bloodline8
New Member
- 51
- 6
- 8
Nice update....UPDATE-32
Ghode per ladki ko bhaga le jane wala dev ka sathi abhendra tha, lekin ek anjan ladke se apna naam sunkr ladki chonk gai,
Manisha- kon ho tum aur mujhe kaise jante ho,
Abhendra- dev ji ne bola tha tumhara khayal rakhne ke liye, agar tumhe kisi bhi samshya me dekhu to waha se bahar nikal lau,
Manisha- dev bhaiya ne bola tha, tum sach bol rhe ho, nhi nhi main aise kisi per bharosa nhi kar sakti,
Abhendra- bahut badhiya mujhe bhi yahi sunna tha, main tumse kuch nhi puch rha hu, tumhe jo batana h wo dev ji ko hi bata dena,
Manisha- lekin tum mujhe kaise jante ho,
Abhendra- tum mukhiya ji ki beti ho na, jo kuch hi samay phele yaha aai h, dev ji ne btaya tha ki tum unki sahayta kar rhi ho,
Manisha- aur kya bataya unhone
Abhendra- isse jyada ki jankari ki mujhe jarurat nhi hoti,
Manisha ne apna sir niche kr liya, use dar tha kahi abhendra bhi use waisi hi giri hui najro se dekhega, lekin abhendra bahut hi shaleen insan tha,
Abhendra- hume yaha se nikla chahiye, wo log tumhe khojne ke liye nikle hain,
Manisha- mujhe dev bhaiya se milna h jaruri,
Abhendra- wo na jane kis samay aayenge lekin main unke pas tumhe lekar chalta hu,
Abhendra ne manisha ko ghode per baithaya aur ghoda doda diya,
Udhar bhawar singh aur kamya ka bura haal tha, aur satavik ne akant pate hi rajguru se baat karni shuru kr di,
Satavik- bhaiya bhawar singh aur rajveer ke pariwar me kaisa rishta tha, suna h unke pita aaps me mitra the,
Rajveer ka naam sunte hi rajguru ke kaan khade ho gaye, rajguru ka dimag bahut teji se sari kadiya jodne laga, jaise ki bhawar singh kamya satavik ke sath ekant me baat kar rhe the, to ho na ho us shakti ke bare me baat hogi, aur satavik ke muh se rajveer ka jikar hona, matlab unke bich rajveer ko lekar bhi koi baat hui hogi, kya rajveer aur us shakti ke bich koi rishta h, pitaji ne kaha tha Samadhi me khojo, kya rajveer ki Samadhi me kuch tha, nhi nhi uski mot to bahut baad me hui thi,
Satvik- kya hua bhaiya aap kaha kho gaye,
Rajguru- kahi nhi satavik, main ghar per baat karunga filhal mujhe us aurat ko dhudne jana h,
Rajguru turant waha se nikal gaye, aur wo us ladki ke piche na jakr sidhe raj pariwar ki samadhiyo ki taraf chale gaye, kuch hi samay me wo bhawar singh ke dada, rajveer ke dada aur rajguru ke pita ki Samadhi ke samne khade the, tino ki Samadhi ek sath banai gai thi, ye bhawar singh ke dada ka hi adesh tha ki in tino dosto ki Samadhi ek sath banawai jaye, aur ye Samadhi banawai thi rajguru ke pita ne,
Rajguru samadhiyo ke samne khade vichar kr rhe the,
Rajguru khud se hi- is taraf maine kabhi socha kyo nhi, ye rajpariwar ka niyam tod kr aisa kyo kiya gaya, ye tino samadhiya ek dusre ke sath kyo banai gai, ye hi wo jagah h jaha manjil mil sakti h, lekin mujhe ye baat raaj rakhni hogi,
Rajguru samdhi ke charo taraf ghumne lage tab unka dhayan gaya ki rajveer ke dada ki Samadhi per likhe naam ka jo pathar laga tha wo thoda hila hua laga, jab rajguru ne us pathar ko hilaya to laga ye ghum jayega, unhone pathar ko ghumaya to bhawar singh ke dada ki Samadhi ke piche ek rasta khul gaya, rajguru turant waha pahuche to dekha waha sidhiya bani hui hain, rajguru us raste se ander ghus gaye, bahut hi andhera tha waha, rajguru ne kuch der apni aankho ko waha ke andhere se abhyashth kiya, jaldi hi unhe thoda bahut dikhne laga, kyoki halki halki roshni ander aa rhi thi, rajguru ne charo taraf dekha to unhe ek pathar per ek lakdi ka baksa dikhai diya,
Rajguru us bakse ko bahar le aaye, aur Samadhi ka rasta band kr diya, wo us bakse ko lekar apne ghar ki taraf teji se nikal gaye,
Udhar abhendra manisha ko lekar dev ke pas pahuch gaya, jaha dev bhomik ji se yudh kala sikh rha tha,
Abhendra aur manisha ko aise aaya dekh kr dev ek pal ke liye ghabra gaya, dev turant unke pas pahucha, bhomik ji bhi uske piche aa gaye,
Dev- kya hua manisha tum thik ho na,
Manisha- main thik hu bhaiya inhone meri jaan bachi,
Dev- ha ye tumhari suraksha ke liye tha waha per,
Manisha ne abhendra ko dekha, abhendra ne muskura kar sir jhukaya,
Dev- kya hua batao tum yaha kaise
Abhendra- ye mahal se bahar ki taraf bhag rhi thi aur iske piche senik the mujhe laga ye khatre me h to maine mahal me se ise bhaga laya, ise mujh per yakeen nhi tha isliye yaha lana pada,
Dev- achha kiya,
Bhomik ji- kya hua dev
Dev- ye to manisha hi batayegi kya hua,
Manisha- kya sabke samne bata du,
Dev- ha manisha in logo se kuch chupane ki jarurt nhi h, ye mere guru ji hain, inse jyada visvas main kisi per nhi karta aur ye mera bhai h,
Bhai sunkr abhendra ki aankho me aansu aa gaye,
Abhendra- ye to aapka badappan h
Dev- nhi abhendra tum mere ek lote mitra ho,
Manisha- phele aap meri baat suniye,
Dev- ha ha bolo
Manisha- aapne mujhe maharani kamya per najar rakhne ko kaha tha na, to main lagatar unhi per najar rakhe hue thi, kal wo pure din aur raat mahal se bahar thi maharaj ke sath, aaj subha aai to maharaj aur wo dono ek kamre chale gaye fir wo un sadhu baba ke sath jinhone us janwaro ka sath diya tha, unke sath us khas kamre me gaye jaha maharaj khas logo se baat karte hain, main aapke bataye hue raste se us kamre me ghus gai, lekin jab tak main waha pahuchi to un logo ki baat aadhi khatam ho chuki thi, mujhe bas itna samjh aaya ki wo log kisi veer veer ki baat kar rhe the,
Dev- rajveer
Manisha- ha ha rajveer ki baat kar rhe the, ye hi naam liya tha, bol rhe the ki rajveer ko kuch pata h, usse raaj ugalwana h,
Rajveer ka naam sunte hi dev ki aankhe bhar aai,
Bhomik ji- kya kaha tumne rajveer, kya rajveer jinda h
Manisha- unki baato se to ye hi lag rha tha,
Dev- guru ji mere mama jinda hain,
Bhomik ji- agar wo jinda h to jarur koi khas maksad se use jinda rakha gaya hoga, aur agar bhawar singh satavik ke sath yojna bana rha h to jarur us shakti ke bare me hogi, matlab mera shak sahi nikla,
Dev- kaisa shak
Bhomik ji- hum sab soch rhe the ki humne is shakti ko khoja h lekin humare purvaj phele se in shaktiyo ke bare me jante the, unhone pidhi dar pidhi ye raj hume diya lekin maharaj surybhan aur humare pita ji ne ye raaj aage nhi diya, lekin rajveer ke dada yudhveer ji ne ye raaj apne bachho ko bataya hoga aur wahi raaj rajveer ko pata hoga,
Dev- manisha tumhe kuch pata chala ki unhe kaha rakha gaya h,
Manisha- maf karna bhaiya main isse jyada nhi sun pai, mujhe waha se bahgna pada,
Dev- are koi baat nhi, tumne bahut himmat ka kaam kiya h, apni jaan ko khatre me daal kr mere liye itna bada khatra uthaya,
Manisha- ye jaan aapki hi di hui h bhaiya, aapke liye aisi jaan 100 bar nyochawar kar sakti hu,
Dev ne manisha ke sir per hath firaya,
Dev- tum ab mahal mat jana, tum abhendra ke sath jao aur waha sugandha milegi, uske sath raho, aur abhendra manisha ko majbut banao, ise khud ki raksha karne layak banao, ye ek puri yodha banni chahiye, aur sugandha ko bhi shamil karo, humare rajay ki ladkiya bhi yudh karna shikhengi,
Abhendra- jaisa aap kahe,
Abhendra madhuri ko lekr chala gaya,
Dev- guru ji ab mujhe kya karna chahiye, mujhe apne mama ko bachana h, unhe bhawar singh ne jhute iljam laga kr fasaya h,
Bhomik ji- main samjh gaya hu dev, rajveer ke pas jo janakri h use hasil karne ke liye hi bahwar singh ne ye sab kiya hoga, aur use mara bata diya hoga lekin ye raaj jane bina wo rajveer ko marne nhi dega,
Dev- satavik ji ne agar unse raaj ugalwa liya to wo unhe mar dega,
Bhomik ji- main kuch karta hu, bhaiya ko is bare me jarur pata hoga, main unse milta hu,
Dev- satavik ji ke pas shakti h unhe wo shakti kyo chahiye,
Bhomik ji- wo shakti satavik ko apne liye nhi chahiye, kyoki ek insan do shaktiya nhi rakh sakta h, use bas wo insan chahiye jiske pas wo shakti hogi, aur wo kyo chhaiye iska mujhe pata karna hoga,
Dev- kya hum us shakti ko khoj kre
Bhomik ji- nhi hume us shakti ka kuch nhi karna, hume bas aane wale samay ki teyari karni h, tumhe teyar hona h is yudh ke liye, tum mahal jao aur waha dekho kya ho rha h, main bhaiya se milta hu aur kuch jankari nikalta hu,
Dono nikal gaye,
Dev mahal pahucha to waha ek naya bakheda ho chukka tha, rajmahal me seniko ki bheed lagi thi, dev jaise hi mahal me ghusa to akshara dod kr aai aur usse lipat gai,
Akshara- dev dev wo log fir aa gaye,
Dev- kya hua kon aa gaya
Akshara- pratap singh ke bete,
Pratap singh ka naam sunte hi dev ke dant bhich gaye,
Dev- kaha h wo
Akshara- raajsabha me,
Dev turant tej tej kadmo se udhar chal diya, jaise hi dev ne sabha me parvesh kiya to ek dum waha sannata cha gaya, aur sab dev ko dekhne lage, aur waha baithe sambhu ke muh se ek dum nikla dev,
dev aage badha to ek lamba choda insan uth kr aaya aur dev ke samne khada ho gaya, ye tha charan singh
Charan singh- to tum ho dev, suna h bahut balshali ho,
Dev ki aankho me gussa tha wo charan ko ek taraf hathata hua sambhu ki taraf chal diya, sambhu dar se kanpne laga, dev ko sambhu ki taraf jata dekh charan teji se uske samne aa gaya,
Charan- are bhai hum to yaha baat karne aaye hain,
Dev- tu h kon
Charan- main maharaj pratap singh aur maharani renuka ka beta hu, aaj se phele humari kabhi mulakat nhi hui h,
Dev- tum logo ki himmat kaise hui is mahal me aane ki,
Bhawar singh- dev ye kya tareeka h mhemano se baat karne ka,
Dev- mhemaan ye log kaise mhemaan ho gaye hain, aap jante hain inhone kya kiya tha, inka sir kaat kr chorahe per tang dena chahiye,
Bhawar singh- hum sab jante hain, ye log apne kiye per sharminda hain, aur waise bhi tum inhe saja de chuke ho, ab thoda shant ho jao,
Dev gusse me aag babula ho rha tha lekin moke ki najakat ko samjhte hue usne khud ko shant kiya,
Bhawar singh- ha to charan singh tumhe aisa kyo lagta h hume tumhari baat maan leni chahiye,
Charan- maharaj hum dono ke rajay hamesha se ek dusre se ladte hue aaye hain, aur jab jab humne ek dusre ke sath rishta jodna chaha to kuch na kuch aisa hua h jisse baat bigad gai,
Bhawar singh- tumhare pita ne hi har bar dhokha diya h,
Charan – maharaj unki taraf se main mafi mangta hu, mere pita apne 4 bete kho chuke hain, ab wo rajay nhi karna chahte, to ab rajay ki bagdor mujhe samhalni hogi, aur main aisa rajay nhi chahta jo apne hi padosi rajay ka shatru ho, hum dono rajay agar mil jaye to pure bharat varsh per rajay kar sakte hain, is mitrta ke badle aap jo humse chahe mang sakte hain, aur maharani kamya devi to samjhengi is baat ko agar dono rajay mil jaye to kitni andheri rate khatam ho jayengi aur naya sawera hoga,
Kamya ne charan singh ko dekha, fir bhawar singh ko dekha,
Kamya- waise mujhe isme kuch burai najar nhi aati, agar ye ladai mitrta se khatam ho sakti h to hume aage badhna chahiye, humara lakshya aapas me ladna nhi hona chhaiye, balki rajay ki tarakki hona chhaiye,
Charan- bahut hi uttam vichar hain aapke,
Bhawar singh- to kya vichar lekar aaye ho tum, jisse ye dushmani khatam ho sakti h,
Charan- maharaj humare pariwar ki wajah se aapki betiyo ko hamesha takleef jheli hain, aur apmaan jhela h, aur main bhali bhanti janta hu ki jo apmaan unhone jhela h usse ubharna aasan nhi h, aur baki rajay bhi aage nhi aayenge, isliye main aapse prathna karunga ki meri bahan revati ki shadi aap apne kisi bhi rajkumar se karwa de aur aapki charo betiyo ki shadi hum charo bhaiyo se karwa dijiye, isse dono rajyo me sambandh jud jayega, aur purani dushmani khatam hogi, phele hum apni bahan ki shadi karwayenge taki aapko bharosa rhe, uske baad hi aap faisla lena,
Dev- ye kabhi nhi hoga, meri bheno ki shadi in janwaro se nhi hogi,
Bhawar singh- khamosh ho jao dev, ye faisla hum lenge, rajay ke liye kya sahi h kya galat ye hum batayenge,
Akshara amita somiya aur riva charo hi ke chere per dar aur ghabrahat saaf najar aa rhi thi, wo bina shadi ke rehne ko teyar thi lekin pratap singh ke pariwar me jane ke liye teyar nhi thi,
Bhawar singh- humne tumhari baat sun li h, lekin koi faisla lene se phele hum vichar karna chahte hain, senapati inka rhene ka intejam mheman ghar me kiya jaye, aur kal subha hum fir se apne vichar rakhenge,
Charan- jaisi aapki marji maharaj, kya main aapse ek anumati mang sakta hu
Bhawar singh- ha bolo
Charan- main aapke pariwar ke sabhi sadashyo se baate karna chahta hu, aap koi faisla le usse phele main apne vichar unke sath batna chahta hu,
Bhawar singh- thik h, tum jisse bhi baat karna chaho mahal ke upvan me kar sakte ho, lekin mahal ke ander nhi aa sakte,
Charna- jo aagya maharaj
Charan aur sambhu waha se chale gaye,
Bhawar singh- humare rajguru kaha hain, itni badi baat ho rhi h aur wo mahal me nhi h,
Satavik- maharaj wo us jasoos ko dhundhne gaye the,
Bhawar singh- jab tak rajguru nhi aate aap unki jagah hume salah dejiye,
Satavik- mujhe lagta h ek baar in rajkumaro ke sath akele me baat karni chahiye aur inke vichar janne chahiye, agar ye kuch galat soch ke sath aaye hain to jaroor kisi ke smane kuch galat bolenge,
Bhawar singh- achha vichar h, sabhi log unse miliye aur unke vichar janne ki koshish kijiye,
Kamya- sabse phele main milungi,
Dev gusse me utha aur sabha se nikal gaya, charo ladkiya waha se uth kr dev ke piche jana chahti thi lekin bhawar singh ke samne himmat nhi hui, sabha khatam hui to wo charo teji se dev ke pas bhagi,
Wahi suraj jwala aur abhijeet chinta me dube hue the, kyoki unke raaj ko janne wala sambhu unke mahal me tha, agar usne maharaj ko kuch bata diya to unki mot pakki h, wo jald se jald charan aur sambhu se milna chahte the,
Dev niharika ke kamre me pahucha aur gusse me saman idhar udhar fainkne laga,
Niharika- dev kya hua beta tu itna gusse me kyo h,
Dev- wo samjhte kya h khud ko, unhe logo ki jindagi barbaad karne ke alawa kuch nhi aata,
Niharika- hua kya h
Tabhi piche se charo bhene dodi hui aa rhi thi, aura ate hi dev se lipat gai,
Akshara- hume bacha lo dev hume bacha lo, hum sari jindagi kuari reh lengi lekin unse shadi nhi karengi,
Niharika- koi mujhe bhi batyega kya ho rha h,
Riva- maa wo pratap singh ka beta aaya h aur bolta h ki hum charo bheno ki shadi apne bhaiyo ke sath karna chahta h aur apni bahan ki shadi yaha ke rajkumar se karna chahta h,
Niharika ked ant bhich gaye gusse me
Niharika- agar meri bachhiyo ki taraf najar bhi uthai to aankhe noch lungi main, niharika ne gusse me ye bola tabhi bahar baitha dutt( cheetah) ek dum ander aakr jor se dahada,
Uski dahad se charo bahan dar gai,
Dev- shant ho ja dutt shant ho ja kuch nhi hua h,
Dutt ne sabko dekha fir bahar chala gaya,
Niharika- tum log chinta mat karo, ab wahi hoga jo tum chahti ho,
Dev- tum charo kya chahti ho,
Amita- hum shadi nhi karengi, hum aur apman nhi seh sakti,
Dev- ek bar aur soch lo,
Somitra- soch liya,
Dev- ek bar faisla kar liya to kar liya fir piche nhi hat sakogi,
Akshara- humne faisla kar liya h,
Dev- to thik h kal se tum charo yudh kala sikhogi, tum charo aisi yodha banogi jisse aane wali pidhiya ye jaan sake ki ladkiya sirf do rajyo ke bich samjhota karwane ka saman nhi hoti, wo yodha bhi ho sakti hain,
Charo bhene fir dev se lipat gai, is bar riva sabse aage thi, aur riva ki chuchiya dev ki chati me dabi hui thi, piche se amita bhi lipat gai aur riva dono ke bich me dab gai, jisse wo aur dev se chipak gai, dev ke piche akshra thi aur barabar me somiya,
Udhar rajguru us sandook ko kholne me lage hue the, jaise taise karke unhone sandook khol liya usme rakhi thi ek kitab, kitab per likha tha humara rajay,
Rajguru ne kitab ko khola to paya ye rajguru ke pita ne khud apne hatho se likhi thi,
Rajguru khud se hi- lagta h ye h wo kitab jisme maharaj suraybhan aur in shaktiyo ke bare me kuch likha hoga, humare rajay ka ithas isi me likha hoga,
Rajguru ne kitab khol li aur padhna shuru kr diya, tabhi bhomik ji waha aa gaye, bhomik ji kea ate hi rajguru ne wo kitab chupa di, lekin bhokin ji ne parakh liya ki rajguru ne kuch chupaya h,
Bhomik ji- bhaiya kya aisa bhi kuch h jise chupane ki jarurat aan padi h,
Rajguru- main is rajay ka rajguru hu, aur is rajay ke aise sabhi raaj jinse is rajay ko khatra ho sakta h wo mujhe chupane hote hain,
Bhomik ji- to kya rajveer bhi unme se ek raaj h
Rajguru- rajveer, usme kaisa raaj h wo to mar chukka h
Bhomik ji- bhaiya ab mujhse mat chupaiye, main janta hu rajveer jinda h,
Rajguru- kaisi baat kar rhe ho, wo rajdroh ke jurm me mara ja chukka h,
Bhomik ji- bhaiya jhut bolne ka koi fayda nhi h
Rajguru gusse me- bhomik tumhari himmat kaise hui mujhe jhuta bolne ki, hum pita ji ki kasam khate hain hum jhut nhi bol rhe,
Bhomik ji- to fir aapse bhi jhut bola gaya h,
Rajguru – kaisa jhut
Bhomik – yahi ki rajveer jinda h aur use pichle 20 saal se jinda rakha gaya h
Rajguru- lekin bhawar singh aisa kyo karega
Bhomik- us shakti ka raaj janne ke liye, kyoki jo raaj raja surybhan ne aage nhi bataya jo humare pita ji ne aage hume nhi bataya, lekin senapati yudhveer ne apne bachho ko ye sab bataya aur rajveer ko ye sab pata tha, isliye bhawar singh ne use kaid kr liya,
Bhomik ki baat sunkr rajguru ne apne sir per hath rakh liya,
Rajguru- hey bhgawan main kabhi is taraf kyo nhi soch saka, mere mana karne ke baad bhi bhawar singh niharika ke piche kyo rha ab sab samjh aa rha h,
Bhomik ji- lekin ab rajveer ki jaan ko khatra h, satavik usse raaj ugalwane wala h,
Rajguru- satavik
Bhomik ji- ha bhaiya satavik badal chukka h, uske vichar badal chuke hain, wo shakti ke piche pagal hua jar ha h, uski jarur koi badi yojna h, hume phele rajveer ko bachana hoga, agar rajveer ko kuch hua to dev pure rajay ko tabah kr dega,
Rajguru- kya bol rhe ho, hum aisa nhi hone denge, hum milkr rok denge,
Bhomik ji- use koi nhi rok sakta, pura rajay milkr bhi use nhi rok sakta h bhaiya, wo ek mahasagar h agar uske ander gusse ki sunami uthti h to wo sab kuch tahas nahas kar degi,
Rajguru- main aaj tak ye nhi samjh paya ki uske ander ye takat aai kaha se, usme ye badlav aaya kaise,
Bhomik ji- aap itne bade gyani hain, ab tak samjh paye, wp bhawar singh to nafrat me andha h lekin aapko to samjh jana chahiye tha, ki ek masoom sa ladka itne humlo ke baad itni uchai se girne ke baad bhi bach gaya aur wapas aaya to ek aseem takat ke sath,
Rajguru- ohhhhhhh to kya wo shakti
Bhomik ji- ji ha wo shakti
Rajguru- ye kya ho gaya h mujhe, meri aankh ke samne sab kuch tha aur mujhe kuch nhi dikh rha tha, lekin agar dev ke ander shakti h to satavik kya dhundh rha h,
Bhomik - wo tisri shakti dhundh rha h, wo janta h dev ke ander shakti h, isliye wo dev se dubara hi takraya,
Rajguru- lagta h raja suryabhan ki bhavishyawani sahi hone wali h, lekin usme to likha tha shakti bhawar singh ko milegi,
Bhomik ji- wahi to main bhi janna chahta hu,
Rajguru- ab jaan jayenge, dekho mujhe ye kitab mili h, jo humare pita ne likhi thi, is rajay ka ithas, isme sab kuch likha hoga,
Bhomik – ye kaha mili
Rajguru- wahi jaha pita ji ne kaha tha, jab rasta na mile to samdhiyo me khojna, ye kitab Samadhi ke ander chupai hui thi,
Bhomik ji- bhaiya is rajay me bahut kuch hone wala h, aur aane wale samay me humare apno ke samne hi khada hona pad sakta h, aapko faisla karna hoga aapko kaha khada hona h,
Rajguru- main bhawar singh ke liye samarpit hu, uske uske khilaf khada nhi ho sakta, har kimat per mujhe uska sath dena h,
Bhomik ji- aur agar bhawar singh hi galat hua tab kya hoga, kya aap galat ke sath khade rahoge,
Rajguru- jab humare maharaj suryahan ne antim sans li thi tab unhone mujhe bulaya tha, us samay pita ji ki jagah main rajguru ke pad per aa chukka tha, tab maharaj ne kaha tha ki is rajay ke sachhe raja ki raksha karna, apna pura jeevan uske liye samarpit kar dena, wo raja jiske pas sachhi takat hogi aur jo amratav ko payega uske liye tumhe samarpit rhena hoga, chahe kuch bhi ho jaye uska sath dena, mujhe vachan do,
Maine unko vachan de diya aur tab se aaj tak mainbhawar singh ke sabhi sahi galat kaam me uske sath rha hu,
Bhomik ji- lekin raja surybhan ne bhawar singh naam kab liya, unhone to sirf sachha raja kaha tha, aur aapko bhawar singh ke ander sachhe raja ke gun kaha se dikh gaye, aur kya ye nhi ho sakta ki jis sachhe raja ki baat ho rhi h wo dev ho,
Rajguru- lekin dev ke bare me unhone kaha tha ki wo is rajay ka vinash karega,
Bhomik ji- ye baat aapse kahi thi
Rajguru- nhi apne bete yani bhawar singh ke pita se,
Bhomik – matlab is baat ka koi sabut nhi h ki ye sach kaha tha ya jhut,
Rajguru soch me pad gaye,
Bhomik- is samay dev se shaktishali insan koi nhi h yaha, aur mujhe lagta h bhavishwani ke hisab se wo amar bhi h,
Rajguru- amar kya wo amar h,
Bhomik- mujhe umeed to yahi lag rhi h,
Rajguru – mujhe is kitab ko padhna hoga, isi se sara sach samne aayega,
Bhomik ji- phele aapko rajveer ka pata karna hoga, use kuch nhi hona chahiye,
Rajguru- lekin bhawar singh mujhe kyo batayega,
Bhomik ji- aap is rajay ke rajguru hain, is rajay ke jo bhi chupe hui jagah hain unke bare aapko sabse adhik pata hoga, koi aisi jagah jaha bhawar singh aksar jata ho,
Rajguru sochne lage,
Superb fantastic fabulous updateUPDATE-32