• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Rishta

15,653
32,165
259
Dear Friends,
I didn't want to come to this forum, anyhow I am back.

As promised that this story would find its conclusion, but due to some reasons I had to leave this Forum, but due to the promise made to you I am again at this Forum.

The story would be resumed and would find its conclusion.

Thanks.
amita ji aapne english me kya kaha samajh nahi aaya par aap kahani aage badhao ye request hai ..
 
10,278
43,159
258
Dear Friends,
I didn't want to come to this forum, anyhow I am back.

As promised that this story would find its conclusion, but due to some reasons I had to leave this Forum, but due to the promise made to you I am again at this Forum.

The story would be resumed and would find its conclusion.

Thanks.
बहुत ही अच्छी खबर सुनाई आपने अमिता जी । दिल बाग बाग हो गया ।
मुझे १०० % विश्वास था कि आप आयेंगी और मुझ जैसे लाखों रीडर्स को यूं ही निराश नहीं करेंगी ।
हम सभी आप के स्टोरी को तो मिस कर ही रहे थे साथ में कितने राइटर्स आपके मोटीवेशन कमेन्टस को भी मिस कर रहे थे ।
अब पुरानी बातों को दरकिनार करते हुए इस फोरम की शोभा बढ़ाइए ।
 

amita

Well-Known Member
6,870
16,808
144
बहुत ही अच्छी खबर सुनाई आपने अमिता जी । दिल बाग बाग हो गया ।
मुझे १०० % विश्वास था कि आप आयेंगी और मुझ जैसे लाखों रीडर्स को यूं ही निराश नहीं करेंगी ।
हम सभी आप के स्टोरी को तो मिस कर ही रहे थे साथ में कितने राइटर्स आपके मोटीवेशन कमेन्टस को भी मिस कर रहे थे ।
अब पुरानी बातों को दरकिनार करते हुए इस फोरम की शोभा बढ़ाइए ।
Bahut bahut dhanyawad,

Koshish rahegi ki aaj raat ko update post ho jaye.
 

pie

Active Member
672
1,352
138
Dear Friends,
I didn't want to come to this forum, anyhow I am back.

As promised that this story would find its conclusion, but due to some reasons I had to leave this Forum, but due to the promise made to you I am again at this Forum.

The story would be resumed and would find its conclusion.

Thanks.
Welcome back fighter
 

amita

Well-Known Member
6,870
16,808
144
Update 95

Abhi aur koi baat hoti ki Mohanlal aaye aur bahut hi ghabraye hue se lag rahe the aur bas itna hi kaha ki vo do chaar din ke liye kahin bahar ja rahe hain aur Diya se Ruchika ki dekhbhal ka vaada lekar chale gaye.

Inko ham jane dete hain aur ham chalte hain Aditya ke paas.
Aise hi 6 mahine aur beet gaye aur Ira Madam ke pati ka sadak durghatna me dehant ho gaya aur vo bhi kafi had tak gamgin ho gayi. Uska man bhi ab kaam me kam lagta tha lekin clients ke dabav me kaam karna pad raha tha.

Sandhya jab behosh hui tu usse hospital panhucha diya gaya aur vanha vo hosh me aane par apani yaadashat kho chuki thi lekin uske sath sath vo pregnant bhi ho chuki thi. Doctors ko vo apane bare me kucch nahi bata pa rahi thi. Vo baccha jisse usne bachaya tha uss bazaar ke Malik ka beta tha. Vo aur uski Patni apane aap ko Sandhya ke karzdaar samjhate the jisne unke bacche ko bachaya tha. Donon uska pura ilaaz karwa rahe the aur jab vo kucch theek ho gayi tu usse apane ghar le aaye aur uski puri dekhbhal karne lage.

Waqt beetta raha aur Sandhya ne ek khubsurat bacche ko janam diya jo ki ek ladka tha aur Sandhya ne apane aap ko uski parvarish me vyast kar liya.

Ira Madam ko apane Pati ki asthiyai visarjan ke liye koi bhi bharosemand shaksh nahi mil raha tha. Usse Aditya ki yaad aayi aur vo uske sath asthiyan visarjan karne gayi aur Aditya ne uske sath jakar uska pura khyaal rakha aur sab kaam usne khud hi sambhal liye.

Vanha par kai baar aisa bhi hua ki uss jagah par mangne walon ne unhe duaye dete hue kaha 'Jodi salamat rahe'. Yeh sunkar Aditya ko kai baar mangne walon par gussa bhi aa jata, lekin Ira Madam ne usse shant karwaya aur kaha ki 'Inhe kya pata ki ham donon ka aapas me kya Rishta hai. Ye inn sab ka normal tarika hai mangne ka. kis kis ka munh rokoge, ye sabhi yahi bolenge. Inse jayada uljhana theek nahin hai, chup karke apana kaam karke nikal jana hi akalmandi hai'

Uske baad Aditya shant hua aur vo donon sare kriyakarmo ko karke vapis aa gaye. Ira Madam ko Aditya par jitna bharosa tha vo kisi aur par nahi tha. Vo har samasya me Aditya se madad lene lag gayi thi. Uska haal ye ho gaya tha ki Aditya uske liye ek tarah se uski Baisakhi ban gaya tha.

Jabki Aditya apani dasha se vichlit tha aur ab vo kai baar Ira Madam ki baton se chidhne laga tha lekin kyounki vo unki izzat karta tha isliye chup reh jata tha.

Aise hi chalta raha, Aditya ab dukhi rehne laga tha, usse ab apane jeevan me khalipan dikhane laga tha. Uska man ab kisi bhi kaam me nahi lagta tha aur vo Sandhya ke bare me soch soch kar preshan ho jata tha.

Udhar Ira Madam ki jindgi me bhi uske Pati ki maut ke baad khalipan aa gaya tha, lekin vo iss khalipan ko kucch had tak Aditya ki madad se kam karne ki koshish kar leti thi.

Ek baar Ira Madam aur Aditya kisi business meeting ki vajah se kahin mile aur un donon ne meeting ke baad thodha waqt sath bitane ka mann banaya. Aditya ne pehle tu mana kiya lekin Ira Madam ne itne pyaar se yeh baat kahi thi ki vo bilkul bhi mana nahin kar paya. Uss mulakat me Donon ko ek dusre ke bare me kucch aur jayada acche se janne ka bahut kucch mila aur fir donon apane apane shahar laut gaye.

Iss mulakat se ek baat saaf ho gayi ki do tute hue insaan jab ikkathe hote hain tu ek dusre ka dard chahe samapt na kar payen lekin kam tu kar hi dete hain.

Aise hi ek baar fir se Ira Madam aur Aditya ko kisi business meeting me milna tha aur vanha par do din aur ek raat rehna tha. Uss mulakat ke dauran Ira Madam ne Aditya ko uddass dekhakar uski uddasi ko dur karne ke uddeshya se puccha ki 'kaam ka kya haal hai'

Aditya 'Ab mera kaam me dil nahin lagta hai, lekin Main iss kaam ko jo pakda hai, jaldi hi pura karne ki koshish karunga, lekin uske baad aage aap kisi aur ke sath kaam kar lijiyega, Main shayad na kar paun'


Ira Madam uski baat sunkar hakka bakka ho gayi lekin baat ko sambhalte hue 'Dil tu mera bhi nahin lagta kyounki Main apane Pati ko bhul nahin paa rahi hun. Main tu kaam isliye le rahi thi kyonki tumare sath mera vaada tha ki kaam ki kabhi kami nahin aane dungi. Agar tumhara man nahin hai tu Main kiske liye kaam lun. Main bhi iss kaam ke baad company ko dheere dheere sametna shuru kar dungi'

Aditya 'Aisa kyoun'
Ira Madam 'Aur kya karun, Main apane Pati par vishwas karti thi, vo tu chale gaye aur unke baad Maine kisi par vishwas kiya hai tu vo sirf aur sirf Tum ho. Ab agar tum bhi sath chhod rahe ho tu Main iss business ko karke kya karungi'

Aditya 'Aapke bacche?'

Ira Madam 'Mera koi baccha nahin hai'
Aditya 'Aapke mata pita, saas sasur, Bhai Behan'

Ira Madam 'Ye samajh lo ki ab iss duniya me mera koi nahin hai, jo bhi Rishte the vo sab khatam ho chuke hain'
Aditya 'Aisa kyoun'

Ira Madam 'Har vyakti ki jindgi me koi na koi aisa raj hota hai jisse vo kisi ke sath nahi baant sakta'
Aditya sochate hue 'ye tu aap bilkul sahi keh rahi ho'

Ira Madam ko tabhi kucch yaad aaya aur pucchane lagi 'Tumhari Patni ka kucch pata chala'
Aditya udaas hote hue 'Nahin'

Ira Madam 'Police ne kya bataya?'
Aditya 'Maine Police me complaint hi nahin ki thi'

Ira Madam 'kyoun nahin ki, chalo pehle Police complaint hi karte hain'

Aditya 'Nahin bilkul bhi nahin'

Ira Madam 'kyoun nahin karna chahte?'
Aditya 'Aapne abhi kaha tha na ki jindagi me kucch raj aise hote hain jinhe koi bhi shaksh kisi se bhi share nahi kar sakta, aisa hi kucch mere sath bhi hai'

Ira Madam 'Aur vo tum mujhe bataoge nahin aur mujhe puchana bhi nahin chahiye'


Iske baad Donon ke beech business par baat tu hoti lekin personal baat nahin hoti thi. Parantu ek baat jarur thi ki ab donon ki baat karne ki frequency dheere dheere badhne lag gayi thi aur ek dusre ke prati izzat ka bhav bhi badhne laga tha.

Ek din Aditya ko phone aaya ki Ira Madam ki tabiyat bahut jayada kharaab hai tu Aditya uske paas panhuch gaya aur vo hospital me admit thi. Doctor se pata karne par pata chala ki usse kuch depression ho gaya jo kisi baat ki vajah se hai jo isne apane dil me dabayi hui hai. Vo tabhi theek ho payegi jab kisi najdiki vyakti se apne dil ki baat kake apane aap ko halka kar sake.

Aditya jaise hi Ira Madam se milne gaya tu uski halat dekhkar usse bahut dukh hua. Vo apane dukh ko bhul gaya aur usne Doctor se milkar usse vanha se discharge karwaya aur uski dekhbhal karne ke liye kucch din ki chhutti lekar uske sath rehkar usko aaram panhuchne laga.
 
Last edited:

amita

Well-Known Member
6,870
16,808
144
amita ji aapne english me kya kaha samajh nahi aaya par aap kahani aage badhao ye request hai ..
Sirf itna hi kaha hai ki yeh kahani ab puri hogi.
 
Top