• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance RISHABH-MOHINI

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,515
173
UPDATE*6

Gulab—mera khyal hai ki apko ab apna haal bata hi dena chahiye..ki tum kaha ke rahne wale ho aur is jungle me kaise pahuche….?

Naughty—pahle tum dono batao….kya pata hamari jankari milne ke baad koi lafda kar do to….?

Mohini—theek hai…pahle mai hi apne bare me sab kuch bata deti hu….itna to ab bharosa kar hi sakte hain hum ek dusre par

Mai—bilkul

Mohini—theek hai to suno

AB AAGE..........

Mohini—darasal hum dono prayag ke ek vyapari ki putriya hain…..ek baar hum dono vidhyalaya se jungle ke raste se lout rahi thi to vaha par kuch log jamin ki khudayi ka kaam kar rahe the

Koutuhal vash hum dono vaha ruk kar dekhne lagi…achanak meri nazar vaha gaddhe me patthar ke niche dabe ek kagaz par gayi jis par mitti lagi huyi thi

Maine vo kagaz utha liya...aur apne kapde se uski mitti saf karne lagi.....mitti saf hote hi us par jaise hi suraj ki roshni padi vo chamakne laga

Jisse vaha kaam karne wale sabhi logo ka dhyan hamari oor ho gaya…..us tukde ki chamak hi itni tez thi ki sabhi ki ankhe choundhiya gayi….

Unhone humse vo tukda manga to hum vaha se bhag liye…..vo hamara picha karne lage……hame to ye samajh hi nahi aa raha tha ki itne sare log ek kagaz ke tukde ke liye kyo hamare piche bhag rahehain

Hum chhupte chhupate kisi tarah ghar pahuch gaye…..maa pita ji se hamne kuch nahi bataya… aur kamre me jakar use phir se badi hi utsukta se dekhne lage

Gulab—didi ye kya hai….?..kagaz jaise lag raha hai par kagaz to nahi hai..

Mohini—ha ye kagaz nahi ho sakta…..kagaz me itni tez chamak nahi hoti….mai bhi nahi janti ki ye kya hai…?

Gulab—pita ji se puchhe..... ?

Mohini—nahi meri bahan.....jara soch ye koi mamuli cheez nahi ho sakti warna itne sare log hamare piche nahi bhagte iske liye.....ye jarur koi kimti cheez hai ya phir kisi ka naksha.... ?

Gulab—naksha....khazane ka.... ?

Mohini—kya pata... ? ise kisi ko batane se baat phail jayegi aur hamari jaan ko khatra bhi ho sakta hai

Gulab—to ab kya kare……?

Mohini—hame ise kahi chhupa dena chahiye…

Gulab—par pahle ek baar dekh to le ki isme aisa hai kya…..?

Mohini—theek hai….ja ek geela kapda lekar aa….pahle ise achche se saf kar lete hain

Phir maine us tukde ko geele kapde se saf karke dekhne lagi…..lekin abhi usme koi chamak nahi thi maine socha ki shayad suraj ki roshni padne par hi usme chamak aati ho

Hum use bade gaur se dekhne lage...vo kagaz nahi tha balki koi bahut barik mulayam si dhatu ka tukda tha…usme koi akruti bani huyi…uske siwa kuch nahi tha

Gulab—isme to kewal ek chitra bhar bana hai…..aur to kuch bhi nahi hai….bhala aisa bhi koi naksha hota hai….?..banane wala pagal hai aur vo log bhi jo iske liye hamare piche bhag rahe the

Mohini—nahi bahan….isme jarur koi gahra raaz hai....nahi to vo log iske liye nahi bhagte…shayad vo isi cheez ko pane ke liye vaha khudayi kar rahe the

Gulab—lekin vo log the koun…..?

Mohini—pata nahi….lekin unke sath me senapati gabral bhi tha

Gulab—vo to bahut hi dushta hai…..logo ko kitna pareshan karta hai…log to kahte hain ki vo khunkhar daku vikral ka admi hai

Mohini—mujhe bhi aisa hi lagta hai....ise hame kal subah hi kahi chhupana hoga

Gulab—par ise hum chhupayenge kaha……?

Mohini—hum kal subah din nikalne se pahle hi ise yaha se kahi dur jake chhupa ayenge...

Gulab—aur us par ek nishan bana denge

Mohini—nahi isse kisi ko bhi shak ho sakta hai aur vo ise khoj lega

Gulab—par ye chitra hai kaisa….?

Mohini—nahi malum.....dekhne me to shankh jaisa lagta hai....ya phir kuch aur hi ho..... ?

Gulab—abhi ise yahi chhupa dete hain

Maine use apne bistar ke niche chhupa kar rakh diya…..maine jaise hi bahar jhadu lagane nikli to ye dekh kar hairan rah gayi ki vo log hame talashte huye yaha tak pahuch gaye the

Mai fauran andar akar darwaja band kar liya….kisi tarah raat ho gayi aur hum so gaye….lekin jaisa humne socha tha ..theek uske viprit hua

Main soch rahi thi ki ye kewal suraj ki roshni me hi chamakta hai kintu subah jaise hi meri need khuli to main hairan rah gayi poore kamre me bahut tez roshni chamak rahi thi

Uska prakash itna tez tha ki bistar ke niche dabe hone ke bavjud bhi uski chamak se poora ghar jagmaga raha tha

Tabhi mere kano me bahar se jor jor se darwaja khatkhatane ki awaz aane lagi….main samajh gayi ki shayad un logo ko roshni ki kirane dikh gayi hain

Maine fauran hi gulab ko jhakjhor kar need se jagaya…..vo bhi ye sab dekh kar ashcharya chakit hokar muh phade dekhti rah gayi

Gulab—didi ye to bahut bada ajooba hai….andhere me bhi itna tez chamak…jaise surya ka prakash ho

Mohini—jaldi uth hame jitna jaldi ho sake ise lekar kahi chhupana hoga……un logo ne iski roshni dekh li hai…chal uth

Gulab—par hum jayenge kaha se.... ?..bahar to vo sab khade hain.…dekho jor jor se darwaja peet rahe hain..

Mohini—chal is khidki se bhagte hain

Gulab—chalo phir

Maine use turant bistar se bahar nikala..vaise hi uski roshni band ho gayi….hum dono phir se chakit rah gaye…lekin ye sab sochne ka samay nahi tha mere paas

Khidki se bahar nikal kar hum bhagte huye bahut dur nikal aaye …..hamari saans phool gayi thi….

Gulab—bas…didi..ab mujhse nahi bhaga jayega….iska jo bhi karna hai yahi par karo

Mohini—theek hai

Maine apne sath laye khanjar se vaha gaddha karke us chamak wali cheez ko vahi daba diya…aur use upar se aise barabar kar diya ki kisi ko bhi dekhne par is jagah ka andesha na ho

Gulab—didi ye to raat me bhi chamakta hai aur din me bhi

Mohini—ha…yahi to mai bhi soch rahi hu

Gulab—to phir iski roshni band kyo ho jati hai apne aap.....

Mohini—tabhi to maine ise un logo ke hath lagne se bachaya hai….ye koi bahut bada rahasya hai.. jo abhi hamari samajh se bahar hai

Gulab—ise hum lene kab ayenge…? Aur isme to koi nishan bhi nahi banaya tumne to kaise hum dubara isko khoj payenge

Mohini—chal uth ab ghar chale….din nikal aaya hai…maa pita ji chinta karenge

Gulab—ha chalo

Phir hum vapis ghar aa gaye….lekin ghar ke andar pair rakhte hi hamari duniya jaise lut si gayi…maa aur pita ji khoon se lath path hokar niche pade the

Hum dono (jor se chilla kar)—maaaaaa…..pita jiiiii

Mohini (rote huye)—maa….ye kya ho gaya…..maa…..ye sab mere karan hai…maaa

Hum dono bahno ka ro rokar bura haal ho chuka tha….pita ji ki saanse tham chuki thi….lekin tabhi jaise maa ke sharir me mujhe kuch harkat hoti mahsus huyi

Mohini (rote huye)—maaaa…..utho..maaa….utho……

Mohini’s maa—be…tiii…….vo….dushta……gabral….a..u..r…..v.i.k…raaa…l…..tumhe……maar denge…… bhag….jaaoo….yaha…se..dono..kahiiiiii..duuuuurrrrrrr

Mohini—maaaaaaa

Pita ji ke jane ke baad maa ne bhi dum tod kar hum dono bahno ko anath kar gayi…..

Gulab (rote huye)—didi…ab hum kaha jayenge……mama ke yaha

Mohini (nam ankho se)—nahi….unki jaan ab hum khatre me nahi dalenge…hum yaha se bahut dur chale jayenge...chal uth meri bahan hamare paas waqt nahi hai....vo log kabhi bhi yaha aa sakte hain

Hum dono uth kar apne kapde badle aur apne jewar pahan kar (jo hamare maa pita ji ne hamari shadi ke liye banwaye the) khidki se hi bahar nikal gaye

Lekin hamari kismat ne yaha bhi hame dhokha de diya…..kisi ne hame bahar jate dekh gabral ko khabar kar di…uske sainik hamara picha karne lage

Ye abhas hote hi hum dono bhagne lage…lekin tan aur mann dono se hi hum thak chuke the….unhone jaldi hi hame pakad liya aur us jungle me le aaye jaha vikral pahle se hi moujud tha

Gabral—chatttaakkkkk…..chaattaakkkk….bahut bhagti ho na tum dono….tum dono ke par hi katar dalunga mai..

Gulab (rote huye)—hame chhod dijiye…….hamne kya bigada hai aap ka….?

Gabral—chattakkk….tum dono ko chhod du……

Vikral—nahi chhote……chhod denge…jarur chhod denge…. Par pahle hamari vo cheez hamare hawale kar do

Mohini (rote huye)—hamare paas kuch bhi nahi hai…

Gabral—chattaakkk….Sali raand jhuth bolti hai…..sabne dekha poori raat tere ghar ko jagmagate huye

Vikral—dekh sidhi tarah se bata de ki use tum dono ne kaha chhupaya hai…?

Mohini (rote huye)—hame to ye bhi nahi malum ki aap log kya chahte hai... ? koun si cheez ki baat kar rahe hain.... ?

Gabral—chatttaakkkk.....ab yaad aaya....nahi aaya....chatttakkkk.....ab bhi nahi.....chatttaakkkkk

Gulab (rote huye)—mat maro hame....hame kuch nahi malum

Gabral—chatttaakkkk…..Sali ..dono ki dono pakki chhinal hain….vahi cheez jo kal tum dono jungle se chura kar bhagi thi

Vikral—mujhe jyada der tak pyar se baat karne ki adat nahi hai….arey us cheez tak pahuchne ke liye to maine hazaro logo ki jaan li hai….use hasil karne ke liye daku bana…aur tum ye bhali bhanti janti ho ki vikral daku ka naam yaha se 1000 kos dur tak bachcha bachcha janta hai

Mohini (rote huye)—hamare maa pita ne tumhara kya bigada tha…unhe kyo maar diya….?

Vikral—jab main sirf 10 saal ka tha …to ek baar apne baap se do aane maange the…usne nahi diye.. to maine maa se maanga usne bhi nahi diya….to janti ho maine kya kiya….huuu…paas me rakha hua ghaslet utha kar maa ke upar dal ke aag laga di….bechari tadap tadap ke mar gayi

Vikral—maa ko jalta hua dekh baap use bachane aaya to maine tarkari katne wala hasiya utha ke baap ki bhi gardan kaat di….to soch jab main kewal do aane ke liye khud ke maa baap ko maar sakta hu to tere maa baap kya kohinoor me jade the ki unko chhod deta

Vikral—ab akhiri baar puchta hu….vo cheez kaha hai…?..na batane par chhote in dono ko aaj raat me inki nath utar ke poori vaishya bana do aur kal champa ke kothe par bech do

Vikral ki baate sunkar hamara dil dahal gaya…..hame ab apni barbadi nishchit dikhayi dene lagi

Gulab (rote huye)—hame chhod do….chahe to hamare jewar le lo

Vikral—ye jewar mere koi kaam ke nahi hain….mujhe sirf vahi cheez chahiye…..uski madad se mai poori duniya par raaz karunga…hahahaha….mujhe batao vo kaha haiii

Mohini (rote huye)—hame nahi malum

Gabral—aap mujh par chhod dijiye bhaiya…..mai abhi jungle me le jakar inki khatirdari karta hu

Vikral—le jao…inke sath chahe jo karo….bas marna nahi chahiye jab tak uske bare me bata nahi deti

Gabral—le chalo inko

Uske baad vo hame ghasit kar yaha le aaye….dard se hamari cheekh nikalne lagi …hame itna mara ki hum dono hi behosh ho gayi…mujhe unhone peepal ke ped par latka diya jabki meri bahan ko gaddhe me gada diya

Iske baad kya hua mujhe kuch yaad nahi…aur jab hosh aaya to khud ko tumhari baho me paya…baki to tumhe pata hi hai

 

Loveshuda111

Member
486
1,208
138
Very good update bhai
Mohini or gulab ke baare me pta chala
Wo konsa cheej h jisse light nikalta h
Vikraaal bhi usko pana chahta h
Bhut hi powerful hoga wo jiske liye Vikraaal daku bna or hajaro logo ko maara
Lekin jb use paane wala tha to Mohini ne gayab kr di
gussa to aayega hi

Rishabh ka kya past h iska intjaar h
 
  • Like
Reactions: anandsngh12
Top