne lag gaye the.
Yeh pura process hone ke liye kuch 3 seconds ka time laga tha.
Uske baad Ardivan ke body ke aaspas jo light bani hui thi vo gayab ho gayi. Wahi Ardivan ke body ke aaspas jo elements bane hue the vo bhi apne apne Mana ke hisab se ek milky fog mei transform hog aye. Is fog mei na sirf vo elements the balki kuch had tak nutrients bhi the.
Dekhte hi dekhte vo fog Ardivan ke body ke andar chala gaya. Tab tak usne Ardivan ke body mei jo blood loss hua tha usse kuch had tak cover kar liya tha.
Is ka matlab ab Ardivan ke paas abhi ke liye itni strength thi ke vo apne mission ko complete kar sake.
Ardivan ek strong assassin tha jiske wajah se uski body bhi kaafi strong thi. Vo sirf apne blood loss hone ki wajah se weak hua tha.
Us fog ke body ke andar jaane ke baad se hi Ardivan ko kaafi achha feel hone lag gaya tha. Wahi kuch der pehle usse jo pyaas lagi thi vo bhi kahi gayab si ho gayi. Uski heart beat jo blood loss ki wajah se fast hui thi vo bhi ab normal hone lag gayi thi. Ardivan ab apne andar kaafi energy ko feel kar sakta tha.
Yeh sab kuch us Elemental Healing Spell mei jo elements the unki wajah se hua tha. Un elements ne Ardivan ki body mei blood loss ki wajah se jo nutrients ki kami ho gayi thi usse recover kar diya tha.
Ardivan ne Raj aur uski dosto ko dekhte hue kaha.
Ardivan-Incredible! Mein is spell ki wajah se kaafi achha feel kar raha hu.
Yeh keh kar Ardivan ne apne haat ko ghuma kar dekha. Even uski injury bhi itni pain nahi kar rahi thi.
Raj ne uski is baat par smile kiya aur kaha.
Raj-Is spell ko kuch time do aur tum abhi se bhi zyada achha feel kar paoge. Abhi apne body ko is sudden change ko adopt karne ke liye time do.
Kyo ki Ardivan ke nutrients ko Raj ne Elemental Spell se recover kiya tha is wajah se vo sabhi nutrients apne pure form mei the. Aise mei agar Ardivan unhe apne body ke hisab se adopt karne nahi deta hai toh vo nutrients backfire bhi ho sakte the.
Ek Mage Warrior hone ki wajah se Ardivan ko in sabhi baato ke baremei achhe se pata tha. Is liye usne bhi apne body ko relax kiya aur usse recover hone diya. Vo sabhi chalte hue us market area se aage badhte rahe. Abhi un sabhi ke chalne ki speed pehle se kuch zyada thi.
Kuch half and hour ke baad vo sabhi Old City Quarters ke entrance par khade the.
Yeh city ka ek tarah se cradle part tha. Yaha par kaafi saari ancient buildings thi jo centuries tak old thi. City ke saare Governmental Departments yahi par bane hue the aur MI 3 ka base bhi.
Raj aur Ardivan chup kar us gate se andar ke area ko dekh rahe the ke kahi aaspas koi dark elf toh nahi hai. Kyo ki yeh ek important government division area tha is wajah se yaha par ordinary log kaafi kam the. Agar yaha par dark elves hue jo Raj ko lag raha tha definitely honge. Kyo ki Ardivan ne hi apne baat mei kaha tha ke unke base par dark elves ne attack kiya tha toh vo sabhi yaha par kahi na kahi chupe honge. Aise mei Raj aur Ardivan bina kisi plan se aage badhte hai toh vo dark elves ke liye easy target ban sakte the.
Abhi Raj aur Ardivan yeh soch hi rahe the ke vo kaise yaha ke Military Base mei jaaye ke tabhi unhe laga ke koi unki taraf aa raha hai.
Ardivan ne sabhi ko andhre mei chupne ke liye kaha.
Uski baat ko sunkar sabhi jaldi se ek andhere corner mei chup gaye aur dekhne lag gaye ke koun hai jo unki taraf badh raha hai. Agar vo dark elf nikalta hai toh Raj aur Ardivan ne yeh puri tarah se soch liya tha ke vo usse kaisi puchtaach karne wale hai.
Kuch der baad 2 shaks us old city ke gate ke paas aaye aur vo dono bhi Raj aur bakiyo ki tarah chup kar gate ke andar dekhne lag gaye.
Raj ne Ardivan ko piche rehne ke liye kaha aur Riya ko ishara karte hue usne uske saath aane ke liye kaha.
Raj aur Riya ne jaldi se jaa kar un dono logo ke gardan par apne apne knife ko rakha aur un dono ne ke saath pucha.
“Koun ho tum ?”
Dono ne hi is sawal ko ek hi time par pucha tha, Wahi jab un 2 logo ne Raj aur Riya ki aawaz suni toh vo dono bhi khush hue aur jaldi se palat kar Raj aur Riya ko dekhne lag gaye.
Raj ne jiske gardan par knife rakha hua tha vo koi aur nahi balki Aditya tha aur Riya ne apne hi bhai Abhay ke gardan par knife rakha hua tha.
Jab Aditya aur Abhay ko Raj aur Riya ne apne samne dekha toh vo dono bhi khush ho gaye. Unhe in dono ko lekar kaafi tension ho raha tha.
Raj ne Aditya ko dekha aur usse pucha.
Raj-Kaha the tum dono ?
Is par Aditya ne kaha.
Aditya-Ham dono river wale area mei teleport ho gaye the. Uske baad ham dono bhi is taraf aane lag gaye kyo ki mujhe pata tha ke tum bhi yahi aaoge.
Aditya aur Abhay ke aane ke baad usne un dono ko bhi vo sab kuch bata diya tha jo unke saath hua.
Ab vo sabhi milkar us gate ke andar dekhne lag gaye.
Abhi bhi waha par unhe koi bhi dark elf nahi dikh raha tha.
Raj ne Ardivan ko dekhte hue usse pucha.
Raj-Ab andar kaise jaana hai ?
Ardivan-Ham sabhi building ki shadows mei move kar sakte hai. Lekin hame kaafi speed se move hone hoga. Koi bhi piche nahi rehna chahiye.
Ardivan ne apni baat kaafi serious tone mei kahi thi.
Wahi Raj aur uske friends bhi unki baat mei jo seriousness thi usse achhe se samajh gaye the.
Issi ke saath ab Ardivan un sabhi ko lead kar raha tha aur sabhi uske piche piche aa rahe the.
Kyo ki Elemental Healing se ab tak Ardivan kuch heal ho gaya tha toh vo apne top speed par toh nahi lekin kisi bhi normal human se toh kaafi fast move kar raha tha.
Aise hi vo aur baki sabhi un badi badi buildings ki shadows mei move hone lag gaye.
Baki sab toh thik tha par Raj ko itna fast move hote hue dekh kar uski friends bhi kuch surprise hue the. Unhe yeh samajh mei hi nahi aa raha tha ke Raj suddenly itne fast kaise move kar sakta hai.
Raj janta tha ke uske friends ke mind mei kya chal raha hai par usne abhi is sab par baat karna sahi nahi samjha Waise bhi sab se pehle vo khud samajhna chahta tha ke uske saath hua kya hai.
Ardivan aur baki sabhi silently us old quarters mei move ho rahe the.
Aise hi kuch 5 minutes move hone ke baad Ardivan ek jagah ruk gaya aur ek andheri gali ko dekh kar jaldi se waha chala gaya.
Yeh dekh kar Raj aur uski friends bhi Ardivan ke piche chale gaye.
Is andheri gali mei ek aur MI 3 ki female warrior injured giri hui thi. Is ladki ki height kuch kam thi aur uska body structure bhi slim tha. Usne apne baalo ko ponytail mei bandh diya tha.
Vo kaafi heavily injured hui thi. Uske haato aur pairo par kaafi cuts bane hue the lekin abhi achhi baat yeh thi ke vo zinda thi aur hosh mei thi. Usne bhi khud ko kuch had tak usse hui injuries ko first aid diya hua tha. Jab us ladki ne apne aaspas kisi ke hone ki aawaz suni toh usne jaldi se uske haato mei jo knife tha usse utha liya.
Lekin vo kaafi weak ho gayi thi. Uski is harkat ko dekh kar koi bhi normal person usse distance bana sakta tha. Par ek professional assassin ki nazaro mei vo defence kuch bhi nahi tha.
“Merry yeh mein hu, Ardivan. Mein return aa gaya hu.”
Ardivan ne jaldi se uske paas jaa kar usse yeh kaha tha.
Jab Merry ne Ardivan ki aawaz suni toh vo kuch surpise hui. Usne Ardivan ko dekhte hue kaha.
Merry-Kya tumne news ko send kiya hai ?
Merry bhi Ardivan ke saath un dark elves ke attack se nikal kar bahar aayi thi. Taaki vo bhi yaha ki news Duke tak pohocha sake. Lekin vo Ardivan jitni strong nahi thi aur is wajah se vo injured ho gayi aur jaise taise apni jaan bachate hue is gali mei aa kar gir gayi.
Merry ki baat par Ardivan ne usse dekhte hue kaha.
Ardivan-Haan! Mein ne sabhi homing birds ko bhej diya hai. Vo sabhi jaldi hi yaha ki news duke tak pohocha denge.
Jab Merry ne yeh baat suni tab usne ek gehri saans chodi. Lekin tabhi usne jaldi jaldi mei kaha.
Merry-Agar aisa hai toh tumhe jaldi se headquarter jana hoga. Waha par hamare sabhi saathiyo ko help ki zarurat hai. Abhi waha par at least 100 ya phir usse zyada dark elf assassins ho sakte hai. Un sabhi ko Commander Annie akele handle nahi kar payengi.
Jab tak Merry yeh baat keh rahi thi tab tak piche se Raj aur uske friends aaye. Raj ne jab Merry ko dekha tab usne Roshni ko dekhte hue ishare se Merry ko bhi heal karne ke liye kaha.
Raj ke ishare ko dekh kar Roshni bhi aage aayi aur Merry ki taraf badhne lagi.
Jab Merry ne un sabhi ko waha par dekha toh usne Ardivan ko dekhte hue usse pucha.
Merry-Yeh sab koun hai ?
Is par Ardivan ne Merry se kaha.
Ardivan-Yeh Raj hai aur yeh sabhi uske friends hai. Yeh hamari help karna chahte hai.
Roshni aa kar Merry ke paas baith gayi aur usne usse kaha.
Roshni-Ab zyada hilna mat. Mein tumhe heal karne wali hu.
Yeh keh kar Roshni ne Merry par bhi Elemental Healing spell ko cast kiya.
Merry ko Roshni ki age dekh kar uspar kuch doubt aa raha tha ke vo usse heal bhi kar payegi ya nahi.
Jab Ardivan ne Merry ke facial expressions ko dekha aur usse samjhate hue kaha.
Ardivan-Merry tum is spell se jaldi hi heal ho sakti ho. Is liye zyada mat socho.
Jab Roshni ne spell ko cast kiya tab us gali ke andar ek halki si light flash hui. Merry apni jagah par khadi hui aur usne apne aaspas ghum kar dekha aur kaha.
Merry-Mein iske effect ko feel kar sakti hu. Lekin yeh waisa nahi lag raha hai jaise professional healers karte hai. Par abhi ke liye mein apne pairo par khadi ho sakti hu.
Firmoon Universe mei Healing Powers ko Divine Magic samjha jata tha. Healing Spell ko har koi cast nahi kar sakta tha. Healing Spell kisi bhi user ke body par use karne ke baad kaafi toll daalti thi. Is wajah se professional healers kaafi kam the.
Merry ko abhi bh chalne mei kuch problem ho rahi thi. Tab Ardivan ne usse bithate hue kaha.
Ardivan-Merry abhi tum zyada hilo mat. Roshni ne abhi abhi tum par healing spell ko cast kiya hua hai aur mein sure hu ke jaldi hi tum bhi khud ko achha feel karta paogi. Abhi half and hour ke liye tum yahi ruk kar rest karo. Ham sabhi headquarters ki taraf badhte hai. Jab tum puri tarah se recover ho jaao toh tum jaldi se jaldi waha par aa jana.
Merry ne apne sir ko haan mei hilakar usse ishara kiya.
Ardivan apni jagah par uth khada hua aur usne Raj aur bakiyo ko dekhte hue kaha.
Ardivan-Raj ab mujhe headquarters ki taraf jana hoga lekin mein tum sabhi ko waha par le kar nahi jaa sakta hu. Tum sabhi abhi bachhe ho aur vo jagah tumhare liye dangerous ho sakti hai.
Agar Raj ki jagah koi aur bada person hota toh Ardivan usse help maang bhi sakta tha. Lekin Raj aur uske sabhi friends teenagers the. Aise mei vo kaise un sabhi se help maang sakta hai.
Lekin Raj ne usse dekhte hue kaha.
Raj-Nahi Ardivan, ham aisa nahi kar sakte hai. Tum akele ho aur vo dark elves kaafi saare hai. Aise mei waha par akele jana jaan dene jaisa hai. Nahi bilkul nahi, ham sabhi tumahre saath aa rahe hai.
Lekin Ardivan apni baat par aadaa raha.
Ardivan-Nahi Raj tum aur tumare friends itne bade nahi hue ho ek tum ek full grown dark elf warrior ke saath fight kar sako.
Jab Aditya ne yeh dekha ke Ardivan unki baat nahi maan raha hai toh vo Raj ke side mei aa kar khada hua aur usne Ardivan ko dekhte hue kaha.
Aditya-Agar aisi baat hai toh is Swarndesh ka Prince hone ke naate mein tumhe yeh order deta hu ke mujhe aur Senapati Dipak ke bete Raj ko headquarters ki taraf lekar chalo.
Aditya ne yeh baat kaafi authority ke saath kahi thi. Wahi jab Ardivan ne Aditya ki baat suni toh vo kaafi shock ho gaya tha. Usne Aditya ka naam toh suna hua tha par usne kabhi bhi usse dekha nahi tha aur na hi usne kabhi Raj ko dekha tha. Yaha par jitney bhi log the unhone sirf in dono ke naam sune hue the.
Jaldi hi Ardivan shock se bahar aata hai aur suddenly apne ek ghutne par baith jata hai aur apne right haat se fist bana kar usse apne heart par rakhte hue kehta hai.
Ardivan-Prince ki jai ho.
Kyo ki ek Prince ki authority ke saath Aditya ne Ardivan ko order diya tha toh usse is order ko follow karna hi tha.
Aditya ne apne haat ko wave kiya aur Ardivan ko uthne ka ishara kiya. Aditya ke ishare ko samajh kar Ardivan khada hua aur Aditya ko dekhne lag gaya.
Is baar Raj ne usse kaha.
Raj-Ab hame zyada time waste nahi karna chahiye. Har ek second par ham hamare ek warrior ko kho rahe hai.
Raj ne apni baat ko kaafi serious tone mei kahi thi aur baki sabhi bhi usse achhe se samajh rahe the.
Ardivan ke heart ke beat karne ki speed jaise badh gayi thi. Usne bhi Raj ki baat ko sunkar apne sir ko haan mei hilaya aur jaldi se un sabhi ko headquarters ki taraf lekar jaane laga.
Wahi Raj ne bhi ab tak ek plan bana liya tha ke un sabhi ko kaise headquarter ke andar ghusna hai.
Waiting for updateGuys mere Laptop aur Phone barish mei bhig kar dead ho gaya tha iske wajah se update nahi post kar paya. Par aaj kahi se jugaad kar ke ek old lappy liya hai so jo bhi likha hua update tha usse phir se likhna hoga.
Try karunga ke aaj ek update post kar paau.
PEACE✌.
Koi na Jay suthar bhai Apka reply aa gaya update to aata rahegaGuys mere Laptop aur Phone barish mei bhig kar dead ho gaya tha iske wajah se update nahi post kar paya. Par aaj kahi se jugaad kar ke ek old lappy liya hai so jo bhi likha hua update tha usse phir se likhna hoga.
Try karunga ke aaj ek update post kar paau.
PEACE✌.
Raj nd Team head quarters outpost pahunch hi Gaye Annie ki help krne. Raj ne ek bar fir apne dimag ka sahi istemal kiya Aditya ki help se Aag lga diya Dark elf's ko distract krne ke liye jisse Raj nd team easily building me ghus ske. Annie ne bhi Raj ke help kri. Jiske baad Raj 2nd floor me ghus gya lekin ghuste hi Annie se 2-2 hath ho gya Annie shock gai ye jankr ke Raj ke paas to koi mana nahi hai fir ye kaise itna acha Fight kr skta hai. Raj ne MI 3 sbhi members ko heal krne ko bol diya. Jo kisi ne sense nahi kiya woh Raj ne kiya koi unki bate Sun rha tha jiske bad Raj apne sath ho rhe changes ko smjhne ke liye dhyaan me baith gya jahan usko 2 energy ka pta chalta hai jise woh merge krta hai lekin uske aise krne se bahar uske dost ko bhi woh energy Raj ke body se bahar dikhaai deta jisse sbhi shock hote hue dekhte hai Raj ke ankh kholne ke baad sbke face expression dekhkr smjh jata hai Kya majrz hai lekin sbko baad me smjhayega aisa bol kr yahan se niklne ki sochte hai. Ab ayega maza jahan tk mujhe lgta hai Raj Kuch -2 toh smjh hi gya hoga apne Powers ko jisse ab Dark elf ki khairr nahi..Update 6
Helping Hand.
MI 3 ka outpost kuch 300 feet ke distance par tha.
Ek information ka department hone ki wajah se uska location kaafi achha tha. Ek 2 floors ki building jispar iron grills lagi hui thi aur aaspas ke trees ki wajah se vo achhe se dhaki hui thi.
Is building ko stones ka use kar ke banaya gaya tha. Iske wajah se vo kaafi strong thi. MI 3 ke samne ke area mei ek square fountain banaya gaya tha saath hi uspar kaafia achhi design bhi banayi hui thi. Wahi uske ek side par ek hotel bhi bana hua tha.
Outpost ke aaspas jo buildings the unhe woods se banaya hua tha.
Lekin outpost ko koi bhi naam nahi diya gaya tha aur na hi uske gate par kisi guard ko khada kiya gaya tha. Agar abhi Ardivan Raj aur Aditya ke saath nahi hota toh un dono mei se koi bhi us building ko jaldi se pehchan bhi nahi pata. Unhe sirf utna hi pata tha ke old city mei ek outpost hai.
Ardivan ke piche piche aa kar Raj aur baki sabhi su fountain wale area mei aate hai aur ek gali ke andar chup jaate hai. Ardivan ne apne sir ko bahar nikaala aur dekhne lag gaya.
Kuch der aise hi dekhne ke baad Ardivan ne piche mudkar Raj aur Aditya ko dekha aur unhe kaha.
Ardivan-Building ke andar battle abhi bhi chalu hai. Lekin street ko dark elves assassins guard kar rahe hai. Mein ne abhi tak 20 dark elf assassins ko dhund nikaala hua hai. Un sabhi ne fountain square ke aaspas ke striking points par position li hui hai. Aise mei ham directly aage nahi badh sakte hai. Upar se unhone oil lamps ko bhi jala kar rahka hai. Iske wajah se street par bhi kaafi light hai.
Ardivan ki baat sunkar Raj kuch der sochne lag jata hai. Kyo ki vo agar Lesser Invisibility ko bhi use karte hai toh bhi oil lamp ki light ki wajah se unka plan bekaar ho sakta tha.
Aise mei kya vo directly breakthrough karte hue jaaye ?
Agar vo aisa karte bhi hai toh bhi vo sabhi un dark elf assassins ke arrows ke attack se maare jaa sakte hai. Yeh kisi suicide se kam nahi tha.
Raj abhi bhi kuch soch raha tha.
Raj-Dark elf warriors aur assassins ne abhi tak koi full fledge attack kyo nahi kiya hai. Kahi vo Annie ko zinda capture nahi toh karna chahte hai ?
Yeh baat Raj ne kuch sochte hue kahi thi.
Waise toh outpost ki building stones se bani hui thi lekin kaafi saare places par wood ka bhi use kiya gaya tha.
Aise places par yeh dark elf assassins fire se attack kar sakte the. Is wajah se andar jitney bhi log the vo apni jaan ko bachane ke liye building se bhag kar bahar zarur aate.
Raj ki baat ko sunkar Aditya aur Ardivan uski taraf dekh rahe the. Is par Ardivan ne unhe dekhte hue kaha.
Ardivan-Mujhe bhi aisa hi lagta hai.
Ardivan ki baat sunkar Raj ne kaha.
Raj-Waise toh inke irade kuch thik nahi lag rahe hai. Lekin Annie jais warrior ko zinda capture karna itna bhi easy nahi hai. Vo yeh karne ke liye time lenge. Yahi hamare liye chance ho sakta hai. Ardivan kya tum fountain ke aaspas jitney bhidak elves hai unke position ko pin point kar sakte ho ?
Ardivan-Haan mein yeh kar sakta hu. Mein concealment technique ko use karne mei outpost mei sab se best hu. Is sab mei yeh dark elf warriors bhi mere kisi match ke nahi hai. Shayad sirf 1-2 dark elf warriors mujh se chut sakte hai.
Jab Ardivan yeh baat keh raha tha tab uske face par prideful expressions the.
Lekin tabhi Raj ne apne sir ko na mei hilate hue kaha.
Raj-Nahi Ardivan tumhe kisi ek ko bhi miss nahi karna hai. Kya tum mujhe yeh promise kar sakte ho ?
Raj ki baat sunkar Ardivan ke face par abhi kuch pal pehle jo prideful expressions the vo kahi gayab ho gaye. Usse pata tha ke yeh sab akele karna kitna dangerous hai.
Ardivan ko aise dekh kar Aditya ne usse kaha.
Aditya-Ardivan ham sabhi yeh sab Annie ko bachane ke liye kar rahe hai. Ho na ho dark elves ne abhi tak full fledge attack is liye nahi kiya hai kyo ki vo Annie ko zinda capture karna chahte hai. Aise mei hamne time waste kiya toh sab kuch bigad sakta hai.
Aditya ki baato ko sunkar Ardivan kuch hosh mei aa gaya. Usne phir Raj ki taraf dekha aur kaha.
Ardivan-Toh ab hame aage kya karna hoga ?
Raj-Ham fire se attack karenge.
Ardivan-Thik hai phir. Aap sabhi mujhe cover dijiye….wait agar hamne fire se attack kiya toh ham sabhi dark elf warriors ki nazaro mei aa jayenge.
Ardivan ki baat par Raj ne sirf smile kiya aur apne sir ko gali ke bahar nikaal kar fountain square ke area ko achhe se dekh liya aur piche aa gaya.
Usne Aditya ko waha ke sabhi lamps ke position ke baremei bataya.
Jab Raj ne Aditya ke bahar ke sabhi lamps ke position ke baremei bataya toh usne apne sir ko kuch bahar nikaala aur apne haat ko wave kiya. Aditya ke aisa karne par uske aaspas jo Mana tha vo calm way mei uski taraf badhne lag gaya. Us Mana ne ek magical hand ko form kiya jo invisible tha aur usse sirf Aditya hi sense kar sakta tha. Magical Hand bhi ek basic spell thi jise Mage Warriors apne se kuch distance par gire hue weapon ko uthane ke liye use karte the.
Aditya ne apne Magical Hand ko move karte hue usse kuch 50 feet par jo oil lamp tha us tak le gaya.
Jaldi hi Aditya ke Magical Hand ne us oil lamp ko pakad liya. Lekin Aditya ne usse tabhi nahi destroy kiya. Vo ab kuch der wait karne lag gaya tha.
Kuch 30 seconds ke baad ek stronf wind flow aaya jiske wajah se sabhi oil lamps hilne lag gaye the. Saath hi itni zor se hilne ki wajah se unki aawaz bhi hone lag gayi thi.
Tabhi piche se Raj ne Aditya ko halke aawaz mei kaha.
Raj-Abhi!
Raj ke ishare par Aditya ne jaldi se us oil lamp ko khinch liya. Lekin Aditya ne us oil lamp ko aise khincha jiske ke uske andar jo oil tha vo paas ke firewood mei jaa kar gir gaya aur uske wajah se us firewood ki fire aur bhi strong ho gayi.
Ussi firewood ke side mei ek wood home bana hua tha. Kyo ki vo ghar bhi wood se bana hua tha is liye usmei bhi fire lag gayi. Wind ka direction bhi outpost ki taraf tha is liye vo fire dekhte hi dekhte strong hone lag gayi. Dekhte dekhte us fire ki wajah se fountain square area mei jitni bhi woods ki buildings thi un sabhi mei fire lag gayi.
Us fire ki wajah se aaspas ke gharo mei jitney bhi dark elf assassins chupe hue the vo sabhi bahar aa gaye the.
Raj ne phir se apne sir ko bahar nikala aur dekhne lag gaya.
Usne dekha ke jin gharo mei fire lagi hui hai unmei se kuch shadows jump laga kar bahar aa rahe hai.
Un sabhi shadows ki landing style hi bata rahi thi ke yeh sabhi dark elf assassins hai.
Kuch 5 minutes ke baad vo fire wind flow ki wajah se aur bhi strong hoti chali gayi. Is wajah se fountain square area mei kaafi chaos jaisa ho gaya tha.
Yeh time Raj aur group ko move karne ke liye bilkul sahi tha.
Raj ne pure situation ko dekha aur phir sabhi se kaha.
Raj-Chalo hame abhi move karna hoga.
Raj ki baat par Ardivan ne kuch kehna chaha.
Ardivan-Nahi, tumhe raasta nahi pata….
Jab tak Ardivan apni baat puri kar pata tab tak Raj us gali se nikal kar kaafi speed se move hote hue aage chala gaya tha.
Raj ko itna speed se move hote hue dekh kar uske friends abhi bhi kaafi shock the. Lekin vo bhi piche nahi rahe aur jaldi hi uske piche jaane lag gaye.
Ardivan ke paas bhi unke piche jaane ke sivay koi aur raasta nahi tha.
Raj aur baki sabhi kaafi calmly un points se move ho rahe the jaha se vo unke opponent ke nazar mei naa sake.
Ab tak unhone apne half raaste ko cover kar liya tha aur dark elves ne bhi abhi tak unhe sense nahi kiya tha.
Jaldi hi vo sabhi outpost ke iron gate ke paas aa gaye the. Fire abhi bhi waisi hi lagi hui thi. Iske wajah se waha par kahi bhi ab chupne ke liye jagah nahi thi. Is liye jaldi hi unke baremei dark elves ko pata chal gaya.
Kyo ki Raj aur baki sabhi dark elves se abhi bhi kaafi distance par the is liye dark elves ke archers apne arrows ko un tak shoot nahi kar sakte the. Is wajah se sabhi dark elves unki taraf bhagte hue aane lag gaye.
Raj yeh dekh kar bhi nahi ruka aur na hi baki sabhi. Vo sabhi abhi bhi iron gate ki taraf aa rahe the. Raj ne sabhi ko dekha aur phir chillate hue kaha.
Ardivan-Vo sabhi abhi bhi ham se 100 feet ki distance par hai. Is liye unhe ignore karo aur aage badho.
Yeh keh kar Raj aur bhi speed se aage badhne lag gaya. Jaise hi Raj iron gate ke close aaya waise hi usne kuch bend ho kar ek powerful jump li vo kuch 10 feet ke height tak chali gayi thi. Jaise hi Raj upar hawa mei aaya waise hi usne pass mei jo tree tha uske branch ko pakad liya aur khud ko ghuma kar andar compound mei chala gaya.
Raj ko dekhte hue baki sabhi ne bhi jump lagayi.
Wahi jab Raj compound mei land kar raha tha tab usse andar ke dark elves ne dekh liya tha aur vo uski taraf badhne lag gaye. Lekin niche ground par land hone se pehle hi Raj ne apne sword ko nikala aur usse ghum kar usne ek dark elf ko wahi par maar diya. Abhi vo ghum kar baki 2 dark elves ko maarne hi wala tha ke tabhi building ke 2nd floor se ek aawaz aayi aur ek ke baad ek 2 arrows shoot hue aur vo aa kar un 2 dark elves ko lag gaye.
Ab tak Raj ke friends aur Ardivan yeh sabhi compound mei aa gaye the.
Raj ne jaldi se apne aaspas dekha toh paya ke ek tree ki branch 2nd floor tak jaa rahi hai. Ek baar phir Raj ne jump lagayi aur us branch ko pakad liya aur uski help se vo 2nd floor ki taraf badhne lag gaya.
Uske samne 2nd floor ki ek stone window thi. Yahi se vo 2 arrows shoot hue the. Raj dekhna chahta tha ke andar koun koun hai.
Raj abhi us room mei enter karne hi wala tha ke usne apne sword ko andar rakh diya aur apne knife ko nikal kar apne haat mei rakha.
Issi ke saath Raj kaafi speed se us stone window ko break karte hue us room mei chala gaya.
Yeh ek normal room tha aur abhi yaha par kaafi andhera tha. Raj abhi yaha par koi hai ya nahi yeh dekh hi raha tha ke tabhi usse feel hua ke uske piche se koi uspar attack kar raha hai.
Jaise hi Raj ko yeh sense hua waise hi raj niche jhuk gaya. Raj ke niche jhukte hi uske piche se jis shadow ne uspar andhere mei se strike kiya tha uska knife Raj ke sir ke upar se chala gaya.
Raj waise hi baithe baithe piche ki taraf ghum gaya aur usne apne knife se straight way mei us shadow ki gardan ko aim karte hue strike kiya.
Par vo shadow bhi kaafi experience lag rahi thi. Is liye usne Raj ke strike ko dodge karne ke liye khud ko 2 steps piche le liya.
Abhi vo shadow phir se Raj par strike karne wali thi ke tabhi window se Ardivan aur Raj ke sabhi friends andar aaye.
Jab Ardivan ne Raj aur us shadow ko aise striking position mei dekha toh usne jaldi se kaha.
Ardivan-Commander! Yeh Master Raj hai, Senapati Dipak ke bete. Yeh yaha par hamari help karne ke liye aaye hai aur saath mei Prince Aditya bhi.
Ji haan yeh shadow aur koi nahi balki Annie thi. Jab usne Raj ka naam suna toh vo kuch surprise si ho gayi thi. Usne Raj ko dekhta hua tha aur usse yeh bhi pata tha ke Raj ek Mage Warrior nahi ban sakta hai kyo ki uski body mei koi bhi Mana nahi hai. Lekin Raj ne kuch der pehle jo strike kiya tha vo kaafi fast tha jo Annie ke liye bhi ek bada shock tha.
Jab Annie ne Raj ko achhe se dekha toh vo usse pehchan gayi thi. Wahi usne ghum kar Aditya ki taraf dekha aur jaldi se apne ek ghutne par baith kar usne apne right haat se fist bana kar usse apne heart par rakhte hue kaha.
Annie-Prince ki jai ho!
Annie abhi bhi kaafi young thi. Uski age kuch 23 se 24 years ki thi. Uski figure bhi kaafi achhi thi. Upar se achhi height hone ki wajah se abhi usne jo armour pehna hua tha vo uspar kaafi achha dikh raha tha. Annie ki aakhe blue colour ki thi. Wahi uske baalo ka colour kuch golden tha. Annie ne unhe blunt style mei cut kiya hua tha jo uske face structure ko kaafi suit bhi karta tha.
Aditya ne apne haat ko wave kiya aur Annie ko uthne ke liye kaha.
Wahi Raj us room mei aaspas dekhne lag gaya. Us room mei MI 3 ke 4 hi members bache hue the. Saath mei har ek kaafi seriously injured tha. Unmei se jo sab se zyada injured tha vo toh apni jagah se uth bhi nahi paa raha tha. Saath hi us room mei blood ki smell bhi aana start ho gayi thi.
Yaha Annie Ardivan ke paas aati hai aur usse pichti hai.
Annie-Kya tumne news ko send kiya hai ?
Ardivan-Mein ne sabhi homing birds ko bhej diya hai aur unpar scent bhi spray kiya hua hai taki unpar koi bhi attack na kar sake. Vo sabhi Black Iron tak 1 hour mei pohoch jayenge.
Yeh baat Ardivan ne straight ho kar kahi thi.
Yeh sunkar Annie ne kaha.
Annie-Very Good.
Yeh keh kar Annie ne palat kar Raj aur baki sabhi ki taraf dekha.
Khud ko aise dekhta paa kar.
Raj-Commander Annie mein janta hu ke aap sabhi hame yaha dekh kar kaafi surprise hai. Par mein yeh bata du ke hamari Magic Academy par bhi attack hua tha. Lekin ham sabhi ne waha ke portal tower ko destroy kar diya. Is liye ab ham sabhi ko yaha se bhi jaldi se jaldi yaha par se bhi nikalna hoga. Kyo ki ho na ho dark elves ka koi Mage ya phir Mage Warrior hamare piche aa sakta hai.
Raj ki baat ko sunkar waha par jitney bhi MI 3 ke members the vo sabhi Raj aur uske friends ko dekhne lag gaye. Un sabhi ki nazar mei in sabhi youngsters ke liye ek respect thi.
Portal tower ek kaafi important part tha dark elves ke plan ka jo ab destroy ho gaya tha.
Raj Annie ke samne aata hai aur usse kehta hai.
Raj-Toh Commander Annie aap ka aage ka kya plan hai ?
Raj ke is sawal par Annie aur bache hue MI 3 ke members ek dusre ko dekhne lag jaate hai.
Unke paas koi bhi plan nahi tha. Outpost mei sirf 5 Mage Warriors bache hue the. Wahi bahar itne saare dark elves warrior. Upar se outpost ka ground floor haar jaane ke baad in sabhi ke paas sirf yahi 2nd floor par jagah bachi hui thi. Iske bahar vo jaane ke baremei soch bhi nahi paa rahe the.
Sach kaha jaaye toh vo sabhi apni death ka wait kar rahe the.
Unhone yeh tak nahi socha tha ke unhe koi help karne ke liye bhi aa sakta tha. Swarndesh ki sab se achhi intelligence agency hone ki wajah se vo soch sakte the ke Gladstone City mei abhi dark elves kya kar rahe honge.
In dark elves is attack ko kaafi time se plan kiya hua tha. Unhe jo pata tha aur pata chala tha in sab se MI 3 ke members ko yeh samajhne mei der nahi lagi ke ab jab portal tower darl elves ke haato se chala gaya hai toh vo city border se ek large scale attack kar sakte hai.
Room mei kuch der ke liye kaafi calm atmosphere tha. Lekin phir Annie ne Raj aur Aditya ki taraf dekhte hue kaha.
Annie-Prince Aditya, Master Raj ham sabhi MI 3 ke members yaha se nikalna chahte hai. Lekin aap dono ko pata hai ke is outpost ke bahar ham sabhi ke kitne saare opponents hai.
Ab tak un sabhi ne yahi socha tha ke ab bas unhe unki death mil jaye. Vo kisi bhi halat mei dark elves ke haato mei nahi lagna chahte the.
Par ab jab unhe Raj aur uske friends ka saath mil raha tha toh un sabhi ke andar ek hope jag gayi thi ke vo sabhi yaha se nikal sakte hai.
Raj ne un sabhi ko dekhte hue aage pucha.
Raj-Yaha se nikalne ke baad tum sabhi kya karne wale ho ?
Raj ke is sawal ko sunkar Annie phir se shant hui aur kuch sochne lag gayi.
Kuch der soch kar usne kaha.
Annie-Agar ham sabhi yaha se nikalne mei successful ho jaate hai toh ham sabhi City Guard ki taraf chale jayenge. Waha par 1500 se bhi zyada Mage Warriors hai. Mujhe mili report se mujhe yahi pata chala hai ke dark elves ki army wahi se aane wali hai. Yaa phir vo wahi par khi stationed hai.
Kyo ki Annie intelligence agency ki top commanders mei se ek thi toh uski report par Raj aur Aditya ko koi bhi doubt nahi tha. Even Annie ki report sunne ke baad Raj ko bhi issi ki possibility lag rahi thi. Agar vo sabhi Annie ki batayi hui jagah par pohoch jaaye toh un sabhi ko waha ke baki Mage Warriors ki help bhi mil sakti thi. Saath hi ab jab Ardivan ne attack ke news ko bhej diya that oh Black Iron bhi apne troops ko bhejega hi.
Raj aur Aditya ne ek dusre ko dekha aur apne sir ko haan mei hilaya.
Annie City Guard Walls ki taraf is liye bhi jana chahti thi kyo ki waha par ek Carol naam ka ek Level 4 Mage Warrior tha. Agar vo Annie ki help karta hai toh Annie confident thi k evo khud hi is dark elves ke army ko kuch reinforcement aane tak handle kar sakti hai.
Annie ko bas achhe Mage Warriors ki zarurat thi. Jo usse is war mei support kar sake. Saath hi Black Iron ke bhi troops aane wale the. Toh usse bas kuch der tak hi dark elf army ko hold karna tha.
Yaha Raj ne Roshni aur Riya ko kaha ke vo dono sabhi MI 3 ke injured warriors ko Elemental Healing se heal kar de.
Kyo ki abhi waha par Roshni aur Riya hi healing spells ko cast kar sakti thi is liye Roshni ne Riya ko bhi Elemental Healing kaise cast karni hai iske baremei bata diya aur usse bh wahi use karne ke liye kaha.
Issi ke saath Roshni aur Riya ne yaha par jitney bhi MI 3 ke injured warriors the unpar healing spell ko cast kiya.
Roshni ne Annie par bhi Elemental Healing ko cast kiya. Is wajah se pehle toh Annie ko kuch different feel hua lekin Ardivan ke explain karne par usse sab samajh mei aa gaya.
Sabhi par healing spell cast hone ke baad Raj ne Annie ko dekhte hue kaha.
Raj-Yeh sabhi 1 hour mei achha feel karne lag jayenge.
Abhi Raj kuch kehne hi jaa raha tha ke tabhi usse kuch feel hua. Raj jaldi se palat gaya aur room ke door ki taraf apna haat utha kar usne us andheri jagah ko dekhte hue kaha.
Raj-Koun hai waha ?
Raj ki is harkat par Annie aur Raj ke friends bhi us door ki taraf dekhne lag gaye. Raj us andhere mei bhi ek shadow ko halke se move hote hue dekh paa raha tha. Lekin jab us shadow ne Raj ko uski taraf haat uthate hue dekha toh vo shadow piche hi andhere mei kahi gayab ho gayi.
Raj ab kuch serious ho gaya tha. Us shadow ke movement ko dekh kar Raj samajh gaya tha ke yeh koi dark elf assassin hai jo room mei koun koun hai yeh dekhne aaya tha.
Yeh sabhi ko pata tha ke dark elf assassins andhere mei kaafi dangerous hote hai. Vo andhere ko achhe se use kar sakte the. Issi wajah se Raj ab kaafi alert sa ho gaya tha.
Raj ne palat kar MI 3 ke Mage Warriors ko dekha jo abhi abhi cast kiye hue spell ki wajah se heal ho rahe the. Kyo ki na Raj aur na hi uske friends koi proper high level healing spell jaante the is unhe unke paas jo bhi tha ussi se kaam chalana tha.
Raj ne sabhi ko dekha aur kaha.
Raj-Ham next 20 minutes mei nikal rahe hai.
Yeh keh kar Raj ek jagah par baith gaya. Kyo ki usse khud bhi uske saath jo hua hai vo sab samajhna tha.
Raj niche baith kar meditate karne lag gaya tha.
Kuch hi der mei Raj ki saanse kaafi calm ho gayi thi aur ab Raj kaafi focus ho gaya tha.
Raj apne andar kuch feel kar raha tha aur uske hi piche jaane lag gaya.
Yeh jagah kuch aur nahi balki Raj ka mind tha.
Raj ko uske consciousness mei 2 shining energy balls dikh rahe the. Unmei se ek white energy ko release kar raha tha. Wahi dusra red energy ko release kar raha tha.
Raj ne apne haat ko aage badha kar unki taraf kiya toh vo dono hi energy balls ghumne lag gaye aur dono hi ek dursre mei merge hog aye. Unke merge hone se waha par ab ek bada sa energy ball create ho gaya tha jo kuch white aur kuch red jaise mix energies ko release karne lag gaya tha.
Wahi yaha Raj ke mind mei yeh sab ho raha tha tab bahar room mei sabhi Raj ko dekhne lag gaye the. Kyo ki uski body mei se bhi same colour ki energies release ho rahi thi. Saath hi sabhi yeh kaafi achhe se feel kar paa rahe the ke yeh jo aura abhi Raj ke aaspas bana hua tha vo kaafi powerful tha.
Kuch der baad jab Raj ne apni aankho ko open kiya tab usne dekha ke sabhi usse hi dekh rahe hai.
Raj samajh gaya tha ke jab vo meditate kar raha tha tab zarur kuch na kuch hua hai.
Lekin abhi in sabhi baato ke liye time nahi tha is liye Raj ne sabhi ko dekha aur kaha.
Raj-Sab kuch bataunga lekin abhi hamare samne ek kaafi badi problem hai.
Kyo ki an tak jo Mage Warriors injured the vo ab tak kuch heal ho gaye the.
Unmei se ek ne Annie ko dekha aur kaha.
“Commander ab ham kuch had tak recover ho gaye hai. Ham sabh ab yaha se nikal sakte hai.”
Annie ne jab yeh suna tab usne ek baar Raj ko dekha jisne apne sir ko hilakar haan mei ishara diya.
Hum hain to kia ghum hai...Guys mere Laptop aur Phone barish mei bhig kar dead ho gaya tha iske wajah se update nahi post kar paya. Par aaj kahi se jugaad kar ke ek old lappy liya hai so jo bhi likha hua update tha usse phir se likhna hoga.
Try karunga ke aaj ek update post kar paau.
PEACE✌.