Update 13
The break of Dawn.
Ek pal ke liye Lords ko kuch bhi samajh mei nahi aaya ke vo city wall ke upar se niche kaise gira. Par jaldi hi Lords hosh mei aa gaya aur ab uska gussa bhi badh gaya tha.
Usne yeh bilkul bhi expect nahi kiya tha ke vo kisi human Mage Warrior ke cast kiye hue fireball ke blast se piche ud jayega aur yaha niche aa kar girega.
Wahi upar is sab ki wajah se kaafi kuch change ho gaya tha. Jaha par kuch der pehle dark elves warriors human army ko supress kar rahe the wahi jab dark elves warriors ne apne Lords ko aise niche girte hue dekha toh sabhi shock ho gaye the.
Is shocking moment ka use karte hue Minx ne apne samne jo dark elf general tha usse apne sword ke single strike se hi maar diya aur jaldi se dusre dark elf general ki taraf badh gaya jiske saath abhi Annie fight kar rahi thi.
Yaha Lords phir se upar aane ke liye jump lagane wala tha ke tabhi Raj ne Roshni aur Riya ko ishara kiya aur uska ishara paa kar un dono ne milkar phir se Hailstorm ko cast kiya.
Lesser Hailstorm!
Yeh hailstorm Lords ko hurt toh nahi kar sakta tha par uske vision ko block zarur kar sakta tha.
Lesser Hailstorm ki wajah se Lords ko yeh samajh mei nahi aa raha tha ke yeh Mage kaha hai aur na hi usse yeh dikh paa raha tha ke uski jump kaha par land kar sakti hai.
Is sab se gussa ho kar Lords ne kaha.
“Tumhe lagta hai tum mujhe is sab se rok paoge ?”
Yeh keh kar Lords ne apne sword ko dono haato se pakad kar upar uthaya aur apne full forc ke saath usse niche ki taraf strike kiya.
Lords ke is strike mei itna force tha ke uske wajah se uske aaspas jo hailstorm bana hua tha vo puri tarah se destroy ho gaya.
Raj aur uske friends ko pata tha ke sirf ek flame Blast aur Lesser Hailstorm Lords ko kuch nahi kar sakte hai. Par unhe sirf time chahiye tha taki Marshal Allons unki help karne ke liye aa sake.
Raj ke kehne par uske friends ne phir se apne combine spells ko use karna jaari rakha.
Yaha is sab ki wajah se humans aur dark elves ke bich jo war chal raha tha uski intensity kuch kam ho gayi thi. Almost har koi Lords ke against Raj aur uske friends ki jo fight chal rahi tthi usse dekh rahe the. Aisa lag raha tha jaise ab yeh fight hi is pure war ko represent kar rahi hai.
Lords bas uspar hone wale attacks ko apne sword se destroy karte rehta tha. Usse abhi tak yeh pata nahi chal paya tha ke yeh mage aakhir hai kaha par.
Aditya ne phir se Flame Blast ko cast karte hue usse phir se Lords ki aankho ke samne blast kar diya tha. Par is baar Lords piche nahi uda balki wahi par khada raha aur usne apni aankho ko close kar liya. Issi bich Roshni aur Riya ne phir se Lesser Hailstorm ko cast kiya.
Kyo ki Flame Blast ke light ka effect almost sabhi par hua tha. Is chance ko use karte hue Minx ne wall ke upar se jump lagayi aur kaafi speed se move hote hue Lords ki taraf badh gaya. Vo is sab ko apne sword ke ek hi strike mei end kar dena chahta tha.
Yeh sab upar watch tower se Raj aur uske friends dekh rahe the.
Raj ke ishare par Roshni aur Riya ne Lesser Hailstorm ko rok diya aur jaise hi Lords Minx ke aankho ke samne aaya waise hi usne apne sword ko full force ke saath straight way mei strike kiya.
Lords ki aankhe abhi bhi Flame Blast ke effect ki wajah se close thi par ek level 6 Mage Warrior hone ki wajah se Lords apne surrounding se kaafi alert tha.
Usse pata chal gaya ke kisi strong warrior ne uspar attack kiya hai. Is liye jaise hi Minx ki sword uske chest ke paas aayi waise hi Lords ne apne sword ke flat surface se Minx ke sword point ko rok diya.
Kyo ki Minx ne apne is strike mei apne full force ka use kiya tha us wajah se Lords bhi 1-2 steps piche chala gaya.
Tabhi Lords ne apni aankho ko open kiya aur apne samne Minx ko khada paya.
Minx ek level 4 Mage Warrior hai yeh samajhne mei Lords ko der nahi lagu. Apne upar apne se ek low level Mage Warrior ne attack kiya hai is baat par Lords puri tarah se bhadak gaya tha.
Lords ne apne sword ko wave kiya aur kaafi speed se Minx ki taraf badh gaya.
Yaha uapr watch tower se Raj ne yeh dekh kar Abhay ko ishara kiya aur uske ishare par Abhay ne Minx par Vector Resistance ko cast kiya.
Iske wajah se jaise Lords Minx ke kuch paas aata waise hi Minx bhi utne hi speed se piche ki taraf chala jata.
Apne aur Lords ke bich mei distance bana paa kar Minx ne ek jump lagayi aur phir se city walls par aa gaya.
Wahi niche Raj ne phir se Lords ko Lesser Hailstorm mei phasa diya tha.
Par Lords ne ek baar phir se us hailstorm ko apne sword strike se destroy kar diya.
Abhi Lords aage badhne hi wala tha ke us par phir se Flame Blast ka attack hua aur uske piche piche bade bade stone udte hue uski taraf aane lag gaye.
Ek ke piche ek aise attacks hone ki wajah se Lords bhi ab kuch injured hone lag gaya tha. Wahi apne marshal ki yeh halat dekh kar jaldi se sabhi dark elves walls se niche utar gaye aur jaldi se sabhi ne apne marshal ko cover kar liya.
In sabhi attacks ke wajah se Lords ka aura ab kam ho gaya tha aur koi bhi yeh dekh kar bata sakta tha ke yeh sab uske sword ko zyada use karne ke wajah se thak gaya hai.
Yaha Raj aur uske friends bhi kaafi thak gaye the aur almost sabhi behosh hone ki halat mei the.
Upar se unhone apne Mana ko stable rakhe ne liye kaafi Low Level Mana Potions ko pi liya tha. Low Level Mana Potions ko agar zyada quantity mei liya jaaye toh vo kisi bhi Mage Warrior ke liye dangerous ho sakta hai.
Kyo ki vo ek Low Level Mana Potions the us liye unke andar toxin bhi hota tha jo Mana Circulation ko slow kar deta tha.
Upar se apne kuch last attacks mei Raj ke friends ne Holmes ke us crystal staff ko bhi use kiya tha jiske wajah se unke body ke andar jo Mana tha vo jaldi jaldi drain hone laga tha. Saath hi uske use ke wajah se unke body par bhi kaafi toll pad raha tha.
Raj ne apne paas mei gire hue ek bow aur arrow ko utha kar watch tower ki edge par aaya.
Raat khatm hone ko aa rahi thi aur aasman mei bhi halka halka ujala hone laga tha. Is sab ke bich Raj apne haato mei vo bow aur arrow lekar khada tha. Usne us bow par us arrow ko set kiya aur usse Lords ki taraf aim kiya.
Jab Lords ne apne sir ko upar utha kar watch tower ki taraf dekha tab usse waha par koi khada dikha jiske haat mei bow tha aur usne uspar lage hue arrow ko uski taraf aim kiya hua tha.
Aasman mei har badhte pal ke saath suraj upar aa raha tha aur raat ke andhere ko hata raha tha.
Lords ko samajhte der nahi lagi ke yeh wahi hai jisne abhi tak usse rok kar rakha hua tha. Usne gusse mei zor se chillate hue kaha.
“Tum jo koi bhi ho aaj mein Dark Lord ki kasam kha kar kehta hu, tumhari death mere haato hi hogi.”
Yeh sunkar Raj ne apne bow string ko arrow ke saath uske limit par piche khich liya.
Raj ke aisa karne par jaise pure aasman mei suddenly zor se lightning hone lag gayi. Har koi yeh sab dekh kar kaafi shocked tha.
Tabhi Raj ne Lords ke shoulder ko aim karte hue apne arrow ko release kar diya.
Apne marshal ki taraf us arrow ko aate hue dekh kar kuch dark elves uske raaste mei aa gaye aur vo arrow un sabhi ke aarpar hote hue aa kar Lords ke right shoulder ko hit kar gaya.
Jaise hi arrow ne hit kiya waise hi pure battlefield mei Raj ki aawaz gunjh gayi.
“Lords jaa kar apne higher ups aur apne king ko keh dena ke RAKSHAK aa gaya hai. Jaise yeh suraj is raat ke andhere ko apane kirno se mita raha hai waise hi RAKSHAK bhi tum sabhi ke failaye hue andhere ko mitayega,”
Raj ki baat par Lords ko kaafi gussa aa gaya tha. Vo aage badhne hi wala tha ke tabhi un sabhi ko deep horn ki aawaz sunayi dene lag gayi.
Yeh sunkar human Mage Warriors ke face par khushi si aa gayi thi. Wahi dark elves warrior panic hog aye the.
Kyo ki yeh aur kuch nahi balki humans ki reinforcement aa gayi thi.
Ab tak suraj bhi upar aa gaya tha aur raat puri tarah se khatm ho gayi thi aur issi ke saath khatam hua tha Gladstone City ka yeh war.
Yeh sab dekh kar Lords ne zor se chillate hue kaha.
Retreat!
Yeh keh kar Lords ne apne shoulder mei lage hue us arrow ko nilkaal kar phek diya aur ek baar upar watch
tower ki taraf dekh kar waha se piche palat gaya aur apne saath apni dark elves ki army bhi lekar chala gaya.
Jab Raj ne dark elves ki army ko jaate hue dekha tab vo bhi piche ki taraf gir kar behosh ho gaya tha. Wahi ab tak Roshni ko chod kar jo puri tarah se thak gayi thi baki sabhi behosh ho gaye the.
Jaldi hi Marshal Allons ne aa kar command ko apne haato mei liya aur jitney bhi injured Mage Warriors the unhe first aid ke liye bhej diya.
Annie Minx ke saath watch tower aayi jaha par usse Roshni ko chod kar baki sabhi behosh gire hue dikhe.
Raj aur Aditya ke saath baki sabhi ko behosh dekh kar Annie kuch dar gayi aur jaldi se usne sabhi ki pulse ko check kiya.
Jab usne conform kiya ke sabhi sirf behosh hue hai tab jaa kar usne ek gehri saans chodi. Jaha Aditya, Abhay aur Riya zyada Low Level Mana Potions ko pine ki wajah se behosh hue the wahi Raj ne apne body aur mind in dono ko hi is ek raat mei apne limit tak push kar diya tha jiske wajah se vo puri tarah se thak gaya tha aur behosh ho gaya tha.
Annie ne Minx ki help ke saath sabhi ko utha kar waha se lekar aayi aur un sabhi ko capital bhejne ki arrangement karne lag gayi.
Jaldi hi ek bada ra carriage aaya aur usmei sabhi ko sahi se rakh diya gaya.
Gladstone City ke matters ko Annie aur Minx par chod kar Marshal Allons khud carriage ke saath aage chalne lag gaye.
Gladstone City se capital ka distance kuch 1-2 days ka tha.
Marshal Allons ki lead mie kuch Mage Warriors ke saath capital ki taraf badh gaye.
Ek pura din travel karne ke baad vo sabhi almost capital ki border ke paas aa gaye the. Issi bich Raj ko hosh toh aaya tha par vo kaafi weak feel kar raha tha. Lekin Aditya, Abhay aur Riya abhi bhi behosh hi the.
Jaldi hi sabhi capital mei enter kar gaye aur dekhte hi dekhte sabhi Royal Palace ke samne aa gaye the.
Maharaj Shekhar aur Senapati Dipak ko pehle hi in sabhi ke aane ke baremei news mil gayi thi aur Maharaj Shekhar ne high level healers ko Royal Palace par bula liya tha.
Aditya, Abhay aur Riya par jaldi se high level recovery spell ko cast kiya gaya aur saath hi unhe high level recovery potions bhi pilaye gaye.
Ab tak Maharani Suman aur Dipali waha par aa gaye the.
Is sab se Raj kuch had tak recover ho gaya tha aur abhi baitha hua tha.
Dipali ne jaise hi Raj ko dekha waise hi vo jaldi se uske paas aayi aur usse upar se niche dekhne lag gayi.
Dipali ki aankho mei apne bete ki aisi halat dekh kar aansu aa gaye the
Raj ne dipali ke aansuo ko pochte hue usse dekha aur smile karte hue usse kaha.
Raj-Maa dekho mein puri tarah se sahi hu. Sirf mein hi nahi balki mere sabhi friends bhi sahi hai aur mere saath aaye hue hai. Ab mein kahi nahi jane wala hu.
Raj ki baat par Dipali ne aansuo se bhari aankho se usse dekha aur phir uski baat par smile karte hue kaha.
Dipali-Aur mein bhi tumhe kahi nahi jaane dene wali hu. Tum aaj ghar chalo aaj tumhari aur tumahre Baba ki khair nahi hai. Mein aur Suman ne kaha tha ke bachho ko itni dur bhejo par koi hamari baat tak nahi sunna chahta tha.
Ab tak Aditya bhi hosh mei aa gaya tha aur vo Raj ko aise apni maa se daant khate hue dekh kar kuch hasne lag gaya tha. Par tabhi uske side se Maharani Suman ne uske kaan ko pakad liya aur Dipali ki baat ko support karte hue kaha.
Suman-Tum sahi keh rahi ho Dipali. Dekhna aaj inki aur is Aditya ki bhi khair nahi hai. Inhe kya pata hoga ek maa ke dil ka dard kya hai jab vo apne bachhe ko aisi halat mei dekhti hai.
Dipali aur Maharani Suman ki baat par Senapati Dipak aur Maharaj Shekhar sirf apne sir ko naa mei hilate reh gaye. After all jab Dipali aur Maharani Suman un dono se keh rahi thi ke bachho ko Gladstone City mat bhejo tab unhone in dono ki ek bhi nahi suni thi.
Raj Dipak aur Dipali ki saath apne gahr chala gaya.
Roshni ko Maharaj Shekhar ne palace ke guest house bhej diya.
Raj jaise hi apne ghar aaya waise hi apne room mei gaya aur jaa kar jaldi se apne bed par so gaya.
Raj kaafi dino ke baad aisi gehri neend mei soya hua tha is liye Dipali ne bhi usse uthana sahi nahi samjha.
Dusre din tak Raj kaafi had tak recover ho gaya tha. Wahi palace mei bhi Aditya, Abhay aur Riya ki recovery achhi tarah se ho rahi thi. Maharaj Shekhar ne Abhay aur Riya ki family ko bhi capital mei hi settle karne mei help ki. Par ek baat yeh thi ke zyada amount mei Low Level Mana Potions ko pine ki wajah se un sabhi ko uske effect se puri tarah recover hone ke liye 2-3 months tak ka time lag sakta tha.
Issi bich Annie bhi capital aa gayi thi. Usne aane ke baad palace mei Gladstone City aur Magical Academy mei jo bhi hua tha uski detailed report ready ki hui thi.
Sab kuch point to point likha hua tha Annie ne apne report mei.
Jab Annie ne Raj kiye hue sabhi kaamo ko bataya tab Maharaj Shekhar aur Senapati Dipak dono hi kaafi shock ho gaye the.
Itni perfect planning ke saath Raj ne ek dark elves warriors ki army ko face kiya tha. Apne apne beto ke karnamo ko sunkar Maharaj Shekar aur Senapati Dipak dono hi unpar proud feel karne lag gaye the. Saath hi dono is baat se bhi khush ho gaye the ke Raj bhi ab Mage Warrior ban sakta hai.
Saath hi Raj ne Senapati Dipak ko un sabhi MI 3 ke members ke baremei bataya tha ke kaise un sabhi ne in sab mei unki help ki thi.
Raj ki baato ko Senapati Dipak ne Maharaj Shekar ko bhi bataya aur us wajah se Annie aur uski team ko higher position par promote kar diya gaya.
Achhi baat yeh thi ke Holmes ke us blast mei Annie ke team ka koi bhi member mara nahi gaya tha. Yeh sab Raj ke Roshni aur Riya ko unpar Elemental Healing ko cast karne kehne ki wajah se hua tha. Vo sabhi un jhadiyo mei slowly recover ho rahe the aur jab search team ko waha par mile toh unhe bhi jaldi se first aid ke liye bheja gaya tha.
Kuch din aise hi guzar gaye. Raj ab tak puri tarah se recover ho gaya tha aur usne apne sword training ko phir se start kar diya tha.
Saath hi usne Mana se related sabhi books ko phir se read karna bhi start kar diya tha. Kyo ki Raj ke ghar mei in sabhi books ki ek badi si library thi is wajah se usse almost har taraf ki book apne ghar mei hi mil jaati thi.
Aaj Gladstone City ke attack ko 2 months bit chuke the.
Raj apne ghar ke backyard mei tha aur waha ke garden mei baith kar apne body ke andar Mana ko circulate kar raha tha.
Is sab ke baremei uske ek book mei read kiya hua tha ke kaise apne body mei Mana ko circulate kiya jata hai.
First time mei toh Raj ko yeh sab karna kaafi hard feel ho raha tha par dekhte hi dekhte usne yeh karna bhi sikh liya.
Raj jaldi hi apni practice se bahar aaya aur apni jagah par khada hua.
Vo apne fist ko open aur close kar raha tha. Usne apne body ko dekhte hue kaha.
Raj-Meri Mana absorb karne ki speed 2 times hai. Par abhi bhi mujhe kaafi kuch learn karna hai. Mujhe apne past life ki har ek baat toh yaad aa gayi hai. Aise mei agar mere paas jo knowledge hai uska use kar ke mein shayad kuch new spells ko bhi create kar paau. Lekin is sabhi ke liye mujhe meri foundation ko strong karna hoga. Waise bhi ab kuch time tak toh mein aise hi rehne wala hu aise mei mein zarur kuch na kuch experiment kar sakta hu. Wahi baat mere RAKHSHAK hone ki toh Spectre ne kaha tha ke sahi time par mujhe samajh mei aa jayega ke mujhe karna kya hai. Abhi ke liye mein life ke is moment ko enjoy karunga.
Issi ke saath Raj apne ghar ke andar aa jata hai.
Ab tak Dipali ne breakfast laga diya tha aur Senpati Dipak ne Raj ko aate hue dekh kar usse bhi Breakfast karne ke liye kaha.
Senapati Dipak aur Dipali dono bhi apne bete ko aise training karte hue dekh kar kaafi khush the. Ab tak un dono ko bhi Raj ke future ko lekar kaafi tension hua karta tha ke aage chal kar Raj kya karega. Lekin ab jab Raj bhi bakiyo ki tarah Mana use kar sakta hai yeh dekh kar dono bhi is tension se jaise free ho gaye the.
Raj ne breakfast kiya aur apne friends se milne ke liye chala gaya. Aditya toh palace mei tha wahi Abhay aur Riya apne ghar par the. Rahi baat Roshni ki toh usse dark elves ke against sabhi ki help karne ke liyem Maharaj Shekhar ne ek house reward ki tarah diya hua tha.
Isse lene se Roshni pehle mana kar rahi thi lekin Raj aur baki sabhi ki manane par vo isse lene ke liye man gayi.
Aise hi time aage badhte gaya.
Raj aur baki sabhi ne soch liya tha ke vo sabhi East Cove Magic Academy ko join karenge par abhi ke liye vo aisa nahi kar sakte the. Usse join karne ke liye ek specific age ki zarurat thi saath hi vo Swarndesh ki sab se badi magic academy thi. Waha par join hona itna bhi easy nahi tha.
East Cove Magic Academy selection ke mamle mei kaafi strict thi. Kyo ki yeh Swarndesh ki sab se best magic academy thi aur yaha par kaafi elites figures ek saath aa kar kaafi saari baato par discussion karte the. East Cove Magic Academy mei sirf magic se related baato par hi discussion nahi hota tha balki usmei har tarah ke subjects par discussions hote the.
Aaj Raj apne ghar ke library mei baith kar ek book ko read kar raha tha. Uska naam tha Spell Structure. Us book mei sabhi common spells ko list kiya gaya tha jaise Earth Spike, Fireball, Wind Blade, Grease, Lesser Invisibility. Is book mei in sabhi spells ke baremei kaafi detailed mei explanation diya hua tha.
Raj ko abhi issi ki zarurat thi. Raj kaafi achhe se is book ko study karne lag gaya tha.
Kyo ki Raj apne past life mei kaafi brilliant student tha is liye usse aisi study karne ki aadat thi.
Aaj usse is sab ke barremei read karte hue pura din nikal gaya tha.
Is baar uska magic book ko read karne ka experience bilkul bhi different tha.
Raj carefully ho kar har ek page par jo bhi information thi usse read kar ke usse samajh raha tha. Har ek page karne ke baad Raj rukta aur abhi uske jo bhi read kiya hai usse revise karta.
Is book ki information ke hisab se sabhi spells 6 major type mei divide hoti hai. Jaise Elemental Spells, Secret Spells, Conjuring Spells, Summoning Spells, Enchanting Spells aur Alchemy Spells.
Jo bhi spells level 3 ke niche thi un sabhi mei koi zyada difference nahi tha. Koi bhi normal Mage Warrior in sabhi type ke spells mei apne skills ko develop kar sakta tha. Lekin jab ek Mage Warrior Level 3 ke aage breakthrough karta hai tab unhe yeh decide karna padta hai ke unhe kis type spells mei specialises hona hai aur ussi par focus kar ke aage chalna padta tha.