Abhi leata hi tha tu ammi ka bulawa aa gya, Main foran neechy pohancha to ammi nay pocha kahan thay aap, main andar say daar gya, magar apnay aap ko sanbhalty hoey kaha easi hi awaragardi kar raha tha, aami nay kaha magar insaan ko itni hossh to honi cahiey naa kay koey usay call kar raha hy, main nay preshan hotey hoey kaha aap call kar rahi thien kia? aur mobile naikaal kar deakha to aami ki 4 calls aiey hoey thien magar us say pehlay abbu ki 2 missed calls thien. Ammi nay kaha aap kay abu call kar rahy thay unhain koey kaam tha aap say, aab jaldi say un ko call kar lain warna hum dono ki shamat aa jani hy, main nay sir hila kar OK kaha aur abu ko call milanay laga. Abu nay phone uthaya aur salam dua kay baad abu nay pocha kahaan ho bahi, Main nay jawab dia abbu jii bahir nikla hoa tha aur phone silent par tha pata nahien laga aap ki call ka, abu nay kaha barkhurdaar phone silent par rakhnay kay leay nahien hota, koey emergency ho sakti hy kuch bhi ho sakat hay, banda keasy rabta kary aap say, main nay sharminda hoty hoey kaha, Aienda khayal rakon ga, abu nay hmmm kia aur kaha rakhna bhi cahiey. Phir kuch kaam kaha to lahore main hi tha aur hukaam jari kia kay kaal first time wo kar doon. Main nay ok kaha aur neachy aa kar aami ko bataya kay abu say baat ho gai hay, Ammi nay naraz hotay hoey kaha beta kuen itnay laparwah ho aap, pata hy kitni sunani pari hain mujhay aap ki waja say, main nay un kay paon main beathtay hoey kaha sorry aami ghalti ho gae, Acha aap naraz to naa hon naa please. Ammi meari taraf nahien deakh rahi thein main uth kar un kay sath beath gya aur un kay haath pakar kar kaha acha maar lain par naraz to naa hon na. Ammi nay gusay say deakhtay hoey kaha asfand ab aap bachay nahien ho baray ho gae ho thora apnay ird gird ka bhi khayal kia karo, ye kia hy har waqat apni dhun main magan rehty ho, main nay un kay haat ko dabaty hoey kaha acha na aami jee,Please. Ami gardan hila kar gusay say uth gaien aur apnay kamray ki taraf chall parien. Mujhay bohat afsoos ho raha tha pata nahien abu nay ammi ko kia kuch kaha ho ga aur aami ko meri waja say dant pari thi.
Main ammi kay peachy peachy chal para aur un ko manany laga, bari mami ye sab deakh kar hans rahi thein aur keah rahi thien asfand sharam kar beta abhi tak to ami abu say daant khata rehta hy, main nay kaha mami ami abu say hi kahata hon na iss leay koey farak nahien parta, bass naraz na hon naraz hon gay to farak parta hy. Mami aur ami dono muskrua parin, main phir ammi ki taraf mutwajoo ho gya aur phir say un ka haath pakar lea aur kaha ammi acha last chance day dain, aami nay mera kaan marortay hoey kaha chalo theek hy, aur phir pocha dopehar main kuch kahaya tha, main nay jhoot ka sahara leaty hoey kaha jee kaha lea tha, par meray peat main choohay door rahy thay. Ammi nay meray sir par haath pehra aur kaha acha jaao aur fresh ho jao. Main nay shukar ada kia kay aami maan gae thein warna ami ko maanana bohat mushkil hota hy.