Update 18
Eternal Darkness, new Avenues of Release.
East Cove Magic Academy mei bhi aise hi time aage badhne lag gaya. Jaha academy ke dean ne jab Raj ke theories ko read kiya toh vo khud bhi kaafi shock ho gaye the. Vo Raj se milna toh chahte the likin ek itni badi magic academy ka dean hone ki wajah se unke paas time kaafi kam tha. Unhe academy se related kaafi saari meetings ko attend karna padta tha.
Wahi yaha Bell ne bhi Derris ko Raj ki information niikalne ke liye kaha tha. Derris bhi samajh nahi paa raha tha ke uske master ek new student mei itna interest kyo show kar rahe hai.
Bell ki baar Derris ne kaafi try kiya ke vo Raj ke baremei koi information nikaal sake. Par siwaye iske ke vo Senapati Dipak ka beta hai is baat kea age usse Raj ek baremei aur kuch bhi pata nahi chal paya.
Jab Derris ne yeh baat Bell ko batayi tab Bell bhi kuch surprise hua tha.
Aisa is liye kyo ki jab bhi vo Raj ko dekhta tha usse vo kuch jana pehchana sa lagta yttha. Par usse yaad nahi aa raha tha ke usne Raj ko kaha dekha hai.
Raj aur uske friends bhi kaafi achhe se apni studies aur training ko follow kar rahe the.
Jaldi hi Raj ne bhi Pro.Vishal ke classes ko join kar liya tha.
Issi bich Ekant ki friendship bhi in sabhi se ho gayi thi.
Starting mei Ekant Aditya aur Raj se baat karte time kaafi careful rehta tha kyo ki dono ki identities uske jaise ek ordinary person ke liye kaafi badi thi. Vo yahi sochta ke kahi uske kahi kisi baat par unhe gussa na aa jaye.
Lekin time ke saath Ekant bhi un sabhi ke saath open hota chala gaya aur vo bhi ab Raj ke group ka part ban gaya tha.
Ekant sirf Combat Arts mei hi nahi balki mind se bhi kaafi sharp tha.
East Cove Academy mei 2 courts the. Jo entrance gate ke paas tha usse Square of Glory kaha jata thaw ahi andar ki taraf ek aur small court tha jiska naam tha Vikram Inspiration Court.
Yeh Vikram koun tha ?
Vikram us mage ka naam tha jo thousands of years pehle ek Legendary Level par pohoch gaya tha. Saath hi vo apne time ka Swarndesh ka aur humans mei bhi sab se strong Mage tha. Mage ke groups mei usse Child of Apocalypse kaha jata tha.
Aisa kaha jata tha ke abhi jis jagah par yeh courtyard hau wahi par baith kar Vikram ko ek inspiration mili thi Legendary Level mei breakthrough karne ki. Uske baad jab vo Legendary Level mei pohoch gaya tab East Cove Magic Academy ne uske naam par uske is baithne ki jagah par ek courtyard bana diya aur us jagah ko Vikram’s Inspiration Court ka naam de diya.
Aise rumours bhi the ke kisi mage ko issi jagah par enlightenment mili thi aur kaafi time se vo apne next level par breakthrough nahi kar paa raha tha vo ek hi pal mei breakthrough kar gaya. Lekin aise koi bhi proofs nahi hai ke is baat ko koi bhi kahi se support kar sake. Is wajah se kisi bhi magician yaa phir Mage Warrior ne in baato ko seriously nahi liya tha.
Lekin jab Raj ne 1st time jab East Cove Magic Academy ke andar apna 1st step rakha tha tabhi uske Fragment of Creation ne uske aankho ke samne kuch visions show kiye the aur un visions ko dekh kar Raj yeh samajh gaya tha ke yeh Vikram’s Inspiration Court kuch aur nahi balki ek seal hai. Kyo ki issi courtyard ke niche ek powerful demon ko seal kiya gaya hai jiska naam hai Andhak.
Sirf kuch logo ko chod kar academy mei is baremei kisi ko bhi kuch pata nahi tha.
Andhak ko capture kar ke usse seal karne wala event almost ancient times mei hua tha. Past ka jo horror tha vo time kea age badhne ki wajah se uski sabhi baate ab piche reh gayi thi. Ab yeh courtyard ek small sa khubsurat garden ban gaya tha. Iske aaspas kaafi trees the aur saath mei small streams bhi uske aaspas ke flow karti thi. In fact yeh sab se best jagah thi Mages aur Mage Warriors ko ghumne ke liye. Yaha aa kar vo sabhi apne mind ko fresh karte the.
Apne training aur studies ke baad Raj aur uske friends yahi aa kar baithte the.
Is sab ke bich ek baat achhi hui thi ke Ekant ko Hera naam ki professor ne apne under le liya tha aur apna personal student bana liya tha. Wahi Roshni aur Riya ko bhi Nalini naam ke ek professor ne apne under le kar Professor Nalini ek kaafi achhi Illusion Mage Warrior thi wahi Professor Hera ek professional Battle Mage thi.
Aaj sabhi apne apne classes se nikal kar andar ke garden mei milne wale the.
Raj yaha par sab se pehle aaya. Abhi vp ek Willow Tree ke niche bane hue bech par baith gaya aur usne apne saath laayi hui book ko open kar ke usse read karne lag gaya.
Kuch hi der mein Roshni aur Riya aayi aur unke kuch der baad hi Abhay aur Aditya aaye. Sab se last mei Ekant aaya.
Aaj Ekant ne sabhi ke liye sabhi friends ke liye apne teacher ke mage tower ke chief ke haato se bane hue lunch ko laya tha.
Sabhi waha par bane hue ek bade se bench par baith gaye aur Ekant ne sabhi tiffins ko open kiya apne friends ko start karne ke liye kaha.
Sabhi bade maze se lunch kar rahe the.
Aise hi Abhay ne lunch karte hue kaha.
Abhay-Wow! Yaha par soup, soft white bread aur season kiye hue vegetables hai. Ekant tum sach mei lucky ho. Academy ka sab se best cook tumhare teacher ke mage tower mei hi hai.
Wahi uski baat sunkar sabhi smile karne lag gaye.
Ekant ke lunch ke saath baki sabhi ne apne bhi apne apne lunch box ko open kiya. Wahi Ekant aur Roshni jo orphan the unhe academy khud se lunch aur dinner provide karti thi.
Lekin Hera ne is particular cook ko khud se apne mage tower mei rakha tha.
Aisi hi baato ke saath sabhi lunch karne lag gaye.
Lunch ke baad sabhi ussi garden ke trees ke niche baithe the aur aise hi aapas mei baate kar rahe the.
Tabhi Raj ne Ekant ko dekha aur kaha.
Raj-Toh tum ab Level 1 spells ko learn karna start karne wale ho ?
Is par Ekant ne Raj ko dekhte hue kaha.
Ekant-Haan, Mein ne recently hi isse start kiya hai.
Raj Ekant ke progress se kaafi khush tha. 1 month pehle Ekant sirf single Combat Arts aur apne Mana ko circulate karna janta tha. Lekin usse koi bhi badi spell use nahi karne aati thi. Lekin 1 month ki progress mei hi Ekant Level 1 spells ki taraf badh gaya tha. Yeh progress speed sach mei ek genius level ki thi. Raj aur uske friends ki baat different thi. Un sabhi ko Senapati Dipak kaafi time se train kar rahe the. Is wajah se vo kaafi spells ko ab tak use kar sakte the. Saath hi Gladstone City ke war mei unhe yeh achhe se samajh mei aa gaya tha ke aisi situations mei unhe kis taraf se work karna hai.
Is sab ki wajah se Raj aur uske friends apne age ke baki students se kaafi fast the. Lekin Ekant ki baat different thi. Vo ek orphanage se aaya tha. Wahi par usse kuch general Combat Arts aur Mana kaise circulate karte hai yeh sikhaya gaya tha. Saath hi kuch level 0 ke spells. Lekin un spells ko bhi Ekant kabhi sahi se use nahi kar paaya aur us wajah se Ekant apne Combat Arts ko hi perfect karta chala gaya.
Ab baat yeh thi ke is 1 month ke time period mei Ekant Raj, Aditya aur Abhay ko bhi Combat Arts ki skills mei rival kar raha tha. Par magic ke area mei abhi vo utna grow nahi kar paya tha.
Raj yahi soch raha tha ke agar baki students ko bhi Ekant ke growth speed ke baremei pata chala toh vo zarur shock ho sakte the.
Agar koi student ek level 1 spell ko 6 month mei learn kar leta hai toh usse genius kaha jata tha. Lekin jo baat baki ke genius students ko sikhne mei 6 months ka time lagta tha wahi Ekant vo sab kuch 1 month ke time mei cover kar raha tha. Yeh sach mei ek formidable talent tha.
Raj ne Ekant ko dekha aur kaha.
Raj-Ekant yeh sach mei amazing hai.
Raj genuinely Ekant ke progress se impress hua tha. Raj yeh janta tha ke vo khud is liye itne fast way mei progress is liye kar paya kyo ki usse Fragment of Creation aur Moonstone mila hua tha. Agar usse kabhi bhi yeh chize nahi milti toh shayad aaj Raj Mage Warrior nahi ban pata.
Raj ki baat par Ekant ne usse dekha aur kaha.
Ekant-Nahi Raj, tum mujh se zyada amazing ho. Mein tumhe sirf rival kar sakta hu lekin tumhare equal nahi aa sakta hu aur na hi tumhe surpass kar sakta hu. Upar se tum kaafi smart bhi ho. Tumne khud se apni ek level 1 ki spell create hui hai.
Abhi Raj kuch kehne hi wala tha ke tabhi uske left side se Abhay ne uske shoulder par haat rakha aur kaha.
Abhay-Ek baat kahu Ekant, ham mei se kisi ne bhi kabhi yeh nahi socha tha ke Raj kabhi bhi magic use kar payega. Usne apne life ke 15 years ke baad magic ko use karna start kiya hai. Lekin ham sabhi toh kaafi early age se magic ko use karte aa rahe hai. Par Raj ki ek baat mei kehna chahunga ke vo magic ke baremei kaafi read karta rehta tha. Raj ne haar nahi maani aur dekho aaj vo ham sabhi mei best hai. Waise hi tum bhi apne aap ko kam mat samajhna . Hamari soch hamare growth par kaafi effect karti hai. Hamari soch jitni positive hogi hamari growth bhi utni fast aur achhi hogi.
Abhay ki baat par Ekant ne smile kiya aur apne sir ko haan mei hilaya.
Ekant Raj ki magic ko lekar jitni bhi theories thi unhe kaafi admire karta tha. Usse pata tha Raj knowledge ke jis level par hai agar usse bhi us level par pohochna hai toh usse abhi kaafi time hai.
Raj ne phir un dono ko dekhte hue kaha.
Raj-Ab bas ho gayi mere baremei baate aur ab ham apne apne skills ke upar kuch discuss kar lete hai.
Iske baad sabhi mei kisi na kis baat ko lekar discussion hone lag gaya.
Ekant Hera ke only person student that oh Hera bhi kahi se piche nahi reh rahi thi Ekant ko ek achha Mage Warrior banana mei. Saath hi Hera Ekant ko potions ke baremei bhi sikha rahi thi. Issi bich Raj ne Abhay ko dekha aur usse pucha.
Raj-Abahy tumhe kaha tha ke tumne Earth Spike ko apni tarah se modified kiya hai.
Is par smile karte hue Abhay ne kaha.
Abhay-Haan aur yeh sab mein Pro.Vishal ke tips ki wajah se kar paya. Ab Earth Spike meri sab se fastest casting spell hai.
Abhay ki baat sunkar Aditya ne kaha.
Aditya-Are waah yeh kaafi achha hai. Waise yeh baat hai ke Pro.Vishal ki tips mujhe khud bhi kaafi beneficial rahi hai. Unki di hui kuch tips ki wajah se mein apne fire spells ki intensity ko apne wind spell ki help se aur bhi badha sakta hu. Saath hi jab tumne entrance test mei apne sword arts ko use kiya tha usse dekh kar mujhe kuch new ideas aaye the aur mein jaldi hi unpar kuch kaam karne wala hu. Issi wajah se mein apne fire spells ko aur bhi strong bana paa raha hu. Ruko mein tumhe show karta hu.
Yeh keh kar Aditya apni jagah se uth khada hua aur us garden mei bane hue ek small lake ki taraf chala gaya.
Us lake se kuch distance par khade ho kar usne apne haat ko aage kiya aur apne spell ko cast kiya.
Flame Arrow!
Aditya ke apne spell ko cast karte hi uske aaspas fire ke arrows create hone lag gaye jo kuch long bhi the.
Aditya ne un flames arrows ko apne haat ke ishare se apne samne bane hue small lake ki taraf release kar diya.
Aditya ke ishare par vo flame arrows kaafi speed se aage badh gaye.
Boom!
Boom!
Boom!
Small blasts ke saath vo us lake mei jaa kar blast hone lag gaye.
Aditya ki is progress par sabhi khush hue the.
Aditya ne Raj ko dekha aur usse dekhte hue kaha.
Aditya-Raj kya tum hame tumhari new spell show kar sakte ho ?
Is par Raj apni jagah se khada hua aur vo chalte hue Aditya ke side se guzar kar uske aage kuch khada hua.
Raj ne Aditya ko dekha aur kaha.
Raj-Well mein ne ek new spell create toh ki hai lekin vo tumhare spell ki tarah flashy nahi hai.
Yeh keh kar Raj ne apne right haat ko upar uthaya aur apne 1st finger par apne spell ko cast karne lag gaya.
Yeh ek fireball jaisi spell thi.
Lekin yeh spell kuch different thi.
Iska colour reddish white tha aur us energy ball ke aaspas lightning bhi ho rahi thi.
Firebolt!
Raj ne apne friends ko dekha aur kaha.
Raj-Yeh hai firebolt. Mein ne isse fire aur lightning element ko combine kar ke create kiya hai. Abhi yeh puri tarah se ready nahi hai lekin mein jaldi hi isse complete karne wala hu aur isse refine karne ke baad yeh aur bhi powerful ho jayegi.
Raj ne apne haat ko wave kiya aur uske aisa karte hi uske finger par bana hua firebolt gayab ho gaya.
Raj chalte hue apne friends ke paas aaya aur usne sabhi ko dekhte hue aage kaha.
Raj-Well mein is spell ko lesser invisibility ke saath combine karna chahta hu. Agar yeh successful ho paya toh ham apne enemy par sneak attack kar sakte hai aur unhe maar bhi sakte hai.
Raj ke is baat par jaha uske baaki friends kuch surprise the wahi Ekant ko Raj ka yeh idea kaafi achha laga tha.
Aise hi time aage badh gaya aur inhi sab baato mei 2 hours bit gaye the.