parkas
Well-Known Member
- 27,076
- 60,326
- 303
Nice and awesome update......UPDATE – 2...
NEXT MORNING :-
CITY :- DEHRADUN
Subah chidiyon ki chehchahat se meri neend tooti. Par naa jaane kyon mera mann hi nahi tha ke main bistar chhodun. Bas waise hi ussi jagah pada rehna chahta tha main aur khud ke liye dua kar raha tha ke jaldi se wo mujhe mil jaaye jiska main talabgaar hoon – Maut. Par kehte hain naa ki bad dua chaahe kubool ho jaaye par dua kubool nahi hua karti khaaskar tab jab haalat meri jaisi ho. Khair, uthna to tha hi… So main bhi bistar se utha aur nitya karmon ko karke ghar se baahar nikla.
Aaj bhi mere chehre par wahi maayoosi thi jo pichhle 3 saal se meri niyati bani huyi thi. Par naa Jaane Kyon ab ye mayoosi mujhe achhi lagne lagi thi. Ye akelapan, wo guzre dinon ki yaadein jo kabhi mujhe tadpaya karti thi, aaj unse hone waala dil ka dard mujhe aanand ka ehsaas karwaata tha. Shayad ek paagal hi kaha jaayega usse jiski manostithi mere jaisi ho par main itna to sure tha ki abhi tak main paagal nahi hua tha. Aage ka to pata nahi.
Khair, main Dehradun ki unhi raahon mein bhatak raha tha jo aaj 3 saal baad bhi mere liye anjaan hi thi. Main kaafi samay baad ek dhaabe par pahuncha par tab tak main apni zindagi ke uss bhaag mein pahunch gaya tha jab maine shayad zinda rehte huye maut paa li thi…
“ PAPAAAA ... Nahiiiii… aap mujhe chhod kar nahi jaa sakte... Papa uthiye naa Papa... Please uthiye... Nahiii...”
Ek puraani si factory lag rahi hai ye jiske bheetar zameen par ek madhyam umra ke vyakti ki laash padi hai. Seene par 2 goliyon ke ghaav spasht dekhe jaa sakte hain. Aur ussi aadmi ke paas ghutnon ke bal baithi hai ek ladki jiske karun rudan se shayad patthar bhi pighal jaaye. Aakhir usne apne Pita ko jo kho diya hai. Tabhi uski nazar padi uske paas khade shakhs par jiske haath mein bandook thi aur chehre par zamaane bhar ki hairaani.
Wo koyi aur nahi balki “MAIN” hi tha. Uss ladki ki aankhen mujhe aur mere haath mein maujood bandook ko dekh kar fati ki fati reh gayi. Usne paas mein padi laash joki uska sansaar hua karta tha usse dekha aur fir ek krodh ki jawala dehak uthi uski bheegi huyi aankhon mein.
Mere dil mein pata nahi kya aaya, maine swataah hi apna haath uski taraf badha diya jismein wo bandook pakdi huyi thi. Aage kya hona tha shayad uske khayal se hi mera dil aur uske armaan samaapt ho gaye the. Par fir bhi ek umeed, dil ke kisi kone mein ek umeed thi ke “MERI MOHABBAT” mujhe apni baat kehne ka ek mauka to zaroor degi. Par wo umeed... wo aarzoo najayaz si thi. Kyonki agle hi pal wo ladki uthi aur usne mere haath se wo Bandook chheenkar mere oopar taan di aur fir bas do aawazein huyi aur fizaon mein ek kabhi naa mitne waala sannata chhaa gaya. Wo aawazein thi… “Dhhhaaaayennn... Dhhhaaaayennn...”
Tabhi mere paas se guzri ek gaadi ke horn se main apni uss yaad se baahar aaya. Aur mera haath apne aap hi mere seene par pahunch gaya jaise ab bhi wo peeda jo uss din mehsoos huyi thi, baaki ho. Tab ka mila zakhm shayad shareer par to bhar gaya tha par ab bhi un goliyon ke nishaan baaki the aur mere Dil par lage nishaan bhi baaki the jo shayad mere shareer ke raakh hone par hi mitne the.
Jab maine aas – paas nazren ghumaayi to paaya ki wahaan baithe sabhi log mujhe hi ghoor rahe the. Par haan ek insaan tha jiski nazron mein shayad bahut si saantvana thi meri haalat par aur wo ussi dhaabe ka maalik tha. Wo pichhle kitne hi waqt se dekh raha mujhe har din thoda – thoda marte huye. Par jab main kuchh nahi kar sakta tha to wo bechara kya hi karta.
Main wahaan apni roz ki jagah par baith gaya aur naashte ki plate ko dekhte huye bas yahi panktiyaan thi jo mere dil mein chal rahi thi...
ख्वाबों में तेरा चेहरा, पन्नों पे तेरी तस्वीर होती थी,
ना खाने का होश था ना पीने की आरज़ू,
बस हर वक्त होंठों पे तेरी ही तकरीर होती थी।।
चल पड़ा हूं अब तो इक अंजानी मंज़िल पर,
कभी तू ही मेरी सरहदों की लकीर होती थी।
फ़क़त मुलाज़िम हूं मैं तो तेरे इश्क का,
पर जानम कभी मेरे बिना तू भी अशरीर होती थी।।
दुआ आज भी मांगी है तेरे ही लिए, फर्क सिर्फ इतना है,
आज तू अजनबी पर कल मुझ इतवार की पीर होती थी।
चलो खुदा की कोई मर्जी होगी बिछड़ने में भी,
पर हां कभी होली की मेरी तुम ही अबीर होती थी।।
आती है यादें तेरी हर वक्त, आखिर,
तू ही मेरे दिल के बक्से की जंज़ीर होती थी।
चाहे नफरत हो तेरे दिल में मेरे लिए आज,
पर मेरी जान, कल मैं तेरा रांझा और तू मेरी हीर होती थी।।
CITY :- MUMBAI
PLACE :- VARMA MANSION
Mumbai ke ek behadh hi haseen ilaake – Pali Hills (Imaginary) mein bana ek uss se bhi zyada khubsurat bangla. Kaafi bade area mein faila ye bangla saaf darshaata hai ke ismein rehne waale kitne ameer honge. Iss waqt iss ghar ke ek kamre mein apne bed par baithi hai ek ladki. Haathon mein ek tasveer aur aankhon mein aansoon liye jaise uss tasveer se hi shikayat kar rahi hai.
Wahin uss kamre ke darwaaze par khade the ek madhyam umra ki mahila aur ek naujavaan ladka. Jahaan aurat ki aankhen nam thi wahin ladke ke chehre par bhi dukh ke bhaav spasht dekhe jaa sakte the. Idhar wo ladki uss tasveer ko baar – baar choom rahi thi aur yahi lafz uske munh se nikal rahe the...
“ Aap kyon mujhe akela chhod ke chale gaye Bhaiya. Aapko apni PARI ki yaad nahi aati… Hmmm... Aap to kehte the aap mujhse bahut pyaar karte ho fir kyun...”
Wo uss photo ko apne seene se lagaaye aansoon bahane lagi. Wahin issi ghar ke hall mein do aadmi baithe the, tabhi baahar se kaale libaaz mein ek hatta – katta aadmi andar aaya. Uske chehre par khushi saaf dekhi jaa sakti thi. (Iss aadmi ko Aadmi 3 likhunga).
AADMI – 3 : Maalik... maalik RUDRA Baba zinda hain…
Uski baat sunkar couches par baithe wo dono aadmi ek jhatke mein khade ho gaye.
AADMI – 1 : Kya kaha tumne!!
AADMI – 3 : Haan Maalik RUDRA Baba zinda hain. Humne unhe dhoondh liya hai.
Ye sunkar un dono aadmiyon ki aankhon se ashrudhara behne lagi.
AADMI – 2 : Kahaan hai wo. Kahaan hai!!
AADMI – 3 : Wahin jahaan humne pichhle 3 Saal mein ek baar bhi nahi dhoondha unhe. Jahaan umeed sabse kam thi hume…
AADMI – 1 (Surprised) : DEHRADUN...
Iske jawaab mein usne bas haan mein apna sar hila diya aur AADMI – 1 laghbhag bhaagte huye seedhiyon se oopar seedhe uss ladki ke kamre mein chale gaye. Uski haalat dekh kar unhe dukh to huya par abhi unke paas shayad uske har marz ki dava thi.
AADMI – 1 : Bas NITI ab aur rone ki zarurat nahi hai!!
Uss ladki ne apna chehra uthakar unhe dekha aur unke chehre par khushi dekh kar Uss ladki ki dhadkan tezz ho gayi. Uske chehre par achanak hi bahut hi zyada utsukta ke bhaav aa gaye…
AADMI – 1 : Haan NITI tera Bhai zinda hai aur hum uske paas jaldi hi jaayenge.
Iss ek line ko sun ne ke liye jaise uss ladki ke kaan taras gaye the. Iss pal usse atyadhik khushi ki anubhuti ho rahi thi jisse shabdon ke dhaage mein pirona sambhav nahi. Uski aankhon se aansuon ki ek aviral dhaara behne lagi aur khushi ke maare wo behosh ho gayi!!
CITY :- DEHRADUN
PLACE :- TIWARI HOUSE
Ek ke baad ek kuchh 5 – 6 gaadiyan ruki iss duplex makaan ke baahar. Aur unmein se kayi aadmi kaale suit – boot mein nikle. Tabhi unmein se ek ne beech waali gaadi ka darwaaza khola jismein se baahar aayi ek atyant hi khubsurat ladki, ye koyi aur nahi balki wahi thi jiska zikr Banglore waali ghatna mein hua tha.
Wo chalti huyi uss ghar ke darwaaze par pahunchi aur doorbell baja di. Aur baaki sabhi aadmi uss ghar ke chaaron taraf khade ho gaye. Tabhi uss ghar ka darwaaza khula aur ye kholne waali wahi mahila thi jiski bachi ko aapne pehle update mein dekha tha.
Dono kuchh der tak ek – doosre ko dekhti rahi par fir jhat se gale lag gayi. Dono ki aankhon mein halki nami aa gayi thi. Fir kuchh palon ke baad dono andar jaakar couches par baith gayi. Dono ko hi samajh nahi aa raha tha ke bata kaise shuru karen.
[Ladki : L – 1 , Lady ( Bachi ki Mom) : L – 2]
L – 2 : Tu to Banglore mein rehti hai naa!?
L – 1 (Nods) : Hmmm...
L – 2 : Fir kal hi maine phone kiya aur tu aaj aa bhi gayi. Kaise?
L – 1 : Helicopter se...
Ye sunkar L – 2 ke chehre par ek muskaan aa gayi jiska kaaran L – 1 bhi samajh gayi.
L – 1 : Ab mujhe thik se sab kuchh bata TRISHA.
TRISHA ( L – 2 ) : Hmmm... Kal shaam ko Hum teeno paas hi ek park mein ghoomne gaye the. Tabhi wahaan ek chhota bacha car se takra gaya. Aur wahan afra – tafri mach gayi. Hum dono bhi wahaan chale gaye dekhne ke liye par itni derr mein SWEETY pata nahi kahaan chali gayi thi. Poore 2 ghante hum dono usse dhoondte rahe par wo kahin nahi mili. Aakhir mein wo yahaan highway par ek aadmi ke saath thi aur wo.. wo.. RUDRA tha…
Itna kehne ke baad wo chup ho gayi. Aur L – 1 ki taraf dekhne lagi. Jiski saansein saamanya se kafi badhi huyi thi. Aur saaf pata chal raha tha ki wo thik nahi hai. Kuchh derr baad...
TRISHA : Wo bahut badal chuka hai ESHA.
ESHA ( L – 1 ) : Matlab...
TRISHA : Wo jaisa tha pehle, ab bilkul bhi waisa nahi raha. Yaad hai wo kaha karta tha ke wo kabhi bhi dadhi nahi badhaayega aur clean shave rahega.
Ye sunkar ESHA ki aankhon se do boond aansoon chhalak gaye. Usne bas haan mein sar hila diya.
TRISHA : Par kal jo RUDRA mere saamne tha. Na to usse apne looks se koyi matlab tha, Kapde bahut hi saade the uske aur badhi huyi daadhi aur baal. Aur... Usne Bahut zyada Sharaab bhi pi huyi thi.
Ye aakhiri line sunkar ESHA ka sar achanak se oopar hua jaise koyi bahut bada shock laga ho usse. Kuchh palon baad.
ESHA : Thank You TRISHA. Main ab chalti hoon.
TRISHA : Tune uska address bhi dhoondh liya hoga naa.
ESHA : Hmm.. Kuchh logon ko kaha tha. Ab tak dhoond liya hoga unhone.
TRISHA : Chal main bhi tere saath chalti hoon.
ESHA : TRISHA Main...
TRISHA : Chup tu kuchh nahi bolegi. Maine keh diya matlab main bhi chalungi.
Kahin naa kahin wo bhi jaanti thi ke TRISHA ki zidd ke aage uski ek nahi chalne waali. Isiliye usne bhi haan mein sar hila diya. Dono wahaan se nikli aur Car mein sawar hokar ek disha ki taraf badh gayi. Par ab ESHA ki dhadkan bahut tezz ho chali thi. Uski aankhen behna shuru ho chuki thi. Wo Koshish to kar rahi thi par khud par kaaboo nahi rakh paa rahi thi. Khair, kuchh hi waqt baat ye dono khadi thi ek darwaaze par jispar dastak di jaa chuki thi. Aur ye dastak ek badlaav ki dastaan likhne waali thi.
Idhar main Dhaabe par se nikalkar kuchh waqt ke liye paas hi mein bani ek chhoti si pahadi par jaakar baith gaya aur dekhne laga behte paani ko. Uss pahadi ke nazdeek hi ek jalstrot tha. Basically ek Jharna. Jiska origin pas hi ek pahaad se hota tha. Uss jharne ke aas paas Kayi prakaar ke fool – paudhe lage huye the. Thoda Jungle ka ilaaka hone ke kaaran kayi saare pashu – pakshiyon ki aawazein bhi aas – paas bani hi rehti thi.
Main bas ek tak paani ko hi dekhe jaa raha tha. Kaafi door tha wo Jharna mujhse par fir bhi kal – kal behne ki wo aawaz... wo unchaayi se girne par hone waali dhvani... paani ke pattharon ke saath hone waale sangam ki aawaz, sab kuchh mujhe spasht sunaayi de raha tha. Main na jaane kitni derr tak yunhi baitha raha par fir mera mann wahaan se uchaat saa ho gaya. Aur main waapis apne ghonsle ki taraf badh chala.
Filhaal main apne ghar mein baitha tha, ek tasveer dekhte huye cigarette ka dhuaan uda Raha tha. Tabhi mujhe darwaaze par khatkhatane ki aawaz sunaayi di. Ye mere liye ek surprise hi tha. Pata nahi kitne samay baad kisine mere dar pe dastak di thi. Khair, main utha aur darwaaza kholne chal diya.
Jaise hi maine darwaaza khola mere kadam ladkhada se gaye. Haath se wo cigarette chhoot gayi, saansein bewafayi si karne lagi aur dhadkan ba – dastoor madhoshi ke aalam mein chalne lagi. Aaj fir wo chehra mere saamne tha jispar kabhi main apni jaan vaara karta tha. Wo insaan mere saamne tha jisse main apna vajood maana karta tha. Meri zindagi ki kahani thi wo... Meri yaani,
RUDRA KI ESHANI THI WO...