Update 2
At orphanage..
Wo bujurg aadmi aur koi nahi balki iss anathalay kaa head thaa...
Ye orphanage private orphanage tha jiski wajah se iss par jitna bhi kharcha hota tha wo sab head aur orphanage trustees k taraf se aata tha..
Delhi ke subway ilake me basa ye orphanage jada kuch bada nahi tha..
Head ko chodkar orphanage ke dekhbhal ke liye aur aadmi aur ladies thi..
Head rihan kaa orphanage me dakhila kara kar usse orphanage ke hall ki taraf le gaye..
Yaha hall me 3 se 8 sal ke bache khel rahe the aur jo 3 sal se chote the unhe palno me rakha gaya tha..
Wo rihan ko bhi ek naye zhule me rakh kar waha par k ladies ko uske bare me bata kar wo waha se chale gaye..
Aise hi din bit gaya aur raat ho gayi sabhi bache sone ke liye chale gaye..
Rihan ko bhi waha ke ladies ne dudh pila kar sone ke liye chod diya..
Sab ke jane ke baad rihan apne palne me hi sote huye apne iss jivan ke bare me sochne laga..
Uske man kaafi sawal the jaise ki uske sath aisa kya hua jo usse punarjanm ke liye majbur kar gaya..
Aur wo bhi uska janm devlok me bhi nahi hua abhi tak usne kiye observation se to usse itana to pata chal gaya tha ki iss dunia aur devlok ke atmosphere me jamin aasman kaa fark thaa..
Abhi tak jitne bhi logo ko rihan ne dekha tha un sab ki urja mila kar bhi utni urja nahi hogi jitni devlok me janm liye navjat shishu ki hoti hai..
Ye sab soch kar hi rihan ka sar phata jaa raha tha ye sharir bhi kafi kamjor tha..
Iss situation se agar nikal naa ho to usse wapas devlok jana hoga aur waha tak jane ke liye usse iss dunia ki shaktiyo ko pana hoga..
Abhi wo soch hi raha tha ki tabhi uske sar me dard hona shuru huaa..
Iss dard ki piche ki wajah jan ne ke liye jaise hi usne apni ankhen band kar di to ek alag hi space me aa gaya..
Iss jagah ko dekhte hi rihan ki ankhen fati ki fati reh gayi..
Kyo ki ye space aur koi nahi balki ek painting thi jo usse Unknown planet ki prachin khadro me mili thi..
Uss wakt rihan ne bahot bar iss painting ke bare me jach karne ki koshish ki par usse kabhi kuch nahi mila par uske dil me hamesha iss painting ko dekh kar ek alag saa apana pan mehsus hota tha..
Jiske wajah se usne iss painting hamesha apne pas rakha ab uske kya malum tha ki jis jich ke bare me wo hamesha jaan ne ki icha rakhta tha wo cheej usse aise samay me apana raaj dikhayegi..
Tabhi rihan ke samne uss space me ek parchin si dikhne wali kitab aa gayi jiske pehla page par hi bade akshro me likha tha jise padh kar rihan ki dhadkne tez ho gayi..
" Inheritance of GOD OF CREATION " ...
Ye wo god thaa jisne pehli baar devlok ke itihas me pure sansar ki rachna ki thi..
Aur wo lok aur koi nahi balki yahi lok tha jaha par rihan ne janm liya tha..
Devlok me rihan god of creation ke kafi stories suni thi..
Kaha jata tha ki unhone nature ke sabhi laws ko apani power bana liya tha wo apani power se pura naya devlok bana sakte the..
Par aaj apne ankhon ke samne iss kitab ko dekh kar aur apne pichle janm k maut raaz me soch kar rihan ki ankhen gusse se lal ho gayi..
Usse to ye bhi nahi pata tha ki wo itana powerful god bina uske pata chale kaise mar gaya..
Abhi tak uske sath huyi ghatnao ko soch kar usse itana to pata chal hi gaya tha ki ho naa ho kissi apne ne hi devlok me uske pith me khanjar ghopa thaa..
Aur apane aakhri palo me uss painting ne uske aatma ko bacha kar iss mortal world me le aayi..
Rihan ne apne zhindgi me kafi kuch saha tha wo devlok me bhi ek anath tha..
Apne emotions ko control me kar k usne man hi man me soch liya ki jab tak wo iss raaz ke teh tak nahi jaata tab tak kabhi bhi iss par nahi sochega..
Tabhi firse uske samne wali kitab mese roshni nikal aayi aur wo sidha rihan me sama gayi..
Jiski wajah se uske sharir me alag se badlao hone lage uska wo abhi iss janam me chota bacha hi tha jiske wajah se uske pure sharir ki rachna wo kitab firse karne lagi..
Aise powers ke bare me rihan ne suna to tha par kabhi dekha nahi..
Aise hi puri raat bit gayi iss raat me rihan kaa pura sharir uske iss samay ke past life ke sharir se 10 gunaa jada rachnatmak air powers ke najriyo se powerful thaa..
Uske saharir dikhne me to normal bache jaisa hi tha par andar purane aur naye sharir me jameen aasman kaa fark tha..
Ab asaliyat me iss dunia me aane ke baad pehli bar rihan ko purnjivit hone kaa ehsas hone laga ...
Aise hi din bit te gaye aur rihan kaa sharir apne age ke bacho se dugne speed se badh ne laga..
Aise hi 3 sal ho gaye par 3 salo me rihan ka sharir 5 sal ke normal bacho ki tarah develop ho gaya tha..
Ye sab dekh kar orphanage head bhi kafi shock tha rihan ko bachpan se hi usne dekha tha wo normal bacho ki tarah khelna kudna nahi karta agar uske samne kisine kuch kitab wagera rakh diya to wo usko dekhta rehta..
Aisi bahot si cheeje usne rihan ke bare me notice ki thi jiski wajah se ab uske liye ye sab normal saa hogaya tha..
Aise hi aur 3 sal bit gaye in 3 salo me rihan ko iss duniya ke bare me kitabo aur TV se bahot si jaankari mili thi..
Jise padhkar to kabhi kabhi use bhi yakin nahi hota tha ki shayad kabhi iss duniya me aisa hua bhi hoga yaa nahi..
Ab 6 sal ki umar me hi Rihan ne 8th std tak ki sari kitabe padh li thi uski photographic memory aur high lvl anubhuti ( samajhna) ki wajah se wo cheejo ko jald hi samaj leta thaa..
Aur uski height bhi ab 12 sal ke ladke jitani ho gayi thi..
_________________
Aaj ke liye itana hi aage ke liye story ke sath bane rahe