Update - 8( B )
Asha:- mujhe kuch nhi pata mai bas itna janti hoon ki jobhi ho raha h usme mere bete ka koi kasoor nahi hai.
Usha:- didi jobhi h guruji ka bhi yahi kahna hai ki robin ki waja se hi ye sab ho raha h. Thik bhi to h purwajo ki rasam ka bhi samay nazdik araha hai. Isliye robin ko padhai ke liye bahar bhej diya gaya h.
Asha:- mujhe nhi pata aur jise rasam me Mera beta nhi us me mai bhi nhi.
itna kahne ke baad asha wahan se chali jati h. Usha ab is soch me thi ki apni bahan ko kese rasam me shamil karna h kyoki wo ghar ki badi bahu h.
Robin ko train me bethe hua ek-do ghante ho chuke the.
Ab Robin ko ( main ) se likhe gye -
Main train me betha hua soch raha tha ki ab me apne kuch saal sakun se bita sakunga. Ghar main itne sare logo ke hote hu bhi me akela pada gya tha. Sab sochte hai ki main manhoos hoon kya bigad tha main sab ka. Ab main un sabse badla lunga mere ek ek dard ka. Main khud ko puri tarah badal dunga thaki koi mujhe phirse niche na daba sake.
main train me bethe kafi der se yahi sab soch raha tha ki mujhe esa laga ki koi mujhe kafi derse dekh raha hai. Main nazar utha ke dega to mere samne ek buda admi betha h aur mujhe dekhte hua muskara rahe hain.
Main:- ese kya dekh rahe hain baba, kya aap mujhe jante h.
buda admi:- nhi lekin tumhe dekh ke esa lagta hai ki tum kafi dukhi ho aur tumhare mukh par arahe bhao ko dekh kar lagta hai ki tum kisi baat par naraj ho pariwar se.
Main:- koi ek baat nhi h un logo ne mere sath bahut hi Ganda wahewar Kiya hai, jabse me 10 saal ka hua hoon main pata h ki main sab ke liye manhoos hoon aur esa kyo hai to aaj tak kisine mere kai bar puchne par bhi nhi bataya.
buda admi:- ho sakta hai unki koi majburi ho. Tumhare najarye se galt hai lekin unke liya ye sahi ho. Ho sakta hai unhe tunhare liye gumraha kiya gya ho tumhare pariwar ke dushmano ki taraf se. Taki wo pariwar me maat bed padaa kar sake.
Main:- aap kahan chahte hain ki mujhe mere pariwar ke samne galt mere dushmano me sabit kiya hai.
buda admi:- kuch bhi ho sakta hai. Agar tumhe bahar beja ja raha h to majbut bani taki sach jan salo aur apna badal le sako.
ye sab bate hone ke bad buda admi apne utarne ki tayari kar ne lagta h wo ek station ane par utar kar chale jate hain. Station se nikalne ke baad wo thodi dur tak chalte hain aur aspas nazer dalte hain aur gayab ho jata hain.
main ab tak use bude admi ki baat soch raha tha aur mujhe dadaji ke bhi baat yada ati ha ki kase unhone mujh se pariwar ko sabalne ka vachan liya h. Kya sach me ye sab hamre dushmano ki sajish hai agar esa hain to mujhe jald hi sab kuch pata karna hoga.
Train apni raftar se daud rahi thi aur main sochte - sochte so jata hoon. Kuch aur gante bitane ke baad me dehradun station per uttar ta hun, station se bahar nikal kar ane par main gate se 100mtr ki duri par mujhe dadaji ne jo car number bataya tha wahi car khadi thi. Main uske pass pahunch kar driver ko apna naam batata hoon to driver kaka mere se hath jodkar mafi magne lagte hain.
Main:- arye aap ye kya kar rahe hain.
Kaka:- maf karyega malik me apki photo Lana bulgaya tha isliye pehechan nhi paya. Aap meri sikayat mat karyega.
Main:- arye kaka koi baat nhi galti sabse hoti h. Aap mujh se bade hain mafi mang kar sarminda mat karye.
Kaka:- acha thik h beta, arye ye batao ki aap teen mahine phele hi kyo agaye.
Main:- main yahan ghumna chahta hoon aur yahan ke mahol ka Jana chahta hoon, wase kalse aap mujhe dehradun gumane lechale gaye. Aur han mujhe aap kehna band kariye main aap ke bacho ki umar ka hoon.
Kaka:- thik hai Khali ghumna hi h ye aur bhi kuch karne ki socha hai.
Main car me kaka ke sath betha jata hoon aur bags ko pichewali seat per rakh deta hoon.
Main:- kaka yahan pass me koi gym nhi hai kya.
Kaka:- are hena bunglow se kuch doori per market hai aur wahan se nikal kar hi gym h, aur mere bade bete ne bhi gym khol rakha h.
Main:- ye badiya hai main bhai se hi sab kuch pucha lunga.
30min ka safar bitane ke baad hum bunglow per pahunchte hai. Main car se utar kar bags nikal kar ander chala jata hoon kaka car park kar ke chale jate hain. Main ander akar dekha kafi sundar bunglow liya tha dadaji ne.
Abhi main bunglow dekh hi Raha tha ki kisi ki ane ki awaj ati h. Main mudkar dekha to ek old lady thi, main unse pucha ki aap kon to wo boli main ramnathji ki patni hoon, aur aap ke liye khana banane ke liye aayi hoon. Main samaj gaya ki ye kaka ki wife hain. Main unhe kuch halk hi banane ko bol kar room ki aur bad jata hoon. Thodi der me main dining table par akar betha tha hoon tab kaki khana laga deti hain. Main khana khatam kar ke unse bolta hoon ki main aram karne ja raha hoon koi bat ho to mujhe bulalye.