Update 16
East Cove Magic Academy.
East Cove Magic Academy Swarndesh aur sirf Swarndesh ki hi balki humans ke jitney bhi countries thi un sabhi mei East Cove Magic Academy sab se best thi. Yaha par har country se Mages aur Mage Warriors magic learn karne ke liye aate the. Saath hi kayi human countries ke Princes aur Princesses yaha par magic ko learn karne ke liye aate the.
Par East Cove Magic Academy sabhi ko admission nahi deti thi. Unke kuch set kiye hue rules the aur jab tak koi bhi unke is set kiye hue rule ke under nahi aata tha tab tak usse East Cove Magic Academy mei admission nahi mil sakta tha.
Yeh jagah talented aur hard working Mages aur Mage Warriors ke liye thi.
Jab tak tum talented ya phir hard working nahi hoge tab tak tum is academy ke andar ek step bhi nahi rakh sakte the.
Waise toh Swarndesh mei aur bhi small Magic Academies thi lekin abhi tak vo East Cove Magic Academy ke level par nahi aaye the aur un sabhi ko govern bhi East Cove Magic Academy hi karti thi.
East Cove Magic Academy se graduate hue Mage ya phir Mage Warriors ko real elites mana jata tha. Even East Cove Magic Academy ke dean ko bhi apne sabhi students par kaafi proud tha.
East Cove Magic Academy aur Swarndesh dono hi ek hi time par create hue the. Jab Swarndesh human ki 1st country bani tab humans, elves aur beast humans ne mil kar East Cove Magic Academy ko banaya tha.
East Cover Magic Academy in sabhi lifeforms ke friendship ki symbol thi.
Time aage badhta gaya aur ab Raj 18 years ka tha.
Raj ne ab tak apne spells ke saath kaafi experiments kiye hue the. Saath hi usne Glass Ball ki tarah aur bhi elements ke new spells ko create kiya hua tha.
Sabhi spells apne level se ek level high power ki thi.
Aaj in sabhi ko Maharaj Shekhar ne Royal Palace bulaya tha aur sabhi time par aa bhi gaye the.
Kuch der baad Maharaj Shekhar ne ek servant ko bhej kar un sabhi ko laane ke liye kaha.
Riya-Aditya Shekhar uncle ne ham sabhi ko aaj palace kyo bulaya hai. Pata hai na kal ham sabhi ka entrance test hai East Cove Magic Academy mei.
In kuch years mei ek baat sabhi ne notice kar li thi ke kuch time se Aditya Aur Riya ke bich kaafi closeness aa gayi hai. Almost jab bhi yeh sab milte the tab tab dono saath hi rehte the.
Raj, Roshni aur Abhay yeh sab dekh kar samajh gaye the ke in dono ke bich kya chal raha hai. Lekin Abhay ko kabhi bhi Riya ka Aditya ke itna close rehna kabhi bhi buran ahi laga tha.
Wahi kuch aisa hi haal Raj aur Roshni ka tha . Jaha par Raj aur Roshni ko apne apne dil ka haal kuch kuch pata tha. Dono ne yeh toh notice kar liya tha ke dono ko bhi ek dusre ki company achhi lagti hai lekin yeh baat dono ko ek dusre se kehne mei kuch dar se rahe the.
Raj ne is sab ko time par chod diya tha aur usse trust tha ke sahi time aane par vo ya phir Roshni apne dil ki baat ek dusre se keh hi denge.
Sabhi Maharaj Shekhar ke samne aa kar khade ho gaye. Waha par unke saath Senapati Dipak bhi khade the.
Un sabhi ko dekh kar Maharaj Shekhar ne unhe apne piche aane ka ishara kiya.
Sabhi unke piche chalte hue ek basement mei aa gaye the.
Is basement ke baremei Aditya ko bhi pata nahi tha.
Raj aur baki sabhi Aditya ko dekh rahe the lekin usne bhi apne sir ko naa mei hilakar kar kaha ke usse bhi is sab ke baremei kuch nahi pata hai.
Maharaj Shekhar aur Senapati Dipak us basement mei bane hue ek bade se emtal door ke samne aaye aur unhone apna ek ek haat us door par rakha.
Dono ne bhi apne haato ko us door par rakh kar apne Mana ko circulate karte hue us metal door mei apne Mana ko infuse karne lag gaye.
Dono ke aisa karte hi vo door open hone lag gaya.
Jab door puri tarah se open hua waise hi Raj aur baki sabhi ke nazaro ke samne ek bada sa hall nazar aaya.
Yeh hall basement mei hone ke baad bhi yaha par kaafi bright light thi aur jab sabhi ne Maharaj Shekhar aur Senapati Dipak ke saath us hall mei enter kiya toh andar ke nazare ko dekh kar vo sabhi aur bhi shock hog aye.
Yeh hall andar se aur bhi beautiful tha aur kaafi bada bhi.
Yaha is hall mei kaafi sari chizo ko rakha gaya tha. Upar se yeh underground hone ke baad bhi yaha par kaafi fresh air thi. Aisa lag hi nahi raha tha key he ek underground hall hai.
Yaha par ek jagah kaafi saare types ke weapons ko rakha gaya tha.
Abhi Raj aur baki sabhi us room mei enter hi hue the ke suddenly Abhay ko kuch feel hua aur vo jaha par weapons rakhe hue the us direction mei chala gaya.
Abhay chalte hue 2 same twin swords ke samne aa kar khada hua.
Abhay ko asia feel ho raha tha jaise yeh swords usse hi bula rahi ho.
Abhay ne bina kuch sochte hue un dono swords ko utha liya. Yeh swords mother and daughter swords thi.
Abhay ko yeh dono swords apne haato mei kaafi light feel ho rahi thi. Usne un dono swords ko lekar apne Rain drop style ke kuch moves ko perform kiya aur jaise hi unhe perform karte hue usne apne Mana ko un swords mei infuse kiya waise hi vo puri tarah se shake ho gaya.
Yeh dono bhi swords uske soul se jaise connect ho gaye the aur un swords ki saari information Abhay ke mind mei aa gayi thi.
In dono swords ko elves ke best sword smith se banaya hua tha aur unhe ancient spell ke saath enchant kiya hua tha. Yeh swords jise bhi apna worthy choose karti thi sirf wahi un swords ko utha sakta tha.
Abhay ki aankhe abhi bhi close thi aur suddenly vo dono swords uske haato mei se kahi gayab ho gayi. Jab apne swords ko recall kiya waise hi vo phir se uske haato mei aa gayi.
Raj aur baki sabhi pani jagah par khade ho kar yeh sab dekh rahe the.
Jaha par Raj aur uske baki friends kuch surprise the wahi Maharaj Shekhar aur Senapati Dipak ke face par smile thi.
Abhay ne sabhi ki taraf dekha aur phir Maharaj Shekhar ko dekhte hue vo kuch kehne hi wala tha ke tabhi Maharaj Shekhar ne apne haat se usse rukne ka ishara kiya aur phir sabhi ko dekhte hue kaha.
Maharaj Shekhar-Yeh dono sword mother and daughter swords hai. Yeh dono hi swords apne wielder ko khud se choose karti hai aur wahi person usse utha sakta hai. Sirf yahi nahi yaha par jitney bhi chize hai vo har ek chiz apne wielder khud se choose karti hai. Mein ne issi liye tum sabhi ko is underground hall mei lekar aaya hu ke tum sabhi bhi apne apne soul weapons ko choose kar sako. Mein chahta hu ke tum sabhi apne best weapon ke saath East Cove Magic Academy mei enter karo. Is liye nahi ke waha par tumhe kisi danger ko face karna hoga balki is liye ke tum sabhi apne apne weapons ko baki sabhi se jaldi samajh sako aur uske saath practice kar sako.
Maharaj Shekhar ki baat par Roshni ne unhe dekhte hue kaha.
Roshni-Par Shekhar uncle hame kaise pata chalega ke hame is weapon ko choose karna hai yaa phir hame kounsa weapon choose karne wala hai.
Roshni ke sawal par Maharaj Shekhar ne smile kiya aur kaha.
Maharaj Shekahr-Yeh kaafi simple hai. Tumhe sirf apne surroundings ko sense karna hai aur tumhe apne aap pata chal jayega ke tumhe kounsa weapon bula raha hai.
Maharaj Shekhar ki baat sunkar sabhi ko ek general idea aa gaya tha.
Issi ke saath Raj aur baki sabhi ne apni aapni aankho ko close kiya aur apne surroundings ko feel karne lag gaye.
Sab se pehle Aditya ne apni aankho ko open kiya aur vo chalte hue ek bade se table ki taraf gaya jaha par ek bada sa red pearl tha jismei se kaafi strong fire elemental Mana release ho raha tha. Aditya ko aisa feel ho raha tha ke jaise usse yeh red pearl bula rahi hai.
Jab Maharaj Shekhar ne yeh dekha tab vo chalte hue Aditya ke paas aaye aur uske shoulder par haat rakhte hue unhone Aditya se kaha.
Maharaj Shekhar-Beta Aditya yeh ek dragon pear hai. Agar tum isse choose karte ho toh tum aage chal kar kaafi strong fire elemental Mage Warrior ban sakte ho. Lekin isse easily control nahi kiya jaa sakta hai. Isse control karne ke liye tumhari will unbreakable honi chahiye. Saath hi isse tumhe apne Mana ke saath refine karna hoga. Agar tum issse successfully refine kar paaye toh kaha jata hai tum apne aap ko ek ancient dragon mei transform kar sakte ho.
Maharaj Shekhar ki baat ko sunkar Aditya kuch serious ho gaya aur kuch sochne lag gaya.
Usse Gladstone City ka war yaad aa raha tha ke kaise vo sabhi un dark elves ke samne completely weak the aur unhe chup chup kar us war mei fight karna pad raha tha.
Aage chal kar vo is Swarndesh kar Maharaj banne wala tha aur apne pita ki tarah usse bhi strong hona tha. Uski maa Maharani Suman usse bachpan se batata aayi thi ke Maharaj Shekhar ne apne bachpan se hi khud ko kaafi hard train kiya hua tha aur issi wajah se aaj vo humans mei ab tak ke sab se strongest Mage Warriors mei se ek ban paaye the.
Aditya ka bhi yahi dream tha ke vo apne pita ki tarah strong aur capable Mage Warrior aur ek capable King ban paaye aur uske liye vo kisi bhi hardship se guzarne ke liye ready tha.
Usne phir se serious ho kar us dragon pearl ko dekha aur phir apne righ haat ko aage kar ke usne us dragon pearl ko touch kiya.
Aditya ke us dragon pearl ko touch karte hi vo zor se chillane lag gaya.
Usse aisa feel ho raha tha ke sirf uski bdoy hi nahi balki usse uske soul mei bhi pain feel ho raha hai. Aisa pain usne aaj tak feel nahi kiya tha. Uska mind jaise black out hone ki stage par aa gaya tha. Lekin tabhi Maharaj Shekhar ne uske back par apne haat ko rakha aur apne Mana ko circulate karte hue unhone Aditya se kaha.
Maharaj Shekhar-Aditya jaldi se apne Mana ko circulate karna start karo.
Maharaj Shekhar ki baat ko sunkar Aditya ne jaise taise apne Mana ko apne pure body mei circulate karna start kar diya aur ussi ke saath Maharaj Shekhar ne bhi apne Mana ko uske body ke andar infuse kar diya.
Kuch 15 minutes aise hi apne Mana ko circulate karne ke baad Aditya ka pain kuch kam hone laga aur kuch der ke baad vo kahi gayab hi ho gaya.
Aditya apne body ke andar aaye hue har ek change ko feel kar paa raha tha. Uski physical strength pehle se bhi badh gayi thi aur vo kaafi confident tha ke vo kisi bhi dark elf ko apne ek single punch se hi heavily injured kar sakta hai.
Maharaj Shekhar ne Aditya ko dekhte hue kaha.
Maharaj Shekhar-Congratulation Aditya, aaj se tum ek Dragon Mage Warrior ho. Ab se tumhe har time is pearl ko apne Mana se refine karte rehna hai jo tumhare heart ke andar hai. Jaise jaise yeh refine hogi waise waise vo tumhe aur bhi powerful banati jayegi aur saath hi tum us ancient dragon ke inheritance ke bhi successor ban paaoge.
Aditya ka facial expression kuch thake hue lag rahe the. Vo jaa kar wahi par rakhe hue ek bench par baith gaya.
Wahi Raj, Roshni aur Riya abhi bhi apni apni aankho ko close kiye hue the aur apne surrounding ko feel kar rahe the.
Kuch 5 minutes ke baad Roshni aur Riya ne ek hi time par apni aankho ko open kiya aur dono bhi ek hi table ke direction mei jaane lag gayi.
Yaha par bhi 2 colour ki pearls rakhi hui thi jinmei se ek blue colour ki thi toh wahi dusri dark green colour ki thi.
Blue colour ka pearl Riya ko bula raha tha wahi dark green colour ka pearl Roshni ko bula raha tha. Yeh dono hi pearl kaafi special the.
Riya ne jab us pearl ko touch kiya tab vo water mei transform hua aur suddenly vo sara water Riya ke skin ke through uske body ke andar chala gaya. Abhi vo apne andar us water element ko feel kar hi rahi thi ke tabhi usse kuch aur bhi feel hua aur vo waha se side mei rakhe hue ek weapon shelf ki taraf aayi aur usne ek long knife ko nikala jo light blue colour ka tha.
Jaise hi Riya ne us long knife ko uthaya waise hi vo halka sa shine karne laga. Riya ko samajhte der nahi lagi ke us long knife ne usse choose kiya hua hai.
Yaha Roshni ne jab us dark green pearl ko touch kiya toh vo bhi ek bright green light ke saath Roshni ke andar chala gaya. Roshni ko apne body ke andar aane wale har ek change ka pata chal raha tha.
Tabhi Roshni ko bhi chalte hue Riya ke side mei aayi aur usne bhi same dikhne wala long knife nikala aur vo long knife bhi uske haato mei aane ke baad shine karne lag gaya tha.
Maharaj Shekhar ne un dono ko dekhte hue kaha.
Maharaj Shekhar-Roshni tumhe jo pearl mila hai vo ek Elderwood Guardian ka hai jo ek tree jaisi entity hai aur kaafi strong hai. Yeh pearl us Elderwood Guardian ke inheritance ko possess karta hai. Tumhe bhi Aditya ki tarah hi isse bhi refine karna hoga. Wahi Riya tumahra pearl kuch special hai. Yeh natural water element se form hua hai aur iske water elements ka Mana kaafi purest form mei hai. Isse tum kisi bhi serious injuries se khud ko heal kar sakti ho aur saath mei apne saathiyo ko bhi heal kar sakti ho. Wahi tum dono ko milne wale knifes bhi sister knifes hai. Yeh dono knifes ek dusre se connected hai aur tum dono agar kahi par alag bhi ho jaao toh tum ek dusre ko apne apne knife ke energy ko follow kar ke dhund sakte ho.
Sabhi ko kuch na kuch mila hua tha. Lekin Raj abhi bhi apni aankho ko close kar ke khada tha aur apne surrounding ko feel kar raha tha.
Aise hi apni aankho ko close rakhte hue Raj suddenly deep meditative state mei chala gaya aur uske kuch hi der baad suddenly uski body bright white light se shine hone lag gayi aur uske sir ke centre mei se ek white beam nikal kar us bade se hall mei bane hue ek door ko jaa kar hit kar gayi.
Us beam ke hit karte hi vo door apne aap open hua aur vo white beam jaa kar us room mei kisi chiz ko hit kar gayi.
Aisa hote hi Raj ne bhi apni aankho ko open kiya aur chalte hue us room mei chala gaya. Us room ke andar kaafi andhera tha lekin ek jagah par ek sword hawa mei ud rahi thi.
Raj chalte hue us sword ke samne aaya aur usne apne right haat ko aage kiya.
Vo sword udte hue aa kar Raj ke haat mei aa gayi aur uske touch karte hi Raj ke smile karne lag gaya.
Raj ke haat mei aane ke baad Raj ki aankho ke samne kuch vision aane lag gaye the lekin yeh kaafi blur the.
Yeh sword kuch different thi. Yeh ek single edge sword thi aur uske haato mei aane ke baad se kaafi shine kar rahi thi. Usse nikalne wali bright light ko dekh kar aisa lag raha tha ke jaisae yeh sword Raj ka hi wait kar rahi thi.
Maharaj Shekhar aur Senapati Dipak kuch surprise aur shock dikh rahe the.
Surprise is liye kyo ki un dono ko us sword ke origin ke baremei kuch bhi pata nahi tha aur shock is liye kyo ki past mei dono ne bhi us sword ko apni jagah se hilane ke liye kaafi try kiya tha lekin jab bhi un dono mei se koi bhi us sword ke paas jata toh vo unhe piche ki taraf push kar deti thi. Lekin aaj yeh sword Raj ke haato mei easily aa gayi thi.
Maharaj Shekhar aur Senapati Dipak ko dekhte hue Raj us room mei se bahar aaya.
Raj ko dekh kar Maharaj Shekhar ne usse kaha.
Maharaj Shekhar- Raj kya tumne is sword ko haat mei lene ke baad kuch feel kiya ? Kyo ki past mei hamne na jaane kiti baar try kiya ke ham dono mei se koi toh is sword tak pohoch sake lekin yeh sword hamesha hame piche push kar deti thi. Is wajah se hame is sword ke origin ke baremei kuch bhi pata nahi hai.
Raj ne yeh sab sunkar kaha.
Raj-Well mujhe kuch dikha bhi hai lekin abhi vo kaafi blur hai aur puri tarah se clear nahi hai, Mein sirf hope kar sakta hu ke future mei mujhe un dikhe hue kuch visions baremei kuch pata chak sake.
Raj ki is baat par Maharaj Shekhar aur Senapati Dipak ne ek gehri saans chodi. Maharaj Shekhar ne aage kaha.
Maharaj Shekhar-Thik hai koi baat nahi. Waise bhi ab yeh tumhare haato mei aa gayi hai toh hame iske baremei kuch na kuch pata chal hi jayega.
Sabhi ko apni apni chize mil gayi thi. Iske baad sabhi Maharaj Shekhar aur Senapati Dipak ke saath us underground hall se bahar aa gaye.
Abhi ne kuch der kat yaha waha ki baate ki aur phir apne ghar chale gaye. Kal unhe apne theories ke saath East Cove Magic Academy mei jana tha apne entrance test ke liye.
Agle din Raj early morning uth kar apne meditation ke liye baith gaya.
Itne years ki training ke baad Raj ko yeh toh samajh mei aa gaya tha ke uski yeh powers uske meditate karne se aur bhi strong ho sakti hai.
Issi liye Raj ne daily meditation karna start kar diya tha. Lekin time ke saath ek baat aur bhi hui aur vo yeh ke Raj jab bhi meditate karne ke liye baith jata tab tab vo floor se upar hawa mei uth jata aur uske aapas ek powerful force filed bhi create ho jaati thi.
Kuch der aise hi mediation karne ke baad Raj apne mediation se bahar aaya aur fresh hone ke liye chala gaya.
Fresh ho kar Raj puri tarah se ready hue aur apne sword ko apne waist belt par lage hue sheath mei laga kar bahar aa gaya.
Aaj Raj kisi bhi prince se kam nahi dikh raha tha.
Raj jaldi se niche aaya aur usne apni maa ko dekhte hue kaha.
Raj-Maa mein nikal raha hu. Baki sabhi mera wait kar rahe honge.
Is par Dipali ne usse dekhte hue kaha.
Dipali-Thik hai beta aur haan best of luck. Practical exam mei achhe se perform karna aur apna best dena.
Apni maa ki baat sunkar Raj ne smile kiya aur kaha.
Raj-Haan maa mein zarur achhe se perform karunga.
Yeh ekh kar Raj apne ghar se nikal gaya East Cove Magic Academy ki taraf jaha par uske sabhi friends usse wahi par milne wale the.
Apnne carriage mein baith kar usne driver ko aage badhne ke liye kaha aur uska carriage East Cove Magic Academy ki taraf badh gaya.