mandeep2244
Member
- 204
- 187
- 43
NiceEk taraf aayan apne kamre me kitab padh raha tha wahi niche badi dadi ke kamre me ghar ki sabhi shadi shuda mahilaye moujood thi.
badi dadi ke kamre me hi ek bada sa round table laga hua tha. yahi par in mahilao ki sari meeting hua karti hai. abhi is kamre me badi dadi sarita, badi chachi urmila, choti chachi poonam aur aayan ki maa chaya moujud thi.
badi dadi boli-dekho sharmila ko to kaam mil chuka hai wo apna kaam bakhubi nibhayegi lekin hume aayan ka bhi dhyan rakhna hai. abhi 18 din uske khane ka bhi achhe se dhyan rakhna hai.
badi dadi ki baat sun choti chachi boli-aap chinta mat kijiye maaji aayan ke khane pine ki sari jimmedari meri hai. use niyam ke hisab se hi khana diya ja raha hai.
badi dadi boli-dekho poonam aayan ka case thoda alag hai. tumhe pata hai na uski tabiyat bahut jaldi kharab ho jati hai. use kuch hona nahi chahiye.
badi dadi ki baat sun poonam chachi turant boli-dekhiye maji mai to niyam ke hisab se hi use khana de rahi hoon lekin chaya uske khane me kuch badlaw kar rahi hai.
poonam ki baat sunte hi badi dadi chaya ki taraf dekhi lekin chaya ke bolne ke pahle hi badi chachi bol padi- maa ji aayan ki dekhbhal ke liye mai aur chaya kaam kar rahe hai. humne ghar me hi ek room poora taiyar kar diya hai. wahan basic dawayi se lekar chote mote operation tak sara bandobast kiya hua hai.
badi dadi boli-urmi itna kuch karne ki kya jarurat thi. aayan humare ghar ka koi pahla ladka nahi hai jo is dour se gujar raha hai. wo tisri santaan hai isliye uske tabiyat ka dhyan rakhna hai lekin jaise baakiyon ko kuch nahi hua to ise bhi kuch nahi hona chahiye.
umrmila chachi boli-aisi baat nahi hai maaji. arun , karan bhi riti rivaj ke hisab se hi bade hue hai lekin unke samay humne bas ye dhyan rakha tha ki sare rivaj achhe se ho jaye koi dikkat na aaye lekin aayan ka mamla alag hai. jab karan aur arun ki baari thi tab mai unki maa hone ke nate bahut kuch mujhe tay karna tha aur maine jo sabse sadharan tarika tha riti rivajo me wahi chuna tha.
urmila chachi fir boli-aayan ki maa chaya hai aur chaya ne aayan ke liye sabse muskil wala tarika chuna hai.
umrmila chachi ki baat sun sarita dadi apne bahu chaya ko boli-dekho chaya, aayan tumhara beta hai to tumhe hak hai lekin ye mat bhul jana ki wo sirf tumhara nahi hai wo is parivaar ka hissa bhi hai aur agar aayan ke saath kuch bura hua to yaad rakhna uski saja jindagi bhar tumhe sahna padega. mujhe dar hai ki tumhari jidd tumhare bachhe ki jaan le sakti hai.
chaya boli-aayan mera beta hai aur mujhe pata hai aap sabko bhi us se ummid hai. mai to bas ye chahti hoon ki wo sabki ummidon pe khara utre.
chaya fir boli-maaji aapko to pata hi hai is ghar ke srap ke chalte is ghar me khusiyan kabhi nahi aayi aaplogon ka bhi bahut nuksaan hua hai aur mera bhi. maine to is srap ke chalte apna pati khoya apne bachhe khoye apne parivaar se door ho gayi. mai bas ye chahti hoon ki aayan wo ladka bane jo is sharp ko khatm kar sake.
badi dadi chaya ko gale lagate hue boli-mai tumhara dukh samajhti hoon chaya lekin ye humare haath me nahi hai. hum log nahi chun sakte ki ghar ka koun sa mard aisa hoga jo in sharp ko khatm kar dega. ye to uparwale ke haath me hai. aur humlogon ko to is sharp ke baare me jada pata bhi nahi hai. kya pata ek srap hat bhi jaye to humare upar iska kya asar hoga hume pata bhi nahi hai. humari bhalayi isi me hai ki hum bas apne niyam ka palan kare. tumne apne jivan me bahut kuch khoya hai aur mai ye hargij nahi chahungi ki tum aayan ko bhi kho do.
chaya boli- chinta nahi kijiye maaji sab thik ho jayega. wo mera beta hai isliye to mai pahle se hi sari taiyari kar ke rakhi hoon. use kuch nahi hoga. wo mere jigar ka tukda hai use mai kuch nahi hone dungi.
sarita dadi fir urmila chachi ko boli- urmi bahu tum aaj se har roj aayan ko check karogi. ye chaya to bachpan se hi aayan ke piche padi hui hai. ye dil ki achhi hai lekin ye bhavnao me bah jati hai isliye tumhari jimmedari hai sab chije sahi se dekhne ki. Is ghar me sabse jada dukh, garibi majboori sab aayan hi dekha hai. mai nahi chahti ab uske jindagi me aur jada pareshani aaye.
urmila chachi boli-thik hai maaji, aap bade ho aap jaisa chahoge waisa hi hoga.
abhi ye sab baate chal rahi thi aur ye dekha gaya ki choti chachi poonam apne hi khayal me khoyi hui thi.
badi dadi boli-kya hua poonam.
poonam chachi boli-maaji mujhe lag raha hai maine aayan ke juice me jo dawayi sham ko deni thi wo abhi de di hai.
badi dadi boli-kya...
poonam chachi boli-darasal aayan ke khane me thode badlaw hai. arun aur karan ke samay to sab same tha lekin abhi khana me badlaw hai to mujhse thodi galti hui hai. mai sure nahi hoon.
badi dadi boli-wo juice abhi kitchen me hai.
poonam chachi boli-haan adha glass hoga.
badi dadi boli-ek kaam karo karan ko bula kar lao.
badi chachi boli-maaji karan to abhi office nikal jayega arun ko bula deti hoon.
badi dadi boli-nahi arun ko aayan ki jimmedari hai karan ko bulao sath me wo juice bhi le aao.
badi daadi ki baat sun choti chachi kamre se nikli aur us kamre me gayi jahan sare mard baithe baate kar rahe the.
choti chachi boli-karan tumhe dadi bula rahi hai chalo.
karan apne jagah se utha aur choti chachi ke saath badi dadi ke kamre me aa gaya.
badi dadi ke haath me juice dekhte hi karan bola-ise aayan ko dena hai kya.
badi dadi muskura ke boli-nahi tumhe pina hai.
karan juice dekhte hi samajh gaya ki ya to isme sheelajit hai ya fir vitamin ke saath nind ki goli.
karan bola-mera to sara riti rivaj pura ho gaya hai. mai nahi piyunga isko. isko pine ke baad ajib sa hota hai badan me. mujhe abhi office bhi jana hai aaj bahut kaam hai.
badi dadi karan ko ankh dikhate hue muskura kar boli-tumhare kaam kya humare kaam se jada bada hai. meri baat tum mana kar doge.
karan bola-ye galat hai dadi. aap mujhe blackmail kar rahe ho ye jante hue bhi aaj kitne kaam hai.
badi dadi pyaar se boli-aisi baat nahi hai beta. wo kya hai ki aayan ki juice me thodi gadbadi hui hai aisa hume lagta hai. use hi check karna hai.
karan ye baat sunte hi mamle ki gabhirta ko samajh gaya. abhi tak use lag raha tha dadi chachi sab unke saath majak kar rahi hai.
karan pucha-pura pina hai.
badi dadi boli-karan tumhe pura pine ki jarurat nahi hai bas ek ghoot piyo.
karan wo juice ke glass se bas halka sa ek sip liya. itne me hi karan ke sarir ke rongte khade hone lage. ye dekh choti chachi ko khushi mili kyunki unhone gadbadi nahi ki thi unhe bas aisa lag raha tha ki wo gadbadi ki hai. is juice me sheelajit hi tha. vitamin aur nind ki goli nahi thi.
karan ka badan ab dheere dheere garm hone laga tha lekin karan ke liye ye mamuli baat thi. usne apne riti rivaj ke samay is se jada hi sahan shakti dikhayi thi to itni garmi wo aaram se control kar sakta tha.
karan kamre se nikal gaya.
ek taraf jahan karan kamre se nikal kar office jane ki taiyari karne laga wahi arun apne dada ji aur papa chacha se baat karne ke baad sidha aayan ke pass chal diya.
Good going. The story is becoming interesting.Ek taraf aayan apne kamre me kitab padh raha tha wahi niche badi dadi ke kamre me ghar ki sabhi shadi shuda mahilaye moujood thi.