- 172
- 716
- 93
First Of All Hello Guyzzz!!!
Sabhi ko meri taraf se Abhinandan!! Meri ek kahani pehle se iss forum par chal rahi hai jiska naam hai – “SIRF TUM”. Aap mein se kuchh saathi shaayad uss kahani mein bhi mujhse jude honge. Kherr! Main ek nayi kahani ke saath haazir hoon aapke saamne joki yakeen maniye ek mind boggling kahani hone waali hai!!
Genre aur Story ke Naam se to yahi lagega ke yeh ek Simple si love story hogi but believe me iss kahani mein aapko bahut kuchh milega. Thrill, Suspense, Revenge, True Love, Heart – Break & of course Romance.
Meri doosri kahani ke paathakon ko main batana chahunga ke iss kahani ki shuruaat ke kaaran “SIRF TUM”ke updates par koyi asar nahi padega. Chaliye ek chhota sa insight iss story ka dekh lijiye!!
MOHABBAT – Khuda ka Insaan ko diya sabse anmol tohfa. Ek aesa ehsaas jisse sirf jiya jaa sakta hai, samjha nahi jaa sakta. Kayi log Pyaar ko ek bhram maante hain par jiss din unhe ye Ehsaas khud ke dil mein hota hai unki soch badal jaati hai. Par kya sabka Pyaar Mukammal hota hai??
Shayad Nahi, par kuchh aese bhi Aashiq hote hain jo Mohabbat mein sab kuchh bhula jaate hain aur jab wo Mohabbat unse door ho jaaye to wo ban jaate hain ek Zinda Laash!!
“ Nahi Chhote, aaj tak to nahi hua hai pyaar mujhe. Naa main jaanta hoon ki pyaar asal mein kaisa anubhav hai. Par haan suna hai logon se ki Pyaar wo ehsaas hai jismein Insaan khudko hi bhool jaata hai. Par mujhe nahi lagta ki aesa bhi ho sakta hai... ”
“ Kabhi socha naa tha aesa bhi hoga. Pyaar ko main mazaak hi samajhta tha par aaj pata chala ke Pyaar mein sachmuch insaan khud ko hi bhool jaata hai. Sach hi hai Ab to Pyaar hi Khuda hai aur Pyaar hi Zindagi... ”
“ Tum logon ko kya lagta hai main ek sadak chhaap sharabi hoon!? Galath, main to uss beemari ka shikaar hoon jo naa marne deti hai naa jeene. Yaad rakhna, experience se bata raha hoon... Pyaar karna, Bilkul karna but always remember ke jab tak Mohabbat sirf Mohabbat hai tab tak sab sahi hai. Ek baar ko Mohabbat mein khud ko bhula do tab bhi situation is under control. Par agar kahin Mohabbat tumhaari Zaroorat ban gayi... To wahi hota hai jo tumlog dekh rahe ho... Ek achha khaasa insaan barbaad ho jaata hai... Tum logon ko shayad lag raha hoga ke main Zinda hoon... BUT... I'M... I'M VIRTUALLY DEAD...
In lines se shayad aap samajh gaye honge ke ye ek safar hai, ek insaan ka jo pyaar ko bhram maanta tha, fir khud pyaar ki baarish mein bheega aur ant mein shayad doob gaya. Ye kahani hogi ussi Bande ki, uske Safar ki, uski Mohabbat ki aur hum dekhenge ke uska Pyaar Mukammal hoga ya fir Kismat usse kisi alag hi mod par laa fenkegi.
So, I hope ke aap sabko ye kahani pasand aayegi aur agar koyi kami lage kahani mein to bataiyega zaroor & Aasha hai ke doosri kahani ki hi tarah isse bhi aap sabka pyaar milega Reviews aur Comments ke roop mein. Jald hi pehla update post ho jaayega.
Thank You & Be Along!!
Last edited: