Update 16 Posted dosto, read and give your precious reviews
Last edited:
Click anywhere to continue browsing...
Interesting update
Ab boss late mat kijiyega
Next update jaldi dijiyega
Bade hu Rochak mod per h story
Eagerly waiting for next update
Update bhot late diya per tagada diya h.....
Me rat ko padhte padhte so gyi ab subha utheke waps padha hor kafi saandaar update ha waiting for your next update
![]()
Chal bro dono bhai exam baad milte hai exam dekebest of luck
Hero killer rony ko darr dikha ye aur sab ko churay .
Once free from marriage. Then give update 13
![]()
Romanchak. Pratiksha agle rasprad update ki
Woh business man kia naam tha ha rajiv paisa ka bada ghamnad h lekin CM ki ek danth m bolti band ho gayi
Samar pahoch gaya uss location per lekin Rony bhi bada sayana nikla apne saath 50 ko or ekattha ker rakha h dekhte h Samar kia kerta h
Sanjana n bhi apne Dil ki BAAT kehdi dekhte h waha se aane k baad kia hota h
Clownurf Rony ki Kahani badi tow ziada achchi nahi h kiss bande ko bachpan se leker jawani tak zillat hi mile tow aisa banna tow
% ho jaata h
Baherhal dekhte h ab Samar in 51 Longo se kaise nipatta h
Behtareen shaandar lajawab update bhai
Waiting
Koi
Koi baat nahi Bhai bas aapko jab time mile baad me tab bharpayi kar dena ok extra update deke shadi ke baad
Fantastic update![]()
Waiting for next update bhai![]()
Okk bro intejaar rahega
Waiting
Waiting for next update
Update
Waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting next update
Ye hui na baat ye diya dhamke daar Update katai zaher Update diya JAIY bhaiUpdate 13
'Kill of Clown'
Samar aur Sanjana Clown ki btao hui location par pahuche to vo shahar se bahar band padi mill thi.
Samar ko call aati hai, vo call pick karta hai to
Clown - welcome to my trap, ab chupchap dono ladkiyo ko andar le aao.
Samar kuch nahi bolta aur sanjana ke sath mill ki taraf jane lagta hai. Abhi ye dono gate par pahuche the ki ye dono dekhte hai gate 10 ke kareeb aadmi pehra de rahe the. Unhe dekhkar Sanjana thoda ghabra jati hai aur Samar hairan hota hai.
Call par clown samar ko bolta hai.
Clown - haaahaaaa kya socha tha main yahan akela milunga. Mujhe laga tha ki police vale koi bakchodi to karenge isliye maine ye contract killer ko hire kiya. Aaram se unn gundo ke paas jao. Aur ek gunde ke phone do.
Samar sanjana ka hath pakad leta hai aur unn gundo ke pass jane lagta hai. Unke paas jakar vo gundo ke leader ko phone deta hai.
Leader - hello
Clown - Suno, uss ladke ki sahi se khatirdari karke use aur dono ladkiyo ko andar le aao.
Leader - lekin yahan to ek hi ladki hai.
Clown - kya?Mujhse double game, suno sale ki haddi pasli todkar andar lao, aur agar jyada hath pair chalaye to ladki ko cover banao.
Leader - ok boss
Leader - gher lo sale ko
Sare gunde samar ke charo taraf se gher lete hai. Ek gunda side se aata hai aur samar ko ek zordar punch marta hai, phir ek kick samar ke pairo par Marta hai, jis se samar apne ghutno par baith jata hai.
Phir sare gunde samar par laat ghuse barsana shuru kar dete hai, iske hotho ke side se khun nikalna shuru ho gya tha. Lekin Samar koi bhi jawab nahi deta. Vo janta tha yahan par koi bhi bewakufi Sanjana ke sath sath Divya ki jaan ko bhi khatre me daal sakti hai.
Sanjana - nahiiii...chhodo use. Sanjana unn gundo ko marna shuru kar deti hai, lekin un par koi asar nahi hota. Ek gunda sanjana ko dhakka dekar side kar deta hai.
Ye dekhkar samar ek dum uss gunde ki laat pakadta hai aur use khichkar jameen par gira deta hai. Uss gunde ka sar jameen par lagta hai aur uske vahi pran nikal jate hai.
Ye dekhkar sab gunde piche ho jate hai.
Gunda 1 - bhai ye to marr gya.
Leader - kya...sale tune mere aadmi ko mara ruk abhi btata hu.
Abhi vo leader kuch kehta ki clown vahan par aa jata hai aur unn gundo ko rok leta hai.
Andar lao ise ye mera shikar hai...
Gunde Samar aur Sanjana ko andar lekar aate hai. Clown ek sanjana ko gun point par le leta hai aur samar ko rassiyon se bandh deta hai...
Andar ek bahut bada hall tha jahan par mill ka khrab saman pada tha aur ek side par Rony(clown) ne Divya, Rohini, Shreya ko bandha hua tha. Rony Sanjana ko unse thoda dur ek khambe se bandh deta hai.
Divya aur baki dono ladkiyon ko ek hi rassi se usne bandh rakha tha aur unse ek bomb attach tha, jiska remote Rony ke pass tha.
Rony Samar ke paas aate hue. Apne aankh ke upar se patti hatata hai, uski ek aankh nahi thi.
Rony - dekh ise...meri aankh phodi thi naa tune main teri dono aankhe nikalunga...lekin usse pehle tu dekhega inn ladkiyo ki izzat utarte hue.
Samar -
Rony Samar ko vahi bandhkar unke paas chalne lagta hai. Vo jakar unn teeno muh se kapda hatata hai. To
Divya - Samarrrr...sanjana....
Rony - ohhh to tu ise janti hai ab maja aayega...
Shreya - tum jante nahi mere papa ko, vo chhodenge nahi tumhe.
Rohini - hame jane do varna acha nahi hoga.
Rony - tum ladkiyo ko apne baap par ucchalne ke siva aur kuch aata nhi hai kya...
Tumhare chutiya baap ne iss ek ladke ko bheja hai tumhe bachane ke liye.
Samar - aur main hi kafi hu ek baar hath khol kutte.
Rony Samar ki baato par dhyan nahi deta aur Rohini ko chhune lagta hai.
Samar - vaise dolly ne thik hi kiya jo tujse pyar nahi kiya. Shakal dekhi hai kbhi apni shishe me bilkul kutte jaisi hai.
Rony ye baat sunkar bhadak uthata hai aur samar ki taraf aata hai.
Rony - kya bola tu, meri shakal gandi hai, jinda jala dunga main tujhe.
Samar - jaise apni maa ko jalaya tha.
Rony -
Samar - tune apni maa ko dhakka diya vo table se takrayi khun bhi nikla lekin vo mari nahi thi. Vo jinda thi haina tune khud unhe mara apna gussa unpar nikala.
Tu kutta nahi hai, tu to suar hai suar.
Suar jaisi teri shakal hai, aur suar jaise tere karam. Tujhe to kisi gandi naali me pada hona chahiye tha.
Haa vahi par jaha maine tujhe feka tha naali me vahi teri sahi jagah hai. Haaahaaaa tu suar hai haaahaaaa
Ye sunkar Rony pagal ho jata hai aur Samar par vaar kar deta hai
Lekin Samar achanak se uthkar ek blade jaisi koi chiz Rony ki dusri aankh me marta hai. darasal Samar Rony ko baato me fasakar piche pade blade se apne hath khol raha tha.
Rony ki ek bhayanak chikh nikal jati hai, Aaaahhhhhh.
Samar turant khada hota hai aur Rony ke hath se gun chinkar gundo par fire kar deta hai, ek hi jhatke me vahan ka mahol badal gya tha. 8-10 gundo ki lashe vahan padi thi.
Itne me bahar se bhi gun chalne ki aawaz aa gyi thi, Suman aur uski team vahan pahuch chuki thi. Bahar bhi ladai shuru ho gyi. Gunde aur Police ek dusre par fire kar rahe the. 2-3 teen gunde dher ho chuke the bahar.
Leader - kutto dekh kya rahe ho maar dalo sale ko. Aur bahar jakar bahar dekho kya ho rha hai lagta hai police aa gyi hai. Sabko khatam kar do.
Leader ki baat sunkar 10-15 gunde bahar chale jate hai aur baki sab samar tut padte hai. Lekin Samar to kisi aur hi rang me tha.
Usne ek gunde ko gale se pakda aur uthakar jameen me de mara, uska sar vahi faat gya.
4 gundo ne ye dekhkar ek sath uspar vaar kiya lekin Samar ne usi gunde ki lash ko uthakar unpar feka. Vo aage badha aur ek gunde ki gardan pakadkar puri mod di.
Sab gundo ne samar ko gher liya aur ek sath uspar vaar karne lage, uspar laat ghuso ki barsat shuru ho gyi.
Lekin samar bhi unpar vaar kar rha tha usne ek gunde ki taang pakdi aur ghumakar dur fek diya.
dekhte hi dekhte sab ke sab vahan pade karah rahe the, kuch to iss duniya se rukhsat ho chuke the.
Samar vahan bethkar saansen bhar raha tha ki usne dekha ki gundo ka leader sanjana ki taraf badh rha tha.
Leader - aage mat badhna varna. Iski khopdi khol dunga.
Samar - tu chutiya hai...tere sare aadmi mare pade hai aur tu ab bhi nahi samjha.
Leader - dekho jo bhi ho tum main to bas contract leta hu, mujhe jane do.
Samar - thik hai chala jaa.
Samar leader ki aankho me dekh raha tha, vo samajh raha tha ki ab vo samar se bach nahi sakta.
Isliye usme sanjana par vaar karne ke liye hath uthaya tha ki itne me Samar paas pada pathar uthakar uss leader ke sar par Marta hai.
Leader sanajana se dur hatt jata hai, iss mauke ka fayda uthakar samar turant leader ke pass pahuchta hai aur ek hi jhatke me uski gardan marodkar tod deta hai.
Bahar ka mahol bhi khrab tha, Suman aur uski team ne lagbhag sab gundo ko maar diya tha ya phir ghayal karke surrender karva liya tha. Uski team ke bhi 2 log ghayal ho gye the.
Samar Sanajana ke paas jata hai aur use khol deta hai, Sanjana turant use gale laga leti hai.
Sanjana -
Samar - bas...bas...sab thik hai kuch nhi hua...
Sanjana - thank you
Samar - chaliye divya ko chhudate hai.
Phir Samar aur Sanjana Divya, Rohini aur Shreya ko chhudate hai usko rassi se bomb laga hua tha. Samar use bhi alag karke dur kone me fek deta hai.
Divya turant samar se lipat jati hai aur rone lagti hai...
Divya - thankyou samar, agar tum nahi aate to pta nahi mera kya hota.
Samar - kuch nahi hota, don't worry sab thik hai, uncle ne muje bheja tha.
Rohini - thanks aapka, aapne hamari jaan bachayi.
Shreya - thank you very much.
Samar - tum ladkiyo ko thanks bolne ki bimari hai kya. Aaiye ab chalte hai.
Rohini - vaise mera naam Rohini hai aur aapka naam.
Samar - yuddh, War
Shreya - War ye kaisa ajeeb naam hai.
Mera naam Samar hai mtlb Warye sunke sabke chehre par muskurahat aa jati.
Rony jo vahan tadap raha tha use dekhkar
Shreya - vaise iska kya karna hai...
Samar - isse to badla lena hai komal ka...bada shok hai ise khun bahane ka...
Ye bolkar samar Rony ke paas jata hai aur uske ando par ek jordar laat marta hai. Uski chikh nika jati hai, halaki uski aankhe nahi rahi thi lekin phir bhi use taare najar aa jate hai.
Samar - girls agar choho to apna chehra ghuma sakti ho, shyad aap dekh maa pao.
Lekin koi apna chehra nahi ghumata aur samar Rony ko torture karne lagta hai.
Vo pehel uske dono hotho ko hatheliyon se mod deta hai, phir pairo ko bhi modkar tod deta hai.
Uske baad vo vahi blade jis se uski aankh phodi thi uthakar lata hai aur uske pure sharir par uss se vaar karta hai.
Rony ka pura sharir khun se naha chuka tha, sach me aaj use blood bath mil rha tha jiska vo Shokeen tha.
Uski halat aisi hi chuki thi ki ab to uski aawaz bhi nahi nikal rahi thi. Phir bhi vo himmat jutakar bola.
Rony - Ahh pls mujhe jaan se maar do, aur mat tadpao. Pls
Samar - kaha tha maine ki tu bhikh mangenga mujhse maut ki.
Rony - pls
Abhi Samar Rony ko marne hi vala tha ki vahan Suman aa jati hai..
Suman - nhi samar use mat marna vo kanun ka gunehgar hai use kanun saja dega.
Samar - sorry Suman ji, aapke kanun se pehle se mera gunehgar hai, ye apni maa ka gunehgar hai, aapka kanun bahut der kar dega ise saja dene me.
Suman - dekho piche hat jao, agar tumne kuch kiya to main tumpar goli chala dungi.
SamarSuman ji yahi to aapke kanun ki galti hai, gunehgar ko saja nahi deta aur saja dene vale ko chhodta nahi. Lekin main aapke kanun ka gulam nahi hu
aur ye kehkar vo Rony ki gardan pakad kar puri takat se khichta hai. Uski gardan Rony ke sharir se alag hokar Samar ke hatho me aa jati hai. Ye dekhkar vahan sabki dhadkan ek baar ko ruk jati hai.
Samar sanajana aur Divya ko apne sath le jata hai, Rohini aur Shreya ko police safely le jati hai aur Suman samar ke bare me sochti reh jati hai.
Samar car chala raha tha aur sanajana use hi dekh rahi thi, uske shareer par choto ke nishan the jo use ladte hue lage the.
Sanjana uss chot par hath phirati hai to Samar use dekhkar muskura deta hai.
Thanks rocket league BhaiYe hui na baat ye diya dhamke daar Update katai zaher Update diya JAIY bhai