Prologue
Jab hamare bramhand ka nirman hua tha tab bahot se nayab karishmo ka bhi nirman hua tha..
Unhi nayab karishmo me se kuch aise 3 aisi realm ( kshetr ) jaha par divinity ne janm liya tha jo apne aap me hi pura bramhand banane ki shamta rakhti thi..
(Divinity – yani ki aisi shakti jise hasil karne ke baad koi bhi uss pure realm ko apne muthi me kar sakta tha )
Wo 3 realms – God Realm , Mortal Realm , Hell Realm
Aur 3 kshetr ko niyantran me rakhne ke liye naturally Heavenly LAW kaa nirman hua..
( Ye to huyi story se related kuch bate ab ham story pe chalte hai )
God Realm …
Divinity ek aisi power jise har koi hasil karna chahta tha jiske liye sabhi Divine Arts ki practice karte the..
Aise hi God realm ke ek bade sunehre parvat par ek ladka dhyan mudra me baith kar divine arts ki practice kar raha tha..
Uske piche uske do dost aur premika usse protection dene ke liye khade the..
Aaj uss ladke ke chehre par ek alag hi chamak thi kyo ki usne divine arts ko perfection me practice kar ke God realms ke sabhi natural rules & laws ko perfection me master kar liya tha..
[ Natural Laws – Sky law , earth law , heaven law ]
Jisk wajah se wo apane god realm ke shackles se mukt hokar divinity yani ki god realm ki divine powers ko apana leta..
Par usse pehle usse heavenly punishment yani ke heavenly lighting bolts jo sidha heaven se aati hai uska samna karna tha…
Tabhi aasman me kale badal chane lage aur uss ladke kaa tribulations pass aane laga iss samay uss ladke kaa pura dhyan tribulations par laga tha...
Tabhi usi ke piche uske dosto ke chehre par ye sab dekh unke mann me bhi divine powers ki lalach jagne lagi..
Aur jaise hi un 3 ne dekha ki aasman se 1st lightning bolt niche aa raha hai ussi samay kaa fayda lekar unn 3 ne ek sath uss ladke par soul attacks kar diye..
Jiski wajah se uss ladke kaa dhyan tut gaya wo kuch keh pata usse pehle hi uske sharir par lightning bolt gir gaya..
Iss samay wo kafi kamjor tha jiski wajah se wo lightning bolt ki power seh nahi paya aur uska sharir lightning powers ki wajah se nasht hone laga..
Itna sab hone ke baad bhi usko iss baat kaa yakeen nahi ho raha tha ki uske dosto ne hi usse marne ke liye ye sab kiya jisme uski premika bhi shamil thi..
Jin logo ke liye wo apni jan ki bhi parva nahi karta tha aaj unhi logo ne usaki jan le li..
Ye sab dekh kar uske man me ek aisi nafrat ne janm liya jiska ant ab pata nahi kab hoga…
Aur marte wakt usne ye soch liya agar heaven will ne muzhe zhindgi me ek aur mauka diya to aaj huye iss hadse kaa badla wo jaroor lega
Aur aise hi GOD Relam ke 1st lord emperor era kaa ant ho gaya…