Update 15
The Theory of Universal Interactive Forces.
Raj ke is subject par uske sabhi friends usse aise dekh rahe the ke un sabhi ne kya hi soon liya ho.
Unke hisab se Raj ek aise force ke upar apni theory dene wala tha jispar abhi tak kisi bhi Mage ne koi baat tak nahi ki hui thi.
Ab Raj aisi theory likhne jaa raha tha matlab vo in sab mei stars tak bhi jaa sakta tha aur aise grand level par likh sakta tha jo sabhi ka attention uski taraf khich le.
Kyo ki Raj ek physics jaise subject mei apne past life mei interested tha aur ab jab uske paas science ke saath magic ka bhi knowledge tha . Aise mei usse uske is theory par pura trust tha ke vo isse kuch bada zarur karega.
Firmoon Universe mei bhi mathematics ka use hota tha. In fact agar dekhe toh unka mathematics kaafi had tak improve hua tha. Par agar earth ke mathematics ki baat kare toh Firmoon Universe ka mathematics kuch piche tha. Yaha par mathematics magical studies ki ek branch thi. Ise research ke liye use kiya jata tha.
Agar sahi kaha jaaye toh Firmoon Universe mei magic studies ke andar har ek field ke knowledge ko cover kiya jata tha. Is mei Mathematics ke small branch thi.
Raj ko apni past life ki memories milne se pehle bhi mathematics mei vo kaafi achha tha. Flaming Magic Academy me unhe mathematics sikhaya jata tha aur ab jab uske paas uske past life ki memories thi toh uske liye Firmoon Universe ka mathematics aur bhi easy ho gaya tha.
Iske baad sabhi wahi par baith kar kuch der baate karne lag gaye. Almost jab afternoon ka time hua tab sabhi waha se nikal kar apne apne ghar chale gaye. After all sabhi ko apne apne subject ki theories par kaam jo karna tha.
Raj bhi ghar aa gaya tha aur apna lunch karne ke baad apne study room mei chala gaya apne theory par kaam karne ke liye.
Raj ne kuch papers nikaale aur apni is theories ki hypothesis ke upar logical thinking karne lag gaya.
Raj ne gravitation theory ke saath likhna start kiya.
Usne equations ke saath sabhi theory examples bhi likh diye.
Uske baad Raj Theory of Relativity ki taraf badha aur usne uske har ek equations ke saath uske sabhi tarah ke explanations bhi likh diye.
Yeh sab Raj is liye likh raha tha kyo ki aage chal kar usse jo theory likhni hai usse yeh sabhi theories valid bata sake.
Aise hi Raj apne is new work mei kaafi busy ho gaya tha.
Ab tak Raj ne kaafi kuch likh liya tha. Evening hote hote uska study room puri tarah se papers se full ho gaya tha.
Evening mei jab Senapati Dipka Raj se milne uske study room mei aaye tab unhe uske study room mei sab jagah par papers hi papers dikh rahe the.
Unhone Raj ko dekha toh vo ek paper par kuch likhne mei kaafi busy tha ke usse unke aane ke baremei bhi pata nahi chal paya.
Senapati Dipak ne un papers mei se kuch ko uthaya aur unhe dekhne lag gaye.
Yeh sabhi papers Theory of Relativity ke the.
Jaise jaise Senapati Dipak un sabhi papers ko read karte jaa rahe the waise waise vo kaafi shock aur surprise hote jaa rahe the.
Unhone Raj ko aawaz lagate hue kaha.
Senapati Dipak-Raj yeh sab kya hai ?
Senapati Dipak ki aawaz sunkar Raj kuch hosh mei aata hai aur unhe dekhta hai. Jab uski nazar apne baba ke haato mei jo papers thi unpar gayi toh usne smile karte hue kaha.
Raj-Baba yeh sabhi meri theories ke papers hai. Inhe mein East Cove Magic Academy mei entry ke liye submit karne wala hu.
Senapati Dipak bas Raj ko dekhe jaa rahe the. Unhe apni aankho par trust hi nahi ho raha tha ke Raj ne apne theory mei itne complex equation ko add kiya hua hai ke unmei se vo khud bhi kuch equations ko hi samajh paaye the.
Lekin jaise jaise Senapati Dipak aage aage read karte waise waise unhe aage jo kuch bhi theories thi vo kuch bhi samajh mei nahi aa rahi thi aur Raj in sabhi theories aur equations ko aise likh raha tha jaise yeh uske baaye haat ka khel ho.
Senapati Dipak ne apne bete ko dekha aur usse kaha.
Senapati Dipak-Agar tumhari in sabhi theories ko East Cove Magic Academy ke dean read kar lete hai toh vo tumhe kisi bhi entry test ke bina hi admission de denge.
Unki baat ko sunkar Raj ne kaha.
Raj-Nahi baba, Mein aise East Cove Magic Academy mei admission nahi chahta hu. Mein har ek process se ho kar jana chahta hu jo East Cove Magic Academy admission ke time karti hai.
Raj ki baat par Senapati Dipak ko uspar kaafi proud feel ho raha tha. Raj ek noble hone ke baad bhi uske dil mei is baat ka koi bhi ego ya over pride nahi tha.
Aise hi Raj apni is theory mei laga raha.
Ab early uth kar training aur spell practice ke baad apne theory par work karna jaise Raj ka new routine ho gaya tha.
Ab Raj apne training ke baad ya toh apne library mei ya phir apne study room mei hota tha.
Raj ne apne is theory mei ab tak kaafi equations ko likh liya tha. Kuch old apne world se related the toh kuch is Firmoon Universe ke knowledge ko use kar ke completely new equations ko create kiya hua tha. Lekin har baar Raj ek jagha par aa kar ruk jata tha aur us point ke aage uske mind mei kuch bhi nahi aata tha. Usse aisa feel hota tha jaise vo puri tarah se blank ho gaya hai. Yaa phir aisa kuch hai jo uske samne toh hai par usse vo comprehend nahi kar paa raha hai.
Aise hi time aage badhta gaya aur Raj ab 18 years ka ho gaya tha.
Aaj bhi Raj early morning utha aur apne routine ke hisab se fresh ho kar apni physical training karne ke baad apne Mana Circulating ki practice karne lag gaya. Us sab se free ho kar Raj apne ghar ke andar aaya aur breakfast karne ke liye baitha gaya. Uske saath abhi uske Maa aur Baba bhi baithe hue the aur vo sabhi milkar baate bhi kar rahe the.
Raj aaj apni theory par kuch kaam karne ke mood mei nahi tha. Is liye vo apne Baba ke saath Royal Palace chala gaya aur waha par Aditya ke saath milkar kuch new magics ke topics par discussion karne lag gaya.
Waise hi in dono ke bich magic aur apni apni theories ko lekar hi zyada baate hoti thi.
Wahi Abhay ko Senapati Dipak ne apna student ban aliya tha aur vo usse Twin Swords Style mei training de rahe the.
Abhay apne young generation mei sab se best Twin Sword Wilder tha.
Wahi Raj bhi apne sword arts mei kahi se bhi piche nahi tha. Raj bhi almost apne Baba ki tarah hi sword chalane lag gaya tha. Yaa phir yeh kehna galat nahi hoga ke vo jaldi hi Senapati Dipak ko bhi sword arts ke maamle mei surpass karne wala tha.
Ussi ke saath Raj ne Level 0 aur Level 1 ke spells ko bhi master kar liya tha aur apne experiments ko aage badhane ke liye ready tha.
Aaj Raj fireball spell ke saath experiment karne wala tha.
Raj apne is experiment ko karne ke liye jungle ke ussi open area mei aaya hua tha.
Kyo ki yeh city se kuch bahar ka area that oh uska kisi ko bhi hurt karne ka danger nahi tha.
Saath hi vo pure focus ke saath apne is experiment ko kar bhi sakta tha.
Raj ne ek jagah khade ho kar apne haat ko samne kiya.
Tabhi uske palm par ek tenis ball ke size ka ek fireball create hua.
Raj us fireball ki size ko kam karte jaa raha ttha par ek certain size ke baad vo fireball small ho kar destroy ho raha tha.
Raj ko yeh samajh mei nahi aa raha tha ke vo kaha par galti kar raha hai.
Raj ko pehle laga ke yeh sab experiment karte time Mana mei hone wale change ki wajah se ho raha hai. Is problem par Raj kaafi time sochta raha ke vo usse kaise solve karega. Almost kuch half and hour waise hi sochne ke baad suddenly Raj ko yaad aaya ke uske ghar ki library mei kuch books hai jo usse is problem ko solve karne mei help kar sakti hai.
Yeh sab jaise hi mind mei aaya waise hi Raj jaldi se apne ghar ki taraf badh gaya.
Ghar aane ke baad Raj jaldi se library mei gaya aur un books ko dhundne lag gaya. Kuch der dhundne ke baad usse vo books mil gayi. Yeh 3 book thi jinki Raj ko abhi kaafi zarurat thi. Inka naam tha, The Nature of Mana, Theories of Mana Turbulence aur Mana Scattering and Interference.
Raj jaldi se un books ke pages ko palatne lag gaya. Kuch der baad usse jo chahiye tha vo mil gaya.
Yeh tha Mana Equation and Structural Interference Chart.
Usse kuch der read karne ke baad Raj ne apne aap se kaha.
Raj-Toh aise 9 circumstances hai jaha par Mana Turbulence create hota hai aur mein yaha par mistake kar raha tha.
Us chart ko read karne ke baad Raj ko samajh mei aaya ke uske Mana ko circulate karte time kaha par mistake ho rahi thi.
Raj khud ko kaafi lucky samajh raha tha ke uske pehle bhi aise bohot se magicians ho kar gaye the jinhone apni research ko ek book bana kar unhe East Cove Magic Academy jaise magic academy ko de diya tha.
Raj ko suddenly newton ki kahi hui baat yaad aayi ke vo khud kaafi distance tak is liye dekh paa raha tha kyo ki vo ek Titan ke shoulder par khada tha. Ab jab Raj ke baad uske sabhi predecessors ki research thi toh vo unhe use na kare aisa ho hi nahi sakta tha. Koi idiot hi ho sakta tha jo in sabhi ka use na karna chahta ho.
Magic ek regorges subject tha. Un books mei jo bhi likha gaya tha usa ek hi meaning tha ke past mie kabhi vo countless times us experiment ko kiya gaya hai.
Yeh itna important kyo tha ?
Vo is liye kyo ki agar kabhi spell casting mei koi mistake ho jaati hai toh vo kisi serious accident ko trigger kar sakti hai. Yeh life and death ka matter tha aur jo magicians in experiments ko lekar careful nahi the un sabhi ki aise accidents mei death ho gayi thi.
Abhi ke liye Raj ne apne experiments ko side mei rakha aur phir se un books ko read karne mei lag gaya.
In sab mei Raj is level par busy ho gaya ke vo theory ke baremei bhi bhul gaya tha.
Dekhte hi dekhte Raj ne apne study room mei library se kuch 63 books ko lekar aaya aur unhe read karne lag gaya.
In sabhi books mei jitney bhi facts the unhe sabhi magicians ne hundreds of thousands times perform kar ke approved kiya tha. Raj un sbahi ke knowledge ko apne andar absorb karna chahta tha. Unmei se kisi magicians ki apne apne experiments karte hue death bhi ho gayi thi.
In sbahi books ko read karne emi Raj ne 2 week nikaal diye the.
Ab Raj apne fireball ke spell ko fir se modify karne ke liye ready tha. Uske paas ab kaafi new ideas the.
Next day Raj phir se apne ussi jagah par aaya.
Apne new knowledge ke saath Rah ne apne haat par fireball ko create kiya.
Is baar is fireball ki size almost ek basket ball ke size ki thi.
Raj us fireball ki size ko small karte chala gaya. Par uske aisa karne par us fireball ka internal structure kaafi speed se andar hi ghumne lag gaya tha.
Us rotation ko dekh kar aisa lag raha tha jaise us fireball ke andar koi black hole hai. Lekin itne speed se rotate hone ke baad bhi fireball ka structure abhi bhi waise hi maintain tha.
Jaldi hi vo fireball ek marble ke size ka ho gaya.
Lekin is fireball mei aur baki jis fireball ko cast karte hai usmei kaafi difference tha.
Raj ke fireball ka colour white tha aur usmei se misty light release ho rahi thi. Lekin uska core blue colour ka tha aur uska surface bhi kaafi smooth dikh raha tha. Upar se is fireball ke surface se kisi bhi type ki heat nahi nikal rahi thi. Vo exact kisi glass marble ki tarah dikh raha tha.
Raj ki modified spell complete ho gayi thi.
Raj ne apne haat ko ek rubber tree ki taraf kiya jo usse kuch 100 feet ki distance par tha. Jaise hi Raj ne us tree par aim kiya waise hi usne apne fireball ko shoot kar diya.
Bang!
Ek explosion ke saath vo fireball Raj ke haato se release hua aur kaafi speed se aage badhte hue jaa kar us rubber tree ke trunk ko hit kar gaya. Ek powerful blast ke saath hi us tree ke trunk mei ek tea cup ke size ka hole ho gaya tha.
Kisi bhi normal fireball ki distance cross karne ki capability sirf 60 feet ki thi. Even agar kisi magical item ke support ke saath bhi fireball ko shoot kiya jaaye toh bhi uska effect kisi bhi large firecracker se zyada nahi ho sakta tha. Zyada se zyada vo fireball tree ke outer layer ko break kar sakta tha.
Par Raj ke is unique fireball ki strength normal fireball se beyond thi. Na sirf yeh zyada distance ko cross kar sakta rha balki is ki destructive power bhi zyada thi.
Raj ab normal fireballs ko 0.05 seconds mei cast kar sakta tha. Lekin is modified fireball ka structure kuch complicated tha, saath hi yeh abhi tak puri tarah se stable nahi hua tha. Raj ko isse maintain rakhne ke liye kaafi efforts lagane pad rahe the. Upar se is spell ko cast karne ke liye usse 8 seconds ka time lag raha tha.
Lekin Raj ko yeh baat pata thi ke practice ke saath vo usse bhi faster cast kar sakta hai.
Issi ke saath Raj ne apne modified fireball ki practice start kar di thi.
Kuch half day ke beet jaane ke baad uske is practice ke results outstanding he.
Raj ki apne is new blue glass fireball ko cast karne ki speed ab kaafi badh gayi thi.
Yeh itna fast ho raha tha ke koi bhi believe hi nahi kar sakta tha. Raj us spell ko kisi normal fireball ke spell ki tarah cast karne lag gaya tha.
Par Raj ko hi pata tha ka ke vo abhi bhi kuch small margin se slow hai.
Agar vo normal fireball ko 0.05 seconds mei cast kar sakta tha toh us modified version ko Raj 0.07 seconds mei cast kar sakta tha.
Spell ka structure jitna complicated hoga vo spell construct hone mei utna hi time leti thi. Yeh ek simple universal rule tha.
Is modified fireball ki casting speed zarur 0.07 seconds ki thi jo halki si slow thi lekin uski strength level 1 ki spell ko rival kar rahi thi. Even iske effects 200 feet ke distance par bhi impressive the. Uapr se is spell ka Mana Consumption bhi ek normal fireball spell ke level ka tha.
Raj ne yeh sab dekh kar yahi soch raha tha ke vo iski aur practice kare toh iske casting time ko aur bhi kam kar sakta hai.
Even iska time halka sa bhi kam ho jata hai toh bhi yeh kaafi effective ho sakta tha kisi bhi battle ke liye. Issi wajah se Raj yahi par settle nahi hona chahta tha aur apne limits ko push karna chata tha.
Issi ke saath Raj ne phir se apni practice start kar di.
Raj ne next 3 hours issi modified fireball ko practice karne mei bita diye. Raj tab tak practice karta raha jab taak uske body ne jawab nahi diya. Raj ne apne body ko bhi uske limit kar push kar diya tha.
Puri tarah se thak kar Raj ke tree ke niche baith gaya.
Tabhi usse yaad aaya ke usne is spell ko koi naam nahi diya hai.
Ab jab usne ek new spell ko create kiya tha toh usse naam dena toh banta tha.
Kuch der sochne ke baad Raj ne is spell ko “Glass Ball“ ka naam diya.
Is sab se Raj ke samne ek aur baat aayi thi aur vo thi uske body ki limit. Sirf uske hi nahi balki har ek human body ki limit even warriors ki training ke baad bhi zyada nahi thi. Abhi bhi humans physical quality mei utne strong nahi the. Jitne other types ke lifeforms aur dark elves the.
Raj ne is problem par bhi kuch research karne ke baremei soch liya.
Iske baad Raj apne ghar chala gaya.
Kyo ki usse apne books se kuch new ideas mile the is liye vo apne Law of Universal Gravitation par work karne wala tha. Raj jaldi hi apne equation ko develop karne lag gaya tha aur tab tak karta gaya jab tak yeh law kaafi deep nahi chala gaya aur kuch ab vo kuch aisa ban gaya tha jiske baremei Raj puri tarah se anjaan tha.
End mei khud Raj bhi apne develop kiye hue conclusions ko puir tarah se samah nahi paa raha tha.
Is sab ko dekh kar Raj ne apne theory par work karna kuch der ke liye rok diya aur apni practice par focus karne lag gaya.